Wednesday, November 30, 2005

Dates Eid-ul-Fitr

Prophet (PBUH) never proceeded (4 the prayer)
on the Day of Id-ul-Fitr
unless he had eaten some dates.
Anas also narrated:
The Prophet used 2 eat odd number of dates

Lakh zamana zulm dhaye waqt na wo khuda dikhaye,

Lakh zamana zulm dhaye waqt na wo khuda dikhaye,
Jab mujhey ho yaqeen kay tu hasil e zindagi nahi..

ulfat ki nai manzil ko chala, tu banhen dal k banhon mein

ulfat ki nai manzil ko chala, tu banhen dal k banhon mein
dil torne wale dekh k chal, ham bhi to pare hain rahon mein

kya kya na jafayen dil pe sahin, par tum se koi shikwa na kiya
is jurm ko bhi shamil kar lo, mere masum gunahon mein

jahan chandni raton mein tum ne khud hamse kiya iqarar-e-wafa
phir aj hain ham kyon begane, teri beraham nigahon mein

ham bhi hain wahin, tum bhi ho wahi, ye apni-apni qismat hai
tum khel rahe ho khushiyon se, ham dub gaye hain ahon mein

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain,

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain,
Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain,

Hamaisha rehti hain teri talash main janaan,
Hamaisha kerti hain teri hi aarzu aankhain,

Na janay konsay jalwon ki justuju hai inhain,
Bhatak rahi hain faza main jo chaarsu aankhain,

Ye mojza bhi to kuch kam nahi k shaam_o_sehar,
Tumharay hijer main rehti hain baa’wazu aankhain,

Tera firaq, teri justuju, teri hasrat,
Ye zakhm zakhm tabasum lahuu lahuu aankhain,

Naseeb mera bhi roshan ho surat_e_mehtaab,
Kbhi jo ker dain mohabat ko surkhruu aankhain,

Bicher ke tujh say main zinda na reh sakon shayad,
Na phairna kabhi meri taraf say tuu aankhain,

Tumhain jo choo lu’n to hathon say khushbuyen phutain,
Tumhain jo daikhoon to ho jaen khobru aankhain,

Jahan labon ko hilana bhi jurm ho Majid,
Wahan isharon main kerti hain guftgu aankhain..

Kabhi Kitabon Mein – Urdu Poetry

Kabhi Kitabon Mein – Urdu Poetry

Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhana
Hamen Bhi Hai Yaad Aj Tak Wo
Nazar Se Harf-e-salam Likhana
Wo Chand Chehare Wo Bahaki Baten
Sulagte Din The Mahakati Raten
Wo Chote-chote Se Kagazon Par
Muhabbaton Ke Payam Likhana
Gulab Cheharon Se Dil Lagana
Wo Chupke Chupke Nazar Milana
Wo Aarazuon Ke Khwab Bunana
Wo Qissa-e-natamam Likhana
Mere Nagar Ke Hasin Fazao
Kaheen Jo Un Ke Nishan Pao
To Puchana Ye Kahan Base Ho
Kahan Hain Un Ka Qayam(?) Likhana
Gai Ruton Mein “hasan” Hamara
Bas Ek Hi To Ye Mashagala Tha
Kisi Ke Chehare Ko Subah Kahana
Kisi Ke Zulfon Ko Sham Likhana

Tuesday, November 29, 2005

Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah

Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah
Gulab Main Khushbo Basi Hoti Hai Jis Tarah

Namaz Parh Li Ho Aur Dua Na Mangi Ho
Ap Ki Kami Mehsoos Hoti Hai Kuch Is tarah

Dast-E-Taqdeer Se Har Shaks ne Hissa Paya Jaan

Dast-E-Taqdeer Se Har Shaks ne Hissa Paya Jaan
Mere Hissay Main Terey Sath Ki Hasrat Aayi ….!

Hqiqt Smjo Ya Afsana

Hqiqt Smjo Ya Afsana
Apna Smjo Ya Begana
Hmara Apka Rishta Hy Purana
Islye Frz Tha Apko Btana
K Eid-Ul-Fitr A Rhi Hy,
Ab Shuru Krdo Bas Nhana…;-)

Monday, November 28, 2005

Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha

Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha,
Koi Na Mila Aisa Jis Pay Duniya Luta Daitay,
Sab Nay Diya Dhooka Kis Kis Ko Bhula Daite,
Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha,
Bayan Kia Hota To Mehfil Ko Rula Daitay

Ap Ny Kya Socha Sms Ni Aay Ga

Ap Ny Kya Socha Sms Ni Aay Ga
Socha Yh Dost Aap Ko Yun Hee Bhool Jay Ga
Yh To Adat Hay Hamari Satany Ki
Warna Itna Piyara Dost Eid Pr Kon Bhulana Chahy Ga

Sunday, November 27, 2005

Dil hatheli per liye sab ne qataarain baandh leen

Dil hatheli per liye sab ne qataarain baandh leen
Sab ne aankho’n ki sajai kehkasha’n tere liye
Apni umeedo’n k taaray tery aagay rakh diye
Kar diya sab ne zameen ko aasman tery liye

Cactus jaisay hain ye mery dar-o-deewar bhi
Mera kamra hai dasht-e-be-ama’n mery liye
Mein to sardi’on ki thitharti raat ka mehtaab hun
Kon kholta hai ghar ki khirki’an mery liye?

Likhna Parhna chhad de bandeya, Nekiyan te rakh aass…

Likhna Parhna chhad de bandeya, Nekiyan te rakh aass…
Chuk Chaadar tey soja bandya Rab karey ga pass …!!!
.
.
Students ka sufiana kalam :-)

Ye muhabbat ki kahani nahin marti lakin

Ye muhabbat ki kahani nahin marti lakin
Log kirdar nibhate hoe mar jate hain

Zinagi Per KiTab Kya Likhoon

Zinagi Per KiTab Kya Likhoon
ab gye shab kay Khawab Kya likhoon

Zindagi tu Guzar Gye Mayri
zindagi kay Azab kya Likhoon

Zakham seenay kay Chup nai Patay
un ka Ahd-e-Shabab Kya likhoon

Woh Mayri Khawahishoon ka Qatil hay
us ko izat Ma-Aab Kya likhoon

Dasht main bay hisab bikhray howay
pathroon ko Gulab Kya likhoon

Jab Mezan aik Qaim hay
phir Gunah Sawab Kya likhoon

hay MuKamal kitab-e-dil Mayri
Tu Bata Intisaab Kya likhoon

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,
Is sheher mein mein phirta hai ik wehshi o awaara,
Shaayer hai ke aashir hai, Jogi hai ke banjaara,

Darwaza khula rakhna,

Seeney se ghataa uthey, ankhon se jharri barse,
Phaagan ka nahin badal, jo chaar ghari barse,
Barkha hai yeh bhadon ki, Barse to bari barse,

Darwaza khula rakhna,

Ankhon mein to ik aalam, Ankhon mein to dunya hai,
Honthon pe magar mohrain, Mu’n se nahin kehta hai,
Kis cheez ko kho betha, Kya dhoondne nikla hai,

Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai tera saajan, Ab tujh se to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,

Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, Ankhon ko bacha rakhna,
Ik shamma dareechey ki chokhat pe jala rakhna,
Mayoor na phir jaye, Haan paas wafaa rakhna,

Darwaza khula rakhna,
Darwaza khula rakhna.

Isi ehtiyaat main woh raha, isi ehtiyaat main main rahi

Isi ehtiyaat main woh raha, isi ehtiyaat main main rahi
Woh kahan kahan mere saath hai, kisi aur ko ye pata na ho

Saturday, November 26, 2005

Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya

Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya
teray takallufat ka matlab samajh gaya

Ahbaab kar rahay hen bardi charasazian
shayed taweel raat ka matlab samajh gaya

Ham chal rahay hen teray iradon kay saath saath
majboori e hayat ka matlab samajh gaya

shayed keh ham nibah kay la,iq nahi rahay
tark e talluqaat ka matlab samajh gaya

Aey dost niyaton kay taqazay kuch aur hen
is rang e iltifat ka matlab samajh gaya

Kharch jitna kron ye barhti hai

Kharch jitna kron ye barhti hai
yaad teri ajeeb doolat hai

Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna Main Ashkbaar Yeh Anakehen

Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna Main Ashkbaar Yeh Anakehen
Kisi Ke Aahat Sun Ne Taras Rahe Yeh Kaan
Kisi Ke Mehak Saht Liye Hawa Ka Woh Jhonke Se Surakh Huve Rukhsaar
Kise Ke Intezar Ke Ghadiyan Ginete Huve Muskrahat Sajaye Yeh Lub
Kisi Ke Pyar Ko Mehsoos Ker Ne Bechain Yeh Dil
Kisi Ko Chune Ke Tamanna Liye Bechain Yeh Najuk Hath
Kisi Ke Sath Pyar Ke Raahon Main Chalne Bechain Yeh Naajuk Paav
Yaa Khuda In Palkon Ko Bund Ker Ke Un Ansuon Ko Aazad Ker De Ab

Woh Nahi Ayega??!!!!!!!!!!!!

Such hi kaha tha kisi ne khud pe bharosay ka huner seekh lo,,,

Such hi kaha tha kisi ne khud pe bharosay ka huner seekh lo,,,
Muhabbat jitni bhi sachi hoo saath chorr hi jaati hay,,,,,

Jis Raha Pe Tum Abhi Chal Rahi Ho

Jis Raha Pe Tum Abhi Chal Rahi Ho
Us Raha Se Hum Kai Baar Guzar Chuke Hain
Yeh Khel Jo Tum Khel Rahi Ho
Is Khel Ko Bhi Hum Kai Baar Khel Chuke Hain

Neend To Aaney Kothee, Par Dill Pichley Qissey Ley Beitha

Neend To Aaney Kothee, Par Dill Pichley Qissey Ley Beitha
Abb Kho_d ko Be_Waqat Sullaney Mein Kuch Waqat Lagey Ga

Iltajayen us ki phir khatir mein laaon kis tarah

Iltajayen us ki phir khatir mein laaon kis tarah,
Be’sabab rothaa hua hoon maan jaaon kis tarah,

Jis ko aankhen chahti hain mangta hai dil usey,
Kese dhoka doon unhe, us ko manaaon kis tarah,

Ajnabi sa aashnaa tha naam tak poocha nahin,
Main ne maana laut aaye ga, bulaaon kis tarah,

Hum agar yak jaan do’qaalib hain phir tu hi bata,
Rooth jaye tu agar, khud ko manaaon kis tarah,

Dekh ker sotey mmain us ko pyaar aata hai mujhe,
Main bhala soyi huyi qismat kop jagaaon kis tarah,

Woh kabhi rothaa hai na main ne manaya hai usey,
Aaj kyon rothaa hai woh, us ko manaaon kis tarah,

Manta hai jo meri har baat, har zid, har lagan,
Us wafaa paikar se saaqi, rooth jaaon kis tarah..

Friday, November 25, 2005

Dil to mera udas hai nasir

Dil to mera udas hai nasir
Sheher kion saen saen karta hai

zikr e shab e faraq se wahshat use bhi thi

zikr e shab e faraq se wahshat use bhi thi
mere tarah kisi se muhabat use bhi thi

muj ko bhi shok tha nae chehron ki deed ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us raat dair tak wo raha mehv e guftago
masrof me bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purane kahanian
taza rafaqaton ki zarorat use bhi thi

muj se bichar k shehar me kal mil gaya wo shaks
hala k shehar se bahir raqabat use bhi thi

wo muj se barh k zabt ka aade tha
warna har aik sans qayamat use bhi thi

Arey hum to aese badnaseeb hain mere dost

Arey hum to aese badnaseeb hain mere dost
Beiche’n agar kafan to log marna hi chorr dein

Kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam

Kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam
Gilaa hai jo bhi kisi se woh tere sabab se hai

Thursday, November 24, 2005

sub balain taal saktee hain duain

sub balain taal saktee hain duain , kar duaa
haath phailaa dastaras main hain fizain kar duaa

hud say apni barh gaya aur ki sitam ki intehaa
dekh ab us ki karamat aur atain kar duaa

dil dukhaya kis qader ho ga khalaq ka yaad kar
bud duaa ki bhi palat-tee hain sadain kar duaa

waqt ab bhi pas hai , taib hi ho lay kuj adaa
rub jo chahay khatm kar day sub sazain kar duaa

ghair kay agay sadaa kartaa raha ab rub say kar
girgirra to bakhsh day ga sub khatain kar duaa

dekh azhar teree janib chal parain gi khud bakhud
rab karam kar day mukhalif sub hawain kar duaa

Mout Par Bhi Ha_i Yaqeen, Unn Par Bhi Aetebar Ha_i

Mout Par Bhi Ha_i Yaqeen, Unn Par Bhi Aetebar Ha_i
Daikhtey Hai_n Pehle_y Kon Aata Hai, Donon Ka Inteza_r Hai

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah
Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah

Main Sochta Hun Wo Kaise Bichar Gayi Mujhse ?
Jo Dhoop Me Milti Thi Mujhe Baadalon Ki Tarah

Ajeeb Larki Thi Hawaaon Se Dushmani Le Kar
Woh Rait Per Likhti Thi Mera Naam Paaglon Ki Tarah

Wo Chahaton Ki Mukammal Kitaab Thi Yaaro
Mujhe Fasana Sunati Thi Shaairon Ki Tarah

Main usy choor to sakta hon per chor nahi pata

Main usy choor to sakta hon per chor nahi pata
Wo shakhs meri bigri hoi aadat ki trha hai

Wednesday, November 23, 2005

Mujhe Kis Taraf Jaana Hay Kuch Khabar Nahi

Mujhe Kis Taraf Jaana Hay Kuch Khabar Nahi
Mere Raastey Bhi Kho Gaye Meri Muhabbat Ki Tarah

Youn na parhriye kahein kahein se humein

Youn na parhriye kahein kahein se humein
Hum bhi insaan hain koi kitaab nahin

Kabhi mom ban k pighal gya,

Kabhi mom ban k pighal gya,
Kabhi girte girte sambhal gya,

Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,

Kabhi tarap utha meri aah se,
Kabhi ashk se na pighal ska.!

Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya,

Wo utar gaya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.

Wo chala gya jaha chor k,
Main wahan se phir na palat ska.

Wo to sambhl gaya Mujhe chor k,
Main bikhar k phir na simat saka?

Harf-e-aaghaz bhi too

Harf-e-aaghaz bhi too
Harf-e-anjaam bhi too

Meri hr subh bhi too
Meri hr shaam bhi too

Meri aawaz bhi too
Mera ilhaam bhi too

Meri pehchan bhi too
Aur mera naam bhi too

Tuesday, November 22, 2005

JUDAI Kaam Apna Kr Gai Hai

JUDAI Kaam Apna Kr Gai Hai...
Tujhe Paany Ki Hasrat ___ Mar Gai Hai.

Hamein Ehbaab Ki Lambi Qataroon Se Nahi Matlab..

Hamein Ehbaab Ki Lambi Qataroon Se Nahi Matlab..
Koi Dil Se Hamara Ho To Ik Shakhs Hi Kafi Hai….!

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin,
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi..

Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”

Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…

Muhabbaton me ajab hai dilon ka dharka sa

Muhabbaton me ajab hai dilon ka dharka sa,
K jane kon kahan rasta badal jae

Monday, November 21, 2005

Troubles as light as Air,

Troubles as light as Air,
love as deep as Ocean,
Friends as Solid as Diamonds,
and Success as bright as Gold...
These are the wishes for you and your family on the eve of Diwali and EID. Eid ki Mubarakbadi aur Diwali ki Shubhkamana!

Mohabbat Jeet Hoti Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai
Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se
Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai
Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai
Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai
Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai
Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati

khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista

khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista
kiya jata hai pani main safar ahista ahista

koi zanjir phir wapas wahin par le k ati hai
kathin ho rah to chutata hai ghar ahista ahista

badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai
k thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista

khalish k sath is dil se na meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai magar ahista ahista

hua hai sarkashi main phul ka apna ziyan, dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar ahista ahista

meri shola mizaji ko wo jangal kaise ras aye
hawa bhi sans leti ho jidhar ahista ahista

Bhari mehfil main uth kar, teri nigah ne

Bhari mehfil main uth kar, teri nigah ne,
Kisi ka haal bigara, to kisi ka mustaqbi

Sunday, November 20, 2005

Woh aatey hain to dil man ik kassak si mehsoos hoti hai

Woh aatey hain to dil man ik kassak si mehsoos hoti hai
Main dartaa hoon kahin iss ko mohabbat to naheen kehtey

-Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana,

-Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana,
Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana,

Mushkile To Beshumar Aayengi,
Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana,

Ishq Ki Intiha Nahi Hoti,
Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana,

Zindagi Dard Se Ibarat Hai,
Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana,

Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai,
Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana..!!!

Maana ke Marne Walon ko Bhula Dete Hain Sabhi

Maana ke Marne Walon ko Bhula Dete Hain Sabhi
Zinda ko BhoOl kr Tum ne to Riwayat he Badal di

Hontoon Per Muskurahat – Urdu Dard Shayari

Hontoon Per Muskurahat – Urdu Dard Shayari

Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain

milo in dinon hamse ik rat jani

milo in dinon hamse ik rat jani
kahan ham, kahan tum, kahan phir jawani

shikayat karun hun to sone lage hai
meri sar-guzisht ab hui hai kahani

ada khinch sakta hai bahzad us ki
khinche surat aisi to ye hamne mani
mulaqat hoti hai to hai kash-ma-kash se
yahi ham se hai jab na tab khincha tani

Is Sy Pehly K EidulFitr Ki Shaam Ho

Is Sy Pehly K EidulFitr Ki Shaam Ho
Jay,
Mera Sms Oroon Ki Tarah Aam Ho Jay,
Saary Network Jaam Ho
Jaayein,
Or EidulFitr Wish Krna Aam Ho
Jaye,
So Advance
¤EidulFitr Mubark¤

Saturday, November 19, 2005

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain

Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain

Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain

Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain

Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain

Na jago raat bhar ‘MOHSIN’ meri mano to soo jao

Na jago raat bhar ‘MOHSIN’ meri mano to soo jao
Ye ‘Khawabidah Nazr’ phir kal kisi ko maar Daly ge

Friday, November 18, 2005

December Ka Maheena B Mgr Jaany Ko Hai Lekin

December Ka Maheena B Mgr Jaany Ko Hai Lekin
Koi Waada He Kr Daalo... Agr Tum Aa Nahi Skty Ho

Aahan ki surkh taal pe hum raqs kar gaye

Aahan ki surkh taal pe hum raqs kar gaye
taqdeer teri chaal pe hum raqs kar gaye

Panchhi banay to rafat e aflaak pe ham urday
ahl e zameen kay haal pe hum raqs kar gaye

Kanton say ahtijaaj kia hay kuch is tarah
gulshan ki daal daal pe ham raqs kar gaye

Waa,iz! faraib e shaoq nay hum ko lubhaya
firdaos kay khayal pe ham raqs kar gayay

Har atbaar husn e nazar say guzar gaye
har halqa haay jaal pe hum raqs kar gaye

Manga bhi kia to qatra e chashm tarfaat
Saghar teray sawaal pe hum raqs kar gaye

ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota

ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota

na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hota koi yar yar hota

ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota

tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

Thursday, November 17, 2005

Wednesday, November 16, 2005

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?

Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?

Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?

Tum jawani ki kash'maksh me kahaan bhool gye

Tum jawani ki kash'maksh me kahaan bhool gye
Wo jo masoom shararat thi haya se pehle

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski

Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski

Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski

Jo meri Aankh ke Rastay meray DiL tak pohancha,

Jo meri Aankh ke Rastay meray DiL tak pohancha,
Wo Mahaajir to Hukumat pay utar aaya Hai…. :(

Tu chaly saath to aahat b na aye apni

Tu chaly saath to aahat b na aye apni
darmiyaan hum b na hon... yon tujhe tanha chahain

PYAR means

PYAR means....
P = Phone karna..
Y = Yaad karna..
A = Azadi khona..
R = Rote rehna, k kaash phone aaye!!
Unko hamari yaad aaye..So don't PYAR.

Tuesday, November 15, 2005

Wakt jaise theher gya hai yehin,

Wakt jaise theher gya hai yehin,
har taraf aik ajab udasi hai
beqarari ka aik aesa alam hai
jism tanha hai rooh pyasi hai

Monday, November 14, 2005

Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barange panchi thy

Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barange panchi thy,
Kuch mah-o-sal ki janat mei Maa hm dono b sanjhi thy,…
Mai chota sa ik bcha tha, teri ungli tham k chalta tha,
Tu dour nzr se hoti thi mai ansu ansu rota tha,
ik khwabon ka roshan basta tu roz mujhe pehnati thi,
…Jb drta tha mai raton ko tu apne sath sulati thi,
Maa tuny kitne barson tk is phol ko sencha hathon se,
Zindagi k gehre bhedon ko mai smjha teri baton se,
Mai tere hath k takiye pr ab b rat ko sota hon,
Maa mai ik chota sa bcha hon teri yad mei ab b rota hon.

Pehle gham-e-furqat ke yeh taiver to nahin they

Pehle gham-e-furqat ke yeh taiver to nahin they
Rag rag mein utarti huyi tanhai to ab hai

Suno Keh Do k Kab Se Muntazir Hain Hum

Suno

Keh Do
k Kab Se Muntazir Hain Hum
Tumhary Chand Lafzoon k
Ajab Ik KashMakash Mein Hain
Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do
Ya Phir Azad Kar Do
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Jazba Koi b Ho
Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay

Suno

Ab Bol b Do
Wagarna Yeh Moka
Hathoon Se Kho Baithy
To Pachtao Ge
Chalo Ab Keh b Do Hum Se
Karo Ab Tum Humy Saraab
Apny Lafzoon Ki Barish Se

Suno

Hum Muntazir Hain

Sunday, November 13, 2005

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ?.

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ?.
Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi ?.

Na Jany Kio Sabi Shak Kertay Hain Muj Par ?.
Jab Sukha Gulaab Meri Kitabun Main Milta Hi Nahi ?.

Kashish Tu Bohat Thi Meray Piyar Main ?.
Magar Kiya Keru Koi Pathar Dil Piglta Hi Nahi ?.

Ager Khuda Milay Tu Us Se Apna Piyar Mangun Ga ?.
Par Suna Hay Wo Marney Se Pehlay Kisi Se Milta Hi Nahi ?.

Baatil K Saamne Jo Jhukaye Na Apna Sir

Baatil K Saamne Jo Jhukaye Na Apna Sir
Samjho K Us K Zehan Ka Malik Hussain Hai

Us k hath ka khilona he sahi khush hoon may

Us k hath ka khilona he sahi khush hoon may..
Kuch dair k lye he sahi mujhe chahta to hai..

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..

khch dair to man ko chain mile
khcuh roz to man k phool khilain…

kehte hian eid ki amad hai
ab log khch takeed karain

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khahish hai…

aik bar milo aik bar milo
her bar yehi takeed karain…

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

mana k hum dewane hain
sub bato se anjane hain

jub apne hi begane hain
kia gero se umeed karain

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

Jab shaam kay bheegay saye hon

Jab shaam kay bheegay saye hon
Koi ghar janey kee bat karey
Hum ko kyun aisaa lagtaa hay
Kaash apnaa bhee ek ghar hotaa

Us apnay ghar kay aangan main
Kayee piyaar kay deep jalatey hum
Yaa phir ban kar, jaisey shabnam
Ek piyaar kaa pair ugatey hum
Yaa us kee chat ko jaan gagan
Chandaa taron say sajatey hum
Phir lait kar apney bister main
Aur khol kar apnee aankhon ko
Kitney hee khawaab Dikhatey hum

Par aisaa to ab kuch bhee nahee
Naa tum ho naa woh aangan hay
Sarey mausam ab phagan hain
Hain sard hawaain zard shajar
Naa chaand hay naa tarey hain
Har soo chaya andhiaaraa magar
Tairee yaad kaa sooraj niklaa hay !!!

Woh sooraj, dhaltee shaam aur main
Yun sar ko jhukaayee baithey hain
Tairee yadain, batain, piyaar, woh sab
Seenay say lagae baithey hain

FAISAL tum hee ab batlaao
Jab tanhaa katna ho yeh safar
Koi jaye phir kyun apney ghar
Jahan apnaa koi naa rahtaa ho

jab tera hukm mila tark muhabbat kar di

jab tera hukm mila tark muhabbat kar di
dil magar is pe wo dharka k qayamat kar di

tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta
lafz sujha to mani ne bagavat kar di

main to samjha tha ki laut ate hain jane wale
tune jakar to judai meri qismat kar di

mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar ata hai
teri ulfat ne muhabbat meri adat kar di

puch baitha hun main tujh se tere kuche ka pata
teri halat ne kaisi teri surat kar di

Friday, November 11, 2005

iss se pehle keh yeh dunia mujhy rusva kar day

iss se pehle keh yeh dunia mujhy rusva kar day
TU mery jism,meri rooh ko acha kar day

yeh jo haalat hai meri, mein ne banai hai magar
jesa TU chaahta hai, ab mujhy veysa kar day

mery har faisly mein TERI raza shaamil ho
jo TERA hukam ho,wo mera iraada kar day

mujh ko wo ilm sikha,jis se ujaaly phelain
mujh ko wo ism parha,jo mujhy zinda kar day

zaya hony sy bacha le,mery ma’abood mujhy
yeh na ho, waqt mujhy kheyl tamasha kar day

Phir us ke jaatey hi yeh dil sunsaan ho kar reh geya,

Phir us ke jaatey hi yeh dil sunsaan ho kar reh geya,
Achaa bhala ik sheher tha veeraan ho kar reh geya,

Rut ne mere chaaron taraf kheenchey hisaar baam-o-dar,
Yeh sheher phir mere liye zindaaan* ho kar reh geya,

Kuch din mujhe awaz di logon ne us ke naam se,
Phir sheher bhar main woh meri pehchaan ho ker reh geya,

Ik khawab ho kar reh gayin gulshan se apni nisbtain,
Dil raizaa raizaa kaanch ka guldaan ho kar reh geya..

Thursday, November 10, 2005

Hindi Janamdin Mubarak Shayari

Hindi Janamdin Mubarak Shayari

Agar yaad tumko na rahe apna janmadin
Check karte rahna yunhi apne mobile ka inbox hardin
Main kabhi na bhulunga apne yaar ka janmdin
Chahe woh ho mera akhri din
Aapko jaroor mera yeh msg. milega
Jispe likha hoga “mubarak ho aapko aapka jamdin”

Ab Maayos Q Ho Us Ki Bewafai Pe Dost?

Ab Maayos Q Ho Us Ki Bewafai Pe Dost?
Tum Khud Hi To Kehte The K Wo Sab Se Juda Hai..

Wednesday, November 9, 2005

Tuesday, November 8, 2005

Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi

Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi
Kia wasf us shair mein tha,kia baat us pagal mein thi

Aisa sitam kia ho gaya,ek raahro tha,kho gaya
Phir zindagi ki sham thi aur sham bhi jungle mein thi

Ki kia hua,chalti rahi yeh lo magar jalti rahi
Kia zor us andhi mein tha,kia taab us mashal mein thi

Shola ba dil,aatish bajaan phirta raha woh be-amaan
Warna saba zulfon mein thi,warna ghata kajal mein thi

Tarsi hui ankhon mein,kin kin sahilon ke khwab thay

Par kashti-e-umr-e-rawaan haalaat ki daldal mein thi
Khil’att ne awaaze kasey,taane diye,fatwe jarre


Woh sakht jaan hansta raha,go khud kushi pal pal mein thi
Apni kasheed-e-jaan se hi peeta raha,jeeta raha

Nasha kahan saghar mein tha,masti kahan bottle mein thi

Dil Bana To Deewane Bane

Dil Bana To Deewane Bane
Sharab Bani To Mekhane Bane
Kuch To Baat Hai Ap Mein Bhi
Yoonhi To Nahi PAGAL Khane Bane

Patta Girrey Shajarr Se To Larza Hamein Ho Kion

Patta Girrey Shajarr Se To Larza Hamein Ho Kion
Girton K Sath Girney Ka Khatka Hamein Ho Kion

Qaroon Hain Jo Zarr Ki Tawaquo Ho Un Se Kia
Aison Pe Iss Qabeel Ka Dhoka Hamein Ho Kion

Befaiz Rehbron Se Murratab Jo Ho Chali
Ahwal Ki Wo Shakl, Gawara Hamein Ho Kion

Milti Hai Kajjraon Ko Nafaz e Sitam Pe Jo
Aisi Saza Ka Ho Bhi To Khadsha Hamein Ho Kion

Rakhein Namo Ki Aas Bhalla Kion Chattan Se
Aison Se Iss Tarah Ka Taqazaa Hamein Ho Kion

Hm Hain Phuar Abr Ki, Buchar Ham Nahin
Sakhti Karein Kissi Pe, Ye Yara, Hamein Ho Kion

Beeja Hai Jo Uggey Ga Na Wo, Kasht e Khair Mein
Majid Gumman Jo Ho Bhi To Aisa Hamein Ho Kion

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,

Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,

Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,

Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,

Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,

Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono..

Monday, November 7, 2005

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,
Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain..

Sada haste raho jaise haste hain phool

Sada haste raho jaise haste hain phool,
Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet,
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe…MUBARAK ho EID.

Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par

Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par
Kashti ki Qasam,Mojon ki Qasam,Saahil pe Hamara koi nahi

Sunday, November 6, 2005

Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!

Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya.
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya

Ghar ka darwaza khula rakha hai

Ghar ka darwaza khula rakha hai
Waqt mil jaye to zehmat krna

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Ab Iqraar Karta Hoon
Bahut Pehlay Jo Karna Tha
Woh Ab Izhaar Karta Hoon

Bahut Chaaha Tha Ban Jaoo’n
Kabhi Saaya Tumhara Main
Tumhari Aankh Mein Chamkoo’n
Kabhi Ban Ke Sitaara Main

Koi Jazbaa He Ban Jaoo’n
Tumharay Dil Mein Pal Jaoo’n
Adaa Ho Jaoo’n Honto’n Se
Naye Lafzo’n Mein Dhal Jaoo’n

Hawaa Ka Jhau’nka Ban Jaoo’n
Tumhari Zulf Se Khailoo’n
Tumhain De Kar Khushi Apni
Tumharay Saaray Gham Le Loo’n

Kabhi Jo Muskura Do Tum
Hansi Meri Bhi Khil Jaaye
Meri Khush-Rung Socho’n Ko
Tumhara Saath Mil Jaaye

Kabhi Jo Khwab Dekho Tum
Merii Soorat Nazar Aaye
Tumhain Na Dekh Paoo’n Main
Kabhi Na Woh Sahar Aaye

Mukhaatib Kar Ke Main Tum Ko
Na Kuch Bhi Yaar Likhoo’n Ga
Magar Jo Ab Ke Likhoo’n Ga
Faqat Ik Baar Likhoo’n Ga

“Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Kab Inkaar Karta Hoon,
Magar Sun Meri Jaa’n! Abb Bhi
Main Tujh Se Pyaar Karta Hoon”

Tujhe yaad karte hain har sans k bad

Tujhe yaad karte hain har sans k bad
Kabhi subh se pehle kabi sham k bad
Kabhi milo to kuch karen batein
Ek jam se pehle ek jam ke bad
Dil ki dewaron pe tera nam likte hain
Kabhi fursat mein kabhi kaam ke bad
Mere marne k bad b log tujhe pukarenge
Kabhi mere naam se pehle kabhi mere naam k bad

Friday, November 4, 2005

Thursday, November 3, 2005

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!

Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!

Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,

Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!

Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

Ham itnay haseen to nahi magr ye dava hai

Ham itnay haseen to nahi magr ye dava hai
~;DØST;~
jisay aankh bhar k dekh len usay uljhan main daal detay hain..

Sardars lookin at an Egyptian mummy

2 Sardars lookin at an Egyptian mummy.

Sardar1:Look so many bandages,
pakka truck accident case hai.

Sardar2: Aaho,
truck number bhi likha hay, BC-1760

Tuesday, November 1, 2005