Thursday, August 27, 2009

tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare

tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare
tujh ko tera nasib rulaye Khuda kare

raton mein tujh ko nind na aye Khuda kare
tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare

aye bahar tere gulistan mein bar bar
tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare

meri tarah tujhe bhi jawani mein gam mile
tera na koi sath nibhaye Khuda kare

manzil kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake
tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare

tujh par shab-e-wisal ki raten haram hon
shammein jala jala k bujhaye Khuda kare

ho jayen bad-duayen meri dosto galat
ab un pe koi harf na aye Khuda kare

No comments:

Post a Comment