Sunday, July 7, 2013

Mohabat sirf visal-e-sanam kab hai

Mohabat sirf visal-e-sanam kab hai

is k hazaroon roop rang hain

ye har rang main muskurati hai

Rooty bachy ko chup karna b Mohabat hai

door kisi gareeb k ghar main

band choolha jalana b mohabat hai

jo har eid per nae kapron ko tarsty hain

os masoom bachon ko nae jory zaiz tan krwana

bhi Mohabat hai

wo jin k ansoo ponchny waly nahi rahy

un ki mayoosiyan mitana hi mohabat hai

tTu bhaly gam se choor choor Ae Dil

logon kgam dil pe lena bhi mohabat hai

main to shayer hon

karon mohabat ko kesy bayan??

jo de nafrat, ata Mohabat karo,

shayad yehi mohabat hai…

No comments:

Post a Comment