Friday, November 2, 2012

Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,

Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,
Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain,

Khabar hai khushi ik siraab nazar hai,
Nahin ab miley gi, magar dhoondtey hain,

Jahan barishon ne ujaarri hai basti,
Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain,

Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko,
Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain,

Laraztey huye meri palkon pe aansuu,
Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain,

Mohabbat hai parwaaz se un ko Bushra,
Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain.

No comments:

Post a Comment