Monday, July 8, 2013

Khawab Posh Aankhon Mein,

Khawab Posh Aankhon Mein,
Aansuon Ka Bhar Jana,

Hasraton K Saahil Per,
Titliyon Ka Marr Jana…

Habs Ki Hawaon Mein,
Khushbuon Ka Darr Jana…

Dil K Garm Sehra Mein,
Hashar ka Bapa Hona…

Dard La-Dawa Hona,
Kya Bohot Zaroori Hai?,
Ab Tera Juda Hona…!!!!

No comments:

Post a Comment