Friday, August 5, 2011

hai justaju k khub se hai khubtar kahan

hai justaju k khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan

yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahan

ik umr chahye k gawara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan

ham jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
alam mein tujhse lakh sahi tu magar kahan

hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan

'Hali' nishat nagma-o-mai dhundhte ho ab
aye ho waqt-e-subh, rahe rat bhar kahan

No comments:

Post a Comment