Thursday, August 1, 2013

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain
Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain

Main dhoondta phirta hon jisay koocha ba koocha
Iss naam k insaan yahan aam bohat hain

Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan aisay
Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain

Taareef kron teri mohobat ke zaban main
Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain

Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan saiy
Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain

Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat
Keh dau k siwa wasl k anjaam bohat hain

Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha
Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain

Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib
Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain

No comments:

Post a Comment