Tuesday, July 12, 2011

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha
K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha

Tamam hasratain, har ik sawaal dafan kar chukay
Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha

Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee
Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha

In aatay jaatay roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar
Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha

Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay
Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha

Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum
Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha

Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko
Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha

Zara si baat se dilon mein itna farq aa gaya
Taalluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha

No comments:

Post a Comment