Jazbon ko meethi neend sula to nahin diya,
Phir apna aap hum ne bhula to nahin diya,
Zinda ho tum bhi tark-e-taluq ke bawjood,
Hum ne bhi apna aap jalaa to nahin diya,
Woh laut ker jab aaya to kehne laga humain,
Aankhon mein aur khawab sajaa to nahin diya ?
Kuch manzilain hain aur bhi raah-e-hayaat mein,
Jeewan isi gali mein lutaa to nahin diya,
Arshad! Bhuje bhuje nazar ate ho aaj kal,
Roshan diya wafaa ka bhujaa to nahin diya…
No comments:
Post a Comment