Monday, October 12, 2009

yeh silsaly azaab kay, yeh fasilay, yeh qurbaten

yeh silsaly azaab kay, yeh fasilay, yeh qurbaten
Ajeeb see yeh rahten, yeh chahten, mohabten
Ik lagan ki aag see, yeh tarap kasak hay kaya
Moal lain azaab aur muft baanten nafraten
Kisi kay haath main qalam, kisi kay haath main alam
Kisi ka haath taighzan, kisi ka tann hay aag main
Kisi kay sar pay taaj hay, kisi ka sar hay daar pay
Ajeeb sa hay khauf sa, yeh wehshten, yeh dehshten
Bhagtay hain mard-o-zann, yeh bachay boorhay kis taraf
Na koi inka rehnuma, na rastay, na manzalen
Aye waqt tuo zara thehar, zara tau thamm ke saans lain
Yeh khasta haal aadmi, yeh neem jaan aurten

No comments:

Post a Comment