Saturday, July 30, 2011

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar
Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum

Hum ne jonhi kar liya mehsus manzil hai qareeb
Raste khone lagate hain main mohabbat aur tum

Chaand ki kirnon ne hum ko is tarah bosa dia
Devta hone lage hain main mohabbat aur tum

Dhar gea ilzam jab se apni hurmat par koi
Barshen dhone lage hain main mohabbat aur tum

Aaj phir mehromiyon ki dastanen orh kar
Khak main sone lage hain main mohabbat aur tum

Kho gae andaz bhi awaz bhi ilfaz bhi
Khamashi dhone lage hain main mohabbat aur tum

No comments:

Post a Comment