Sunday, July 10, 2011

dhum thi apni parsai ki

dhum thi apni parsai ki
ki bhi aur kis se ashnai ki

kyon barhte ho ikhtilat bahut
ham mein taqat nahin judai ki

munh kahan tak chupaoge ham se
ham ko adat hai khudnumai ki

lag mein hai lagw ki baten
sulah mein cher hai larai ki

dil bhi pahlu mein ho to yan
kis se rakhiye ummid dil-rubai ki

na mila koi garat-e-iman
rah gai sharm parsai ki

maut ki tarah jis se darte the
saat a pahunchi us judai ki

zinda phirne ki hai hawas "Hali"
intaha hai ye behayai ki

No comments:

Post a Comment