Saturday, May 27, 2006

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

No comments:

Post a Comment