Tuesday, May 27, 2008

hir wohi lambi dopeherain hain, Phir wohi dil ki haalat hai

hir wohi lambi dopeherain hain, Phir wohi dil ki haalat hai
Bahir kitna sannata hai, Ander kitni wehshat hai. .

Sham karain kaisy is din ki, Thandi surat dekhain kin ki
Idhar udhar to dhua’n urati, aag ugalti khalqat hai. .

Jis ko hum ne chaha tha wo kahi’n nahi is manzar mein
Jis ne hum ko pyar kiya wo saamney wali moorat hai. .

Phool babol k achay hain lekin sakat tasweero’n mein
Sach much k sehra’on ki tou is dil jaisi surat hai. .

Tery baad dukano’n per ja kar poochta rehta hoon
Kia wo khushbu mil sakti hai ab us ki kia qeemat hai?

Baray baray sapney nahi’n boye meine apny aangan mein
Nanhi munhi khushi’an hain, Meri choti si ik jannat hai

No comments:

Post a Comment