Monday, January 28, 2013

tumhen jafa se na yun baz ana chahiye tha

tumhen jafa se na yun baz ana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha

tawil rat k pahlu main kab se soi hai
nawid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha

bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
k kaun dube kinhen dub jana chahiye tha

bujhe chiragon main kitne hain jo jale hi nahin
sawad-e-waqt inhen jagmagana chahiye tha

ajab na tha k qafas sath leke ur jate
tarapna chahiye tha pharpharana chahiye tha

ye meri har k kar-e-janan se hara magar
bicharne wale tujhe yad ana chahiye tha

taman umr ki asurdagi-e-wasl k bad
firaq akhiri dhoka tha khana chahiye tha

No comments:

Post a Comment