Saturday, May 8, 2010

ek tuti hui zanjir ki fariyad hain hum

ek tuti hui zanjir ki fariyad hain hum
aur duniya ye samajhati hai ki aazad hain hum
kyon hamen log samajhate hain yahan paradesi
ik muddat se isi shahar mein aabad hain hum
kahe ka tark-e-vatan kahe ki hijarat baba
isi dharti ki isi desh ki aulad hain hum
hum bhi tamir-e-vatan mein hain barabar ki sharik
dar-o-divar agar tum ho to buniyad hain hum
hum ko is daur-e-taraqqi ne diya kya “meraj”
kal bhi barbad the aur aj bhi barbad hain hum

No comments:

Post a Comment