Sunday, May 7, 2006

Chehra koi bhi aankh main thehra na phir kabhi,

Chehra koi bhi aankh main thehra na phir kabhi,
Dil ne kisi bhi shakhss ko chaha na phir kabhi,

Rootha zara si baat pe uth ke chala geya,
Aesa geya ke laut ke aaya na phir kabhi,

Kuch yu’n mila tapaak* se bass ishq ho geya,
Woh ajnabi tha kaun tha socha na phir kabhi,

Us ne bataur* tohfa diya libaas-e-hijar,
Pehna jo aik baar utaara na phir kabhi,

Dulat mili to chinn gayi ehsaas ki qubaa*,
Us ne mera mizaaj bhi poocha na phir kabhi,

Nazish guzar chuka tha hadh-e-etdaal* se,
Jane kahan geya usey dekha na phir kabhi..

No comments:

Post a Comment