Saturday, June 14, 2008

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar
So baar kaha itni mohabbat nahin achi
So baar kaha itna bharosa na kiya kar
Haalaat hamain aik kabhi honay nahin dengay
Ae DOST meray, meri tamanna na kiya kar
Kya janay ye kis morr pay lay jay zamana
Tu MUJH ko kisi pal bhi elehda na kiya kar
Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh say pyar itna ziyada na kiya kar

No comments:

Post a Comment