Kal hamesha ki tarha us ne kaha ye fone par
Me bahut masrof hon mujh ko bahut se kaam hain
Iss liye tum ao milney me to aa sakti nahin
Har riwayat torh kar is baar me ne keh diya
Tum jo ho masrof to me bhi bahut masrof hon
Tum jo ho mashhoor to me bhi bahut maroof Hon
Tum agar ghamgen ho me bhi bahut ranjor Hon
Tum thakan se chor to me bhi thakan se choor Hon
Jan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi qemti
Kuch purane doston ne milne ana hai abhi
Mein bhi ab farigh nahin mujh ko bhi lakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhein bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe
Ratjagon ke bad aab nendon me Khona hai mujhe
Mein lahoo apni anaoon ka bhaha sakta nahin
Tum nahin ati to milney me bhi aa sakta nahin
Us ko ye keh kar Wasi me Ne reciever rakh diya
Aur phir apni aana ke paon pey sar rakh diya
No comments:
Post a Comment