Monday, December 5, 2011

ab jo bikhray tau bikharnay ki shikayat kaisi

ab jo bikhray tau bikharnay ki shikayat kaisi
khusk patton ki hawaun say rafaqat kaisi

main is daur k insaan say mhabat ki hay
jurm sangeen hay tau phr is may riyaayat kaisi

rukh na kisi aur taraf,roo e sukhan k bs meri taraf
ye muhabbat may meri jaan siyasat kaisi

aik patta bhi agar shakh say hota hay juda
kya kahin dil pay guzarti hay qayamayt kaisi

xindagi tujh ko lamho ka safar kehtay hain
tau rah may aa gaye ye sadiyon ki musafat kaisi…!!

No comments:

Post a Comment