Friday, October 29, 2010

Jab koi naik kaam karte hain,

Jab koi naik kaam karte hain,
Jaane man tere naam karte hain,

Tere chehre se dhoop lete hain,
Teri zulfon mein shaam karte hain,

Kis qadar tang hoon mohabbat se,
Log yeh kese kaam karte hain,

Un ki peshaaniyan chamakti hain,
Jo mohabbat ko aam karte hain,

Dil ke dalaa’n mein sajaa kar yaad,
Jashan ka ehtamaam karte hain,

Sochte hain tujhe wuzzu kar ke,
Yu’n tera ehtraam karte hain,

Hum se hi ibtidaa huyi jana’n,
Hum hi ab ehtamaam karte hain..

No comments:

Post a Comment