Saturday, June 21, 2008

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay
Wo jo saye main har maslihat kay palay
Aisay dastoor ko
Subh e bay noor ko
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Main bhee kha?if naheen takhta e daar say
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say
Zulm ki baat ko
Jehel ki raat ko
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho
Iss khulay jhoot ko
Zehan ki loot ko
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon
Tum naheen charaagar
Koi maanay magar
Main naheen maanta
Main naheen jaanta

No comments:

Post a Comment