Wednesday, August 31, 2011

Kabhi Khalwatoon Mein Hansa Dia

Kabhi Khalwatoon Mein Hansa Dia
Kabhi Mehfiloon Mein Rula Diya

Tujhay Kya Khabar Teri Yaad Ne
Mujhay Kaisay Kaisay Sata Diya

Tujhay Kya Khabar Tere Ishaq Mein
Kabhi Namaz Apni Qaza Hoi

Teri Aarzoo Ne Kabhi Kabhi
Mujhay Mere Rab Say Mila Diya

Wo nahi mera magar us se mohabbat hai to hai

Wo nahi mera magar us se mohabbat hai to hai
ye agar rasmo- rivajon se bagawat hai to hai.

such ko maine such kaha jab kah jab kah dia to kah dia
ab zamane ki nazar me ye himakat hai to hai.

dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe
phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai.

kab kaha maine ki wo mil jae mujhe
uski bahon me dum nikle itni hasrat hai to hai.

Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeenn Nahee Aata

Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeenn Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata

Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata

FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata

Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata

Tuesday, August 30, 2011

I pray may Allah 2 make u happy

I pray may Allah 2 make u happy,
make u smile,
guide u safely,
though every mile,
grant u wealth,
give u health & most of all grant u paradise

A DOCTOR can save my life

A DOCTOR can save my life. A LAWYER can defend my life. A SOLDIER can give me a peaceful life. But only You can give me a MEANINGFUL LIFE

Humne To Banaye Hain Samundar Me Bhi Raste

Humne To Banaye Hain Samundar Me Bhi Raste,
Yun Humko Mitana Koi Asan Nahi Hai. .
Do Char Ummidon Ke Diye Ab Bhi Hain Roshan,
Maazi Ki Haweli Abhi Veeran Nahi Hai. .
Mai Teri Mohabbat Me Giraftar Hu Lekin,
Tujhko Mai Khuda Samjhu Ye Imkan Nahi Hai. .
Hain Ye Mere ash’ar Mere Ahad Ki Tasveer,
Ghalib Ki Ghazal Meer Ka Deewan Nahi Hai. .

Monday, August 29, 2011

Betha Tha Neem Ki Chaaoun Main Ek Shaam

Betha Tha Neem Ki Chaaoun Main Ek Shaam
Ek Pari Aayee Aur Kaha Kay Aarzoo Kya Hai
Kaha Kay Aankh Num Hai Dil Jall Raha Hai
Bas! Ek Meethi Si Khushbo-E-Hina Hai
Kehti Hai `MUSAFIR` Yeh Khushbo Kya Hai
Kaha Kay Pagli! Sirf Ek Khayal Hai Bas
Masoom Lafzoon Main Chupi Ek Tasweer Ayaan Hai
Poochti Hai Musafir! Yeh Jadoo Kiya Hai
Kaha Kay Har Nazar Na Aanay Waali Cheez Jadoo Hai
Masoom! Poochti Hai Tumhain Aakhir Justujoo Kya Hai
Kaha Kay Usay Pana Meri Khwahish Nahin,
Usay Mehsoos Karna Meri Justujoo Hai
Ab Tum Bhi Lout Jaao Pari
Sooraj Bhi Ghar Ko Chal Diya Hai..

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi,
Alfaaz Se Bharpoor, Mager Khamoosh

If I was an author you would be my story

If I was an artist,
you would be my picture!
If I was a poet,
you would be my inspiration!
If I was an author you would be my story!

But I'm only a cartoonist!

Zarori kaam hai lekin rozana bhool jata hon

Zarori kaam hai lekin rozana bhool jata hon...!
Mujhe Tum se Muhabbat hai... batana bhool jata hon

kiyaa mujh ishq ne zaalim kooN aab aahista-aahista

kiyaa mujh ishq ne zaalim kooN aab aahista-aahista
ki aatish gul kooN kartii hai gulaab aahista-aahista

ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-Khalvat meN gulroo sooN
Khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista

mire dil kooN kiyaa be_Khud tirii aNkhiyaaN ne aaKhir kooN
ki jyooN be_hosh kartii hai sharaab aahista-aahista

adaa-o-naaz sooN aata hai vo raushan_jabiiiN ghar sooN
ki jyooN mashrik se nikale aafataab aahista-aahista

''walii'' mujh dil meN aata hai Khayaal-e-yaar-e be_parvah
ki jyooN aNkhiyaaN mane aataa hai Khwaab aahista-aahista

Ek Gulaab Tha Zara Der Ka kOi

Ek Gulaab Tha
Zara Der Ka kOi
Khwab Tha,
Jo Guzar Gaya Si
Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop
Samait Ker
kahin Wadiyo?n Main
Utar Gaya
Usay Ab Na De Mere
Dil Sada
Jo Guzar Gaya So
Guzar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna
Taveel Hy
Yahan Waqt Kitna
Qaleel Hy
Kahan Laut Ker Koi
Aaye Ga
o Guzar Gaya So
Guzar Gaya ?!!

Baat Thehri Jo Adal Per Waaiz,

Baat Thehri Jo Adal Per Waaiz,
Phir Ye Minnat Ye Iltija Kya Hai?

“Chand Saa” Jab Kaha To Kehne Lage,
Chand Kahiye Naa, “Chand Saa” Kya hai?

Sunday, August 28, 2011

If You Wanna Win A Girl

If You Wanna Win A Girl:
Surprise Her, Give Her Long Hugs,
Make Her Feel Safe,
Give Her Forehead Kisses,
& Good morning Messages

Morning stand for

M-ake the most of it.
O-pen your heart and mind.
R-emember to thank God.
N-ever frown
I-magine me
N-othing to worry.
G-ood Morning!

Wish you have nice day
&
of course good morning

Mohabbat Na Samajh Hoti Hai Samjhana Zaroori Hai

Mohabbat Na Samajh Hoti Hai Samjhana Zaroori Hai
Jo Dil Mein Hai Use Aankhon Se Kehalwana Zaroori Hai

Usoolon Par Jo Aanch Aaye To Takrana Zaroori Hai
Jo Zinda Hai To Phir Zinda Nazar Aana Bhi Zaroori Hai

Bohot Bebaak Aankhon Mein Talluq Tik Nahin Sakta
Mohabbat Mein Kashish Rakhne Ko Sharmana Zaroori Hai

Saleeqa Hi Nahi Shayad Use Mehsoos Karne Ka
Jo Kehte Hai Gar Khuda Hai To Nazar Aana Bhi Zaroori Hai.

Mout ney to nahi zindagi ney bohat sataya hai

Mout ney to nahi zindagi ney bohat sataya hai
Tujhay jitna bholay tu utna hi yad aya hai

Tu kiun is baat ko aksar bhool jata hai
Bars’on minat’on key bad tujhay paya hai

Is dil mein koi aur is liye nahi rehta
Key meray dil pey tera saya hai

Mein tujhay kia baton ‘Gul’ key
Mein ney tujhay kho ker kiya khoya hai

Saturday, August 27, 2011

Munh chupaye hoe guzra hai idhar se jo wo aaj

Munh chupaye hoe guzra hai idhar se jo wo aaj
Uski ankhon me koi zakhm nya lagta hai

Thukraa diya hai jis ke liye ik jahaan ko,

Thukraa diya hai jis ke liye ik jahaan ko,
Yaa Rab woh mera dil na dukhaaye tamaqm umar..

Maan ki dua khaali nahin jati,

Maan ki dua khaali nahin jati,
Us ki bd-dua bhi taali nahi jati,

Bartan maanjh kar bhi Maaan,
Teen chaar Bache paal hi leti hai,

Magar teen chaar bachon se,
Aik maan paali nahin jati…

Lo apna jahan dunya walo,hum is dunya ko chor chalay

Lo apna jahan dunya walo,hum is dunya ko chor chalay!!!!!
Jo rishtey natay joray thay wo rishtey natay tor chalay

kuch sukh ke sapne dekh chalay,kuch dukh k sadmay jheel chalay,
taqdeer ki andhi gardish ne jo khel khailay khail chalay.

Har cheese tumhari lotadi hum leke nai kuch sath chalay
phir dosh na dena ,A logon hum dekh lo khali hath chalay,

Ye rah akelay kat-ti hai,yaha sath na koi yar chalay
Os paar na jane kia payen, Is par tu sab har kch chalay

7 Glances= 1 Smile

7 Glances= 1 Smile
7 smiles =1 meeting
7meetings= 1 kiss
7 kisses= 1 proposal
7 Proposals=1 marriage
and that bloody marriage has 777777 problems

When an angel came to me,

When an angel came to me,
he asked: "What is your wish for tonight?"
I said "Please take care of the
person who's reading this message."
Good night!

Problems an apple can make

Apple = Vitamins
Vitamins = Power
Power = Work
Work = Money
Money = Girl Friend
Girl Friend = Tension
Tension = Heart Attack
Heart Attack = Death

Problems an apple can make

ik faqt gunah_e_muhubat kia main ney

ik faqt gunah_e_muhubat kia main ney
budley us key zindagi sey kia paya main ney


wo is terha rehta tha sath sath
jeet ker bhi haar key siwa kia paya main ney


us ko dur tha zamaney ki ruswayun ka
zindagi ko apni ujaar key kia paaya main ney


dusht_e_tunhai main chor dia mujh ko
ulfaat ka sila judai key siwa kia paaya main ney


zukhum_e_judai day gaya mujhey wo
zindagi us key naam ker key kia paaya main ney


ashkon ki bursat ub thumti naheen
buzm_e_dil saja ker us sey,kia paaya main ney

Ab To Wo Hi Hai Kinaara Bas

Ab To Wo Hi Hai Kinaara Bas

Manzil Na Raqeeb Hai Koi Is Anjaane Dil Ka,
Bas Wo Hi Haasil Hai Bazar_e_dil Ka….
Wo Hi Chahat Wohi Junoo Wo Hi Hasrat Hai Ab To,
Ab To Wo Hi Hai Kinaara Bas Is Sagar_e_dil Ka…….

Be like a candle

Be like a candle
which burns itself
but
gives light to others

Friday, August 26, 2011

Suna hai jangalon ka bhi koi dastoor hota hai!

Suna hai jangalon ka bhi koi dastoor hota hai!

Suna hai

sher ka jub pait bhar jaey..
To vo hamla nahi kerta,

Suna hai!
Havaa ke taiz jhonkey jub darakhton ko hilaatay hain..

To menaa apne ghar ko bhool kar,
kavvay ke andon ko paron main thaam lete hai..

Suna hai..
Ghonslay se jub koi bacha giray,
To saara jungle jaag jaata hai…

Suna hai…
Koi pull toot jaey

Aur
sailab ajaey

To kisi lakri ke takhtay per,
Gulehri sanp aor bakri sath hotay hain. .

YA KHUDA
Hamaaray mulk main bhi ub
jungalon ka hi koi dastoor naafizz kar. . . .

Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein

Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein,
Kargis ka jahan aur hai, Shaheen ka jahah aur,
ilfaaz-o-Mani me tafawat nahi lekin,
Malla ki Azaan aur, Mujahid ki azaan aur.

Tooti sanson ke daman mai utarti saetain

Tooti sanson ke daman mai utarti saetain
likh rahi hay lamha lamha ek saday iztarab

Thursday, August 25, 2011

Pareshan Raat Saari Hai Sitaron TuM To So Jao

Pareshan Raat Saari Hai Sitaron TuM To So Jao,
Sakoot Marg Tari Hai Sitaron TuM To So Jao,

Hanso Aur Haste Haste Doobte Jao Khayalon Mein,
HuM Hi Par Raat Bhari Hai Sitaron TuM To So Jao,

HaMein To Aaj Ki Shab Pau Phatne Tak Jagna Hoga,
Yehi KisMat HaMari Hai Sitaron TuM To So Jao,

TuMhe Kya Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaya,
Ye Baazi HuMne Haari Hai Sitaron TuM To So Jao,

Kahe Jaate Ho Ro Ro Kar HaMara Haal Duniya Se,
Ye Kaisi Raazdari Hai Sitaron TuM To So Jao,

HaMein Bhi Nind Aa Jayegi HuM Bhi So Hi Jayenge,
Abhi Kuch BeQarari Hai Sitaron TuM To So Jao

Always bear in mind that

Always bear in mind that
your own resolution to succeed
is more important than any one thing.

(Abraham Lincoln)

Usne Poocha Ke Kya Pasand Hai Tumhe,

Usne Poocha Ke Kya Pasand Hai Tumhe,
Main Bohot Der Tak Usey Dekhta Rahaa..

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle

Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi Deta

Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi Deta
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise

Payamber Na Muyaser Hua To Kia Khoob Hua
Zabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo Kerte

Paas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rehta Hai
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah

Aks Khushbo Hon Bikherne Se Na Roke Koi
Aur Bikher Jaon To Na Samete Koi.

Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae Reza Reza
Is Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.

A Mere Gul-E-Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Aahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.

Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak Sochta Raha
Koi Baat Sawal Mein Mere Aa Agai

Too Badlta Hai To Be Saakhta Meri Aankhen
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.

Ek Se Musaafir Hein Ek Saa Muqader
Mein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per Chaand

Woh Jawaz Dhoondh Rahi Thi Nai Muhabat Ka
Keh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon

Waqt-e-rukhsat ajab manzar tha meri nigah main

Waqt-e-rukhsat ajab manzar tha meri nigah main
Wo bhi ro raha tha jisey ghum na tha judai ka

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai
Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai

Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ?
Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai

Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ?
Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai

Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se
Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ?

Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein
Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai

Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein
Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai

Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hee Tanha
Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai

Wednesday, August 24, 2011

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Main choti si ik bachi thi

Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi

khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi

Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gheray bhedon ko
main samjhi teri batoon se

Mein teree yaad kai takia per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi rooti hoon

Be_Taab Is Qadar Tha Ke Soya Nahi Raat Bhar,

Be_Taab Is Qadar Tha Ke Soya Nahi Raat Bhar,
Nazroon Se Likhta Raha Tera Naam Chand Par...

Time has no divisions to mark its passage

Time has no divisions to mark its passage,
there is never a thunder-storm or blare of trumpets
to announce the beginning of a new month or year.

Tuesday, August 23, 2011

Iss baat ka malaal hai, shikwa nahin mujhe

Iss baat ka malaal hai, shikwa nahin mujhe,
Wo shaks paas reh ke bhi samjha nahin mujhe…

First marriage is the triumph of

First marriage is the triumph of
imagination over intelligence.

Second marriage is the
triumph of hope over experience

Anything is more important

Anything is more important
when you can not get it.

When you can get it
this is less important for you.

This is nature of every human

Broken Trust

Broken Trust is like a melted Chocolate,
No matter how u tried to freeze it,
it will never return to its original Shape

Monday, August 22, 2011

Teri Yaadain Bhi Tujh C Zalim Hain “Faraz”

Teri Yaadain Bhi Tujh C Zalim Hain “Faraz”
Jb Dekhti Hain Tanha Hmay Satanay Chali Ati Hain ..!!

phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi

phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil main lekin aur hi ek shaql ki hasrat bhi thi

jo hawa main ghar banaye kash koi dekhta
dasht main rahte the par tamir ki adat bhi thi

kah gaya main samne us k jo dil ka mudda
kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi

ajnabi shahron main rahte umr sari kat gai
go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi

kya qayamat hai "Munir" ab yad bhi ate nahin
wo purane ashna jin se hamain ulfat bhi thi

I just love when morning gets here

I just love when morning gets here,
cuz i can send a Great
Big Good Morning sms to my bestest friend.
what a lovely way to start my day

Wo jo rehte thy mere sath Hamesha din Bhar

Wo jo rehte thy mere sath Hamesha din Bhar
Un k Mazhab me wafaon ka koi Baab Nahi...

Sunday, August 21, 2011

Isi Karz Ko Ada Krne K Wasty

Isi Karz Ko Ada Krne K Wasty Hum Saari Raat Nahi Sote
K Shayad Koi Jaag Raha Ho Is Duniya Main Mere Liye

Na Dil Se Nikalte Ho Na Zindagi Main Aate Ho

Tum Haqeeqat Ho Ya Faraib Mere Ankhon Ka
Na Dil Se Nikalte Ho Na Zindagi Main Aate Ho

Laata Hai Chand Sahri – Ramadan Shayari

Laata Hai Chand Sahri – Ramadan Shayari

Laata Hai Chand Sahri Wa Aftar Ki Khushi
Phir Chand Dekh Kar Hi Manate Hain Khushi

Dream lofty dreams, and as you dream

Dream lofty dreams, and as you dream, so you shall become.
Your vision is the promise of what you shall one day be;
your ideal is the prophecy of what you shall at last unveil.

(James Allen)

Lahu lahu hai har ek sange rah guzar Jaanaaa

Lahu lahu hai har ek sange rah guzar Jaanaaa
Hua na tha u mere dard ka safar Jaanaaa

Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jaanaaa

Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jaanaaa

Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah-o-saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jaanaa

Tabeer sey mehrom meray khawab bohat thay!!

Tabeer sey mehrom meray khawab bohat thay!!
Sada si kahani thi magar baab bohat thay..

Friday, August 19, 2011

Kon is dil ki daikh bhaal kere

Kon is dil ki daikh bhaal kere
Rooz ik cheez toot jati he

Mera Qalam Mere Jazbaat Se

Mera Qalam Mere Jazbaat Se Waqif Hai Itna
Main Lafz MOHABBAT Likhun Ta Tera Naam Ban Jata Hai…

Zindagi Shayari – Mujhe Mar Ke Amar Jane

Zindagi Shayari – Mujhe Mar Ke Amar Jane

Us Ko Pana Hi Meri Zindagi Ka Maqsad Hai
Gar Wo Milta Hai, Mujhe Mar K Amar Jane D

independence Day is a good time to examine

independence Day is a good time to examine who we are and how we got here.HAPPY INDEPENDENCE DAY

Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere

Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Thursday, August 18, 2011

Shayad woh apna wajood chhor gaya hai meri hasti mein

Shayad woh apna wajood chhor gaya hai meri hasti mein
Yun sote-sote jaag jana meri aadat pehle kabhi na thi

Ye Safar Nahi Azaab Ha

Ye Safar Nahi Azaab Hai,

Yahan Her Kisi Pe Naqaab Hai,

Yahan Bad-Gumaani Ka Raaj Hai,

Yahan Be-Wafaai Rivaaj Hai,

Abhi Hosh Khoney K Din Nahi,

Abhi Tere Roney K Din Nahi,

ABHI WAQT HAI INHEY CHORR JA,

Abhi Saari Nagri Andhair Hai,

Abhi Din Nikalne Main Dair Hai,

Abhi Bahaar-e-Ishq Main Na Utar,

Abhi Shehar Sara Hai Be-Khabar,

ABHI WAQT HAI INHEY
CHHOR JA,

ABHI WAQT HAI INHEY
CHHOR JA

Wednesday, August 17, 2011

Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele

Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele
Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele

Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele

Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele

Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele

Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele

Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin
Is Qadar Door Kahan Tha Phele

Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan
Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele

Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai
Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele

Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray
TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele

Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele

Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan
Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele

Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham
Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele

Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir”
Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa,
To Suno, Tum Lakhon Ke Maqrooz Ho Mery..!!

Naya ek rishta paida kyun karein hum

Naya ek rishta paida kyun karein hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum

Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri
Koi humgama barpa kyon karain hum

Ye kafi hai k hum dushman nahi hain
Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum

Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum

Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa?
Par ab iss baab ko waa kyon karain hum

Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum

Hamari hee tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karain hum

Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay
To saari umar iifa kyon karain hum

Nahi dunya ko jab parwah hamari
To phir dunya ki parwah kyon karain hum

Barehna hain sar.E.Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karain hum

Hain baashinday issi basti k hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karain hum

Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karain hum

Ye basti hai muslamaanon ki basti
Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum

You To Duain Roz Kia Kertay hain

You To Duain Roz Kia Kertay hain
Bas Kisi terha Mil Jae Dua Roz kia ketray hain
Khayal to ata hai Ager na milay to kia hoga
Ess Liyee Tujhay Dil mai Basae Rakhtay hain

Tumhari yado Ko Hamesha Hum Sajae Rakhtay hain
Dil Key hal Ko Logo Say Chupae Rakhtay hain
Hum say Ager Koi Pochay Ga tumhara
Tu hum keh daingay Ankho Mai Sajaee Rakhtay hain

Eik Bat Sochi Hai samjhi Tum KO BatatTay Hain
Ager tum Naraz na Ho to tum ko bataTtay Hain
Khuda Na Karya Kay Kabhi Biecharna para
To Bas Jan Layna YE Muqaddar kEy FAislay hAin

Mager kuch Bhi HO Ye Hum KO yad Rakhna hain
Hal Par Har Ghari Eik Dosray ko Yad Rakhna hain
Yaad to Aiege Dukh to Hoga Tere Na Hone Ka
Mager Ye samjh Layna Ahsan Us Key Liye Jety hain

Khud hi hain Baes-E-Takleef Ham Apne Liye,

Khud hi hain Baes-E-Takleef Ham Apne Liye,
Na Ham hotay, Na Dil hota, Na Dil-Azaariyan hotin!

Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai

Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai

Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai

Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai

Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai

Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai

Yu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai

Mo'tabar dusra jab khud say nazar ata hay

Mo'tabar dusra jab khud say nazar ata hay
Tab kahin ja k duaon main asar ata hay

EiD MUBARAK Scratch

|||||||||||
E||||||||||
Ei|||||||||
EiD||||||||
EiD M||||||
EiD MU|||||
EiD MUB||||
EiD MUBA|||
EiD MUBAR||
EiD MUBARA|

.::. EiD MUBARAK .::.

Tuesday, August 16, 2011

Sometimes wen i cry

Sometimes wen i cry no 1 c my tears,
wen i m woried no 1 c my pain,
wen i m happy no 1 c my smile
lekin...
sala. 1 ladki k saath ghoomay
to sab dekh lete hai

Khudaa Woh Waqt Na Laai Keh Sogawaar Ho Tu

Khudaa Woh Waqt Na Laai Keh Sogawaar Ho Tu

Sakoon Ki Neend Tujhay Bhi Haraam Ho Jaai
Teri Musarrat-e-peham Tamaam Ho Jaai
Teri Hayaat Tujhay Talkh Jaam Ho Jaai

Ghamoon Say Aaina-e-dil Gudaaz Ho Tera

Hajoom-e-yaas Say Baytaab Ho Kay Reh Jaai
Wafoor-e-dard Say Seemab Ho Kay Reh Jaai
Tera Shabaab Faqt Khawaab Ho Kay Reh Jaai

Gharoor-e-hussn Sarapa Nayaz Ho Tera

Taweel Raatoon Main Tu Bhi Qaraar Ko Tersay
Teri Nigaah Kissi Ghum Gusaar Ko Tersay
Khazaan Raseedah Tamanna Bahaar Ko Tersay

Koi Jabeen Naan Teray Sang-e-aastaan Pay Jhukay

Keh Jins-e-ijz-o-aaqeedat Say Tujh Ko Shaad Karay
Faraib-e-waada-e-farda Pay Aaitamad Karay
Khudaa Woh Waqt Na Laai Keh Tujh Ko Yaad Aai

The brain is a wonderful organ

The brain is a wonderful organ.
It starts working the moment you get
up and does not stop until u get into the office

zar Dekhon Ga, Na usko Tanha sochon Ga

zar Dekhon Ga, Na usko Tanha sochon Ga...
Usy kehna k Lout Aye, Muhabbat choor di Main Ne...

Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne

Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne,
Khud Bula Ker Phir Sataya Hai Kisi Ne,
Jab Tak Jali Hai Shama Jalta Raha Parwana,
Kiya Is Tarhan Saath Nibhaya Hai Kisi Ne

Armaan Mere Raiza Raiza Ho Gaye Hain,
Yun Kil K Aangan Say Giraya Hai Kisi Ne,
Aag Lagi Hai Dasht Main Koi Kiya Bhujaye Ga,
Dil Is Tarah Say Aaj Jalaya Hai Kisi Ne,

Dil Rota Hai Raat Bhar Yaad Kar K Kisi Ko,
Is Tarhan Ulfat Main Zakham Khaya Hai Kisi Ne,
Sangdil Jo Tha Aaj Woh Bhi Ro Parha
Us Ko Bhi Tarpaya Hai Kisi Ne

Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon

Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,

Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,

Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,

Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,

Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,

Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..

Shoq e safar kahan hai kahan le gea humen

Shoq e safar kahan hai kahan le gea humen
Hum jis ko chor ae hain munzil wohi to thi

Monday, August 15, 2011

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein

Funny An Exact Definition 0f Mathematics

An Exact Definition 0f Mathematics;

>Mathematics is the Study of Finding a Black Cat in a Dark Room

When There is No CAT actually :-D

U HAVE TO SUPPOSE :)

Things 2 take note when u sleep:

Things 2 take note when u sleep:
1st-miss me,
2nd-think of me,
3rd-hug me,
4th-love me.

Try 2 sleep now & close ur eyes.
Get prepared 2 dream of me! Good night

Isme aur colour dikhao

Ek sardar Indian Flag lene shop mein gaya tha. Shopwale ne usse flag diya. Sardar bola: Isme aur colour dikhao!!!

May on this EID the Plate of your life is filled

May on this EID the Plate of your life is filled
with juicy Kababs & Tikkas topped with Chatni of
Happiness and covered with Salad of Love.
Eid Mubarak!!

Pathan: College me larki se bola “I LOVE U”

Pathan:
College me larki se bola “I LOVE U”
Ab tum mujhe bolo

Girl:
Main abhi ja ke sir ko bolti hon

Pathan:
Pagal ki bachi wo shaadi shuda hy.
Muje bolo muje..

khuli ankhon main sapna jagta hai

khuli ankhon main sapna jagta hai
wo soya hai k kuch kuch jagta hai

teri chahat k bhige jangalon main
mera tan mor ban k nachata hai

mujhe har kaifiyat main kyon na samjhe
wo mere sab hawale janta hai

kisi k dhyan main duba hua dil
bahane se mujhe bhi talta hai

sarak ko chor kar chalna parega
k mere ghar ka kacha rasta hai

As nite falls upon the land,

As nite falls upon the land,
it is time 2 Zz again.
With the moon hangin in the starlit sky,
i”m here to wish U Good Night!
Sweet dreams, cover blanket tight"

Sunday, August 14, 2011

I m going to write on all the bricks

I m going to write
on all the bricks
I MISS U and
I wish that
one falls on ur head,
so that u knows
how it hurts
when u miss
someone special like u

Saturday, August 13, 2011

Iss Janam Mei_n Ho Tera Saa_th Kahan Mumk_in Hai

Iss Janam Mei_n Ho Tera Saa_th Kahan Mumk_in Hai
Aor Wafa Ki Ko_i Sogha'at, Kahan Mum_kin Hai

Teri Chaha_t Ka Yaqin Kar_na Mere Bass Mein Nahi
Aa_g K Bhais Mein Bar_sat, Kahan Mumki_n Hai

Baa_t Karney Ka Baha_na Bhi Na Mil_ta Ho Jahan
Zaa_t Mein Gum Ho Koi Zaa_t, Kahan Mum_kin Hai

Subha D_m Chaa_nd Sita_ron Ka Fasoon Tham Saa Giya
Aab Wo Kir_non Se Atti Raa_t, Kahan Mum_kin Hai

Ye Bhi Ekk Khawa_b Se Jaa_ga Hua Man_zar Hi Na Ho
Tere Haa_thon Mein Mera Hath, Kahan Mum_kin Hai

Din, Jagah, Waqat Bata_ney Ki Bhi Zeh_mat Ho Janab
Aap Se Sharf e Mulla_qat, Kahan Mum_kin Hai??

Teri Chokha_t Se Palatt Aaye Yahi Soch K Hum
Tu Hamein Dey Koi Khae_rat, Kahan Mum_kin Hai

Woh Jo Hum Do_non Se Gumm Ho Gai Ekk Roz Batool
Aao Dhoon_dhen Naa Wohi Baat, Kahan Mum_kin Hai

Roshni ki dhaar pr rakhi kahani or dukh

Roshni ki dhaar pr rakhi kahani or dukh
Aankh se behta hua khamosh paani or dukh,

Mere kamry main usi tarteeb se rakhe hue Phool,
khat, waade, dilaase, ek jawani or dukh,

Ek dooje se bichar kr umar bhar rote rhe,
Raat, sehra, khush patte, ek raani or dukh,

Ab mere lafzon main woh pehli si kefiyat nahi,
Daal ab jholi main teri maherbani or dukh,

Raat sehra main kisi ne baansuri ki nok pr,
Rakh di phir roti hui yaaden purani or dukh..

Maa ne mujhe is tarah pala hai

Maa ne mujhe is tarah pala hai

Nakhuda ne kashti ko jaise toofan mein sambhala hai

Meri shararton se jo hansi us ke chehre par aai hai

Yeh saughat baharon ne bhi nahin paai hai

Us ki be-laus mohabbat ka mujh par jo saaya hai

Kisi rishte ne woh mokaam nahin paaya hai

Pakad kar haath mera jo chalna sikhaya hai

Aaj tak aisa rahbar main ne nahin paaya hai

Mere dukh se jo sailaab uski aankh mein aata hai

Samundar bhi us toofan ka taab nahin laata hai

Aashyane mein mere aaj aaram bahaut hai

Maa ke aanchal mein sakoon bahaut hai

Jiske pairon ke neeche jannat hai

Yeh khuda ki,hum sab ko sab se badi nehmat hai

Aa mujh ko phir ik baar seene se laga le maa

Apna chanda,apna suraj,apna raja, in naamo se bula le maa

Bahaut roya hoon main tere aanchal se bichar kar

Phir gud-gudiya karke woh bachpan wali mujhe,hasa le maa

Maa teri gaud ka mujhe woh sahara de de

Bartan mein jo dikhaati thi,woh sitara de de

Maa mujhe suna woh loriyan bachpan ki

Maa mujhe ik baar phir se woh nazara de de

Ban ke rahoon sadda tera laadla main

Teri gaud mein le kar mujhe,yeh jahan saara de de

Teri raahon mein main khud ko rakh doon

Maa mujhe tu khidmat karne ka phir ishara de de

Rastoon ka Gharoor to dekho.

Rastoon ka Gharoor to dekho..
jese Teri Gali ko jaaty hon

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia

Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi

Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba

Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia

Friday, August 12, 2011

A single rose can be my garden

A single rose can be my garden
A single friend, my world

I love two things, a rose and you

I love two things, a rose and you. A rose for a short while, but you the rest of my life

We accept anniversaries way more serious than birthdays

We accept anniversaries way more serious than birthdays. But there are a lot of years and many anniversaries before us! I’ll meet you on the next

Thursday, August 11, 2011

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke…

Wednesday, August 10, 2011

Ye mo’ajza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhey,

Ye mo’ajza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhey,
Kay sang tujh pay girey or zakham aye mujhey..

When I came home in the rain,

When I came home in the rain,
My Brother Asked: Why U Didn't take an Umbrella.
Sister:(Advised) why didn't U wait till rain stopped.
Father(Angrily): Warned! only after getting cold, U will realize.
.
Mother: while drying my Hair, said,
"STUPID RAIN! couldn't it wait, till my child came home."
Thats MAA (Mother)

Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho..?

Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho..?
Lout ker kyoun nahin aate kahan hote ho..?

Jab bhi milta hay koi shakhs baharon jaisa..?
Mujh ko tum kaise bhulate ho kahan hote ho..?

Yaad ati hain aikele mein TUMHARI neendain
Kis tarah khud ko sulate ho kahan hote ho..?

Mujh se bichre ho tu mehboob e nazer ho kis k
Aaj kall kis ko manate ho kahan hote ho…..?

Shab ki tanhayi mein akser yeh khayal ata hay
Apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho…..?

Mousam e gul mein nasha hijer ka berh sa jata hay
Mere sab hosh churate ho kahan hote ho……….?

Sard raaton mein tumhain kaise bhula sakta hon
Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho…………?

Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili

Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili
Laga Tumhari Ek Aahat Si Mili
Jaake Dekha Jab Dar Pe
To Phir Wahi Zaalim Hawa Mili

Tuesday, August 9, 2011

Sakon e dil bari dolat sahi ae hum nasheen lakin,

Sakon e dil bari dolat sahi ae hum nasheen lakin,
Sakoon pa kar bhi aksar muztarib rehna para muj ko.

Zabaan Sukhan Ko Sukhan Baankapan Ko Tarsega

Zabaan Sukhan Ko Sukhan Baankapan Ko Tarsega,
Sukhan-Kadaa Meri Tarz-e-Sukhan Ko Tarsega,

Naye Pyaalay Sahi Tere Dour Mein Saaqi,
Yeh Daur Meri Sharaab-e-Kohan Ko Tarsega,

Mujhe Toh Khair Wata Chor K Aman Na Mili,
Watan Bhi Mujhse Gareeb-ul-Watan Ko Tarsega,

Unhi K Dam Se Farozaan Hain Millaton K Charaagh,
Zamana Sohabat-e-Arabaab-e-Fan Ko Tarsega,

Badal Sako Toh Badal Do Yeh BaagBaan Verana,
Yeh Baag Saaya-e-Sard-o-Samaan Ko Tarsega,

Hawa-e-Zulam Yahi Hai Toh Dekhna Ek Din,
Zameen Pani Ko Sooraj Kiran Ko Tarsega

Monday, August 8, 2011

Muhabbat Hogai Mujhko

Muhabbat Hogai Mujhko
Ek Shaks Se Aisay
Jis Per Yaqen Nai Humko
Magar Phir B Najanay Kion
Muhabat Hogai Mujhko
Chand Kal Raat Utra Tha
Meray Ghar K Agan Main
Buhat Roya Tha Wo A Kar
Yahi Kehta Raha Mujhse
Suno..!!
Tum Man Jao Ab
Yun Zid Achi Nai Hoti
Tumhari Jheel si Ankhain
Yun Nam Achi Nai Lagti
Jab Atebar Nai Tumko
To Phir Kion Pyar Kerti Ho
Jab Yeh Janti Ho Tum
K Wo Tumko Mil Na Paega
Yeh Zamana Rokta Hai To
Phir Smjhti Nai Tum Kion
Muhabat Achi Nai Hoti
Yeh Jala Ker Khak Kerti Hai
Buhat Hi Dard Daiti Hai
Suno..!!
Aik Baat Kahoun Mai Ab
Mujhay Aisay Na Tum Daikho
Tumharay Hountoun Ki Thartarahat
Mujhay Be-Noor Ker Day Gi
Aj Teray Agan Mai Aya Hoon
Bus Yahi Tumsay Kehnay
K Muhabat Ho Gai Mujhko
Haan Tumsay Hogai Mujhko
Tum Jeet Gai Mujhse
Muhabbat hogai Tumsay
Haan..!!
Muhabbat Hogai Mujhko

New Morning + New Aim

New Morning
+
New Aim
+
New Achievement
+
Ur Dedication
+
Commitment
=
Success
Just do it and win it
Good Morning.

Fariad ik shor hai ahang k beghair

Fariad ik shor hai ahang k beghair
Nala matah e dard sahi koi lie to ho

Maloom Hota Hai Bhool Gaye Ho Shayad

Maloom Hota Hai Bhool Gaye Ho Shayad,
Ya Phir Kamal Ka Sabar Rakhte Ho

Sunday, August 7, 2011

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki
Khamoshi Men Bi Wo Baten Us Ki

Mery Chehry Peh Gazal Likhti Gaein
Sher Kahti Hoi Ankhen Us Ki

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin
Tez Hoti Hui Sansen Us Ki

Aesy Maosam Bhi Guzaary Ham Ny
Subhen Jab Apni Thi'n Shamen Us Ki

Dheyan Men Us K Ye Alam Tha
Kabhi aankh Mahtab Ki Yaden Us Ki

Faisala Mauj-E-Hawa Ne Likkha
Andhiyan Meri Baharen Us Ki

Neend Is Soch Sy Tuti Aksar
Kis Tarah Katati Hain Raten Us Ki

Door Rah Kar Bi Sada Rahti Hy
Mujh Ko Thammy Huwy Ba'hen Us Ki

Kab kon kisi ka hota hai

Kab kon kisi ka hota hai
Yeh sab jootay rishtay natay hain

Sab dil rkhnay ki batain hain
Sab apna asal chupatay hain

Ikhlas k jootay log yahan
Lafzon k teer chalatey hain

Ik bar nigahon mein bas kr
phir sari umer rulatey hain. .

Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,

Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,

Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,

Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,

Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,

Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,

Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,

Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..

Har Subah Teri Muskurati Rahe

Har Subah Teri Muskurati Rahe
Har Sham Teri Gungunati Rahe
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe

Saturday, August 6, 2011

My Mother, my friend so dear

My Mother, my friend so dear
Throughout my life you're always near
A tender smile to guide my way
You're the sunshine to light my day

Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye

Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye

Nanhi Si Khushi Ke Badle

Haan Kon Se Zakhm Na Khaaye

Thori Si Hansi Ke Badle

Zakhmon Ka Kon Shumaar Kare

Yaadon Ka Kaise Hisaar Kare

Aur Jeena Phir Se Azaab Kare

Us Waqt Ka Kon Hisaab Kare

Wo Waqt Jo Tujh Bin Beet Gaya!

Na Jaane – Janamdin Mubarak Shayari

Na Jaane – Janamdin Mubarak Shayari

Khuda Kaise Karoon Shukriya Is Din Ke Liye
Jis Din Tumhe Dharti Pe Bheja Hamare Liye
Na Jaane Kyon Main Intezaar Kar Raha Tha
Shayad Janamdin Hai Tumhara Is Liye
Meri Har Ek Dua Hai Teri Lambi Umar Ke Liye
Dil Khud Jaanta Hai Tu Na Ho Dhadkega Kis Ke Liye…

Friday, August 5, 2011

hai justaju k khub se hai khubtar kahan

hai justaju k khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan

yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahan

ik umr chahye k gawara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan

ham jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
alam mein tujhse lakh sahi tu magar kahan

hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan

'Hali' nishat nagma-o-mai dhundhte ho ab
aye ho waqt-e-subh, rahe rat bhar kahan

Nazar Khamosh Zubaan Chup dil-veeran

Nazar Khamosh Zubaan Chup dil-veeran
Kisi Ka Zikr Na Nikla Tumhari Baat k Bad

Thursday, August 4, 2011

khaak muthi me lye qabr ki main sochta hon

khaak muthi me lye qabr ki main sochta hon
hum jo marty hain to phir khwab kidhar jaaty hain

Dard-e-hijar kia mila

Dard-e-hijar kia mila
Ke
Haathon may jam mila
Humko to har din bus
Aek naya gham mila
Kehtay hain wo harjai humain
Nahi dekha kabhi
Unhon ney
Kaisey teeragi may jiya hamara jala

Jo hoti unko khabar
Hanstey aur keh jatey
Ay naadan ishq may
Tujhey kia mila

Chalo chhoro in shikwon ko
Aatish-e-man se
Kisi ka ghar to aakhir roshan houa
Hamara kia hai
Humain to har bar
Khaali hi har jam mila

If friends were flowers I would not pick you

If friends were flowers I would not pick you! I'll let you grow in the garden & cultivate you with love and care so I can keep you as a friend 4ever!!

In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi

In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi
Ager Zindagi Sirf Jazbaat Hogi..

Musafir Ho Tum bhi, Musafir Hain Hum Bhi
Kisi Mor Par Phir Mulaqaat Hogi

Sadaon Ko Ilfaaz Milne Na Payn
Na Badal Ghirain Na Barsaat Hogi

Chiraghon Ko Aankhon Mein Mehfoz Rakhna
Bari Door Tak Raat Hi Raat Hogi

Azal Se Abad Tak Safar Hi Safar Hai
Kahin Subha Hogi Kahin Raat Hogi

Jo mananay k fan se waqif hun

Jo mananay k fan se waqif hun,
Wohi akser khafa hote hain..

Jo Baray ba-wafa se dikhte hain,
Wo baray bewafa bhi hote hain..

Jo thehray hain zest ka hasil,
Wohi lamhay saza bhi hote hain..

Hum ko itni khabar nahi hoti,
Hum kesi ki dua bhi hote hain..

Jo bicharne ka weham rakhte hain,
Wohi akser judaa bhi hote hain.

Zindagi men do lahza koi mere pass na betha

Zindagi men do lahza koi mere pass na betha,
Aaj sab mere pas bethe ja rahe the.

Koi Tohfa na mila aaj tak mujhe,
Aur aaj phool hee phool diye ja rahe the.

Taras gaya mn kisi k hath se Diye ek kapde ko,
Aur aaj nae nae kapde Orhaae ja rahe the.

Do Qadam sath na chalne wale,
Aaj Qafla bana kar chale ja rahe the…

Aaj pata chala k Mout itni haseen hoti he,
Aur hum to yunhi Jiye Ja rahe the…

Wednesday, August 3, 2011

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,

Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,

Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai
“ROGI”
Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.

Zikr us ka hi sahi bazm main bethe ho Faraz,

Zikr us ka hi sahi bazm main bethe ho Faraz,
Dard kesa hi uthay hath na dil par rakhna..

Tuesday, August 2, 2011

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO..

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO..
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO..

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO..

muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a

Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko

to laaal hai na sata mujh ko

pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi

na chahty hue bhi akela choor jaun gi

zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko

yaad kerke roye ga tu phir mujh ko

muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a

ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya

Tum ne bhi to mujhe ganwaaya hai

Tum ne bhi to mujhe ganwaaya hai
apna nuqsaan ek jesa hai

Aj Kisi Ne – Ghulam Rabbani Taabaa Poetry

Aj Kisi Ne – Ghulam Rabbani Taabaa Poetry

Aj Kisi Ne Baton Baton Men, Jab Un Ka Nam Liya
Dil Ne Jaise Thokar Khai, Dard Ne Badakar Tham Liya

Ghar Se Daman Jhad Ke Nikale, Vahashat Ka Saman Na Puch
Yani Gard-e-rah Se Hamane, Rakht-e-safar Ka Kam Liya

Divaron Ke Saye-saye, Umr Bitai Divane
Muft Mai Tanasani-e-gam Ka Apne Par Ilzam Liya

Rah-e-talab Mai Chalate Chalate, Thank Ke Jab Hum Chur Huye
Zulf Ke Thandi Chanv Mai Baithe, Pal Do Pal Aaram Liya

Honth Jalen Ya Sina Sulage, Koi Taras Kab Khata Hai
Jam Usi Ka Jisane ‘taban’, Jur’at Se Kuch Kam Liya

Ye Zindagi – Arzoo Poetry

Ye Zindagi – Arzoo Poetry

Ye Zindagi Tere Saath Ho
Ye Arzoo Din Raat Ho

Main Tere Sang Sang Chalon
Tu Har Safar Mein Mere Sath Ho

Main Kanton Par Bhi Chal Paron
Tere Pyar Ki Jab Barsat Ho

Kabhi Sham Dhalay Jab Hum Milain
Na Din Dhalay Na Raat Ho

Ye Zindagi Tere Sath Ho… !

Monday, August 1, 2011

Ye Kaise Mumkin Hai K Zindagi Mein Gham Na Milley

Ye Kaise Mumkin Hai K Zindagi Mein Gham Na Milley
Koi Hamein Na Milla Kissi Ko Ham Na Milley

Kiya Chaal Challi Hai Mere Muqaddar Ne Mujh Se
Piyar Tera Milla Magar Tum Na Milley

Tum se jab baat nahin hoti,

Tum se jab baat nahin hoti,
Kisi din jaanam,
Aese chup chaap guzarta hai,
Yeh sunsaan sa din,
Aik seedhi si lambi sarrak par jese,
Saath chalta hua rootha hua sathi koi,
Mu’n phelaye huye naraaz sa,
Khamosh,
Udaas..
Aur jab milta hoon,
Hanss parta hai yeh rootha din,
Gud’gudaa* kar mujhe kehta hai,
“Kaho kese ho??”…

All successful people men and women are big dreamers

All successful people men and women are big dreamers.
They imagine what their future could be,
ideal in every respect,
and then they work every day
toward their distant vision,
that goal or purpose.

(Brian Tracy)

Is Simt sametoon to Bikharta hy udher se

Is Simt sametoon to Bikharta hy udher se
Dukh dete hoe yaar ne Daaman nahi dekha