Saturday, September 24, 2011

lazim tha k dekho mera rasta koi din aur

lazim tha k dekho mera rasta koi din aur
tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur

mit jayega sar, gar tera paththar na ghisega
hun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur

aye ho kal aur aj hi kahte ho k jaun
mana k hamesha nahi acha koi din aur

jate hue kahte ho qayamat ko milenge
kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur

han ae falak-e-pir, jawan tha abhi arif
kya tera bigarta jo na marta koi din aur

tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar k
phir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur

tum kaun se aise the khare dad-o-sitad k
karta malikulmaut taqaza koi din aur

mujhse tumhen nafrat sahi, nayyar se ladai
bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur

guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhush
karna tha jawanmarg! guzara koi din aur

nadan ho jo kahte ho k kyon jite ho 'Ghalib'
qismat main hai marne ki tamanna koi din aur

No comments:

Post a Comment