Tuesday, April 2, 2013

kisi soorat bhi mairi khoo-e-armaani nahi jaati

kisi soorat bhi mairi khoo-e-armaani nahi jaati
maiN har khwahish pe marti hooN ye naadaani nahiN jaati

muqadar ki lakiroN maiN sajaaya jab tujhe maiN ne
to jewen say mere pher keyoon yeh veeraani nahiN jaati

jisey socha usey poja jisey chaha usey paya
takhayul se sukhanwar phir bhi hairaani nahiN jaati

talatum khaiz mojaiN narm lehja le kay aayi haiN
ajab sa khauf hay dil main, preshaani nahiN jaati

guzartey waqet ney dhulaa deye ketney haseen chehray
"bohat jaani huwi soorat bhi pechaani nahiN jaati

amarat zarf ho jin ka sakhawat jin ki fitrat ho
tahi daman bhi ho jaayeN tau sultaani nahiN jaati

darkhtoon ney hare patoon ki chader ourh li jab sey..
chaman ki our tab se eek dewani nei jati

patang apni muhabat ki bulandi per kati lekin
mere hathoon sey raana peyar ki tani nehi jati

No comments:

Post a Comment