Saturday, April 21, 2012

Marney ki duain kiyon mangon jeeney ki tamanna kon karey

Marney ki duain kiyon mangon jeeney ki tamanna kon karey,
Ye uniya ho ya wo duniya ab khwahish e duniya kon karey,

Jab khashti sabit o salim thi sahil ki tamanna kis ko thi,
Ab esi shakista kashti par sahil ki tamanna kon karey,

Jo aag lagai thi tum ney us aag ko to bujhaya askhon ney,
Jo ashkon ney bharkai hai is aag ko thanda kon karey,

Duniya ney humien chora jazbi hum chor na dien kiyon duniya ko,
Duniya ko samajh kar bethey hain ab duniya duniya kon karey.

No comments:

Post a Comment