Friday, September 24, 2010

Lagi thi aag is dil me bujha letey to acha tha

Lagi thi aag is dil me bujha letey to acha tha,
Humien tum apni bahon me chupa letey to acha tha,

Wo bazm e naz thi us ki wo merey rubro bhi tha,
Fasana hum bhi ulfat ka suna letey to acha tha,

Ye mosam zulm dhaye to khayal ata hai reh reh kar,
Koi khwabon ka manzar hi bana letey to acha tha,

Yonhi anchal ki dniya sey guzartey hum hawaon sa,
Ye qaid o band ki bandish utha letey to acha tha,

Kati hai umar qismat kay sitaron ko milaney me,
Kisi kay dil sey apna dil mila letey to acha tha,

Humien shehar e mohabbat ka safar darpesh hai jana,
Kisi totey hoye dil ki dua letey to acha tha,

Hai jis kay rothney sey zindagi rothi hoi hum sey,
Agar us bewafa ko hum mana letey to acha tha.

No comments:

Post a Comment