Wednesday, July 10, 2013

inhi khush gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao

inhi khush gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao
wo jo chaaragar nehi hei usse zakhm kyun dikhao?

ye udaasiyon ke mausam kahin rayegaan na jayen
kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao

wo kahaniyaan adhuuri jo na ho sakengi puuri
unhe main bhi kyun sunaun unhe tum bhi kyun sunao?

mere humsafar puurane mere ab bhi muntazir hein
tumhe saath chhorna hei to abhi se chor jao

ye judaiyon ke raste bari duur tak gaye hein
jo gaya wo phir na laota meri baat maan jao

kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak?
jo tumhe bhula chuka hei usse tum bhi bhuul jao

No comments:

Post a Comment