Ek omeed kisi zakhma-ey jan ki sorat
Lab par aatey hen dil o zehan sey uljhey ye sawal
Kisi andeshey key manind guman ki sorat
Zehan key ghusha-ey kam feham main soya howa eilm
Jagti aankh ki putli pey nahin utrey ghaa
Doob jaye gha andherey main wo naadidah khayal
Jo chamakta tu kisi dil main ojalah karta
Jisam par nashey key manind tasawar koi
Dil main tasweer mujasam ki tarha koi wasaal
Dafan ho jaye gha ek thehrey howey pani main
Meri aankhon ki tarah ishq ka ye mah jamaal
Ek hi pal main bikhar jaye gha sherazah jaan
Ek hi aan main kho jaye ghi ley hasti key
Umar par pheli bhaley waqat ki umeed jo hey
Ek jhatkey sey ye dhaghey ki tarha tutey gey
Kiya bikhar jayen ghey nazmaye howey ye kaghaz
Ya kisi dast mulaem sey sanwar jaye gey
Kiya thehar jaye ghey is loh pey sab haraf merey
Ya merey sath zamaney sey ghuzar jayen ghey
Meri awaz ki lehron sey ye bantey howey naqsh
Kiya hawa ki kisi junbish sey bikhar jayen ghey
zindah reh jayen ghey taabeerey muhabbat ban kar
yaa merey khwab merey sath hi mar jayen ghey
No comments:
Post a Comment