Thursday, January 17, 2013

Na janey kyon aaj bhi yeh ehsaas hota hai

Na janey kyon aaj bhi yeh ehsaas hota hai
Tu saath nahin, phir bhi paas hota hai

Jo dil-e-sheher aik baar barbaar ho jaye
Mudatton baad woh phir se abaad hota hai

Kabhi yoon bhi hota hai ke jise apna samjha jaye
Waqt aaney per woh shakhs hi paraya hota hai

Tu chala jata hai jab bhi chorr kar mujhe
Dil ke koney ke, Tu kahin paas hota hai

Pagal ko samajhne ke liye zarourat nahin hain hawalon ki
Bass ek lafz “Mohabbat” hi kaafi hota hai

Aankhon se behte huye samandar ko paani na samaj
Yaad karte huye tujhe, Meri ankhon mein lahuu hota hai

Lot’te nahin hain dobara jo ek baar chale jate hain
Magar phir bhi duayon ki umeed mein tu hi aas hota hai

Tere siwaa mere kaano ko koi sadaa pasand nahin ati
Bas ek tu hi meri dharkan ki awaz hota hai

Bhattak jata hoon mein jab bhi ghamon ke saye mein
Dilaasey ke liye mere pass teri yaad ka jugnu hota hai

Hamare naseeb mein kahan hai tujse milna
Hamare liye to khawb ka jahan hi haqeeqat hota hai

Raat kitni hi taweeel kyon na ho jaye Hussnain
Aik na aik din zaroor sawera hota hai

No comments:

Post a Comment