Sunday, August 21, 2011

Lahu lahu hai har ek sange rah guzar Jaanaaa

Lahu lahu hai har ek sange rah guzar Jaanaaa
Hua na tha u mere dard ka safar Jaanaaa

Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jaanaaa

Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jaanaaa

Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah-o-saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jaanaa

No comments:

Post a Comment