Saturday, December 31, 2011

Ksi tofan me jese kinara yad ata hey

Ksi tofan me jese kinara yad ata hey
Mjhe tanhai me chehra tmara yad ata hey
Suna h uske honto se tab’basum ruth jata hey
Suna h usko b ghar hmara yad ata hey
Hamare roz-o-shab ka ye tasalsul ks tarha totey
Usay jb bholtey hain wo dobra yad ata hey

Jo meri aankhon se khuwab dekho

Jo meri aankhon se khuwab dekho

To ek shab bhi na so sako ge

Ke laakh chaho na hans sako ge

Hazar chaho na ro sako ge

Ke khuwab kiya hain azaab hain yeh

Mere dukhon ki kitaab hain yeh

Rifaaqaten in mai chot’ti hain

Mohabbaten in mai roothti hain

Panapti hain in mai wehshaten si

Azeeayaten in mai phoot’ti hain

Inhi ke dar se khizaan hain jazbe

Inhi se shaakhen si toot’ti hain

Ghamon ki bandish hain khuwab mere

Dukhon ki barish hain khuwab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa

Raheen-e-aatish hain khuwab mere

Khayal saare jhulas gaye hain

Sulagti khuwahish hain khuwab mere

Ukharti saansen hain zindagi ki

Lahoo ki saazish hain khuwab mere

Jo meri aankhon se khuwab dekho

To ek shab bhi na so sako ge

Friday, December 30, 2011

Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko,

Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko,
Aur zamane ki nigahon se bacha le mujh ko,

Maanti hoon ke meri zaat main hain aib tamam,
Phir bhi haar apne galey ka tu bana le mujh ko,

Main hoon tasveer teri raah main, koi rond na de,
Dil ke sheeshey main mohabbat se saja le mujh ko,

Main to heera hoon magar kis ko hai pehchan meri,
Pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujh ko,

Us ke hote huye ab ban’na sanwarna kesa,
Apni chahat se kisi rang main dhaaley mujh ko,

Hijar ki dhoop main jalte huye ik muddat se,
Thak chuki hoon zara seene se laga ley mujh ko,

Zindagi mein aajey gi Sassi teri,
Jab bhi dil chahey tera pass bula le mujh ko..

Us kay chehray pe jab naqaab raha

Us kay chehray pe jab naqaab raha
Aik girhan maiN aftaab raha

Haal apna sada kharaab raha
Phir bhi ye zarf lajawaab raha

Umr bhar narasaayee saath rahi
Haath se door maahtaab raha

Tangdasti zameeN pe lay aayee
AsmaaN per hamara khwaab raha

Tab-e-deedaar ham ko ho na saki
Wo bohot dair be-hijaab raha

Aik lamhay ki dil-lagi ke tufail
Umr bhar dil maiN izteraab raha

Band hoti kitab-e-hasti ka
An-khula haaye aik baab raha

Lazzat-e-dard kab uTha paatay
Roz ham par naya azaab raha

Khud ko darya to ye bhi samjha tha
Apnay dhokay maiN khud Saraab raha

Usko mujh se bari muhabbat hai

Usko mujh se bari muhabbat hai
khwab hota hi khubsoorat hai

Mujhe Na Satao Itna K Mein Rooth Jaon Tum Se

Mujhe Na Satao Itna K Mein Rooth Jaon Tum Se
Mujhe Achha Nahi Lagta Apni Sanson Se Judda Hona

Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki

Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki
Hmaray tootnay ka khel piyaray tum na samjho gay

Thursday, December 29, 2011

Nanhi larki, Sahil ke itne nazdeek,

Nanhi larki,
Sahil ke itne nazdeek,
Rait se apna ghar na bana,
Koi sarkash mauj idhar ayi, to
Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,
Aur phir un ki yaad mein tu,
Saari umar udaas rahe gi..

Lived a Life – Poetry for Mothers Day

Lived a Life – Poetry for Mothers Day

I’ve lived a life of fantasy and terror,
Plunging now and then headlong towards death.
I cannot think what agony it must be
To see your child burn in such a hell.
I’ve fought your love with all the madness in me,
Screaming at my stubborn love for you,
The one thing in my heart that will not let me
Toss my tortured soul into the sea.

I do not know what pain your love has cost you,
Or with what courage you have seen me through.
I only know I love you so much for it
That life becomes too beautiful to hold.

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay

Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay

Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay

Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay

Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay

Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay

Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay

Woh samar tha meri duyaaon ka usey kis ne apna bana liya,

Woh samar tha meri duyaaon ka usey kis ne apna bana liya,
Meri aankh kis ne ujaar di mera khawb kis ne churaa liya,

Tujhe kya batayen ke dilnasheen, tere ishq mein, teri yaad mein,
Kabhi guftagu rahi phool se, kabhi chaand chat pe bulaa liya,

Meri jang ki wohi jeet thi, meri fataah* ka wohi jashn tha,
Main gira to dorr ke us ne jab mujhe bazuyon main uthaa liya,

Meri chaand chooney ki hasrtain, meri khushu hone ki khawhishain,
Tu mila to aesa laga sanam, mujhe jo talab thi woh paa liya,

Mere dushmanon ki nazar mein mera qadd* bara hi raha sadaa,
Meri maan ki pyaari duyaaon ne mujhe zilaton* se bachaa liya,

Mujhe pehle pehle dekh kar jo tera haal tha mujhe yad hai,
Kabhi jal gayi teri rotiyaan, kabhi hath tu ne jalaa liya,

Meri diary meri shayari Shahbaz parh ke woh ro parri,
Mere paas aake kaha mujhe, bara rog tu ne laga liya..

Kisiko deke dil koi nawasanj-e-fugaan kyu ho

Kisiko deke dil koi nawasanj-e-fugaan kyu ho
Na ho jab dil hi seene me to phir mooh mein zabaan kyu ho

Qafas mein mujse rudaad-e-chaman kahate na dar humdum
Giri hai jispe kal bijli, woh mera aasheyan kyu ho

Yahi hai aazmana to satana kisko kehte hai
Adu ke holiye jab tum, to mera intehaan kyu ho

Wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phodana thehra
To phir aye sang-dil tera hi sang-e-aastaan kyu ho

Nikaalna chahta hai kaam kya taanon se tu Ghalib
Tere be-meher kehney se, woh tujh pe meherbaan kyu ho

Wednesday, December 28, 2011

A Group Of People

A Group Of People
From My Ummah Will
Continue To Fight In
Defense Of Truth And
Remain Triumphant Until
The Day Of Judgment

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Jo Qalb Ko Garma Dey Jo Rooh Ko Tadpa Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Phir Vadi-e-faran Ke ,har Zarray Ko Chamka Dey
Phir Shok-e-tamasha Dey Phir Zoq-e-taqaza Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Mehroom-e-tamasha Ko Phir Deeda-e-beena Dey
Dekha Hai Jo Kuch Main Nay Aoron Ko Bhi Dikhla Dey
Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Batkay Huay Aahoo Ko Phir Soyay Haram Lay Chal
Is Shehr Kay Khogar Ko Visatay Sehra Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Paida Dilay Verran May Phir Shorish Mehsher Kar
Is Mahfile Khali Ko Phir Shahiday Laila Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Is Daur Ki Zulmat Main Har Qalb-e-pareshan Ko
Woh Daag-e-mohabbat Dey Jo Chaand Ko Sharma Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Rifat Maqasid Ko Hum Rosh Zulakha Kar
Khudaryay Sahil Day Aazadiyay Darya Day

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Bay Los Mohobat Ho Bay Baak Sadaqat Ho
Senu May Ujala Kar Dil Surati Mina Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Jo Qalb Ko Garma Dey Jo Rooh Ko Tadpa Dey

Ramzan Me Jo Mujhe Dua Me Bhool Jaye

Ramzan Me Jo Mujhe Dua Me Bhool Jaye
Uske Pakode Jal Jaye
Samose Khul Jaye
Sandwich Sookh Jaye
Khane Me Namak Tez Hojaye
Roohafza Me Makhi Gir Jaye
Sehri Me Aankh Azaan Se Ek Minute Pehle Khulay
Jute Ki Size Kahi Na Milay
Aur Eid Ka Dress Na Silay
Isliye
Naam Leke Duaon Me Zarur Yaad Rakhna

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon
Jaan bejhoon tujhe yah dil ka dharakna bejhoon

Maang loon apnay khuda se koi lamha aisa
Jis peh tu aa keh tehr jaye who rasta bejhoon

Sakht sardee mai Mohabbat ki Samoo doon Garmi
Aur garma mai khunk mausam-e-aasa bejhoon

Chand ratoon ka fasoon ab kay tere naam likhoon
Din Ki Hiddat kay liye shajr gahna sa bejhoon

Tashangee ab kay baras tujh se bohot duur rahay
Piyaas umroon ki bujha dey who maseeha bejhhoon

Tu Chalay gar Tu cheraagaan sitaare saath chalay
Dil ase jo nikli dua usska khazeena bejhoon

Umri khawhish keh Bahar aa ke tere ghar mein rahay
Aur barsaat mein rhim jhim ka sandeesa bejhoon

Kaash koi aisee Kiramat ho mere pass keh mein
Duur Tak mausam-e-gul na ho main tujhe gancha bejhoon

dil ko kya ho gaya Khuda jane

dil ko kya ho gaya Khuda jane
kyon hai aisa udas kya jane

kah diya main ne hal-e-dil apna
is ko tum jano ya Khuda jane

jante jante hi janega
mujh main kya hai abhi wo kya jane

tum na paoge sada dil mujh sa
jo tagaful ko bhoi haya jane

Tuesday, December 27, 2011

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain
Jo log mere qad k barabar nahi aatay

Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay

Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay

Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay

Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay

Wo shakhs nazar aey kbhi to usay faqat itna kahna

Wo shakhs nazar aey kbhi to usay faqat itna kahna
Jinko aadi kar diya hy apna…Wo log bht yaad karty hyn

Thodi-Thodi Sanso K Liye,Humne Zindagi Bechi

Thodi-Thodi Sanso K Liye,Humne Zindagi Bechi,
Parchhaiyon Se Tang Aa K,Humne Roshni Bechi,
Aankho Mein Bas Aansu Hi Reh Gaye,
Varna Duniawalon Ne To Dosti Bhi Bechi

jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa

jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa
zaraa sii pyaas to bujhaa sharaab laa sharaab laa

tere shabaab par sadaa karam rahe bahaar kaa
tujhe lage merii duaa sharaab laa sharaab laa

yahaaN koii na jii sakaa na jii sakegaa hosh maiN
mita de naam hosh kaa sharaab laa sharaab laa

tera badaa hii shukriyaa pilaaye jaa pilaaye jaa
na zikr kar hisaab kaa sharaab laa sharaab laa

Congratulations to you

Congratulations to you, my old friend,
Birthday wishes to you, I do send.

You look good for your age, I could say,
But you look good to me any day.

When I look in the mirror, I sigh,
'Cause I know the mirror doesn't lie.

You're aging like me, so you surely can see
That you're getting to be an old guy

Mujh me " MAIN " Bohat hai.

Mujh me " MAIN " Bohat hai....
Mujhe tum kahin se " TUM " La do

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen...
Fiza me Dukh Racha hoa hi..
Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...
Phool ke Labo'n pe Peyas hi..
Aisa Lagta hi..
Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..
Saba ke dono hath khali hon..
keh... shehr mein Tera koi pata nahen...
saans lena kitna mahaal hi..
udassian udassian Ajab haal hi..
Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...
Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...
Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....
Sookey Zard pattey...
Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...
Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...
Mgr uss ki Aankho'n me..
Wo Jag-mgahetie'n nahen...
Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per...
Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..
Zamee'n bhe meri Trah hi..
Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..
Koi Gulaab uug na paye ga..
Zamee'n Banjer ho gai hi...
Aur...
Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be...
Meri soch key sadaf mein...
Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...
keh main sarapa-e-tashnagi hon...
Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...
Meray aur Teray darmian...
Paanch Paanio'n key Des mein...
Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...
Mian kis trah SHER kahoo'n...
Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...
keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hoon

Read This SLowLy "LIFEISNOWHERE"

Read This SLowLy "LIFEISNOWHERE"

What Did U Read?

LiFe Is No Where!!
OR
LiFe IS Now Here!!

Just BeautifuL Line To Say,
"LiFe Depends On The Way We Look It"

Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Bichartay Waqt Jo Tum Sonp Kar Gaye Thay Mujhe
Wo Intezaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

TU Khud Hee Jaanay Kaheen Door Kho Gaya Hai Magar
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Mein Jub Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Mein Ab Bhi Girtay Howay Paanion Ki Qaid Mein Hun
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaisay Karay ?
Ke Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Monday, December 26, 2011

Zindagi Thak K Girti Hai To Khayal Aata Hai

Zindagi Thak K Girti Hai To Khayal Aata Hai
Jan-Leva hai La-Hasil Ki Tamnna Krna

Kal Hamesha Ki Tarah Us Ney Kaha Yeh Phone Per_

Kal Hamesha Ki Tarah Us Ney Kaha Yeh Phone Per_

Me Bohat Masroof Hon_
Mujhe Bohat Se Kaam HAin….

Is Liye Tum Aao Milne Me To Aa Nahi Sakta_
Har Riwayat Tor Kar Is Bar Mene Keh DIya_

Tum Jo Ho Masroof TO Me B Bohat Masroof Hon_
Tum Jo Ho Mashoor To Me Bhi Bohat Mashoor Hon_

Tum Agar Ho Ghamgeen To Me Bhi Bihat Ranjoor Hon_
Tum Thakan Se Chor Ho TO Me Bhi Thakan Se Choor Hon_

Jaan-e-man Hai Mera Waqt Bhi Bohat Qeemti_
Kuch Puraney Dosto Ney Anaa Hai Abi_

Main Bhi Ab Farig Nahi Bhot Se Kam Hain Mujh Ko_
Warna Kehne Ko To Saarey Lamhe Tumhare Hain_

Meri Ankhein Bhi Bohat Bojahl Hain Sonaa Hai Mujhe_
Ratjagon K Bad Ab Needon Me Khona Hai Mujhe_

Main Lahoo Apni Anaoun Ka Baha Sakti Nahi_
Tum Jo Nahi Ate To Milne Mein Bhi Aaa Sakti Nahi_

Ous Ko Yeh Keh K Sagar_ Receiver Rakh DIa Mene_
Our Phir APni Aanaa K Sir Pe Paoun Rakh Diya Mene_

Wo Jo Ek Shakhs Mataa-e-Dil-o-Jan Tha

Wo Jo Ek Shakhs Mataa-e-Dil-o-Jan Tha... Na Raha...
Ab Bhala Kon Mere Dard Sambhaaly “Mohsin”

Tum na aaye na tumhara koi paigham aya

Tum na aaye na tumhara koi paigham aya
Kuch hawaaon se hi kehlaao ke raat kattey

Saaz khamosh ko choti hey zara aahista

Saaz khamosh ko choti hey zara aahista
Ek omeed kisi zakhma-ey jan ki sorat
Lab par aatey hen dil o zehan sey uljhey ye sawal
Kisi andeshey key manind guman ki sorat

Zehan key ghusha-ey kam feham main soya howa eilm
Jagti aankh ki putli pey nahin utrey ghaa
Doob jaye gha andherey main wo naadidah khayal
Jo chamakta tu kisi dil main ojalah karta

Jisam par nashey key manind tasawar koi
Dil main tasweer mujasam ki tarha koi wasaal
Dafan ho jaye gha ek thehrey howey pani main
Meri aankhon ki tarah ishq ka ye mah jamaal

Ek hi pal main bikhar jaye gha sherazah jaan
Ek hi aan main kho jaye ghi ley hasti key
Umar par pheli bhaley waqat ki umeed jo hey
Ek jhatkey sey ye dhaghey ki tarha tutey gey

Kiya bikhar jayen ghey nazmaye howey ye kaghaz
Ya kisi dast mulaem sey sanwar jaye gey
Kiya thehar jaye ghey is loh pey sab haraf merey
Ya merey sath zamaney sey ghuzar jayen ghey

Meri awaz ki lehron sey ye bantey howey naqsh
Kiya hawa ki kisi junbish sey bikhar jayen ghey
zindah reh jayen ghey taabeerey muhabbat ban kar
yaa merey khwab merey sath hi mar jayen ghey

ساز خاموش کو چھوتی ہے  ذرا آہستہ
ایک امید  کسی زخمہء جاں کی صورت
لب پر آتے ہیں دل و ذہن سے الجھے یہ سوال
کسی اندیشے کے مانند  گماں کی صورت


ذہن کے گوشہء کم فہم میں سویا ہوا علم
جاگتی آنکھ کی پتلی پہ نہیں اترے گا
ڈوب جائے گا اندھیرے میں وہ نادیدہ خیال
جو چمکتا تو کسی دل میں اجالا کرتا


جسم پر نشّے کے مانند  تصوّر کوئی
دل میں تصویر مجسّم کی طرح کوئی وصال
دفن ہو جائے گا اک ٹھہرے ہوئے پانی میں
میری آنکھوں کی طرح عشق کا یہ ماہ جمال


ایک ہی پل میں بکھر جائے گا شیرازہء جاں
ایک ھی آن میں کھو جائے گی لے ہستی کی
عمر پر پھیلی بھلے وقت کی امید جو ہے
ایک جھٹکے سے یہ دھاگے کی طرح ٹوٹے گی


کیا بکھر جائیں گے  نظمائے ہوئے یہ کاغذ
یا کسی دست ملائم سے  سنور جائیں گے
کیا ٹھہر جائیں گے اس لوح پہ سب حرف مرے
یا مرے ساتھ  زمانے سے گزر جائیں گے


میری آواز کی لہروں سے، یہ بنتے ہوئے نقش
کیا ہوا کی کسی جنبش سے، بکھر جائیں گے
زندہ رہ جائیں گے  تعبیر محبت بن کر
یا مرے خواب، مرے ساتھ ہی مر جائیں گے؟

Sunday, December 25, 2011

Qadmoon Me Kaainaat B Rakh Di Gai Mgr

Qadmoon Me Kaainaat B Rakh Di Gai Mgr
Hum ne Tumhari YaaD Ka Sauda Nahi Kiya...

Real friends are not those

Real friends are not those
who are always around when everything’s almost perfect.
They’re the one’s who dig deep when you’re down
just to pull you up and say,
"Everything’s gonna be alright.."

Good Night

Beet gaya jo saal,Bhul jayye

Beet gaya jo saal,Bhul jayye,
Es Nayai Saal ko Gale lagayye,
Karte hain duwa hum Rab se sar jhuka kay...
Es Saal ka Sare Sapne pura ho Aap kay.
*NAYA SAAL MUBARAK*

Wish You Happy Teachers Day

Wish You Happy Teachers Day !!!
A Good Teacher Is Like A Candle -
It Consumes Itself To
Light The Way For Others

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Aik Ass Ki Phansi Liye Man Main
Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho
Koi Deepak Ho Koi Tara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Jab Sawan Badal Chaiyee Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
ya shaam nay basti ghari Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Han Dil Ka Daman Pheela Ho
Kion Gori Ka Dil Mela Ho
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Doe Jharokey Main
Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Kya Jhagra Sood Khasarey Ka
Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka
Sab Sona Ropa Lay Jayee
Sab Dunya Dunya Lay Jayee
Tum Aik Mujhey Behteri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
By Ibne-Insha

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko Dekhon
To Tumhari Piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko,Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
BussJab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho!!!

Bhool Jau – Sad Bhool Shayari

Bhool Jau – Sad Bhool Shayari

Aapko Bhool Jau Umar Guzarne Ki Baat Hai,
Aap Ko Naa Ho Yakin Yeh Aur Baat Hai,
Jab Tak Rahegi Saas Tab Tak Rahonge Yaad,
Yeh Saas Tut Jaaye To Aur Baat Hai

yon lage dost tera mujhse khafa ho jana

yon lage dost tera mujhse khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana

ahl-e-dil se ye tera tark-e-ta'alluq
waqt se pahle asiron ka riha ho jana

yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mojza tere wade ka wafa ho jana

zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana

jane wo kaun si kaifiyat-e-gamkhwari hai
mere pite hi "Qateel" us ko nasha ho jana

Saturday, December 24, 2011

A Sardar saw a Beautiful Girl,he Went and Kissed her.

A Sardar saw a Beautiful Girl,he Went and Kissed her.
Girl: "STUPID what r u doing?"
Sardar: B.Com final year"

Yeh Jhoot Hai K Muhabbat Kissi Ka Dil Torti Hai

Yeh Jhoot Hai K Muhabbat Kissi Ka Dil Torti Hai
Log Khud Hi Toot Jate Hain, Muhabbat Karte Karte

Bay roohi is sa barh kar or bhala kia ho gi

Bay roohi is sa barh kar or bhala kia ho gi
Aik mudat sa humain us na bataya bhi nahi

Muhababt kam nahi hoti.

Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Zamana is k aagay aahni dewar ban jaye
Aur us ki haath ik talwaar ban jaye
Muhabbat dar nahi sakti Daranay se
Nahi mitti mitanay se
Muhabbat ki banti nahi zamanay se
Ye apni jaan de kar bhi kabhi bedam nahi hoti

Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Kabhi ye heer ka joban kabhi ranjhay ki wanjili hai
Kabhi khaaro’n bhara rasta, Kabhi ye phool jangli hai
Kabhi sheeree’n ki betabi, kabhi farhaad ka taisha
ye kuch kuch shehed jesi hai, maza hai is mein sam jaisa
Junoo’n hai qais ka, laila ki ye waraftagi hai
Khudi ka bhaid hai is mein
Muhabbat be-khudi bhi hai
Muhabbat hai khuda jesi, khudaai is mein shaamil hai
Sitara mat kaho is ko, muhabbat maah-e-kaamil hai
Aur is ki lou kabhi madham nahi hoti.

Koi jitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Self-pity gets you nowhere

Self-pity gets you nowhere.
One must have the adventurous daring to accept
oneself as a bundle of possibilities and
undertake the most interesting game
in the world -- making the most of one's best.

(Harry Emerson Fosdick)

Har Roz Koi Khuwaab Toot Jaata Hai

Har Roz Koi Khuwaab Toot Jaata Hai
Har Roz Koi Apna Rooth Jaata Hai
Na Jany Meri Qismat Main Kya Hai
Jisay Mein Yaad Karon Wohi Mujhe Bhool Jata Hai.

Friday, December 23, 2011

Rootha Yaar Manane Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai

Rootha Yaar Manane Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai
Bigdi Baat Banae Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai.

Gujere Daur Bhula Dete Hain Log Dushmani Ko
Lekin Sath Mein Saya Saya Khauf To Rehta Hai.

Beshak Bher Jata Hai Jakhm Merhum-O-Dawa Se
Lekin Uska Halka Halka Nishan To Rehta Hai.

Shehed Shehed Le Ud Jati Hain Naye Gher Ko Makkhiyan
Pichhli Sakh Pe Banke Kiraya Mom To Rehta Hai.

Nakam-E-Ishq Hona Bhi Fujool Nahi Hai
Taumra Ke Liye Koi Tajurba To Rehta Hai.

Husn-O-Shabab Ki Aadat Mana Pere Ne Chhuda Di
Kahin Kahin Per Dil Mein Waki Shauq To Rehta Hai.

Two Line Shayari in Urdu

Two Line Shayari in Urdu

Agar Maaloom Hota Ishq Yun Majboor Kar Day Gaa…,
Bohat Pehlay Hee Iss Aafat Sey Tauba Kar Chukay Hotay…!

Thursday, December 22, 2011

Tere Bukhshe Hue Gham Ka Karishma Hai Ke Ab

Tere Bukhshe Hue Gham Ka Karishma Hai Ke Ab
Mujhe Har Gham Apne Payar Se Kam Lagta Hai

If u r in a dark room

If u r in a dark room,
U find blood everywhere and
wals r shaking
dont worry friend...................
u r at the safest place
u r in my heart

Phir saheloon ki dhoop main kinaray bhatak gaye,

Phir saheloon ki dhoop main kinaray bhatak gaye,
Dukh ke saleeb pe woh gham kay maray bhatak gaye,

Sehraoon main bagola ban kay raha uski talash main,
Jo rasta dekhatay thay woh sitaray bhatak gaye,

Raqeboon say kia gilla karain apnay bhi howay juda,
Qasmeen jo kha rahay thay woh piyaray bhatak gaye,

Hum ko umeed thi woh baharoon ko laien gay,
Jin pay thay takiya kartay woh saharay bhatak gaye,,

Duniya main sarpheroon ki nahi ab bhi koi kami,
Jo masoon thay woh ashiq baycharay bhatak gaye..

Chalo Tm Chor Do Mujko

Chalo Tm Chor Do Mujko
Main Wapis Lout Jata hn..
Tmhen Manzil Mubarik Ho
Naya Sathi Mubarik Ho…..
Mgr Phir Aey Mere Hamdam
Muje Itna To Btla do..
Kahan Se Sath Laye Thay…..?
Muje Itna To Samjha Do..
Agr Aesa Nahi Mumkin
To Mujko Iss Tarah Toro..
K Main Yaksar Bikher Jaon
Bhatakne Se To Behter Hai..
“TUMHARE PAS MARR JAON”

In this lovely night

In this lovely night,
I pray 2 the blue moon 2 protect U through the nite,
the wind 2 blow away ur stress
and
the twinkle stars 2 guide U the way,

Sweet dreams GoodNight

Wednesday, December 21, 2011

Raaton ko uth kr neer bahana acha nahi

Raaton ko uth kr neer bahana acha nahi
Aankhon ko sitaron se sajana acha nahi

Waqt ka pheyha kabhi rukta nahi
Kisi ke lout aney ki umeed lgana acha nahi

Ye pathron ka shehar hai naadan
Yahan aayina dekhana acha nahi

Zulmaton may basney waley kab taaib hotey hain
Noor ki yahan shama jalana acha nahi

Aajiz rahoon ke chalan wo kia janey
Garoor inkey matti may millana acha nahi

MUHABBAT hum Se Karni hy To phr Shikwa nahi krna

MUHABBAT hum Se Karni hy To phr Shikwa nahi krna
ye Shikwy hum ne Dekhe hain Dilon Ko Door krty hain

Be miserable

Be miserable.
Or motivate yourself.
Whatever has to be done,
it's always your choice.

(Wayne Dyer)

Take My Eyes but let me c u

Take My Eyes but let me c u.Take my mind but let me think about u.Take my hand but let me touch u.But if u want to take my heart, its already with U

I have 3 parts of my heart

I have 3 parts of my heart,
.
.
.
1st 4 my Allah,
.
.
2nd 4 my Family,
.
3rd 4 myFriends.

*

*

But no part 4 u,

Becoz,

U
R
My
Heart

Tuesday, December 20, 2011

Go 2 Bed

G. Go 2 Bed
O. Off d Lights
O. Out O Tension
D. Dreams Come

N. Nice Sleep
I. Ignore Worries
G. Get Up Early
H. Have A Nice Day
T. Thank God Always

Love came down at Christmas

Love came down at Christmas;
Love all lovely, love divine;
Love was born at Christmas,
Stars and angels gave the sign

Tree leaves do not look green forever,

Tree leaves do not look green forever,
Roses do not look fresh forever,
But I pray to ALLAH that
Smile on your lips stay forever.

Good Morning & Have A Nice Day

raat ki tanhai mein aksar, yeh souchta rehta hun logou

raat ki tanhai mein aksar, yeh souchta rehta hun logou
Muhabbat dua ha saza ha jaza ha ya ek gunnah ha

Bin Maange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz .

Bin Maange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz .
Koi Khaali Hath Reh Jaata Hai HAazaroon Duaaon K Baad .

Khod ba khod nend se ankhon me kholi jati hai,

Khod ba khod nend se ankhon me kholi jati hai,
Mehki mehki hai shab e gham tere balon ki tarah.

Monday, December 19, 2011

Taskeen-E-Muhabbat K Do Hi Tareeky Thy

Taskeen-E-Muhabbat K Do Hi Tareeky Thy
Tum Na Bany Hooty Ya Dil Na Bana Hota

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar

Hum hain wo barg-e-khizaan-deeda jinhain Nasir

Hum hain wo barg-e-khizaan-deeda jinhain Nasir
Chaman mein dhoondti phirti hai barg-e-awara

ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai

ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai

is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai

ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai

Perfect Day – Birthday Poetry in English

Perfect Day – Birthday Poetry in English

Your birthday is the perfect day
to say I care,
because you will remember me
when u certainly make it a big affair,
and when you do hold a party…
I bet you will be the one who would care
to make ur special day a costly affair

Mere Wajud Main Wafa Ki Roshni Utaar De

Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato?n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De

Sunday, December 18, 2011

ROSES AER RED,RED IS BLOOD

ROSES AER RED,RED IS BLOOD,BLOOD FOR HEART,HEART FOR YOU,YOU FOR ME

Sath rota tha mere sath hansa krta tha

Sath rota tha mere sath hansa krta tha,
wo shakhs mere dil me ese bsa krta tha.
Ek lmhe ka bichadna b gvara na tha use,
rote hue mjhe khud se juda krta tha,
Rog dil ko laga betha anjane me wo,
mere sath umar bitane ki dua krta tha,
Baat kismat ki hai ke juda ho gaye ham,
wrna wo to mjhe apni taqdir kaha krta tha

Saturday, December 17, 2011

Every King was once a crying baby

Every King was once a crying baby
and
every great building was once a map.
It's not important where u r TODAY,
BUT
where you will reach TOMORROW is important

Wo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya

Wo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya
khus rahun usse bhool kar ye Duaa de gaya

Koi raQeeb hota to maiN bhool jati usse
habib ban kar bhi vo mujhe jafaa de gaya

chala gaya woh guzre hue mausam ki tarah
mujhe tanhai meiN jine ki baQaa de gaya

Chaand ban kar utarna tha meri aangan meiN
wo dard ke barish aur thandii hawaa de gaya

Kitna muskil hai khud ko samjhaNa
jab mout se bhi badh kar koi sazaa de gaya

Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi,

Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi,
Tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale..

manzar hai wahi thithak rahi hun

manzar hai wahi thithak rahi hun
hairat se palak jhapak rahi hun

ye tu hai k mera waham hai
band ankhon se tujh ko tak rahi hun

jaise k kabhi na tha tarruf
yun milte hue jhijhak rahi hun

pahchan main teri roshani hun
aur teri palak palak rahi hun

kya chain mila hai sar jo us k
shanon pe rakhe sisak rahi hun

ik umr hui hai khud se larte
ander se tamam thak rahi hun

Hai Yaad Mulaqat Ki Wo Shaam Abi Tak

Hai Yaad Mulaqat Ki Wo Shaam Abi Tak
Main Tujh Ko Bhulany Me Hon Na'Kaam Abi Tak

Friday, December 16, 2011

Maine pucha, zehar se bhi taizz koi cheez,

Maine pucha, zehar se bhi taizz koi cheez,
Saaqi ne, zindagi ka peyala thamaa diya..

Zamana Aaya Hai Be_Hajjabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga,

Zamana Aaya Hai Be_Hajjabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga,
Sakoot Tha Parda_Daar Jiska, Wo Raaz Ab Aashkar Hoga…

Ghumon ki dhoop me rehney laga hai dil mera,

Ghumon ki dhoop me rehney laga hai dil mera,
Pighal kay ankh sey behney laga hai dil mera…

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo

Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo

Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa

Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain

Us ne kaha ke raat ko socha na karo

Maine kaha ke raat ko neend nahi aati

Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera

Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo

Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain

Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai

Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai

Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi

Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo

Ye Eid Ke Pakwaan Ka Kuch Aaisa Aasar Hai..

Ye Eid Ke Pakwaan Ka Kuch Aaisa Aasar Hai..
Mehboob Ki Zulfain Bhi Lagti Hain Sawaiyaan.. :P

Thursday, December 15, 2011

Jahan Jahan Uthi Nazar,

Jahan Jahan Uthi Nazar,
Hussain Hi Hussain Hain,

Shajar Shajar, Samar Samar,
Hussain Hi Hussain Hain,

Zameen Se Aasman Talak Nazar Gayi Jahan,
Dua Dua, Asar Asar,
Hussain Hi Hussain Hain,

NABI ki Pusht-e-Pak Ho,
Ya Karbala Ki Khaak Ho,

Ghuroor-e-Sajda Jis Ka Sar,
Hussain Hi Hussain Hain,

Jo Zair-e-Taigh, La-Ilah
Kaha To Keh Utha Khuda,

Hai Jis Pe Mujh Ko Naaz Woh,
Hussain Hi Hussain Hain,

Kata Ke Sar, Luta Ke Ghar,
Karay Jo Sajda Khaak Par,

Zameen Pe aisa Moa’tbar,
Hussain Hi Hussain Hain..

Teri ankhon se aesi sharab pee maine

Teri ankhon se aesi sharab pee maine
Ke phir na kabhi hosh ka daava kiya kabhi maine
Woh aur honge jinhe maut aa gayi hogi
Nigah-e-yaar se payi hai zindagi maine

Wo rootha rootha sa lagta hai

Wo rootha rootha sa lagta hai
Koi tarkeeb batao pass aane ki
Main zindgi girvi rakh sakta hoon
Tum keemat batao usey manane ki

Tuesday, December 13, 2011

Mohabbat Aazmany Ke Liye Itna Hi Kafi Hai

Mohabbat Aazmany Ke Liye Itna Hi Kafi Hai,
Zara Sa Rooth Kar Dekho, Manany Kon Aata Hai

Sirf Itna Usy Bata Dena

Sirf Itna Usy Bata Dena...
Mujh ko Aata Nahi..Bhula Dena...!

Tere kehne pe lagayi hai yeh mehndi mene

Tere kehne pe lagayi hai yeh mehndi mene,
Eid per ab tu na aya to qayamat hogi..

Assar mujh per kare gi kya,

Assar mujh per kare gi kya,
Kisi gulzaar ki khushbu,

Mere dil mein to rehti hai,
Tumhari yaaad ki khushbu,

Tujhe bezaar karti hai dil e abad ki khawhish,
Mujhe abaad rakhti hai dil e barbaad ki khushbu,

Tere aney ke waadey per yeh kesa ratjaga sa hai,
Mujhe soney nahin deti tere irshaad ki khusbhu,

Woh jitne zakham deta hia mujhe sab phool lagte hain,
Mujhe mashoor rakhti hai sitam ki khushbuu,

Jahan dekho sara mohabbat se moater hai,
Kahin sheerin ki khusbu hai kahin farhaad ki khusbu..

Bhool se koi bhool hui to

Bhool se koi bhool hui to
bhool samajh kar bhool jana.

Are bhoolna sirf bhool ko,
bhool se bhi hame na bhulana.

Jane Us Shakhs Ko Ye Kesa Hunar Aata Hai

Jane Us Shakhs Ko Ye Kesa Hunar Aata Hai,
Raat Hoti Hai To Aankhon Mein Utar Aata Hai

Bus gayi hai mery ehsaas main yeh kaisi mehak…..

Bus gayi hai mery ehsaas main yeh kaisi mehak…..
Koi khushboo main lagaon teri khushboo aye….

Narawa Kehiay, Nasaza Kehiay

Narawa Kehiay, Nasaza Kehiay
Kehiay Kehiay Mujhay Bura Kehiay

Dil Main Rakhnay Ki Baat Hai Gham-E-Ishq
Isko Hergiz Na Bermala Kehiay

Aa Gai Aap Ko Maseehayee
Mernay Walon Ko Marhaba Kehiay

Hosh Jatay Rahay Raqeeboon K
Daagh Ko Aur Bewafa Kehiay

Monday, December 12, 2011

There Were Times You Make Me Cry.

There Were Times You Make Me Cry... Looking 4 A Reason Why... There Were Times You Make Me Fly...Stay With Me Until I Die...Stay With Me.

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!

kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai

ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai

ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai

shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .

Saf basta hai har moor pe kuch sang bakaf log,

Saf basta hai har moor pe kuch sang bakaf log,
Ae zakham e hunar lutaf pazeerai to abb hai.

Sunday, December 11, 2011

What's the meaning of friendship

What's the meaning of friendship?
this is the close relationship......

in which we want to gossip........
it's the life ship.........
b coz in life,friend's the ship......
frinds'r bound like jip.
friendship's the life's success tip.

Muhabbat phool hai muskan kaho tou phool ban jaun

Muhabbat phool hai muskan kaho tou phool ban jaun,
Tumari zindgi ka aik haseen usool ban jaun,
Suna hai rait pe chal ke tum aksar mehak jate ho,
Kaho tou ab ki baar mei zameen ki dhool ban jaun,
Bahut nayaab hote hain jine tum apna kehte ho,
Izazat do ki mei bhi iss kadar anmol ban jaun.

Na cheera ae khalash dard bar bar na cheer

Na cheera ae khalash dard bar bar na cheer
Chopae betha hon sene me aik umer k raaz

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta ha

Saturday, December 10, 2011

Dekh lete hain chalo hosla apne Dil ka

Dekh lete hain chalo hosla apne Dil ka
Or kuch Roz Tere baghair Guzara kr k...

Ye chand bhi ajeeb sitam dhata ha

Ye chand bhi ajeeb sitam dhata ha,

Zra Gour farmaiyega.

Ye chand bhi ajeeb sitam dhata ha.

Bachpan mein ye Mamo Or jawani mein Janu nazar Aata hai..!

Dekhaa mujhe to tark-e-taluq ke bawjood

Dekhaa mujhe to tark-e-taluq ke bawjood
Woh muskuraa diya yeh hunar bhi ussi ka tha

Mily to hazaron chehre thy meri zindagi me mgr

Mily to hazaron chehre thy meri zindagi me mgr
wo sab se alag chehra tha... jo meri kismat me nahi tha

The Miracle – Mothers Day Greetings

The Miracle – Mothers Day Greetings

M is for the miracle of Being.
O is for its origin in love.
T is for the tenderness of seeing.
H is for a home no wind can move.
E is for the ecstasy of living.
R is for the recklessness of giving.

Be-talab kis ke galey mein daal doon is haar ko

Be-talab kis ke galey mein daal doon is haar ko
Mujh se meri zindagi bhi maangta koi nahin

Nikaala ham ko Janat se Fareb-e-Zindagi dey ker

Nikaala ham ko Janat se Fareb-e-Zindagi dey ker
Dia phir shaoq-e-Janat kyon Ye Hairaani nahi jati

Meri khushi ka Zamana hawa ka jhonka tha

Meri khushi ka Zamana hawa ka jhonka tha
Mere ghamon ki rahi Zindagi Daraaz Buhat

One Of The Best Quote

One Of The Best Quote,

Always have a

BACKUP

BEFORE

BREAKUP

Friday, December 9, 2011

Doctor's prescription 4 u

Doctor's prescription 4 u.
A cute little smile 4 breakfast.
More laughs 4 lunch.
Lots of happiness for dinner.
Doctor's fee? An sms when u r free.

Na Jany Itni Muhabbat Kahan se Aa gai Hai us K lye

Na Jany Itni Muhabbat Kahan se Aa gai Hai us K lye
K Mera Dil B Uski Khatir ___ Mujh se Rooth Jata hai

Aisay He Nahi Roz Falak Daikhta Tuj Ko

Aisay He Nahi Roz Falak Daikhta Tuj Ko
Chehra Hai Tera Chand Sitaray Teri Aankhain

Tajmahal Funny Shayari

Tajmahal Funny Shayari

Har Nazar Mai Ek Kashish Hoti Hai
Har Dil Mai Ek Chahat Hoti Hai
Mumkin Nahi Har Ek Ke Liye TAJMAHAL Bananan
Kyonki Har Dil Mai Chaar – Paanch Mumtaz Hoti Hai

Thursday, December 8, 2011

Aftaab ho jaise waisa hoon mein

Aftaab* ho jaise waisa hoon mein,
Shaam abhi ayi na thi dooba hoon mein

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say,
Main Bujhta Aik Chiragh Hoon,

Mera Room Room Dard Dard,
Meray Dukh Ka Sira Nahin,

Meri Laghzishon Main Pali Barhi,
Koi Khoi Kahani Bhi Hai,

To Jo Sath Hai To Sukoon Naheen,
To Jo Rooth Gia To Azab Hai,

Meri Zindagi Hai Aik Goo Mago,
Mujhay Roshni Milti Naheen

Teri Muhabbat Se Ly Kr Tere Alvida Kehne Tak.

Teri Muhabbat Se Ly Kr Tere Alvida Kehne Tak....
Main ne Srf Tujhe Chaha... Tujh Se Kuch Nahi Chaha

Aansu Mujhe Tanha Hone Nahi Dete

Aansu Mujhe Tanha Hone Nahi Dete

Kitne Guroor Mein Hai Woh Mujhe Tanha Chhod Ke
Unhe Maloom Nahi Mere Aansu Mujhe Tanha Hone Nahi Dete.

Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen

Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen
Ta-umar sath denay ki rasmain kahan gaeen

Do qadam sath chal k ker laitay hein kinara
Ik sath jeenay marnay ki qasmain kahan gaeen

Aata hay yad mujh ko us ka lagatar dekhna
Jo jhapki kabhi na theen wo palkain kahan gaeen

Sookhi patton ki tarah bikhar jati hein ulfatain
Jo pakti theen piyar mein wo faslain kahan gaeen

Bujh jatay hein aik jhonkay say jhooti chahat k charagh
Jo jalti theen aandhiyon mein wo sham’ain kahan gaeen

Na milna ho to aajkal so so bahanay hein
Jo kachy ghary pe hoti theen wo mulaqatain kahan gaeen

Hay be wafaai her su aur ja baja hay bay rukhi
Jo theen wafa ki paiker wo soortain kahan gaeen

Uski sitamgaryon k ab jari hein silsilay
Jp mangain Azmi k wastay wo duaaen kahan gaeen.

Meaning of Mothers Day in English

Meaning of Mothers Day in English

M is for the miracle of Being.
O is for its origin in love.
T is for the tenderness of seeing.
H is for a home no wind can move.
E is for the ecstasy of living.
R is for the recklessness of giving.

No Greeting Card To Give

No Greeting Card To Give..
No Sweet Flowers To Send..
No Cute Graphics To Forward..
Just
A LOVING HEART
Saying
"HAPPY X'MAS"

main apni har ik sans usi raat ko de doon

main apni har ik sans usi raat ko de doon
sar rakh k mere seene per so jao kisi din

Wednesday, December 7, 2011

Tuesday, December 6, 2011

Na Ayaaan Hoi Tum Se

Na Ayaaan Hoi Tum Se
Na Bayaan Hoi Hum Se
Bus Suljhi Hoi Ankho Me... Uljhi Rahi Muhabbat..

Dil Ka Dard Dil Torrne Waley Kiya Jaaney

Dil Ka Dard Dil Torrne Waley Kiya Jaaney
Pyar Ke Rivajon Ko Zamana Kiya Jaaney
Hoti Hai Kitni Takleef Larrki Ko Pataney Main
Ye Ghar Pe Baitha Larrki Ka Baap Kiya Jaaney

Hai Tu Agar Mera Dilbar
Hai Tu Agar Mera Dilbar
To Aaj Ke Lunch Ka Bill Tu Bhar

Hum Guzre Un Ki Gali Se Ajab Ittefaq Tha
Hum Guzre Un Ki Gali Se Ajab Ittefaq Tha
Unhon Ne Phenka Hum Pe Phool
Lekin Gamla Bhi Saath Tha

Un Ki Gali Ke Chakkar Kaat Kaat Kar
Kutte Bhi Hamare Yaar Ho Gaey
Woh To Hamare Ho Na Sakey
Hum Kutton Ke Sardar Ho Gaey

Na Woh Inkaar Karti Hai
Na Woh Ikraar Karti Hai
Kambakhat Mere Hi Sapnon Main Aa Kar
Mere Dost Se Pyaar Karti Hai

Mene Poochha Chand Se
Kabhi Dekha Hai Mere Yaar Sa Haseen?
Chand Ne Kaha: Chandni Ki Kasam
2200599999 Entries Found!

Agar Tum Kaho To Tumhare Liye
Aasman Se Chand Taare Torr Laun
Agar Tum Kaho To Tumhare Liye
Aasman Se Chand Taare Torr Laun
Lekin Tum Unka Karo Gi Kiya???
(Kiya Logical Sher Hai!!)

Jub Dekha Unhon Ne Tirchhi Nazar Se
To Hum Madhosh Ho Gaey
Par Jab Pata Chala Ke Un Ki Nazren Hi Tirchhi Hain
To Hum Behosh Ho Gaey

Ab Jab Girja Baadal Teri Yaad Ai
Jhoom Ke Barsa Saawan Teri Yaad Ai
Bheega Main Lekin Phir Bhi Teri Yaad Ai
Kiyun Na Aey Teri Yaad?
Tune Jo Chhatri Ab Tak Nahi Lautai

Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi

Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,
Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi,

Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain,
Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi,

Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee,
Ab jo hai mujh pe inaayat kabhi aesi to na thi,

Ab to har waqt hi maathey per shikan rehti hai,
Aayina dekhiye, surat kabhi aesi to na thi,

Kuch to hai aap ke andaaz-e-sitam ka baayes,
Aaye din shikwa shikayat kabhi aesi to na thi,

Hijar mein aap ne ik umar guzaari hai Naseer,
Beqarari ki yeh haalat kabhi aesi to na thi..

Monday, December 5, 2011

Every time I say how are you

Every time I say how are you?
my heart says, I care for you..

Every time I ask how have you been?
my heart whispers, I miss you

Hum Ne Apni Udaasi Ka Is Trah Bharam Rakha

Hum Ne Apni Udaasi Ka Is Trah Bharam Rakha
Raabty Kam Kr Dye... Maghroor Kehlany Lgy...

ab jo bikhray tau bikharnay ki shikayat kaisi

ab jo bikhray tau bikharnay ki shikayat kaisi
khusk patton ki hawaun say rafaqat kaisi

main is daur k insaan say mhabat ki hay
jurm sangeen hay tau phr is may riyaayat kaisi

rukh na kisi aur taraf,roo e sukhan k bs meri taraf
ye muhabbat may meri jaan siyasat kaisi

aik patta bhi agar shakh say hota hay juda
kya kahin dil pay guzarti hay qayamayt kaisi

xindagi tujh ko lamho ka safar kehtay hain
tau rah may aa gaye ye sadiyon ki musafat kaisi…!!

Sapoot qoumon ke soya nahi kartey

Sapoot qoumon ke soya nahi kartey
Sunheri lamhon ko kohya nahi kartey

Mushkilain hazar hi hon aan padi
Himat ki nao dobaya nahi kartey

Guzrain hon jo khud kanton ki chubhan se
Raahon may khaar wo boya nahi kartey

Dekhain hain kaie rang zamaney ke logo
Sachey hain jo sar jhukaya nahi kartey

Dastanain sunkar bhi shahedon ki
Daman kabhi hum bhigoya nahi kartey

Nazar se durr hai fir bhi fiza mein s

Nazar se durr hai fir bhi fiza mein shamil hai,
Kisi ke pyar ki khushboo hawa mein shamil hai….

Mein chah kar bhi tere paas aa nahi sakta,
Ke durr rehna bhi meri wafa mein shamil hai….

Khazane gum ke mere dil mein dafan hai yaaro,
Ye muskurana toh meri ada mein shamil hai….

Khuda kare ki ye usko kabhi pata na chale,
Ki bebasi bhi humari raza mein shamil hai….

Toofan mein humko chor ke jaane ka shukriya,
Khairsigali meri urdu zuban mein shamil hai….

Tere suluk ne jeena sikha diya lekin,
Tere bagair ye jeena saza mein shamil hai….

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta,

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta,
Kah main khud tou hoon Iqbal apnay nukta chinoon main..

Kon Jeety Ga Un Se Baton Me

Kon Jeety Ga Un Se Baton Me
Jin Ki Ankhen B Baat Kerti Hon

Mansoob Us K Qissy Auron Se B Thy Lekin

Mansoob Us K Qissy Auron Se B Thy Lekin
Wo Baat Bohat Phaili... Jo Baat Chali Hum Se

Sunday, December 4, 2011

Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahi

Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahi
Mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahi

Mai ne palakon se dar-e-yaar pe dastak dii hai
Mai VO saahil huN jise koi sadaa yaad nahi

Mai ne jin ke liye raahon me bichhayaa tha lahuu
Ham se kahate hain vahii ahad-e-vafaa yaad nahi

Kaise bhar aain sar-e-shaam kisi kii aaNkhen
Kaise tharraa_e charaaGon kii ziyaa yaad nahi

Sirf dhundhalaaii sitaaron kii chamak dekhi hai
Kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahi

Zindagi jabr-e-musalasal kii tarah kaTati hai
Jaane kis jurm kii pai hai sazaa yaad nahi

Aao ik sajdaa karen aalam-e-madhahoshi me
Kahate hain ke “Sagar” ko Khudaa yaad nahi

Guzraa hai mohabbat main kuch aesa bhi zamana

Guzraa hai mohabbat main kuch aesa bhi zamana
Rootha hoon agar main to manaya hai kisi ne

Saturday, December 3, 2011

Smile in pleasure & in pain,

Smile in pleasure & in pain,
Smile when trouble pours like a rain,
Smile when some1 hurts u,
Smile bcoz some1 still wants 2 c u SMILING !!

Samajhta hoon ke dunya mein hamesha ranj sehna hai

Samajhta hoon ke dunya mein hamesha ranj sehna hai
Magar phir kya karoon aasi, issi dunya mein rehna hai

Ek Main HOn K LehROn Ki Trah CHain Nahi Hai

Ek Main HOn K LehROn Ki Trah CHain Nahi Hai
Ek WO Hai K KHAmOsh Samundar Ki Trah HAi

Aao ik sajda karien hum alam-e-madhoshi main

Aao ik sajda karien hum alam-e-madhoshi main
loug kehtay hain kay saghar ko khuda yaad nahi

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik qissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sada Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Mer Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rula Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Meri Tasheer Na Kar Ab Tu Jala Deh Mujh Ko

Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aise Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,DUAA Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhula Deh Mujh Ko

Friday, December 2, 2011

NO BRAIN found

We will now upgrade your brain,
please wait....
Searching....
searching...
still searching....
Sorry,
NO BRAIN found...!

The Prophet(PBUH) Ordered

The Prophet(PBUH) Ordered
The People To Pay
Zakat-Ul-Fitr I Ramzan Mubarik
Before Going To
The Eid Prayer.

Thursday, December 1, 2011