Thursday, July 25, 2013

hoti hai agarche kahne se yaron parai bat

hoti hai agarche kahne se yaron parai bat
par ham se to thami na kabhu munh pe ai bat

kahte the us se milte to kya-kya na kahte lekin
wo a gaya to samne us k na ai bat

bul-bul k bolne main sab andaz hain mere
poshida kya rahi hai kisu ki urai bat

ik din kaha tha ye k khamoshi main hai waqar
so mujh se hi sukhan nahin main jo batai bat

ab mujh zaif-o-zar ko mat kuch kaha karo
jati nahin hai mujh se kisu ki uthai bat

No comments:

Post a Comment