Wednesday, September 29, 2010

Mohabbatain jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna

Mohabbatain jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna
Mere hissey mein jo ayi hain woh aziyatain bhi shumaar karna

Jalaye rakhon gi subah tak tumhare raston pe mein aankhain
Magar kahin zabt toot jaye to barishain bhi shumaar karna

Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharkan baraf ho gayi hai
Jab in ki wa-bastagi parkhna, to namaazain bhi shumaar karna

Tum apni majbooriyon ke kissay zaroor likhna wazahton se
Jo meri ankhon mein jal bhuji hain, woh khawhishen bhi shumar karna

No comments:

Post a Comment