Hay justajoo keh khoob say hay khoob tar kahan
ab therti hay dekhyay jakar nazar kahan
Ya RUB is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha usko ham say rabt magar is qadar kahan
Aek umr chahyay keh gawara ho nesh e umr
rakhti hay aaj lazzat zakh e jigar kahan
Ham jis pe mar rahay hen woh hay baat hi kuch aur
aalam mein tujh say lakh sahi too magar kahan
Hoti nahi qubool duaa tark e ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
HALI nishat e naghma o may dhodhtay raho ab
aayay ho waqt e subh, rahay raat bhar kahan
No comments:
Post a Comment