Friday, November 16, 2012

taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile

taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile

apni gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile

saqi gari k sharm karo aj warna ham
har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile

tujh se to kuch kalm nahi lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile

tum ko bhi ham dikhain k majnun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile

lazim nahi k khizr ki ham pairwi karen
mana k ek buzurg hamein ham safar mile

ae saknan-e-kucha-e-dildar dekhna
tum ko kahin jo Ghalib-e-ashufta sar mile

No comments:

Post a Comment