Monday, November 29, 2010

asar usko zara nahin hota

asar usko zara nahin hota
ranj rahat faza nahin hota

tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya main kya nahin hota

narasai se dam ruk to ruk
main kisi se khafa nahin hota

tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota

hal-e-dil yar ko likhun kyon kar
hath dil se juda nahin hota

kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin'
sanam akhir Khuda nahin hota

No comments:

Post a Comment