zikr e shab e faraq se wahshat use bhi thi
mere tarah kisi se muhabat use bhi thi
muj ko bhi shok tha nae chehron ki deed ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us raat dair tak wo raha mehv e guftago
masrof me bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purane kahanian
taza rafaqaton ki zarorat use bhi thi
muj se bichar k shehar me kal mil gaya wo shaks
hala k shehar se bahir raqabat use bhi thi
wo muj se barh k zabt ka aade tha
warna har aik sans qayamat use bhi thi
No comments:
Post a Comment