Sunday, November 6, 2005

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Ab Iqraar Karta Hoon
Bahut Pehlay Jo Karna Tha
Woh Ab Izhaar Karta Hoon

Bahut Chaaha Tha Ban Jaoo’n
Kabhi Saaya Tumhara Main
Tumhari Aankh Mein Chamkoo’n
Kabhi Ban Ke Sitaara Main

Koi Jazbaa He Ban Jaoo’n
Tumharay Dil Mein Pal Jaoo’n
Adaa Ho Jaoo’n Honto’n Se
Naye Lafzo’n Mein Dhal Jaoo’n

Hawaa Ka Jhau’nka Ban Jaoo’n
Tumhari Zulf Se Khailoo’n
Tumhain De Kar Khushi Apni
Tumharay Saaray Gham Le Loo’n

Kabhi Jo Muskura Do Tum
Hansi Meri Bhi Khil Jaaye
Meri Khush-Rung Socho’n Ko
Tumhara Saath Mil Jaaye

Kabhi Jo Khwab Dekho Tum
Merii Soorat Nazar Aaye
Tumhain Na Dekh Paoo’n Main
Kabhi Na Woh Sahar Aaye

Mukhaatib Kar Ke Main Tum Ko
Na Kuch Bhi Yaar Likhoo’n Ga
Magar Jo Ab Ke Likhoo’n Ga
Faqat Ik Baar Likhoo’n Ga

“Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Kab Inkaar Karta Hoon,
Magar Sun Meri Jaa’n! Abb Bhi
Main Tujh Se Pyaar Karta Hoon”

No comments:

Post a Comment