Monday, May 31, 2010

Zaad e raah is lie bhandha hai k ye daikh saken

Zaad e raah is lie bhandha hai k ye daikh saken
Kaise lagte hain tujhe chor k jate hoe ham

Ye peena pilana nahi jantey hain

Ye peena pilana nahi jantey hain
Ye kohna ye paana kahaN sochtey hain

Rehay dair tak kiyun piyasey wahaN per
Ye saqi teri hum khata pochtey hain

kahaN tak bacho ge qaza se bataao
saza ke farishtey tumhey dhoondtey hain

ye maqtal saja kar kahaN gum gaye ho
raho tum salamat dua maangtey hain

guloN ka ye mousam gurezaN raha hai
wajah kia rehi sub yahan pochtey hain

Saturday, May 29, 2010

garmi-e-shauq-e-nazzara ka asar to dekho

garmi-e-shauq-e-nazzara ka asar to dekho
gul khile jate hain wo saya-e-dar to dekho
aise nadan to na the jan se guzaranevale
nasiho, rahabar-o-rahaguzar to dekho
wo to wo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhase
ek nazar tum mera mahabub-e-nazar to dekho
wo jo ab chak gareban bhi nahi karte hain
dekhanevalo kabhi un ka jigar to dekho
daman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
aao ek din dil-e-purakhun ka hunar to dekho
subah ke tarah jhamakata hai shab-e-gam ka ufaq
“faiz” tabindagi-e-dida-e-tar to dekho

E I D //MUBARAKAap soch rahe hon gay abi eid ko ek din ha, Lekin

//////// E I D //MUBARAKAap soch rahe hon gay abi eid ko ek din ha,
Lekin
Ya
To
Socho
Hamara sms jis ko mil jata hai samjho us ki to eid ho gai
So
//////// E I D //MUBARAK

Know the true value of time

Know the true value of time;
snatch, seize, and enjoy every moment of it.
No idleness, no delay, no procrastination;
never put off till tomorrow what you can do today.

(Earl of Chesterfield)

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota

Friday, May 28, 2010

Lahoo Par Karzz Banti Ja Rahi Hai

Lahoo Par Karzz Banti Ja Rahi Hai
Muhabbat Farzz Banti Ja Rahi Hai....!!

Wohi Phool Best of Two Lines Poetry

Wohi Phool Best of Two Lines Poetry

Koi Aaj Tak Na Badal Sakaa Yeh Usool Gulshan-E-Zeest Ka…
Wohi Phool Nazr-E-Khizaan Hoa Jisy Aitabar-E-Bahaar Tha..

Hum To Mojood The, Raat Mein Ujaloon Ki Tarhaan.

Hum To Mojood The, Raat Mein Ujaloon Ki Tarhaan.
Loog Nikle Hi Nahi, Dhondhne Waaloon Ki Tarhaan

Dil To Kya, Hum Rooh Mein Bhi Utar Jaate
Us Ne Chaha Hi Nahi, Chahne Waaloon Ki Tarhaan

Wo murawwat se mila hai to jhuka don gardan

Wo murawwat se mila hai to jhuka don gardan
Mere dushman ka koi waar na khaali jayE

Thursday, May 27, 2010

nawak andaz jidhar dida-e-janan honge

nawak andaz jidhar dida-e-janan honge
nim-bismil kai honge kai bejan honge

tab-e-nazara nahin aina kya dekhne dun
aur ban jayenge taswir jo hairan honge

tu kahan jayegi kuch apna thikana kar le
ham to kal khwab-e-adam main shab-e-hijran honge

phir bahar ai wahi dasht-e-nawardi hogi
phir wahi paon wahi khar-e-muglan honge

nasiha dil main tu itna to samajh apne k ham
lakh nadan huye kya tujh se bhi nadan honge

ek ham hain k huye aise pasheman k bas
ek wo hain k jinhen chah k arman honge

minnat-e-hazrat-e-isa na uthayenge kabhi
zindagi k liye sharminda-e-ehsan honge

umr to sari kati ishq-e-butan main "Momin"
ab akhiri waqt main kya khak musalaman honge

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi

uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi

waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi

ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi

meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi

ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi

main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi

chor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi

Wednesday, May 26, 2010

According to HADEES

According to HADEES,

Duaon ki qaboliat k auqaat,
1.Farz namaz k baad,
2.Azan or aqamat k darmian,
3.Tahajjud k waqt,
4.Barish barastay waqt,
5.Dauran-e-safar,
6.Iftaar k waqt,
7.Jummay k din ek ghari,
8.Shab-e-qadar main,
9.Zam zam peetay waqt,
10.Arfa k din maidan-e-arfat main,
11.Quran ki tilawat k baad.

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo

Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo

Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo

Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo

Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo

Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo

Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo

Mehakti Hai Teri Aankhen

Mehakti Hai Teri Aankhen
Madhosh Karti Hai Kyo Mujhe
Sagar Se Teri Aankhen
Uns Jagati Hai Mujhme
Takti Mujhe Teri Aankhen
Ishq Ka Jaam Pilaye Mujhe
Teri Aankhen Yeh Teri Aakhen
Deewana Banati Hai Mujhe

Kabhi jo toot ke barsa December

Kabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna, Bohat apna December,

Guzar jata hai sara saal yun to,
Nahin kat’ta magar tanha december,

Bhala barish say kia sairaab hoga,
Tumharay wasl ka piyasa december,

Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin,
Bus itna yaad hai ke tha December,

Jama poonji yehi hai umar bhar ki..
Meri tanhai aur Mera December!

Tuesday, May 25, 2010

Teri Doori Ka – Ehsaas Shayari Sms

Teri Doori Ka – Ehsaas Shayari Sms

Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga
Tere Sath Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga
Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki
Tu Dil Ke Aur Karib Aane Laga

Eid SMS

If My tomorrow never comes

If My tomorrow never comes
I M sorry for all the Things I might have Said
I M sorry for all the Things I did Or didn,T Do
I M sorry if I ever ignored you
I M sorry if I ever made you feel bad Or put you down
I M sorry if I ever thought I was bigger Or better than you
I M sorry for everything wrong I have ever done
I M Writing This becoz if My tomorrow never comes?
If I never get A chance To say sorry then I m sorry.. .. .. .. ..

Roz milne pe bhi lagta tha k jug beyat gae

Roz milne pe bhi lagta tha k jug beyat gae,
Ashak me waqt ka ehsas nahin rehta hai

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,

Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,

Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,

Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kya karna..

I love your daughter.

Teacher says to student, In Algebra
A=B
&
B=C.
It means A=C.

Now give relevant example.
Student: Sir, I love you & You love your daughter,
It means that I love your daughter.

Teri beparda nigahon ka nishana ban k

Teri beparda nigahon ka nishana ban k,
Khud sy jhagra hun buhat tera deewana ban k,

Mujhy is trhan se na dekh teri zulfon ki qasam,
Phir na reh paonga main tujh se begana ban k,

Neend ankhon k dareechy sy to hy door magar,
Khawab aaty hain phir sony ka bahana ban k,

Ye talatum teri ulfat ka mery dil mein to hy,
Khatm hojaye na ye Qisa fasana ban k,

Is kadar chahna usko na raas aaya,
Wo mery paas sy guzra hy begana ban k

Ye Baarisho?n K Mausam

Ye Baarisho?n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato?nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se…

Sulagti Raat Ghani Chandni Si Hoti Hai

Sulagti Raat Ghani Chandni Si Hoti Hai
Tumhare Sath Ye Duniya Nayi Si Hoti Hai

Gale Mein Uske Khuda Ki Ajeeb Barkat Hai
Wo Bolta Hai To Ik Roshni Si Hoti Hai

Kiran Nikalne Se Pehle Gulab Dekhe Hai
Tumhari Yaad Mein Wo Tazgi Si Hoti Hai

Monday, May 24, 2010

Tujh se barh kr koi Azaab Nahi

Tujh se barh kr koi Azaab Nahi
Ae Muhabbat..! tera Jawab Nahi

Tum muhabbat khareed laaye ho

Tum muhabbat khareed laaye ho
Ghar Me pehle azaab kya kam thy

Best Janamdin Shayari Sms

Best Janamdin Shayari Sms

Hai Yeh Din Aisa,
Mai Kabhie Bhool Na Paau,
Sang Tere Manaane Yeh Janamdin,
Mai Daudi Chali Aau.

Hai Tu Wahan Aur Mai Yahan,
Aur Beech Mai Hain Yeh Dooriyan,
Dil Chahe Mera Bas..
Mai Ud Ke Chali Aau.

Tujhe Choomun,Tujhe Chahun,
Tera Pal Pal Mehkaaun,
Khush Karne Ko Tujhe,
Mai Hadd Se Guzar Jaaun.

Hai Yehi Bas Armaan Mera,
Ke Sang Tere Mai Rahun Sadaa,
Kya Hogi Poori Yeh Tamanna Meri??
Mai Bas Sochti Reh Jaau.

Aap ko advance me EID Mubarak kehne aya hoon

Dastuk di kesi ny
Kaha kushiyan laaya hoon

Inbox choota na pr jy, itni duain laya hoon
Naam hai mera SMS
Aap ko advance me EID Mubarak kehne aya hoon

Oye Mari Shadi Hai Eid K Bad.

Oye Mari Shadi Hai Eid K Bad.
.
.
.
.
.
Ab Ye Pata Nahi Kon Si Eid Ky Bad Hy Lekin Hy Eid K Bad:

Sunday, May 23, 2010

LOVE as DEEP as OCEAN

LOVE as DEEP as OCEAN.
Friends as solid as diamonds and
success as bright as gold.
These r my wishes 4 u today n everyday...

Wo Khafa Hen Hum Se To Khafa Hi Rehne do,

Wo Khafa Hen Hum Se To Khafa Hi Rehne do,
Hum Ko Unka Gunahgar Hi Rehne do ,

Wo Samjhte Hen Hum Ne Chorr Diya Hy Unko ,
Baat To Jhoot Hy Magar Such Hi Rehne do ,

Mudaton Mangi Hen Khuda Se Khushian Unki ,
Jo Aata He ILzam Hum Pe To ILzam Hi Rehne do ..

Hum khud taraash tay hain manazil k sang-e-raah

Hum khud taraash tay hain manazil k sang-e-raah
Hum wo nahi hain jin ko zamana bana gya

Saturday, May 22, 2010

dil se dil milaane ka naam he ishq,

dil se dil milaane ka naam he ishq,
khabon ko sajaane ka naam he ishq!

mar mite jo hoton ki jumbish par,
us diwaangi ka naam he ishq!

unke chehre par ik hasi ke liye,
so gham uthaane ka naam he ishq!

aa jaayen kabhi jo aankhon mean,
un ashkon ko apni palkon mean lene ka naam he ishq!

na uff kare na aah kare na peshani pe shikan bhare,
khud ko mohabbat ke naam pe mitane naam he ishq!

na kar khafa na ho khafa na le wafa ka to sila,
bina shart saath nibhane ka naam he ishq!

guzaar de too zindagi na mout hi juda kare,
is tarha saath nibhane ka naam he ishq!

I love two things, a rose and you

I love two things, a rose and you. A rose for a short while, but you the rest of my life

Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad

Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad
Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad

Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar
Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad

Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa
Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad

Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay
In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad

Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ????
Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad

Khuda kaise karoon shukriya is din ke liye

Khuda kaise karoon shukriya is din ke liye
Jis din tumhe dharti pe bheja hamare liye
Na jaane kyon main intezaar kar raha tha
Shayad janamdin hai tumhara is liye
Meri har ek dua hai teri lambi umar ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis ke liye…

Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi

Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi
Wo cigaraton k tasalsal me yaad ata raha

Friday, May 21, 2010

Mujhe yakeen hai muhabbat isi ko kehte hain

Mujhe yakeen hai muhabbat isi ko kehte hain
K Zakhm Taaza rahy or nishan chala jaye

Aik din woh mil gaye they sar-e-rahguzar kahin

Aik din woh mil gaye they sar-e-rahguzar kahin,
Phir dil ne bethne na diya umar bhar kahin

Wo kon hain jinhain tauba ki mil gai fursat

Wo kon hain jinhain tauba ki mil gai fursat
Humain gunah bhi karny ko zindagi kam hai

Mumkin jo agar hota

Mumkin jo agar hota...
Hum tum ko bhula dete..
Yadon ko
Kafan de kar..
Be waqt sula dete..
Tanhai main gee lete..
Tum ko na sada dete.
Is dil se tere dil tak.
Diwar utha dete..
Mumkin jo agar hota.
Hum tum ko bhula Dete.

Mere dil mein hain jo pyar ke raaste

Mere dil mein hain jo pyar ke raaste
wo khule rehte hain har kisi ke waaste

hum se koi kitna pyar karta hai
hum kisi ki mohabat nahi naapte

Qisa e shoq pe hain yon wo nigahen barham

Qisa e shoq pe hain yon wo nigahen barham
Jaise hum ae hain kuch sikwa ba ja le k

Thursday, May 20, 2010

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Here Comes The Day, Once In A Blue Moon

Here Comes The Day, Once In A Blue Moon.
With Chanda Mama Shinin Up Bright
And Blessing Everyone. Her Luv So Tender, Merciful.
Shinin Down On The Earth Wishin Us

Kitabo’n Mein Rakh Kay Sula Gaya Hum Ko,

Kitabo’n Mein Rakh Kay Sula Gaya Hum Ko,
Aankhein Band Ki Or Bhula Gaya Hum Ko,
Ajeeb Musawwir Tha Jo Barisho’n kay Mousam Mein,
Kachi Diwaro’n Pay Bana Gaya hum ko….

Wednesday, May 19, 2010

Kaash Ye Dil – Ehsaas Shayari in Urdu

Kaash Ye Dil – Ehsaas Shayari in Urdu

Kaash Ye Dil Shishe Ka Bana Hota,
Chot Lagti To Beshak Ye Fanah Hota.
Par Sunte Jab Wo Aawaz Iske Tutne Ki,
Tab Unhe Bhi Apne Gunah Ka Ehsaas Hota

Monday, May 17, 2010

Khuli huwi khikiyon say ik shaam jhankti hai

Khuli huwi khikiyon say ik shaam jhankti hai
ajeeb aalam hai
zindagi meri bheegti putliyon mein jesay
dharak rahi hai,
tumhari yaadon kay sa'ay sa'ay
dhundalka paeron ki chotiyon parr
utar raha hai
shafaq khamoshi say phail karr
door takk bikhartay haseen manzar kay
canvas parr
hazar ranngon pay
ik gulabi chirak rahi hai

main tumm say kitni hi door hoon
parr tumhari qurbat ki taez hiddat say
jall rahi hoon
main saray manzar say bhi alag hoon
magar shafaq say
wujood gulnaar ho raha hai
khuli huwi khirkiyon say
ik shaam jhankti hai!

Teachers Day

Teachers Day
The way you teach...
The knowledge you share...
The care you take...
The love you shower..
Makes you...
The world's best teacher...
Happy Teacher's Day!

Ye EID tere shehr men bhi aai hogi

Ye EID tere shehr men bhi aai hogi

Baray naaz se tu ne manayi hogi

Haseen hath pay mehndi bhi lagai hogi Phir tu ne mithayi bhi khayi hogi

Humein tu surma dalne ki fursat nahi

Tu ne Aankhain apni kajal se sajayi hogi

Unhain kia ehsas kisi ki khushiyoun ka

Jinhon ne EID wale din EID manayi hogi,

Sunday, May 16, 2010

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi,
Meri Be’naam Arzoo Ki Tarah………!

Luta diya hum ne apna sab haasil-e-zindagi

Luta diya hum ne apna sab haasil-e-zindagi
Baadshah se faqeer huwe faqat ek Wafa ki Talaash mein

December Jab bhi ata hai

December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main
Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....
Main Lauton ga December main

Main uske chehre ko dil se utar deti hoon

Main uske chehre ko dil se utar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon

Mera haath... Tera Saath

Mera haath... Tera Saath
lambi sarak or Maah-e-December

Itney haseen hatho se mayat saja raha hay koi.

Itney haseen hatho se mayat saja raha hay koi.
Ghame-e- Hayat ka jhagra mita raha hay koi
Chaley aao ke duniya se ja raha hy koi

Azal se keh do key ruuk jaaye do ghariiii
Suna hay ke ane ka wada nibha raha hay koi

Woh iss Nazz se bathey han laash ke pass
Jasey roothey howe ko mana raha hay koi

Palat ker na aa jye sanss pher Nabzon mein
Itney haseen hatho se mayat saja raha hay koi

Sitam to ye hai zalim sakhan shanas nahin

Sitam to ye hai zalim sakhan shanas nahin
Wo aik shakhs k shaer bana gea muj ko

Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko,

Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko,
Rakhe ga tum ko kon aziz, apni jaan se..

Saturday, May 15, 2010

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota

Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

safar malaal ka hai aur chal rahi hooN maiN

safar malaal ka hai aur chal rahi hooN maiN
ghubaar-e-shab ki udaasi meiN Dhal rahi hooN maiN

ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai
k jis ki aag meiN chup chaap jal rahi hooN maiN

phir ik charaagh jala shaam ki haveli meiN
phir eik dard se aakhir saNbhal rahi hooN maiN

yeh rakh rakhaao usay jaan’ne naheeN de ga!
k apne aap meiN kese pighal rahi hooN maiN

yeh ishq sach se juda kaise ho gaya jaanaaN?
ab is savaal se baahir nikal rahi hooN maiN

bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hooN meiN

If i had a wish i would be ur tears

If i had a wish i would be ur tears,
to be born in ur eyes n to die on ur lips.
But if u were my tears, i would
never cry in fear of losing u.

A sardarji goes to a chinese restaurant

A sardarji goes to a chinese restaurant
and puts his finger
on the last of menu: Bring this.

Waiter: Oh! you can't get it
because he is the owner of restaurant.

Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Hota To Khuda Hota

Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Hota To Khuda Hota,
Dabooya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Mein To Kia Hota..

Hua Jab Gham Se Yun Be_His To Gham Kia Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zanoo Par Dhara Hota…

Hui Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya, Par Yaad Aata Hai,
Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yun Hota To Kia Hota

Friday, May 14, 2010

Dun b 2 gud i mite miss u,

Dun b 2 gud i mite miss u,
Dun be 2 caring i mite like u,
Dun be 2 sweet..i Mite faLL,
its hard 4 me to love u when u wont love me after all

Wo subah ka alamnaak savera

Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan
Jis subah ki raat guzri thi
Ashkon ki barsat may
Ashk meray aur teray
uss saahil ki rait pe
Aaj bhi sulagti hai zameen
Aaj bhi be-karaan hokar tarpti hai mouj-e-sagar
Teray hath ka lums aaj bhi zinda hai
Meri be-muraad hatheli pe jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan

Bisat-e-waqt pe tehri thi zindagi ki baazi
Na tu shikast ka khuwahan
Na mai mutamani tha ruswai ka
Phr bhi taqdeer banai tu ney hamari
Uljhi hoi muhabbt ki
Phr chahaya andehra meray ujaalon may
Tu koh gaye anjaan be-nishaan veeranon may
Mai aur meri tanhai
Ab yehi pochte hain jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise bhool paon ga jaanan
Kaise bhool paon ga jaanan

Mohabbat bandagi hai

Mohabbat bandagi hai . . . is me tann ka qurb mat maango
ke jis ko chhoo liya jaaye . . .ussay pooja nahi kartay

Jab main ghar se nikal raha tha

Jab main ghar se nikal raha tha
Chaltey chaltey
Mery senny sey hatatey pal
Dherey se ikk sarghoshi main
Us ney kaha tha
Dekhain cahahy kuch bhi ho jae
Roz MujhyeRING ki jiye ga
Phir jab us ke hath aur nazrain
Dono meri tie per thin
Kehne lagi ..
‘’Aap nahin hotey hain to bilkul khali ho jati hon’’
Chor nahi sakty yeh BUSINESS ?
Aap mujhy kion tarpate Hain . . ?
Acha daikhen yon karte hain
Aik din khat aur aik din phone
Main ney us ko Boosa de kar
Us sey kaha Tha
Aab k chahy kuch ho jae
Khat likhon ga phone karon ga
Haye ! lekin khod sar fitrat
Aur kuch karobar k jhunjhat
Naa to us ko phone kia tha
Aur naa hi koikhat likh paea
Naa koi MESSAGE naa hi card
Ab jo gher ko laut raha hon
Soch raha hon
Tanhai k ye do hafatey
Us par Sadiyon jaise hon ge
Lekin ye bhi janta hey dil
Us ko be hadd shikwe hon ge
Tararpati ho gi
Chup ker takiye main raaton ko roi ho gi
Khafa khafa si
Lekin gher main dakhil ho kar
Jab main us ke Mathe par ikk bosa doun ga
Un honton par hont rakhon ga
Aur kahon ga
‘’Yar mujhe tum yaad ayi Thin
Lamhy lamhy main soo baar’’
Bus itna hi kehna ho ga
Aur wo Pagli
Apna sab kuch sonp kar mujh ko
Mere seene lag jae gi
Phir jab us k hath aur nazrain
Dono mere seene K baalon per hon ge
Woh seena jo un ashkon se bheega ho ga
Sargoshi mai mujhse kahe gi
Aap bhaley abb kuch bhi kar lain
Hargiz abb naa janey don gi
Sachi aap to bahot bure hain
Bahot bure hain
Hain naa BHONGOO…!!!

Zindagi Kaanch Ka Khilona Hai Aakhir Toot Jana Hai

Zindagi Kaanch Ka Khilona Hai Aakhir Toot Jana Hai
Do Ghari Baith Mere Paas Mujh Ko Bahot Door Jana Hai
Tu Ne Hansi Daikhi Hai Mere Gham Nahin Daikhey
Mere Paon Mein Musafton K Zakham Nahin Daikhey
Yaadon Ka Hasil Bhi Aakhir Bhool Jana Hai

Mein Uss Ko Paane Ki Khawhish Mein Khud Ko Kho Baitha Hoon
Jo Mera Ho Nahin Sakta Mein Uss Ka Ho Baitha Hoon
Bahot Masoom Chahat Hai Bara Zalim Zamana Hai
Zindagi Kaanch Ka Khilona Hai

Thursday, May 13, 2010

Lag jaye zamaney ki hawa, Jaane kab us ko,

Lag jaye zamaney ki hawa, Jaane kab us ko,
Woh shakhss bhi insaan hai, Kuch keh nahin sakte..

Yeh Pichlay Ishq Ki Baatein Hein

Yeh Pichlay Ishq Ki Baatein Hein
Jab Aankh Mein Khuwaab Chamakte The

Jab Dil Mein Daag Damakte The
Jab Palken Sahaher Ke Raston Par

Ashkon Ka Noor Luta Ti Thin
Jab Chand Ki Rim Jhim Kirno Se

Sochon Mein Bhawanr Parr Jaate The
Jab Aik Talatum Rehta Tha

Apne Be Ant Khayalon Mein
Har Ahad Nibhane Ki Qsmein

Khat Khoon Se Likhne Ki Rasmein
Jab Aam Thi Ham Dil Walon Mein

Yeh Pichley Ishq Ki Baatein Hein

Rishtaa tore ke janey waley,

Rishtaa tore ke janey waley,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Ab ki Eid pe,
Mujh ko jitney card miley hain,
Un cardon mein sab se pyara,
Sab se acha,
Pehla card tumhara hai,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Zara kaho to,
Yeh kiss aur ishaara hai ???

To a Gift – Mothery Day English Poetry

To a Gift – Mothery Day English Poetry

Through my eyes I see
A sanctum,
Where there are leaves to lead the way;
There the grass needs never cutting
And stays groomed everyday.

Through my eyes I see
A sanctum
That no one can take away.
And through my eyes I see a place
Where all the kids can play.

Through my eyes I see
A sanctum
Where all the days are years;
The mommies there will never age,
Nor will they cry a tear.

I think I’ll call this Mom’s Land,
For beyond its flowered wall,
The beauty matches only a mother’s

And that is the most beautiful of all.

Wednesday, May 12, 2010

Har shaakh chaman ki jal rahi hai

Har shaakh chaman ki jal rahi hai

Kiya baad-e-muraad chal rahi hai

Hum hain keh fareb kha rahe hain

Duniya hai ke chaal chal rahi hai

Yun dil mai hai teri yaad jese

Weeraane mai aag jal rahi hai

Rukh pher liya hai jab se tu ne

Duniya ki nazar badal rahi hai

Dar’pesh hai aaj bhi wo surat

Jo surat-e-haal kal rahi hai

Itni bhi Faraz bad-dili kiya

Sambhlo! Keh fiza badal rahi hai

I wanna keep3 things

I wanna keep3 things: . .
The SUN
The MOON
&
My friends

Sun 4 daytime
Moon for night time &
U.My dear friend 4 LIFETIME

Na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai

Na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai


vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii
miTaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai

zubaa.N pe harf-e-talab bhii nahii.n ko_ii phir bhii
nigaah-e-dost me.n rang-e-jalaal aayaa hai

kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai

nahii.n hai tum se ko_ii dostii bhii ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai

Woh Hijarr To Daita Hai Juddai Nahi Daita

Woh Hijarr To Daita Hai Juddai Nahi Daita
Kiya Tarfa Tamasha Hai Bhujai Nahi Daita

Mahsoos To Hota Hai Rag e Jaan Mein Hi Aksar
Woh Dard Ka Naghma Jo Sunnayi Nahi Daita

Hain Bhool Bhullaiyan Bhi Kay Rasta Nahi Milta
Ye Shehr e Sitamgarr Hai Rehai Nahin Deta

Tum Ne Kabi Socha Hai K Parwana e Nayab
Khamosh Hi Marta Hai Duhaayi Nahin Daita

Is Dabr e harabat Mein Nuksaan Yeh Sahir
Jo Deed Kay Qabill Hai Dikhai Nahin Daita

Tuesday, May 11, 2010

Alphabet "O" stand for Opportunity

Alphabet "O" stand for Opportunity,
Which is absent in "yesterday"
Available once in "Today"
And
Thrice in "Tomorrow"
So
Stay Positive Always.

Eid Shayari Sms Hindi

Eid Shayari Sms Hindi

Tujhse Bichhre To Ab Hosh Nahin
Kab Chand Hua Kab Eid Huyi….

Na Kar – Inkaar Shayari in Hindi

Na Kar – Inkaar Shayari in Hindi

Na Kar Inkaar A Zalim Mere Pass Ane Se
Khuda Bhi Roth Jata Hay Kisi Ka Dil Dukhane Se

Meri Ghazlon Ko Sun Kar Kia Milley Ga

Meri Ghazlon Ko Sun Kar Kia Milley Ga
Faqat Afsurrdagi, Mujh Ko Yaqeen Hai

Mere Ashaar Mein Batein Hain Uss Ki
Tumharey Kaam Ka Kuch Bhi nahi Hai

Monday, May 10, 2010

Us ki khamoshi se mujhe dar lagta hy

Us ki khamoshi se mujhe dar lagta hy
Dor na ho jaye aisa Q lagta hy
Dunia se Osay cheen lene ka hosla hy mujh me
Lekin wo sath Na de ga aisa Q lagta hy

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay
Ham ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay

Wo shakhs to yaklakht hi haT jata tha peechHay
Ham TooT ke qadmoN maiN bikhartay bhi to kaisay

Ilzaam ye aata ke tujhay bhool gaye thay
Aye dost! tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay

Kia khaak muqaddar se koyee ham ko gila ho
BigRoN ke muqaddar thay, saNwartay bhi to kaisay

Mehroom hi rehtay jo tere radd-e-amal say
Aye jaan! tere pyaar maiN martay bhi to kaisay

Jeevan hi guzara tha thapaiRoN maiN jo ham nay
Ham ab kisi toofaan se Dartay bhi to kaisay

Ek paaki-e-damaaN pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat maiN utartay bhi to kaisay

Har roz ki zillat bhi gawara to nahiN thi
Us raah se ham roz guzartay bhi to kaisay

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahiN daiti
Dunya! tera tawaan jo bhartay bhi to kaisay

Bach kar na nikal paaye Saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar maiN, ubhartay bhi to kaisay.

Woh Tasawur Mein Jo Aain To Preshan Hona

Woh Tasawur Mein Jo Aain To Preshan Hona
Bin Kahey Kuchh Chaley Jain To Pasheman Hona

Janey Kiss Nahij Pe Lay Jaye Ashiqi Meri
Nahin Mumkin Zuban Waley Ka Bezuban Hona



Garr Zindagi Mein Hai Sarab Ka Peecha Karna
Kiss Qadar Karbb Hai Sehra K Darmiyan Hona

Wo Ekk Paid Tanawar K Saharey Mein Khush
Mujhe Kafi Teri Zulf Ka Saibaan Hona

Manta Hoon K Muhabbat K Pujari Hain Bahot
Magarr Bejaa Hai Muhabbat Ka Bad Guman Hona

Woh Agr Kar Hi Chukey Hain Ye Faisla Muqeed
Mujhe Manzoor Hai Mazi Kaa Ekk Nishaan Hona

Bus ek Maafi... Hamari Tuba... Kabi Jo Ab Hum Sataain Tumko

Bus ek Maafi... Hamari Tuba... Kabi Jo Ab Hum Sataain Tumko
Lo Haath Jory.. Lo Kaan Pakry.. Ab Aur Kese Manaain Tumko

Sunday, May 9, 2010

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta

bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta

Jahan baani se hai dushwaar tar kaar-e-jahan beeni.

Jahan baani se hai dushwaar tar kaar-e-jahan beeni. . !
Jigar khoo’n ho to chashm-e-dil mein hoti hai nazar paida. . !

Saturday, May 8, 2010

ek tuti hui zanjir ki fariyad hain hum

ek tuti hui zanjir ki fariyad hain hum
aur duniya ye samajhati hai ki aazad hain hum
kyon hamen log samajhate hain yahan paradesi
ik muddat se isi shahar mein aabad hain hum
kahe ka tark-e-vatan kahe ki hijarat baba
isi dharti ki isi desh ki aulad hain hum
hum bhi tamir-e-vatan mein hain barabar ki sharik
dar-o-divar agar tum ho to buniyad hain hum
hum ko is daur-e-taraqqi ne diya kya “meraj”
kal bhi barbad the aur aj bhi barbad hain hum

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah

Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah

Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah

Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah

Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Friday, May 7, 2010

New Bewafa Shayari

New Bewafa Shayari

Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se

Sardar got job in a telenor call centre.

Sardar got job in a telenor call centre.
Customer: telelenor sim blocked what to do?
Sardar: dont take tension remove telenor &
put warid sim.
Thank you for calling ufone.

Yun To Gham Sab ki Zindagi Mein Hai

Yun To Gham Sab ki Zindagi Mein Hai
Zabt Lekin Kisi Kisi Mein Hai
Us Ne Sun Kar Ghazal Kahan Meri
Kitna Dukh Teri Shayari Mein Hai

Kyun ho itnay hafa hafa se

Kyun ho itnay hafa hafa se,
Kyun ho itnay juda juda se..

Tujhe bhula dain tu kaisay,
Kyun ho itnay dua dua se..

Yeh tanhai dasti hai mujhe,
Kyun ho itnay saza saza se..

Tera hi zikar kiya mein ne har gari,
Kyun ho phir itnay bewafa bewafa se..

Tera hi naqsh namayaan hai janaan,
Aashar ki har ada ada se..

Wednesday, May 5, 2010

Apko Chahne Wale Kam Na Honge

Apko Chahne Wale Kam Na Honge
Waqt Ke Sath Shayd Hum Na Honge
Ap Kisi Ko Kitna B Pyar Kar Lena
Par Yado Ke Asli Haqdar Sirf Hum Hi Honge

Bohat Nazuk hoti hai Ishq ki kashti

Bohat Nazuk hoti hai Ishq ki kashti
Wafa na mily to Doob jaya karti hai...

USAY MAINE YEH LIKHA THA

USAY MAINE YEH LIKHA THA

SUNO AEY JAAN SE PIYAARI GURRIYA !!!

TUMHAIN MALOOM HI H0GA

TUMHARE BIN TO AB MERA GUZARA H0 NAHI SAKTA..

TADAPTA H0N JUDAAYI MAI

MAGER,,

YEH BE’BASI KESI !!

KEH

MEI KHUL KE R0O NAHI SAKTA..

MERE A’ASAAB PEH HAAWI
TUMHARI YAAD KA PEHRA

MAIN SHAB KO SOO NAHI SAKTA..

SUNO GURRIYA !!

KOI RASTA,
K0I TADBEER HO AESI

KEH DIL K CHAAK SIL JAAYAIN

JUDAAYI MAI WAFAA0N K KAHII PEH GUL JO KHIL JAYAIN

HUM PHIR IK BAAR MIL JAAYAIN..

JO AB GURRIYA NE LIKH BHEJA

AEY MERI JAAN SE BARH KAR !!

YEH MERA AAKHRI KHATT HE..

YEH MANA HE BOHT MUSHKIL

MAGER !!

DEKHO MERI KHAATIR TUMHAIN HAR HAAL MAI

MUJHSE KINARA KARNA HI H0GA..

KOI TADBEER BHI AB K

HAMARE BAS SE BAAHER HE..

JO DIL K CHAAK HAI JANAA’N

YEH PHIR SE SIL NAHI SAKTE

JUDAAYI MEI WAFAA0N K KABHI GUL KHIL NAHI SAKTE

SUN0 !!
HUM MIL NAHI SAKTE..

TUMHARI KHWAAHISHAIN JANAA’N

HAIN SIR AANKH0N PEH MERE

SO ,,

SAR-E-RAAH M0HABBAT MAI

TUMHARI KHWAAHISH0N KA AB JO IK TAWA’AN HE ZIMMAY !!

USI KO BHAR RAHA H0N MAIN

UBHERTI SAANS KEHTI HE MUSALSAL MAR RAHA H0N MAIN

SUNO GURRIYA !!!

GUZARA KAR RAHA H0N MAIN

Aesi Sunsaan Kabhi Pehle Na thi Hijar Ki Raat

Aesi Sunsaan Kabhi Pehle Na thi Hijar Ki Raat
Door Tak Kaafila Subaah Ke Asaar Ka Nahin

Ik Shakhs tanha rota Raha hai

Ik Shakhs tanha rota Raha hai,
apne aansuo ko palko pe parota raha hai,

akeeda to tha usey piyar k karishmo par,
phir bhi karne se darta raha hai,

Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,
utna hi us se koi door jata raha hai,

Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,

Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,
Kon janey kisey chahta raha hai,

So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,
yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,

kasoor fakkat itna tha nadaa ka,
k gham duniya se chupata raha hai,

aaj tum kiska matam karte ho logo,
Wo to janey kab se marta raha hai,

“Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main Mohsin,

“Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main Mohsin,
Shoq e Dosti Bhi Rakhtay Hain Aur Yad Bhi Nahi Krtay”

Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein,

Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein,
Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley..

Tuesday, May 4, 2010

Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..

Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ?
Mujhay tu khair tera intazar karna hai

Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan sar e rah?guzaar karna hai

woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai

terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein
Kisi tarha tu humain rooz?gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

kadam thak gaye hai dur nikalna chhod diya hai

kadam thak gaye hai dur nikalna chhod diya hai
par aisa nahi hai ke maine chalna chhod diya hai
aaj bhi akele hai duniya ki bheed mai
par aisa nahi ki maine zamana chhod diya hai

Dafan hain us k Ghar k sath Qabristan mein

Dafan hain us k Ghar k sath Qabristan mein,
Magar phr bi wo rota hai,
Khud hi kaha karta tha k Bana lo Qareeb koi thikana
k Milna aasan hojaee

It's the month when the devils are chained

It's the month when the devils are chained,
the gates of hell are closed and those of paradise are opened.
It's the month the holy prophet used to pray to witness.
It's the blessed month of ramadhan.
May Allah shower his blessings and
grant you forgiveness in this holy month.

DiL Ksi or Ka Na Ho Paya

DiL Ksi or Ka Na Ho Paya
Arzoo Meri Aaj B... Tum Ho

Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai

Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai,
Kis Qadar Jaldh Badal Jaty Hain Insaan Janan

Monday, May 3, 2010

woh dasht-e-khamoshi mein

woh dasht-e-khamoshi mein
ungliyon mein Sipiyan pehny
Kisi sukhey Smundar ki
adhuri Piyaas ki baatain
Bohat chup chap sunta hay
bohat khamosh rehta hy
Usey ye kon smjhaye?
Khushi k ek aanso se
Samundar bhar Bhi jatey hein
Bohat khamosh rehney sey
T?aluQ mar Bhi jate hain

Meri pagal mohabat tmhen yaad aye gi

Meri pagal mohabat tmhen yaad aye gi

jab chand sitary chamak rahy hon

jab yadoon k phool baras rahy hon

jab deed ko nain taras rahy hon

jab ankhon se ansoo baras rahy hoon

Meri Pagal Mohabat tmhen yaad ayegi

jab tanhai se dil ghabraye gaa

jab tmhen akela pan sataye gaa

jab koi bhi na aye gaa

jab phool kitab main reh jae gaa

Meri Pagal Mohabat tmhen yad ayegi

rishtay phoolon ke manind hotey hn

rishtay phoolon ke manind hotey hn
khun se senchoo to kheel jatey hn

khushyoon ke bersat ho to jhoom jatey hn
gum ke aandhi ho to bekhar jatey hn

bedy haseen bedy dilfarib hotey hn
pass jaao to kantoo se bhray hoty hn

beharoon k hamsafer hotey hn
khezan k mosum me gumm hojatey hn

hawa k dosh p leharaty phool kia jeny
ghari hotey hn jeryn to ye chamn bestay hn

Tum aao to hum bhi EID karen

Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen

Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen

Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen

Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai

Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen

Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain

Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain

Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.

Tere Piyar ka kya jawab don

Tere Piyar ka kya jawab don,
Teri dosti ko kya khitaab dun,

Koi acha sa phool hota to peish karta,
Magar jo khud “Nayaab” ho usay kya “Gulaab” doon..

Sunday, May 2, 2010

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho
“Ik Baar Kaho Tum Mere Ho”

Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De
Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ?

Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki
Tum Mere Rain Basairay Ho

Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka
Tum Daaku Chor Lutairay Ho

Kuch Bolo Ya Aazaad Karo
Kiun Khamooshi Se Ghairay Ho ?

Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho

Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho
aey logo khamosh raho han aey logo khamosh raho

Such acha, par us kay jaloo mein, zeher ka hay ek piyala bhi
pagal ho> kiun nahaq ko suqrat bano, khamosh raho

Haq acha, par us kay liyay koi aur maray to aur acha
tum bhi koi mansoor ho jo sooli pe chardho, khamosh raho

un ka ye kehna sooraj hi dharti kay pheray karta hay
sar aankhon par, sooraj hi ko ghoomnay do, khamosh raho

Majlis mein kuch habs hay aur zanjeer ka aahan chubhta hay
phir socho, han phir socho, han phir socho, khamosh raho

Garm aansoo aur thandi aahen, man mein kia kia maosam hen
is baghya kay bhaid na kholo, sair karo, khamosh raho

Aankhen moond kinaray betho, man kay rakho band kiward
INSHA JEE lo dhaga lo aur lub si lo, khamosh raho

Nazar ka chain dil ka suroor hotay hain

Nazar ka chain dil ka suroor hotay hain,

kuch aise log jahan main zaroor hotay hain,

sada chamakta rahay unki EID ka tehwaar,

qareeb reh kay bhi hum se jo dor hotay hain.

Saturday, May 1, 2010

Zameen ke Aastaano say, falak ke chand taaron tak

Zameen ke Aastaano say, falak ke chand taaron tak
Koi Ehl-e-wafa dhundo, ager hum bewafa hain to

Pyaas aisi ke pee jaaun samunder saare

Pyaas aisi ke pee jaaun samunder saare,
Naseeb aisa ke Mayassar zeher bhi nahi,

Wafaayein koyi humse seekhe ,
Jisse toot ke chaha Usse khabar bhi nahi

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid,

Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid,

Aate hain yaad jab woh phool se chehre,
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid,

Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid,

Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid..

tere paas aane ko ji chahata hai

tere paas aane ko ji chahata hai
naye zaKhm khane ko ji chahata hai

idhar aaye shayad vo mauj-e-taranum
Gazal gungunane ko ji chahata hai

zamana mera aazamaaya hua hai
tujhe aazamaane ko ji chahata hai

vahi baat rah rah ke yaad aa rahi hai
jise bhul jaane ko ji chahata hai

labon par mere khelata hai tabassum
jab aansu bahaane ko ji chahata hai

ka_i martabaa dil pe bijali giri hai
magar muskuraane ko ji chahata hai

takalluf na kar aaj barq-e-tajalli
nasheman jalaane ko ji chahata hai

ruKh-e-zindagi se naqaben ulat kar
haqiqat dikhaane ko ji chahata hai

Dastaras me hai tera phol sa chehra lakin

Dastaras me hai tera phol sa chehra lakin,
Us ko chone se bikhar jane ka dar lagta hai