Monday, April 1, 2013

Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,

Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,
Apni dharrkan teri dehleez pe dhar atey hain,

Aik to hai ke teri chaap* to tarsey mera dil,
Warna panchhi bhi shaam ko ghar atey hain,

Jab se saahil pe kiya tu ne kinaara mujhse,
Joq-dr-joq* meri simt bhanwar atey hain,

Aap kehte hain karri dhoop main jalna kesa,
Ja’bjaa* raah main kitne hi shajar atey hain,

Jab se socha hai mene tujhe shab-e-furqat mein,
Kiss qadar chand sitarey mere ghar atey hain,

Zindagi jab bhi shab-e-hijar ke sanchey* mein dhali,
Us ki jaanib se bhi peighaam-e-seher atey hain,

Un se milte huye aksar mein Ghazal sochti hoon,
Kya woh aese hi hain jesa ke nazar atey hain..

No comments:

Post a Comment