Monday, June 30, 2008

Tera Jamal Nigahon Mein Ley Ke Utha Hun

Tera Jamal Nigahon Mein Ley Ke Utha Hun,
Nikhar Gai Hai Fiza, Tere Perahan Ki Si,

Naseem Tera Sabastaan Se Ho Ke Aai Hai,
Meri Sehar Mein Mehak Hai Tere Badan Ki Si

Dharkan Se – Urdu Poetry for Dil

Dharkan Se – Urdu Poetry for Dil

Yeh Milna Aur Bicharr Jaana
Kab Apne Bas Ki Baat Hai

Kismat Hi Milati Hai Hum Ko
Kismat Hi Juddai Deti Hai

Har Baar Yeh Hi Hota Hai
Koi Hume Bataye To Sahi

Jo Tum Se Nahi Keh Paate Hai
Dharkan Se Sunayi Deti Hai

Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhna

Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhna

Mera Asaasa Hai Dosti Hai

Ye Ghup Andheron Mein Roshni Hai

Ye Kaali Raaton Mein Chaandni Hai

Isi Sahare Guzar Rahe Hen

Ye Zindagi K Haseen Lamhay

Ye Meri Izzat

Ye Meri Shohrat

Hai Doston Ki Dua Ka Haasil

Mujhe Duaon Ka Aasra Hai

Meri Bas Itni Si Iltija Hai

Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhna

Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka

Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka
Ye Kiya Sitam K Who Bhi Hamara Na Ho Saka

Ankhoon Na Jis K Wasta Sadiy?On Safar Kiya
Who Youn Mila K Us Ka Nazara Na Ho Saka

Main Na Har Ek Rukh Pay Nigahain Bikhair Din
Lakin Badal Koi Bhi Tumhara Na Ho Saka

Jo Rah-E-Guzar Ishq Main Pathar Banay Rahay
Un Sa Kisi Bhi Tor Kinara Na Ho Saka

Mujh Ko Kis Liya Shikwa Ho Gair Say
Khud Jub Main Apnay Dukh Ka Sahara Na Ho Saka

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo

Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhtay Chalo

Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhtay Chalo

“Mohsin” Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhtay Chalo

Sukoon-E-Jaa’n K Liye Dua’a Kaise Karon

Sukoon-E-Jaa’n K Liye Dua’a Kaise Karon,
Dard Tou Usne Dia Hai Gila Kaise Karon,

Aksar Lout Aata Hon Manzil Se Yeh Soch Kar,
Mukam’mal Yeh Safar Uskay Bina Kaise Karon,

Hai Koi Mere Hi Haathon Ki Lakeeron Main,
Saqi Apni Taqdeer Ka Us Se Gila Kaise Karon,

Abb Munasib Hai Yehi Usko Bhula Doon,
Par Apni Rooh Ko Jism Se Juda’a Kaise Karon,

Sochta Hoon Kay Main Hi Mar Jao’on,
Lekin Us Ko Zamanay Main Akaila Kaise Karon

Kiya janiye kis khwab ki ta'abeer main gum hain

Kiya janiye kis khwab ki ta'abeer main gum hain
Zulfon ki ghani chaaoun main uljhi hui aankhain

Sunday, June 29, 2008

Saturday, June 28, 2008

tujhe qasam hai saaqiyaa sharaab laa sharaab de

tujhe qasam hai saaqiyaa sharaab laa sharaab de
uThaa subuu nazar milaa sharaab laa sharaab de

har ek aisa jaam ho ke jis pe teraa naam ho
tu apane naam kii pilaa sharaab laa sharaab de

na dil maiN koii Ghum rahe na merii aaNkh nam rahe
har ek dard ko miTaa sharaab laa sharaab de

bahut haseen raat hai tera haseen saath hai
nashay maiN kuch nashaa milaa sharaab laa sharaab de

suroor hai Khumaar hai bahaar hii bahaar hai
magar zara ai dil_ruba sharaab laa sharaab de

Chaand k Roop Me Aate Hi Nahi Tum Warna

Chaand k Roop Me Aate Hi Nahi Tum Warna
Gham ki Raaton Me Ajab Jashn-E-Baharan Hota

Bad-e-saba ka jhonka

Bad-e-saba ka jhonka
Phir se chala aya hai
Meray ghar key dareechon se
Saath may laya hai
Uss hina ki mehak
Jisey sajna tha teri hatheli pe
Likhna tha mera naam
Haathon ki lakeeron may
Pehan kr aroosi joda
Bankr mera humsafar
Chalna tha dor talak
Per
Toot gaya ye sapna
Koh gaya koi apna
Hina ki wo thaali
Aaj bhi saji rakhi hai
Ghar key kisi udas kone may
Mashghol rehti hai wo bus roney may
Aur mai
Soochta rehta hon
Kiyun
Bad-e-saba ka jhonka
Phir se chala aya hai
Phir se chala aya hai

roodad-e-qafas yaad na andaz-e-fughan yaad

roodad-e-qafas yaad na andaz-e-fughan yaad
jo beet gai, beet gai, ab wo kahan yaad

tum bhool gaye hum ko to kaya is main ta’ujab
iss daur main karta hai kisay, kaun kahan yaad

kafi thi tabahi ke liye gardish-e-dauran
tum aisay main kiyun aa gaye ho jaan-e-jahan yaad


apnay se raqabat ka ye alam he ke tauba
hum bhool gaye khud ko, wo aaye hain jahan yaad

maazi ke dareechay se kabhi jhank ke dekho
shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishan yaad

Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!

Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!
milna parrey ga aakhir ik din zaroor hum sey

daaman bachaaney waaley ye be’rukhi hey kesi!
keh do agar huwa hey koi qasoor hum sey

hum chorr dein ge tum sey yun baat cheet karna
tum poochtey phiro ge apna qasoor hum sey

hum cheen lein ge tum sey ye shaan-e-be’niyazi
tum maantey phiro ge apna garoor hum sey

Friday, June 27, 2008

Main kehti thi kaho itna kahan tak azmaao gay

Main kehti thi kaho itna kahan tak azmaao gay
Wo bola bus wahan tak... jab tum apni jan se jao gay

Un ki dahleez tak ja kar wo sub waady bhoola dena

Un ki dahleez tak ja kar wo sub waady bhoola dena
Guzar un ka jahan se ho wo sub raasty bhoola dena

Agar jeena he nae sir se to maazi ke wo pul saary
Udaasi men ghiry thy jo wo sub lumhy bhoola dena

jahan un ki nigahon se kanwul khilty hen sub saary
nasheely khuwab ki tarha wo sub julwey bhoola dena

sanum ki yaad turpaey na tumhen sookh aaram mil paey,,
jala kar khut jo tum un ke wo sub raabity bhoola dena

Mokader ke paharon se suron he jo tukrana
Mohabat men mar mitny ke wo sub juzby bhoola dena

Wafa ke phool morjhaen jafa ki tez hawaon men
choony ulfat ke bagon se wo gul dusty bhoola dena

Jawani ke hen din thory nahin he sath koi deta
kasam waady kiye thy jo wo sub jumly bhoola dena

Pookary jo tumhen gum-e-hijra"n ke dukh sary
na mor kar dekhna hurgiz wo sub naary bhoola dena

Eid Shayari Sms

Eid Shayari Sms

Eid Aai To Khayal Aaya Hamain
Jane Kab Bichray Huye Log Milay

Jee Main Aata Hai Abhi Tum Se Kahain
Eid Ka Chand Mubarak Ho Tumhain

Hum Hain Khamosh Hamain Darr Hai Yehi
Lab Khulain Gay To Pukarain Gay Tumhain

Tum Ko Dekhay Huye Sadiyan Beetin
Tum Se Kehna Hai Yehi Aaj Hamain

Maangna Bhool Na Jana Hum Ko.
Chand Ko Dekh K Gar Hath Uthain!

gurub-e-sham hi se khud ko yun

gurub-e-sham hi se khud ko yun mahasus karta hun
ki jaise ik diya hun aur hawa ke zad pe rakha hun
chamakati dhup tum apne hi daman mein na bhar lena
main sari raat pedon ke tarah barish mein bhiga hun
koi tuta hua rishta na daman se ulajh jaye
tumhare sath pahali bar bazaron mein nikala hun
ye kis aavaz ka bosa mere honton pe kanpa hai
main pichali shab sadaon ke halavat bhool baitha hun
bichad ke tum se main ne bhi koi sathi nahi dhundha
hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun

Did you feel a little warm in the morning?

Did you feel a little warm in the morning?
I sent you warm hugs in my thoughts!

Good morning and have a wonderful day!

Jo Ho Ijazat To Tum Se Ik Baat Pochoon

Jo Ho Ijazat To Tum Se Ik Baat Pochoon?
Jo Ham Se Ishq Seekha Tha Woh Ab Kis Se Karte Ho..?

Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,

Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha..

Wohi kaarwan, wohi rastay, wohi zindagi, wohi marhalay

Wohi kaarwan, wohi rastay, wohi zindagi, wohi marhalay
Magar apny apny maqaam per kabhi tum nahi, kabhi hum nahi

Haye Adab-e-Muhabbat Kay Taqazey Sagar…

Haye Adab-e-Muhabbat Kay Taqazey Sagar…
Lub Hilley Aur Shikayaat Nay Dam Tor Diya .. .?

Failure is simply the opportunity

Failure is simply the opportunity
to begin again,
this time more intelligently.

(Henry Ford)

Thursday, June 26, 2008

Yun meray khat ka jawab aaya...

Yun meray khat ka jawab aaya...
Lifafay main aik gulaab aaya

Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei

Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho
Hm Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal
Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho

Have a Great Day

The ,-# -.- #-.
Heart# "#" #
of "#. . #"
a Friend "#"
knows No BoundarieS,
No LimitS,
just endless Love and Care!
"Have a Great Day..." tc

Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa

Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa
us kii band muTThii me.n saaraa baa.Nkpan meraa

aao aaj ham dono.n apanaa apanaa ghar chun le.n
tum tabaah-e-dil le lo Khittaa-e-badan meraa

mai.n ne apane chehare pe sab hunar sajaaye the
faash kar gayaa mujh ko saadaa pairahan meraa

dil bhii kho gayaa shaayad shahar ke suraabo.n me.n
ab merii tarah se hai dard bevatan meraa

ek dasht-e-Khaamoshii ab hmeraa muqaddar hai
yaad besadaa terii zaKhm bechaman meraa

roz apanii aa.Nkho.n ke Khvaab Khuun karataa huu.N
haaye kin Ganiimo.n se aa pa.Daa hai ran meraa

maGrabii havaa ne phir ye sandeshaa bhejaa hai
muntazir tumhaaraa hai Khushbuo.n kaa ban meraa

Mujh sy milty hn tu milty hn chura kr aankhen

Mujh sy milty hn tu milty hn chura kr aankhen
Phr wo kis k lye rkhty hn saja kr aankhen

Mae unhen dekhta rhta hon jahan tak dekhon
Aik wo hn k jo dekhen na utha kr aankhen

Us jaga aj b betha hon akela yarooo
Jis jaga chor gae thy wo mila kr aankhen

Mujh sy nazrain wo aksar chura leta h faraz
Mae ny kaghaz py b dekhi hn bana kr aankhen

Mere Israar Per Aakhir

Mere Israar Per Aakhir

Bohat Majbuur Ho Ker Aaj

Mujhy Apni Nigaho?n Ki Udaasi

Sonp Di Us Ne

Bohat Bebas Bohat Tanha

Bohat Bikhri Mohabbat Ki Us Ne

Khalish Jo Us k Dil Mein Thi

Ab Wo Meri Amanat Hy

Shikasta Lehjy Ki Jitni Thakan Thi

Bol Di Us Ne

Meri Khatir Mujhy Apni Mohabbat
Keh Nahi Paya

Magar

Aaj Apne Aansuu Se

Mohabbat Taul Di Us Ne

Wednesday, June 25, 2008

kabhi jo hum nahi hoon gy

kabhi jo hum nahi hoon gy,
kaho kis ko batao gy,

wo apni uljahnain sari,
wo becheni main dooby pal,

wo ankhon main chupe ansu,
kise phir tum dikhao ye,

kabhi jo hum nahi hoon gy,
bohat bechain ho gy tum,

bohat tenha reh jao gy,
abhi b tum nahi sumjhe,

hamari unkahi batein,
mager jub yaad aayen gy,

bohat tum ko rulayen gy,
bohat chaho gy phir b tum,

humein na dhoond pao gy,
kabhi jo hum nahi hoon gy..

Mujhe Mohabbat hai apne Hathon ki Sabhi Ungliyon se 'Baasit'

Mujhe Mohabbat hai apne Hathon ki Sabhi Ungliyon se 'Baasit'
Najaane kis Ungli ko pakar kar Meri Maa ne mujhe Chalna seekhaya.

Rafaqat Kab Badalti Hey

Rafaqat Kab Badalti Hey
Muhabbat Zinda Rehti Hey
Muahabbat Kab Badalti Hey
Tumhi Ko Chahtey Hein
Tumhi Ko Piyaar Kartey Hein
Yehi Barson Ki Adat Hey Humari
Aur Adat Kab Badalti Hey
Kali Ka Phool Banna
Aur Ban K Bikhar Jana
Muqaddar Hey
Jo Pathar Pey Likhi Jaye Ebarat
Kab Badalti Hey
Jo Dil Mein Naqash Kar Jaye
Aur Ankhoon Mein Utar Jaye
Alamat Hey Yeh Chahat Ki
Aur Chahat Kab Badalti Hey
Poraney Zakhmon Ko Bhula Daina Hi Acha Hey
Na Chahey Ap Hi Koi
Tu Qismat Kab Badalti Hey
Samajh Mein I?

Each Moment in a day,

Each Moment in a day,
has its own value-
Morning brings hope,
Afternoon brings faith,
Evening brings love,
Night brings rest,
Wish u find them all today.
Good Morning

The Sardars Celebrated

Newspaper Mein News Lugi K
"50% Of Sardars Are Donkeys"

The Sardars Protested.

Next Day News Lagi K
"50% Of Sardars R Not Donkeys"

The Sardars Celebrated.

bohat se khwaab dekhe hain kabhi shairoon main dhalain ge

bohat se khwaab dekhe hain kabhi shairoon main dhalain ge
koi chehra tarashain ge koi soorat nikalain ge

abhi tau paoon ke neechay zameen mehsoos hoti hai
jahan ye khatam howay gi, waheen hum ghar bana lain ge

yehi hai na tumhain hum se bicharr janay ki jaldi hai
kabhi milna tumhare mas’alay ka hal nikaalain ge

abhi chupke se hijar asaar lamha aye ga aur phir
tum apni rah chal do ge, hum apna raasta lain ge

jo apne khoon se apni gawahi khaak per likh de
hum aise admi ko aasmaanon per utha lain ge

hamaray hath jis ke qatal ki sazish main shamil thay
saleem us shaks ke qatil se hum kaya khoon baha lain ge

Sunaa hai ab kisi se wafaa kar raha hai woh

Sunaa hai ab kisi se wafaa kar raha hai woh
Aye zindagi khushi se kahin mar na jaaon main

Tuesday, June 24, 2008

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye

jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye

wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye

ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye

muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye

Close ur eyes

Close ur eyes ....,Relax ur body.... and stop breathing as long as U can...Now breath...I miss u as much as u missed the air

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,

Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,

Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,

Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,

Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,

Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,

Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..

Umer Bhar Bhi Agar Sadaein Dein

Umer Bhar Bhi Agar Sadaein Dein
Beet Kar Waqt Phir Nahi Murte
Soch Kar Torna Inhe Saqi
Toot Kar Jaam Phr Nahi Jurte

Ab koi yaar hai na baili hai,

Ab koi yaar hai na baili hai,
Zindagi dard ki saheli hai,

Uthne joga nahin hai tere baad,
Dil ne takleef aesi jhaili hai,

Sham se is liye mohabbat hai,
Teri yadon ke sath kheli hai,

Muztarib kyon na hoon shab-e-hijran,
Dard ki gaud mein akeli hai,

Koi batlaye khawab ka mafhoom,
Raat hai, saamp hai, chambeli hai,

In lakeeron mein tu nahin to Wasi,
Kitni veeran yeh hatheli hai..

I m going to write on all the bricks I MISS U and i wish that one falls on ur head

I m going to write on all the bricks I MISS U and i wish that one falls on ur head,so that u knows how it hurts when u miss someone special like u.

Monday, June 23, 2008

May this Ramadan be month of blessings

May this Ramadan be month of blessings,
A month full of forgivenesses
&
guidences for you and your family!
Amen

Ramadan Kareem Mubarak

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

Chehra Phir – Aankhain Shayari in Urdu

Chehra Phir – Aankhain Shayari in Urdu

Aakhome Ek Chehra Phir Basne Laga Ha
Mere Chand Se Milan Phirse Hone Laga Ha
Koi Gustaki Karne Laga Ha Mere Dil Ke Sath
Qki Mere Dil Ka Darwaja Dire Dhire Khulne Laga Ha

Sunday, June 22, 2008

Subha jab bhi nikhar dekhna

Subha jab bhi nikhar dekhna
Sham jab bhi bahar dekhna
Raat ko tanhai mein
Tare jab bhi her baar dekhna
Pyar ko sada abaad rakna
Pyar ko Eid k lamhon me yaad rakhna

2 Guys Were Following 2 Girls

2 Guys Were Following 2 Girls
Both Girls Took Rakhi & Tied To Their Hands.

1st Guy To Second-What Will We Do Now?

2nd Guy-U Marry My Sis,
I Will Marry Ur Sis

Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye

Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
Bandaa paravar jaayiye achchhaa Khafaa ho jaayiye

Raah men miliye kabhii mujh se to azaraah-e-sitam
HoNTh apane kaaT kar fauran judaa ho jaayiye

Jii men aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se
Ab na miliye phir kabhii aur bevafaa ho jaayiye

Haaye re be-iKhtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
Us saraapaa naaz se kyuuN kar Khafaa ho jaayiye

Saturday, June 21, 2008

Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta

Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta
Zakhm Kitne Hain Dikha Nhai Sakta
Ankhon Se Samjh Sako To Samjh Lo
Ansoon Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta

sitaron se age jahan aur bhi hain

sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain

tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain

kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain

agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain

isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain

gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay
Wo jo saye main har maslihat kay palay
Aisay dastoor ko
Subh e bay noor ko
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Main bhee kha?if naheen takhta e daar say
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say
Zulm ki baat ko
Jehel ki raat ko
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho
Iss khulay jhoot ko
Zehan ki loot ko
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon
Tum naheen charaagar
Koi maanay magar
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,
Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..

Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!

Tumhari baat lambi hai daleel’en hain bahanay hain

Tumhari baat lambi hai daleel’en hain bahanay hain
Hamari baat itni hai hamari aarzoo tum ho

Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain,

Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain,
Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain,

Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon,
Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain,

Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye,
Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain,

Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai,
Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain,

Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata,
Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain..

What a pity! I'm not at your place

What a pity! I'm not at your place!
Miles separate me from you

This night in my dreams I'll see your face
Good night, my angel, I hope you miss me too!

Friday, June 20, 2008

sardar sent a SMS to his pregnant wife.

sardar sent a SMS to his pregnant wife.
Two seconds later a report came
to his phone and he started dancing.
The report said, "DELIVERED".

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n

vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n

Thursday, June 19, 2008

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai
Kyu Dur Jane Ke Liye Koi Karib Aata Hai.

Wo Jane Kaise Apne Dilse Mujhe Bhula Baitha
Mai Ger Bhulna Chahu To Bhula Bhi Yaad Aata Hai.

Tab Nikherti Hai Kahin Jindagi Ki Asli Surat
Ashq Jab Aapke Daman Pe Bikher Jata Hai.

Tadap Tadap Ke Tujhe Taumra Yaad Karta Rahun
Kuchh Aur De Na Jakhm To Bher Jata Hai.

Yun To Mai Khud Bhi Tujhper Tabajjoh Nahi Deta
Mera Jehen Hai Ke Her Bar Udher Jata Hai.

Beshaq Bahar Sooni Sooni Si Lagti Hai
Bul Bul Ke Chale Jane Se Kya Bagh Ujad Jata Hai.

Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!

Tere Siva

Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi

Tere Siva .. Tere Siva !!

Ibtidaa Kee Intehaa Mat Poochhiay

Ibtidaa Kee Intehaa Mat Poochhiay
Ik Dafaa Ko Kehdiaa Mat Poochhiay

Makr Kay Aur Jhoot Kay Iss Daur Main
Kaun Hai Saadiq Bhalaa Mat Poochhiay

Ishq E Ahmad Yaan Jissay Haasil Nahein
Khuld Main Kab Jaa?aygaa Mat Poochhiay

Bughz Kee Banjar Zameen Kaa Pair Woh
Aag Bin Kaisay Jalaa Mat Poochhiay

Fikr Jab Parwaaz Thee Kernay Lagee
Phir Qalam Kya Likh Gayaa Mat Poochhiay

Dhoop Kay Jungle Se Kiss Tarah
Chha?oN Bin Chaltaa Gayaa Mat Poochhiay

Wednesday, June 18, 2008

Aesy bhi Mohabbat ki saza deti hai Duniya

Aesy bhi Mohabbat ki saza deti hai Duniya
Marr jayen to jeeny ki dua deti hai Duniya

Ye zakhm mohabbat ka hai ,Dikhana na kisi ko
La ker Sar-e-Bazar sajaa deti hai Duniya

Qismat pe karo naaz na itna b Faqeero
Hathon ki Laqeeron ko mitta deti hai Duniya

Marny k liye kerti hai Majboor to lekin
Jeeny k Tareeqy bhi Sikha deti hai Duniya

Aesy bhi mohabbat ki saza deti hai duniya

yehi zindagi ka usol hai

yehi zindagi ka usol hai
jo bichar gaya usse bhol ja
jo mila hai dil sa use laga k rakh
jo nahi mila use bhool ja

ApKo Pyara Sa ASALAM O ALYIKUM GOOD MORNING

.*”*.*”*.
‘*.Pyari Si ‘*.
night ke bad
.*”*.*”*.
‘*.Pyare Se ‘*.
Mood Me
.*”*.*”*.
‘*.Thandi Thndi ‘*.
Hawao Me
.*”*.*”*.
‘*.Pyari Si
‘*chand ki.Roshni ke bad
.*”*.*”*.
‘*.Pyar Bhri
‘*.Duaon K Sath
.*”*.*”*.
‘*.Sabse Pehle ‘*.
ApKo Pyara Sa ASALAM O ALYIKUM GOOD MORNING.

Aj Phir Un Ka – Dil Lagi Shayari

Aj Phir Un Ka – Dil Lagi Shayari

Aj Phir Un Ka Samana Hoga
Kya Pata Us Ke Bad Kya Hoga

Aasaman Ro Raha Hai Do Din Se
Aap Ne Kuch Kaha Suna Hoga

Do Qadam Par Sahi Tera Kucha
Ye Bhi Sadiyon Ka Fasala Hoga

Ghar Jalta Hai Raushani Ke Liye
Koi Mujhasa Bhi Dil Jala Hoga

A lonely tear is set out free

A lonely tear is set out free,
i'm sitting alone for all to see;

you r far away, how can it be?
My heart cries out," Come back to me!!"

hum bhi kuch hoosh nahee wafa kar k

hum bhi kuch hoosh nahee wafa kar k
tum na acha kia nibaah na ki

Tuesday, June 17, 2008

Janaab-e-Ishq Kartay Hain Karam Kuch Khaas Loogon Per

Janaab-e-Ishq Kartay Hain Karam Kuch Khaas Loogon Per
Har Insaan Ke Muqaddar Mein Ruswaayi Tou Nahi Hoti

Piyar kisi se jitna kiya ruswai hi mili

Piyar kisi se jitna kiya ruswai hi mili
Wafa chahe jitni bhi ki bewafai hi mili
Jitna bhi kisi ko apna bana kar dekha
Jab aankh khuli to tanhai hi mili

There are a lot of birds wispering only about you

There are a lot of birds wispering only about you, you should once listen to them, then you would know how much I love you

Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut

Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut,
In Dino Khudse Bichhad Jaane Ka Dhadaka Hai Bahut,

Raat Ho Din Ho Gaflat Ho Ke Bedaari Ho,
Usko Dekha To Nahi Hai Use Socha Hai Bahut,

Tashnagi Ke Bhi MuQaaMaat Hai Kya Kya Yaani,
Kabhi Dariya Nahi Kaafi, Kabhi Qatraa Hai Bahut,

Mere Haathon Ki LaQeeron Ke Izaafe Hai Gawah,
Maine Paththar Ki Tarah Khudko Taraasha Hai Bahut

Sochiye to bhool jana is qadar mushkil nahi

Sochiye to bhool jana is qadar mushkil nahi
Kaam asaaan hai mgr... hum se kahan hoony lga

I hope you have a wonderful christmas

I hope you have a wonderful christmas
have a great new year !
Hopefully santa will be extra good to you .
enjoy your holidays

Monday, June 16, 2008

Ek din tu meri roh ke zakhmo ka hal poch

Ek din tu meri roh ke zakhmo ka hal poch
ek pal qadam tu rook, palat kar kalam kar

Tu Gulab Hy.. Nargis Hy K Jannat Ka PhoOl

Tu Gulab Hy.. Nargis Hy K Jannat Ka PhoOl
Tujhko ChO Lon To Mere Hath Se Khushbu Aye

Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Ke Libas,

Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Ke Libas,
Ab Moharram Ki Taraah Woh Eid Manaati Hogi…

Kaun ujra hoga bhari duniya mein hamari tarhan,

Kaun ujra hoga bhari duniya mein hamari tarhan,
Tu bhi na mila hum ko aur khud ko bhi ham ghanwa bethe..:(

Every one will send you

Every one will send you

the Eid greetings on this Eid

But I am sending you a wish

May God makes you the true

muslim and help you follow the

basic rules of Islam.

Wish you a very happy

Eid Mubarak.

Sunday, June 15, 2008

Ab maza ayega eid ka Bacha bacha muntazir hai deed ka

Ab maza ayega eid ka
Bacha bacha muntazir hai deed ka

Ab nahin hijr gawara ke kareeb ajao
Eid ka bhi hai ishara ke kareeb ajao

Ubhra nahin hai chand nazar beqarar hai
Aese mein bhala khaak aye eid ka maza

Abr-e-rehmat ban kar cha jao peyam e eid hai
Chaar soo noor barsao peyam e eid hai

Ask my eyes to stop looking at you.

Ask my eyes to stop looking at you... Ask my brain to stop thinking about you.. Ask my imagination to stop dreaming about you.. Ask my heart to stop beating..ask me everything..But don't u ever stop me from loving you

Paying respects to the God

Paying respects to the God,
And decorating for them the thali,

This is what the occasion is all about,
This is the spirit of Deepavali.

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha

Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha

Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha

Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha

Pehchaan to safar mein laazmi thi,

Pehchaan to safar mein laazmi thi,
Magar kuch hum’safar achey lage they..

Easter Day Shayari

Easter Day Shayari

Where man sees but withered leaves,
God sees sweet flowers growing.

– Albert Laighton

Kehtey Hain Ishq Naam Ke Guzrey They Ek Bazrug

Kehtey Hain Ishq Naam Ke Guzrey They Ek Bazrug
Hum Log B Mureed Ussi Silsaley Kay Hain

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair

main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair

kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair

bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair

taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai "Zafar" hai muqaddar kahe bagair

Saturday, June 14, 2008

Jab bhi kaheen muskrahatain girti dekho

Jab bhi kaheen muskrahatain girti dekho
Aangan may meray shikasta devareen girti dekho

Aansoon se labraiz teri khamosh palkain dastaan hain ghum-e-ishq ki
Aaiyena bana kar meri aankhon ko udaas shaamain utarti dekho

Ab kis baat ka hai dukh kis baat pe pachtawaa jaanan
Ab kay saawan may bin boondon ki baarishain barasti dekho

Aaghaz-e-safar-e-vasl may kabhi tanha choor gaye thay tum
Dar-o-baam pe meray ab qadmoon ki be-awaaz aahatain tarsti dekho

Yadoon kay jazeroon pe aksr toofan bapaa rehtay hain
Nasheman pe meray ab tum saatain girti dekho

kuch waqt yun gujar gaya..........

kuch waqt yun gujar gaya,
kuch sapne yun hi toot gaye,
kuch yun apne yun choot gaye,
kuch ristee yun hi bikhar gaye,
lekin fir bhi main calta gaya,
kuch uski talash mein,
kuch khud ki talash mein

Na Tadapta Dil, Na Roti Aankhein

Na Tadapta Dil, Na Roti Aankhein
Na Labon Pe Naam koi aur Hota

Ham Teri Tamanna hi kyon karte
Agar Tere Jaisa koi aur Hota

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar
So baar kaha itni mohabbat nahin achi
So baar kaha itna bharosa na kiya kar
Haalaat hamain aik kabhi honay nahin dengay
Ae DOST meray, meri tamanna na kiya kar
Kya janay ye kis morr pay lay jay zamana
Tu MUJH ko kisi pal bhi elehda na kiya kar
Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh say pyar itna ziyada na kiya kar

Friday, June 13, 2008

Sochta Hu – Janamdin Shayari 140 Words

Sochta Hu – Janamdin Shayari 140 Words

Tere Janam Din Par Tuze Kya Pesh Karu
Tajmahal Du Tuze Ya Chanderma Pesh Karu
Aur To Kuch Nahi Mere Pass Ae Mere Sanam
Sochta Hu Bas Tuze Apni Baffa Pesh Karu

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai Hai Teri Soorat

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai Hai Teri Soorat,
Haath Uthte Hain Mager Harf-e-Dua Yaad Nahi

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai Hai Teri Soorat

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye

Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?

So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye

Kabhi Ao Or Dekho Hamari Raat Ka Aalam

Kabhi Ao Or Dekho Hamari Raat Ka Aalam
Ke Din Ka Hansta Chehra Najane Raat Men Kahan Kho Jata He. . .

Guzar gayi ye Eid bhi gham-e-zindagi ki tarhaa,

Guzar gayi ye Eid bhi gham-e-zindagi ki tarhaa,
Hota jo koi apni apna to ham bhi khushyaan manatey. .

Woh Khud Thi – Bewafa Hindi Shayari

Woh Khud Thi – Bewafa Hindi Shayari

Bewafa To Woh Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
Ab Woh Naam Kisi Aur ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai

Friendship is about. bringing out the positive

Friendship is about. bringing out the positive when everything seems negative...being accepted for who you are...being able to pick up right where you left off...sharing, talking, and laughing...Friendship is about us, and for that I'm grateful. And I hope you have the best birthday ever, friend!

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo
Sanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch Lo
Sath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis Liye
Chor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch Lo
Shor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh Ho
Shor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch Lo
Kar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Per
Ye Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch Lo
Band Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho Magar
Koi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch Lo
Dar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho Magar
Wo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch Lo
Doobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs Pa
Jab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo

Thursday, June 12, 2008

Woh Aaj Bhi Hamein Dekh Kar Muskurate Hain

Woh Aaj Bhi Hamein Dekh Kar Muskurate Hain
Woh Aaj Bhi Hamein Dekh Kar Muskurate Hain
Yeh To Unke Bacche Hi Kameene Hain
Jo Mama Mama Keh Kar Hme Bulate Hain

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay

TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay

Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay

Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay

Zamane bhar ney luta hai Faraz fareb-e-dosti day kr

Zamane bhar ney luta hai Faraz fareb-e-dosti day kr
agar tu saath day mera to sub se dushmani kr loon

G U T T E R

Cheese is Cheese
Butter is butter
if u 4get me
i will throw u in

* G U T T E R *

You gain strength, courage and confidence

You gain strength, courage and confidence
by every experience in which you really
stop to look fear in the face.
You must do the thing that you think you cannot do.

(Eleanor Roosevelt)

Wednesday, June 11, 2008

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa B Bohat Hai

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa B Bohat Hai
Aur Tujh se Bicharny Ka Darr B Nahi Jata

labon pe narm tabassum racha ke dhul jayen

labon pe narm tabassum racha ke dhul jayen
Khuda kare mere ansu kisi ke kam ayen

jo ibtada-e-safar main diye bujha baithe
wo badnasib kisi ka surag kya payen

talash-e-husn kahan le chali khuda jane
umang thi k faqat zindagi ko apanayen

bula rahe hain ufaq par jo zard-ru tile
kaho to ham bhi fasane ke raz ho jayen

na kar Khuda ke liye bar-bar zikr-e-bahisht
ham asman ka mukarrar fareb kyon khayen

tamam maikada sunsan maigusar udas
labon ko khol kar kuch sochati hain minayen

Um’r bhar tujh say bichaRnay kii kasak hii na gaii

Um’r bhar tujh say bichaRnay kii kasak hii na gaii
Kaun kehta hay muhabbat ka asar khat’m hua!!

Sabat howa fashar e lehad se ye aa zameen

Sabat howa fashar e lehad se ye aa zameen
To bhi inhen dabati hai jin me ke dam naihin

Tuesday, June 10, 2008

Pazi’raayi ke sab mausam isi uljhan mein guzrey hain,

Pazi’raayi ke sab mausam isi uljhan mein guzrey hain,
Kis ko bhool jana hai, Kis ko yaad rakhna hai..

Hayat ik mustakil gham k sawa kuch bhi nahin shaid

Hayat ik mustakil gham k sawa kuch bhi nahin shaid,
Khoshi bhi yaad ati hai to anso ban k ati hai.

Professor:Chemical symbol of Barium?

Professor:Chemical symbol of Barium?
Sardar: BA

Professor:For sodium?
Sardar: NA

Professor:What will we get if 1 atom of BA
& 2 atoms of NA combined?
Sardar: BANANA

Full form of maths

Full form of maths

M=mentally
A=admited
T=teacher
H=harassing
S=students

thani thi dil main ab na milenge kisi se ham

thani thi dil main ab na milenge kisi se ham
par kya kare k ho gaye nachar ji se ham

ham se na bolo tum ise kya kahte hain bhala
insaf kije puchte hain ap hi se ham

kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur
aur su-e-dasht bhagte hain kuch abhi se ham

kya dil ko le gaya koi begana ashna
kyun apne ji ko lagate hain kuch ajanabi se ham

Monday, June 9, 2008

Us ki yadon ka tha safar logo

Us ki yadon ka tha safar logo,
Neend aati kya raat bhar logo.

Zakhm mujko milay judai main,
Mai raha phir bi bay kahbar logo.

Kis tarah se usay manata main,
Lafz sare thay be asar logo,

Sirf aankon say ashk behtay thay,
Khuwab saray thay dar badar logo,

Tanha tanha hai aaj bhi
Zindagi ho gi kia basar logo

Sunday, June 8, 2008

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai

ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai

dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai

kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai

Mere Dil Ne Jab Bhi Dua Mangi Hai

Mere Dil Ne Jab Bhi Dua Mangi Hai
Tujhe Mangi Hai Teri Wafa Mangi Hai
Jis Mohabbat Ko Dekh K Dunia Ko Rashk Aye
Tere Pyar Karne Ki Wo Adda Mangi Hai

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

I study Law

A guy asked a girl in a library; “Do you mind if I sit beside you"?

The girl answered with a loud voice; "I DON’T WANT TO SPEND THE NIGHT
WITH YOUUU!!!”.

All the students in the library started staring at the guy and he was embarrassed. After a couple of minutes, the
girl walked quietly to the guy’s table and she told him
"I study psychology and I know what a man is thinking, I guess you felt embarrassed right?"

The guy responded with a
loud voice: "$200 JUST FOR ONE NIGHT!!!? THAT’S TOO MUCH!!!"
.
.
.
and all the people in the
library looked at the girl in shock and the guy whispered in her ears;
"I study Law and I know how to make someone feel guilty"

Saturday, June 7, 2008

Gum kahen na ho jana sheher k jhamelon me

Gum kahen na ho jana sheher k jhamelon me
Me kahan kahan tum ko bheer me sada doon ga

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay

Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay

Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay

Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay

Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay

Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay

Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay

Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay

Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay

Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,
Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko,

Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai,
Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?

Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi,
Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko

Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke,
Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko,

Hijr Ki Nazar Tou Deni Hai Osay,
Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko,

Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya,
Kyun Na Mein ‘Jhon’ Mita Doon Os Ko ?

Friday, June 6, 2008

You will die within 2 hours

Doctor to sardar : You will die within 2 hours.
Do you want to see any one before you die?
Sardar : Yes. A good doctor.

So Many Time

So Many Time
I Thought I'd Never
Find Sum1 To Love Me
d Way I Needed 2 B
Loved Then
U Came In My Life
&
Showed Me
Wh8 True Love
Really Is :)

Happy Valentine's Day

Welcome Ramadan

Welcome Ramadan
Walk humbly
Talk politely
Dress neatly
Treat kindly
Pray attentively
Donate generously
May ALLAH bless & protect you!

Jisne Bana Dia Her Ghar Ko Gulistan

Jisne Bana Dia Her Ghar Ko Gulistan…
Chala Jaega Kuch Dino Ma Ye Mehman…
Tohfe Ma Dey Jaraha Hay Ye ‘Eid’ Sabko…!
(Alvida ! Alvida)
Mah-E -Ramzan.

Shab wahi lekin sitara aur hai

Shab wahi lekin sitara aur hai
ab safar ka isteaara aur hai

mauj ke murrne mai kitni der hai
naao daali aur dhara aur hai

sukh k mausam unglyon par gin liye
fasl e gham ka ghoshwara aur hai

dair se palken nahi jhapki meri
teshe jaan ab k nazara aur hai

aur kuch pal uska rasata dekh loon
aasma’n par aik tara aur hai

sath to mera zamee deti magar
aasma’n ka hi ishara aur hai

Thursday, June 5, 2008

Bohat dino main mohabbat ko yeh howa maloom,

Bohat dino main mohabbat ko yeh howa maloom,
Jo tere hijar main guzri wo raat, raat hui..

Meri Jaan, Hamari Is Muhabbat Ka

Meri Jaan,
Hamari Is Muhabbat Ka!
Bhala Kya Faeda Hoga
Hamaray Darmayaan Jo Dooriyaan Hain
Kamm Nahi Hon Gi
Kabhi Baarish Kay Mosam Mein
Hamesha Sath Rehne Ki
Jo Khawahish Dil Mein Jaagi Thi
Jo Sapnay Hum Nay Dekhe Thay
Who Sapnay Toot Jayen Gay
Meri Jaan, Theek Kehti Ho!
Muqaddar Kay Likhay Ko Hi Agar Tasleem Karna Hai
To Phir AIsi Muhabbat Ka
Koi Bhi Faeda Kaisa?
Magar Isko Agar Chaho!
To Meri Bebassi Keh Lo
Mujhe Tum Say Muhabbat Hai?

Barbad Kar Geya Wo Zindagi Pyar K Nam Se

Barbad Kar Geya Wo Zindagi Pyar K Nam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa K Nam Se
Zakhm He Zakhm Diay Usne Dawa K Nam Se
Khud Bi Ro Para Wo Meri Mohabat Ke Anjam Se

Wo kahen bhi gea lota to mere pass aea

Wo kahen bhi gea lota to mere pass aea
Bass yahi baat hai achi mere harjai ki

Lawyer to sardar:geeta pe hath rakho

Lawyer to sardar:geeta pe hath rakho
Sardar:Kamal hai, Seeta pe hath rakha
to baat court tak pohanch gaye,
ab bol raha he geeta pe hath rakho:p

palkain b chamak uthti hain sooty me hamari

palkain b chamak uthti hain sooty me hamari
ankhon ko abi khwab chupany nahi aaty

Mohabbat hum ne ki jo ek khata hogayi

Mohabbat hum ne ki jo ek khata hogayi
Ki wafa or zindagi saza hogayi

Wafa karte rahe hum ibadaton ki tarhan
Phir ibadat khud ek gunah hogayi

Kitna suhana tha safar jab sath thay hum
Phir kia howa kyun manzil juda hogayi

Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi
wo gaya to laga dunya fana hogai?

bachon agay qadam barhaao

bachon agay qadam barhaao
apnay parcham ko lehraao
khaamoshi hai achi aadat
par jab bolo rung jamaao
yakjehti ka suraj chamkay
ik doojay se qadam milaao
KHALIQ hai saansaar ka woh hi
USS ki AZMAT k gunn gaao
ilam o amal ka pekar ban kar
saari duniya par chaa jaao
sach main sakoon sach main rahat
jhoot se Aasi tum sharmaao

Mujh Say Itnay Qareeb ho Jao

Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao ….!
Udaas Shab Ki “Saleeb” ho Jao ….!

Meri Baanhon Ko Sonp Do Sab Kuch….!
Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao….!

Mujh Mein Utro Meray Lahu Ki Tarhan….!
Meri Rooh Kay “Raqeeb” Ho Jao….!

Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye….!
Aao Meray “Tabeeb” Ho Jao….!

Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch….!
Aaj Aisay “Khateeb” Ho Jao….!

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha

Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha

Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha

Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha

Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha

Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha

Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha

Wednesday, June 4, 2008

Cos today is your day

Cos today is your day,
its an opportunity for u to know that
u are special and special things are for u today,
i wish u all the best.
Happy birth day. Love u

If you live to be a hundred

If you live to be a hundred , I want to be a hundred minus one day , so I don't have to live a day without you.

Kuch Is Tarha Se Uay Pyaar Karna Parta Hai

Kuch Is Tarha Se Uay Pyaar Karna Parta Hai,
K Apnay Pyaar Se Inkar Karna Parta hai,

Kabhi Kabhi Toh Woh Itna Qareeb Hota Hai,
K APnay Apko Dewaar Karna Parta Hai,

Khuda Ne Usko Ataa Ki Hai Maseehaai,
K Khud Ko Jaan K Beemar Karna Parta Hai,

Wafa Ki Raah Mein Dushwariyaan Toh Ati Hain,
Wafa Ki Raah Ko Humwaar Karna Parta Hai,

Woh Haath Rakh K Mere DIL Par Jab Bhi Puchta Hai,
Toh Mujhko Dard Se Inkaar Karna Parta Haii

Tuesday, June 3, 2008

Bewafa Shayari in Hindi 140 Words

Bewafa Shayari in Hindi 140 Words

Rehte Hain Hum Door to Kya Hua,
Hum Juda to Nahi,
Baat Nahi ker Sakte to Kya Hua,
Hum Khafa to Nahi,
Na Nilna Hamari Majboori Hai,
Per Hum Bewafa to Nahi

Takeef Wo Jo Dpa De

Takeef Wo Jo Dpa De
Teacher Wo Jo Saza De
Mohabbat Wo Jo Wafa De
Dushman Wo Jo Marwa De
Aur
Dost Wo Jo ‘Eid’ Pe
”Once Upon A Time In Mumbai” Dikha De

Hai Koi Dost?????

The most effective

The most effective
way 2 remember
ur wife's birthday
is 2 forget it once.

awargi pay hum nay bohat din guzar kiya

awargi pay hum nay bohat din guzar kiya
jab thak gai tu phir issi sehra ko ghar kiya

thi ik zindagi kay barabar woh aik raat
uss raat ko basar kiya aur ta sehar kiya

hum pay tha ik ishq ka saya keh saari umar
apni he roshni mein kiya jo safar kiya

tum loag woh keh choor gai karbala kay beech
hum loag woh ke jin nay tumhein mo'atbar kiya

kuch kam nahi tha pehlay bhi pamaal mera shehar
yeh kis kay paoon nay issay pamaal kiya

kaisee hawa mein nikla tha yeah karwaan e gul
akhir khizaan kay haath laga rukh jidhar kiya

Kya rabt* kisi ki judaai se mera

Kya rabt* kisi ki judaai se mera,
Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera..

Tera wajood riwajOn k aitkaaf me hai

Tera wajood riwajOn k aitkaaf me hai
mera yaqeen tere"Ain" "Sheen" "Qaaf" me hai

Ya ALLAH Our Sins Are So Many

Ya ALLAH Our Sins Are So Many
But Your Mercy Is Limitless
Plz Forgive Us
You Are The Greatest Forgiver
You Love To Forgive
Plz Forgive me,
my Parents,
my Family
And The Whole Muslim Ummah Past & Present

Aamin - SumAmeen

Jumma-tul-Alwida Mubarak

Monday, June 2, 2008