Sunday, January 31, 2010

Phir jaag utha hai dil mein puraney dinon ka dard,

Phir jaag utha hai dil mein puraney dinon ka dard,
Jee chahta hai ke phir koi taaaza ghazal likhoon..

q zindagi ke reh mein majabur ho gae

q zindagi ke reh mein majabur ho gae
itane hue karib ki hum dur ho gae
aisa nahi ki hamako koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kyon isake faisale hamen manzur ho gae
paya tumhen to hamako laga tumako kho diya
hum dil pe roe aur ye dil hum pe ro diya
palkon se kvab kyon gire kyon choor ho gae

just too many women in the world

A Code of Honor: Never approach a friend's girlfriend or wife with mischief as your goal.
There are just too many women in the world to justify that sort of dishonorable behavior.
Unless she's really_ attractive. - Bruce Friedman

Saturday, January 30, 2010

Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain

Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain

Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi
Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi
Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain

Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi
Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain

AzA kaAtnE K bAAd bI mJE reHAi nA miLi

AzA kaAtnE K bAAd bI mJE reHAi nA miLi
dHOkE fAriB dUniYa mE sAchAi nA mIli

sAb kO mAlooMtHA mErI bE gUnAhI kA
muJhe sAfAi k lIye kOI gAwAhi nA miLi

jAb dIl ghAbrAya duNiyA k sHorO gHuL sAy
bOhAt taLAsH kImAgaR mUjhE kAHiN tAnhAi nA mILi

kYa pAta kEsY bAsAr kArTy hAIn zIndAgI wO loG
jIN kO duNiyAdEkhnE k lIye bEnAi nA miLi

jIs sE wAja kArtAy tHAy aPNa sAmaJg kAr”dOsT”
uS sE bI ilzAm mIla kOI aChaI nA miLi…

Friday, January 29, 2010

kuch aise ghao bhi hote hain

kuch aise ghao bhi hote hain
jinhen zakhmi ap nahi dhote
bin roye huye ansuon ki tarah
sine main chupa k rakhte hain
aur sari umr nahi rote

ninden bhi muhaiya hoti hain
sapne bhi dur nahi hote
kyun phir bhi jagte rahte hain
kyun sari rat nahi sote

ab kis se kahen ai jan-e-vafa
ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
kyun bujh k rakh nahi hote

dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai

dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai

kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai

paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi
ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai

taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun
aina-e-halat hai dunya teri kya hai

majruh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat
rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai

"Sagar" mein chalkate hain samawat k israr
saqi ki karamt hai dunya teri kya hai

My love that shall not die

My love that shall not die, till the sun grows cold, and the stars grow old

Ki Muhabbat To Siyasat ka Chalan Choor Diya

Ki Muhabbat To Siyasat ka Chalan Choor Diya
Hum Agr Ishq na Krty To Hakoomat Krty

Phool to phool hain kantoon me bhi khoshboo jage

Phool to phool hain kantoon me bhi khoshboo jage
Tm kabhi apne khealat badal kar daikho

Rahat e dil mata e jaan hay tu

Rahat e dil mata e jaan hay tu
Aye gham e dost jawedaan hay tu

Aansoun par bhi tera saya hay
Dhoop k sar pe saibaan hay tu

Dil teri dastaras main kyoun na rahay
Is zameen par to aasmaan hay tu

Shaam e sheher udaas k wali!
Aye mere meherbaan kaha hay tu?

Saya e abr e raigaan hoon main
Mouj e beher e bekaraan hay tu

Main tahe dast wa gard perahan
Laal o almas ki dukaan hay tu

Lamha bhar mil k roothnay walay
Zindagi bhar ki dastaan hay tu

Kufr o emaan k fasloun ki qasam
Aye mata e yaqeen gumaan hay tu

Tera iqraar hay nafi meri
Mere asbaat ka jahaan hay tu

Jo muqaddar sanwaar detay hain!
Un sitaroun ki kehkashan hay tu

Be nishaan be nishaan khayaam mere
Karvaan karvaan rawaan hay tu

Jaltay rehna chiraagh aakhr e shab
Apne mohsin ka raazdaan hay tu

Jenay Ko Sub Jetay Hain – Zindagi Sms

Jenay Ko Sub Jetay Hain – Zindagi Sms

Jenay Ko Sub Jetay Hain
Her Saya Zukhmi
Jungle Kay Punshi
Chup Kay Keydi
Burbat Kay Nagmay
Dur Ka Sholay Petay Hain
Karnay Ka Jazbay
Roti Kay Keydi
Durya Ka Pani
Bhegi Billi
Hur Bill Kay Sunkh Main Rehtay Hain
Jo Khushki Ki Ghutri Ko
Barish Sumjay Thay
Mo̢۪onh Kholay
Sub Aabi Bhagay
Doray
Kush Kut Mary
Khush Thak Gray
Jo Chultay Gaya
Khaboon Ki Basti Bastay Hain
Jenay Ko Sub Jetay Hain

Chahty thy jinhain unky dil badal gaye

Chahty thy jinhain unky dil badal gaye
Samndr to wohi thy pr sahil badal gaye

Qatal aesa hua Qisston main mera
Kbi badly khanjr to kbi Qaatil badal gaye

To be yourself in a world

To be yourself in a world
that is constantly trying to
make you something else is
the greatest accomplishment.

(Ralph Waldo Emerson)

Thursday, January 28, 2010

Us Rooz ye lagta hai k bekaar Jiye Hum

Us Rooz ye lagta hai k bekaar Jiye Hum
Jis Roz sanam ZikR tumhara nahi hotA

khuli ankhon main sapna jagta hai

khuli ankhon main sapna jagta hai
wo soya hai k kuch kuch jagta hai

teri chahat k bhige jangalon main
mera tan mor ban k nachata hai

mujhe har kaifiyat main kyon na samjhe
wo mere sab hawale janta hai

kisi k dhyan main duba hua dil
bahane se mujhe bhi talta hai

sarak ko chor kar chalna parega
k mere ghar ka kacha rasta hai

Jann-e- janna Tum kehti then

Jann-e- janna
Tum kehti then
Jannu! aap mere bache ho
Mujh ko aisa lagta hai tum orh k mere laho ko
Mere badan me soye rehe ho
Meri rooh ka nasha pi kar mere andher khoye rahe ho
Mere jisam ka hi hissa ho
Jann-e-janna tum tu kehti then
Jannu! aap mere bache ho
Liken aise
Jis ko me anchal k goshon me to chopa kar rakh sakti hon
Jis ko ankh ki patli me pinhan tu kar sakti hoon lakin
Is bache ko
Jannu! aap ko
Duniya ki nazroon me lana nahin hai mumkin
Bara kathan hai
Is dharti ki zalim resmain
Sab jhagre aur sabhi masaeel
Kab tasleem nahin hain mujh ko
Liken janna
Yeh batlao
Kia koi maa
Apne bache ko sardi me
Kholi hoi weran sarak per
Raat ki bheegi tanhai me
Sun sun kerti hui hawa ke jhonkon ke maqtal me
Chor k tanha
Manzal wali roshon raah pee chal sakti hai
Kia koi maa
Aisa b kuch kar sakti hai
Liken tum ne yehi kia hai
Jann-e-janna….!

Wednesday, January 27, 2010

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia

Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia

“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia

Toot kar jab tak hawadas aashna hota nahin,

Toot kar jab tak hawadas aashna hota nahin,
Aur kuch bhi ho to ho dil aina hota nahin.

achi hai ratjago ki chandani jin ki jabinon mein

achi hai ratjago ki chandani jin ki jabinon mein
'Qateel' ek umr guzri hai hamari un hasinon mein

wo jin k anchalon se zindagi takhlik hoti hai
dharakta hai hamara dil abhi tak un hasinon mein

zamana parsai ki hadon se ham ko le aya
magar ham aj tak ruswa hain apne hamnashinon mein

talash un ko hamari to nahin puch zara un se
wo qatil jo liye phirte hain khanjar astinon mein

Mohabbat woh taluq hai, agar mojood ho jaye

Mohabbat woh taluq hai, agar mojood ho jaye,
Zameen-o-aasmaan ka faasila, nabood ho jaye.

Teri soorat se nahi milti ksi ki soorat

Teri soorat se nahi milti ksi ki soorat
Hum jahan me... teri tasveer lye phirty hain

Humne Chaand se pooha

Humne Chaand se pooha
teri Chaandni ka raaz kya hai?
Chaand ne aapki taraf Ishara
kar ke kaha, Inhi say pucho jisay
dekh kar mein chamakta hoon

chand hat may bhar ke jugnowo ke sir kato or aag par rakh do

chand hat may bhar ke jugnowo ke sir kato or aag par rakh do

qafla parindo ka jab zameen pay gir jay chaqowo ke sir rakh do



May bhi ek shajar ho jis par aj tak shaid koi phol phal ny ay

tum meri hateli par ek raat chipky sy barf ke samar rakh do



Dhoop ka har bajra, aag ke samundro may chal barda hamey leny

narmo garm honton sy band hoti titliyon ke par rakh do



Chahey koi mosam ho din gy baharo ke phir sy loot ay gy

ek phol ki pati apny hont par rakh kar mery hont par rakh do



Mera tan darakhton may es lieye jholasta hy sakaht dhoop sehta hy

kia ajab tum a niklo or mery kandho par thak kar apna sir rakh do



Roz tar katny sy raat ke samundro may shehar dhob jata hy

es lieye zarori hy ek diya silai jala kar tum dil ke taq par rakh do

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten

ye sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yad k
koi lamha subah-e-wisal ka, kai sham-e-hijr ki qurbaten

jo tumhari man len nasiha to rahega daman-e-dil main kya
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten

chalo ao tum ko dikhayen ham jo bacha hai maqtal -e-shahar main
ye mazar ahal-e-safa k hain ye hain ahal-e-sidq ki turbaten

meri jan aj ka gam na kar, k na jane katib-e-waqt ne
kisi apne kal main bhi bhul kar kahin likh rakhi ho masaraten

Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya

Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya
Umar meri thi magar,isko basar iss ne kiya

Main bohut kamzor tha iss mulq main hijrat kay baad
Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar iss ne kiya

Rehbar mera bana gumraah karne kay liye
Mujhko seedhey raste se darbadar iss ne kiya

Shehar mein woh moatbir meri gawahi se huwa
Phir mujhe iss shehar main na’moatbir iss ne kiya

Shehar ko barbaad kar kay rakh diya iss ne ‘Munir’
Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya

Tuesday, January 26, 2010

Anaa Parast To Hum B Ghazab K Hain Lekin

Anaa Parast To Hum B Ghazab K Hain Lekin
Tere Gharoor Ka Bus Ehtaraam Krty Hain

Nighain tujh say aye dost milaon kahaan say

Nighain tujh say aye dost milaon kahaan say
NahiN milti meri duniya teray jahaN say

Tujhay khauf khud say tu jiyaya mehfiloN maiN
Tanha lagay haiN mujhko majmay sab yahaaN say

Ajnabi ban kay lagay milnay woh chehray aashna say
Chup kay say uth kay aa gaya maiN isliyayay wahaaN say

Meri terah meri duniya maiN aanaa "Sagar"
Chaaho jo kabhi aanaa uth kay apnay jahaaN say

Baar Baar – Happy Birthday Shayari

Baar Baar – Happy Birthday Shayari

Har raah aasan ho,
Har raah pe khushiya ho,
Har din khubsoorat ho,
Aisa hi poora jivan ho,
Yahi har din meri dua ho,
Aisa hi tumhara har janamdin ho!!!
`
Baar baar yeh din aaye,
baar baar yeh dil gaaye,
tu jiye hazaro saal,
yehi hai meri aarzoo,
Happy B’day To You !!!”
`
Ayi Hai Subhah Wo Roshani Leke,
Jaise Naye Josh Ki Nayi Kiran Chamke,
Vishwas Ki Lau Sada jalake Rakhana,
Degi andheron mein rasta diya banke
Happy Birtday

Anaa Ki Mouj Masti Me Abi B BadShah Hum Hain

Anaa Ki Mouj Masti Me Abi B BadShah Hum Hain
Jo Hum Ko Toor Deta Hai... Hum Usko Chor Dete Hain

Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain

Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain

Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain

Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Ye Ek Aalam Hain

Mohabbatain Huween Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Hamaray Hissay Mein Khushian Nahi Hain, Maatham Hain

Kuch Isi Lye Bhee Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain, Tere Gham Hain

Abhi Kaho, Tou Abhee, Ye Bhi Tum Ko De Dein Ge
Hamaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain

Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Ke Raaz ?
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain

Monday, January 25, 2010

Tumhara zarf hy tumko muhabbat bhool jati hy

Tumhara zarf hy tumko muhabbat bhool jati hy
humain to jis ne b hans kr pukara yaad rehta hy

May this Christmas end the present year

May this Christmas end the present year
on a cheerful note and make way
for a fresh and bright new year.
Here's wishing you a
Merry Christmas and a Happy New Year

Dil Karta Hai – Best Dil Shayari

Dil Karta Hai – Best Dil Shayari

Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon

Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon

Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon

Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon

Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon

Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon

Dil Karta Hai K Intizar Karoon
Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon

Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon

Aur Kabhi

Dil Darta Hai K Toba Karoon

Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua

Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua
Hum aur tum milkar, honge kabhi na juda
Jivan bhar sath denge apna he ye vaada
Tuj par apni jaan bhi denge, apna he ye irada

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

Sunday, January 24, 2010

Nahi Aise Satao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai

Nahi Aise Satao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,
Kahin Se Lout Aao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Yaqeen Tumko Meri Baaton Pe Akhir Kyun Nahi Aata,
Khudara Maan Jao Tum,, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Koi Dastak, Koi Aahat, Na Koi Ghar Pe Aaya Hai,
Parindon!! Chehchao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Mujhe Lagta Hai Mujhko Ab Judayi Maar Dalay Gi,
K Ab Toh Maan Jao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Na Janay Tum Kahan Pe Chor Aaye Ho Nadeem Usko,
Usay Phir Le Aao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey,
Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey,

Rahey bas itna shanasai ka bharam baqi,
Ishar’tan hi dua-o-salam tujhsey rahey,

Na ehad tark-e-ta’aluq na na qurbatien paheem,
Bas ek rabt-e-musalsal madam tujhsey rahey,

Yehi rahey tera nashtar tera tareqey ilaaj,
Isi tarha ghum-e-dil ko dawam tujhsey rahey,

Nazar me aks fishan ho terey jamal ki dhoop,
Dayar-e-jan me sada rang sham tujhsey rahey,

Ab is sey barh k mujhey chahiye bhi kya akhir,
dayar-e-fan me agar mera naam tujhsey rahey.

apne tain to har ghari gam hai, alam hai, dag hai

apne tain to har ghari gam hai, alam hai, dag hai
yad kare hamain kabhi kab ye tujhe dimag hai

ji ki khushi nahin giro sabz-o-gul ke hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai

kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai

jalate hi jalte subah tak guzri use tamam shab
dil hai k shola hai koi, shama hai ya chirag hai

paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai

sair-e-bahar-o-bag se ham ko maf kijiye
us k khayal-e-zulf se dard kise farag hai ?

Us ne poocha K kya chahiye Tumhain

Us ne poocha K kya chahiye Tumhain
Main Bus Dair tak usy Dekhta Raha

Zindgi Jeeny Se Qabal Jo

Zindgi Jeeny Se Qabal Jo

Apny Dard Barha Leti Hun
Yadon Main Usey Pas Bula Leti Hun
Zindgi Jeeny Se Qabal Jo Maar Gya Tha
Har Pal Usy Jeeny Ki Dua Deti Hun

Saturday, January 23, 2010

Ham kisi chshm-e-fusoon saz mein rkhay huay hain

Ham kisi chshm-e-fusoon saz mein rkhay huay hain
Khwab hain, khwab ke andaz mein rkhay huay hain

Taab anjam-e-muhabbat ki bhla kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rkhay huay hain

Jltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jb teri anjuman-e-naaz mein rkhay huay hain

Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rkhay huay hain?

Ik sitaray ko to main subh tlak lay aai,
Beshtar raat kay aaghaz mein rkhay huay hain


Kt kay woh pr to hwaon mein kahin ur bhi gaey
Dil yahin hasrat-e-prwaz mein rkhay huay hain

Hm to hain aab-e-zr-e-ishq say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rkhay huay hain

Mohabbat Kehti Hai, Chalo ‘Farhat’ Hawa Ke Sath Chalty Hain,

Mohabbat Kehti Hai, Chalo ‘Farhat’ Hawa Ke Sath Chalty Hain,
Mein Khamoshi Se Is Ke Sath Chal Deta Hun Bujhne Ko

Wo Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Ghybe Ho Sadiyon Se
Mein Kehta Hun, Hazaron Waswason Ke Darmiyan Gum Hon

Wo Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Be Chainiyan Kia Hai
Mein Kehta Hun, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Me Hoti Hain

Wo Mujh Se Poochti Hai, Khoof Ka Dorania Kia Hai
Mein Kehta Hun, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Me

Wo Mujh Se Poochti Hai, Baadlon Ki Umer Kitni Hai,
Mein Kehta Hun, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai

Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,

Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,
Hum apna koi zakham dikhaya nahin karta,

Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,
Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,

Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,
Jo pairr barre hote hain saaya nahin karte,

Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,
Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahin karte,

Yeh khel mohabbat ka hai phir soch lo Arshad,
Kho dete hain yahan sab kuch paaya nahin karte..

sher k parde mein main ne gam sunaya hai bahut

sher k parde mein main ne gam sunaya hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut

wadi-o-kohsar mein rota hun dhare mar-mar
dilbaran-e-shahar ne mujh ko sataya hai bahut

wa nahin hota kisi se dil girifta ishq ka
zahiri gam-gin use rahna khush aya hai bahut

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se – Ghazal Shayari

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se – Ghazal Shayari

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se
Kabi Gulzar Se
Kabi Bayzar Se
Kabi Kushee Humaray Saat Saat
Kabi Ghammo Ke Barsat Se
Kabi Tufano May Bhi Hain Rastay
Kabi Manzelon Ka Pata Nai
Kabi Do Kadam Pay Hay Zindagi
Kabi Sadio Intazar Se
Kabi Har Kadam Pay Hay Imtahan
Kabi Bin Mangay Innam Hay
Kabi Kuch Nai Kabi Sub Kuch Se
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

Message of the year:-

Message of the year:-
Women live a better, longer & peaceful life..!!
Why? Very simple...
A woman does not have a wife..!!!

Friday, January 22, 2010

if I met you on tomorrow

if I met you on tomorrow I would still give you my heart If you should say, "do you still love me?" I'd say, "Till death do us part"Happy Anniversar

How true my feelings

How true my feelings were I found out to be
The best thing in my life Was when you married me
Thank you my loving wife(loving Husband),
For the years we share
I know one thing for sure
We make a wonderful pair

TaBeeB Apni DaWa Pe NaaZ KRTa Hai MGR LoGo

TaBeeB Apni DaWa Pe NaaZ KRTa Hai MGR LoGo
MujHe ARaaM AaTa Hai KSi ka NaaM LeNe Se

Thursday, January 21, 2010

Milne ki khushi hai ya bichadne ka gum

Milne ki khushi hai ya bichadne ka gum,
Ankhon mein aansu hai ya udas hai ham,
Kaise kahain k kaisey hain ham,
Bas itna samaj lena k tum bin bohat akele hai ham

For a nice friend "nice morning"..

For a nice friend
"nice morning"..

For a sweet friend
"sweet morning"

For a loving friend
"lovely morning"

For a Good friend
"good morning"

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..

Sun Lii Jo Khudaa Ne Vo Duaa Tum To NahiiN Ho?

Sun Lii Jo Khudaa Ne Vo Duaa Tum To NahiiN Ho?
Daravaaze Pe Dastak Kii Sadaa Tum To NahiiN Ho?

Simatii HuIi SharmaaIi HuIi Raat Kii Raanii?
SoIi HuIi KaliyoN Kii Hayaa Tum To NahiiN Ho?

Mahasuus Kiyaa Tum Ko To Giilii HuIi PalkeN?
Bhiige Huye Mausam Kii Adaa Tum To NahiiN Ho?

In Ajanabii RaahoN MeN NahiiN KoIi Bhii Meraa?
Kis Ne Mujhe YuuN Apanaa Kahaa Tum To NahiiN Ho?

Chahat k badle me hum to baich dain apni marzi tak

Chahat k badle me hum to baich dain apni marzi tak,
Koi mile to dil ka gahak koi humen apnae to

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai
Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai…

Is Dil ki Halat batana nahi aata

Is Dil ki Halat batana nahi aata
Kisi ko aisey Tadpana nahi aata

Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki
Magar baat karne ka Bahana nahi aata

Unhein Pyaar karna nahi aata
Aur Hamein Pyaar ke siwa kuch nahi aata

Jeene ke sirf ye Do hi raaste hain
Ek unhe nahi aata aur Ek Hamein nahi aata

Wednesday, January 20, 2010

Which is more painful?

Which is more painful???

"when a person whom u trusted,hurts u.."
or
"the person whom u hurted,still trusts u.."

keep thinking

Hum ko tere dukhon nay dard say choor kia hay

Hum ko tere dukhon nay dard say choor kia hay
Veeraanaa e dil main jazbaat ko maqboor kia hay

Kayee baar ruk sakey naa mairee aankh say aansoo
Zabt - e - Mohaal ! tu nay bhee sath chor diaa hay ?

Hum sazishon kay jungle main gaye raah say bhatak
Meer e kaarwaan nay bhee rukh more liaa hay

Jeetay gee hum jo bikhrey hain, hairaan tum ho kyun
Yeh us hee dil kay tukrey hain jo tore diaa hay

Hum ko khayaal main anjuman aaraaiaan thee pasand
Tabeer milee to sapney dekhana chore diaa hay

Zar o jah main muqay'ed hain, jazbaat main nahee
Woh dil jinhain halaat nay majboor kiaa hay

FAISAL humarey ishq kee thee intihaa koi?
Phir us nay kyun ghairon say naataa jore liaa hay?

Tum Bhi JanaaN Kamaal Karte Ho

Tum Bhi JanaaN Kamaal Karte Ho
Kaise Kaise Sawaal Karte Ho

Aik Hi Pal Mein Toot Jaati HooN
Kaisi Tum Dekh Bhaal Karte Ho

Jhoot Saabit Na Kar Sake Koi
Guftaguu Ba’Kamaal Karte Ho

Rog Jitne The Mere Naam Kiye
Mera Kitna Khayaal Karte Ho

Tark-e-Ulfat Ko Garche Arsa Hua
Dil Ko Ab Bhi Nidhaal Karte Ho

Dil Chaahe Pooch LooN Us Se
KyunN Bayaan Apna Haal Karte H

This is men's world

When a girl falls down
She is helped by so
Many people
But
When a boy falls down
Everybody laughs

When a girl licks
Her lips
She is thirsty
When boy licks
His lips
He is tharki

When a girl smiles
She is considered cute
When a boy smiles
He is flirt

Still people say
This is men's world

Not by making your life always pleasant

Not by making your life always pleasant,

But by showing you when people
And their causes need you most,

And by making you anxious to be
There to help.

Allahs
Love,
Peace,
Hope

And joy to you for the year ahead

Tuesday, January 19, 2010

Koi aur hi kaam somp do mujhe ab tum,

Koi aur hi kaam somp do mujhe ab tum,
Yeh kya tujhe sochna aur sochtey hi rehna..

Us tarah nahi kartey raabta to rakhte hain

Us tarah nahi kartey raabta to rakhte hain,
thorha milne julne ka silsila to rakhte hain,
manzilain buland ho’n tau mushkilain to hoti hain,
mushkilo’n se larhne ka hausla to rakhte hain,
jo tumharey apne ho’n tum pe jaan daite ho’n,
unka haal kaisa hai ye pata to rakhte hain,
dosti k rishte ko bhulte nahi aisey,
rotthey dosto’n se bhi rabta to rakhte hain,
chhorh jane waley bhi kabhi to laut aate hain,
laut k phir aane ka raasta to rakhte hain.

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,

Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,
Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,

Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,
Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,

Tu Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,
Toot?ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,

Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy

Monday, January 18, 2010

Kabi Kabi Dil Chahta Hai Ka Kuch Aisa Hojae

Kabi Kabi Dil Chahta Hai Ka Kuch Aisa Hojae:-
Paperz Hon Mger Result Na Aye
Classes Hon Mger Teacherz Ns Ayen

Bus Me Bethain College Na Aye,
Picnic Pr Jaey Mger Wapis Na Aye,

Gaadi Chalean Magar Petrol Na Delwaen
Kabi Kabi Parhain Mger Pass Hojayen

Haftey Me Chaar Chaar Din Hon Takay Itwar Jaldi Aye!

Muqaddar Aazmane Mein

Muqaddar Aazmane Mein

Zamane Beet Jate Hain

Muradain Dil Ke Panay Main

Zamane Beet Jate Hain

Muhabbat Zindagi Mien

Bari Mushkil Se Milti Hia

Mager Us Ko Nibhane Main

Zamane Beet Jate Hain

Ager Ek Baar Aankhon Mien

Achanak Aa Basay Koi

Ussay Dil Se Bhulanay Mein

Zamane Beet Jate Hain

When I Wake Up In The Morning;

When I Wake Up In The Morning;
The First Thing I Think About Is
.
.
.
.
B.R.E.A.K.F.A.S.T =P
Did U Consider It As
A Silly Routine Morning Wish

Khuda Kare Ek Bhi Haseena Na Rahe Is Jahaan Mein

Khuda Kare Ek Bhi Haseena Na Rahe Is Jahaan Mein
Ek Aaj Mare Ek Kal Mare, Mela Lage Shamshaan Mein
Ravivaar Ka Din Ho Kafan Na Mile Bazaar Mein
Barish Ka Mausam Ho Aag Bhi Na Lage Shamshaan Mein

Sunhari Dhoop Barsat ke Bad

Sunhari Dhoop Barsat ke Bad, thodi Si Hasi Har Bat ke Bad, Usi Tarah Ho Mubarak App Ko Ye Nayi Subah Kal rat Ke Bad.”Happy Eid Mubarik”

aj jane ki zid na karo

aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

Aadmi ne poori jannat haar di

Aadmi ne poori jannat haar di
Sirf ek gandum ke daaney per

Sunday, January 17, 2010

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jaagnay ki saza mili,
Yeh jo chaand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chaand hai,yeh jawaab hai,
Kisi is tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chaand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh takha thaka sa jo chaand hai,
Kabhi ban paray tou yeh is sey pooch k deykhna,
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga dia?
Issay rog kis ney laga dia

Nigah-E-Ishq Ka Ajab Hee Mashghalah Dekha,

Nigah-E-Ishq Ka Ajab Hee Mashghalah Dekha,
Ussay Hee Dekhna Chahain, Jisay Be-Panah Dekha.

Tujhey kis tarhaan saza doun main

Youn hi sochta hoon main aksar
Tujhey kis tarhaan saza doun main

Teri arzoo karun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main

Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main

Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main

Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main

yeh sheher agar sheher hai to sunsaan sa kyon hai

yeh sheher agar sheher hai to sunsaan sa kyon hai

is sheher ka har fard parshaan sa kyon hai

is sheher ke log jisey kehte hain maseeha

woh shakhs mre dard se anjaan sa kyon hia

mitti ka bana hai to ghul kyon nahin jata

pathar ka sanam hai to insaan sa kyon hai

vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi

vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi
hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi

bhala kaha ke ham aise gumaan valey hein
hazar baar ham aaye hamein bulaao bhi

bigar chala hai bahut rasm-e-Khud_kushi ka chalan
Daraane valo kisi roz kar dikhao bhi

tumhari neend mey Dubi hui aankho ki qasam
hamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi

Usi ne aaj bataya mujhe ke kaun hoon mein

Usi ne aaj bataya mujhe ke kaun hoon mein
Woh jis ko aaj se pehle mein janta bhi na tha

Saturday, January 16, 2010

TumhaiN log kehne lgaiN bevafa

TumhaiN log kehne lgaiN bevafa
Zamany se itni vafa mat kro

Faith makes all things possible

Faith makes all things possible, Hope makes all things work, Love makes all things beautiful, May u have all the 3, As u begin each day

dono jahan teri mohabbat main har k

dono jahan teri mohabbat main har k
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar k

viran hai maikada khum-o-sagar udas hai
tum kya gaye k ruth gaye din bahar k

ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din
dekhe hain ham ne hausale parvar-digar k

duniya ne teri yad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain gam rozagar k

bhule se muskura to diye the wo aj 'Faiz'
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar k

Tum Subah Ka Taara Lagte Ho,

Tum Subah Ka Taara Lagte Ho,
Ik Noor Ka Dhaara Lagte Ho,

Yeh Phool, Ciraag Kahan Tum Se,
Tum Chaand Sitaara Lagte Ho..

dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain

dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain

ik ik kar k huye jate hain tare raushan
meri manzil k taraf tere qadam ate hain

raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain

kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain

aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

Friday, January 15, 2010

Sawan ki hawaon may zakhm jag uthtey hain

Sawan ki hawaon may zakhm jag uthtey hain
Shehar-e-dil ki fizaaon may alm jag uthtey hain

Surgazisht likhney ko jab bhi kagaz uthata hon
Khiyal ki zameenon may talatum jag uthtey hain

Baazecha-e-atfaal may nanhey nanhey phool mehakte dekhon tu
Dard key sehraaon may marhan rog bantey hain

Meri basti may kabhi mehfilain saja karti thein
Khoon-e-insan ki khusboun se ab sar-e-sham soog biliktey hain

Ghar se nikalna chaho tu ujaalon may hi nikalna
Meray arz-e-pak ki galiyun may har sham naag nikaltey hain

tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kaya maloom

tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kaya maloom
terey chehray ke ye saada se achootay se naqoosh
mere takhayul ko kaya rang ata kartay hain
teri zulfain,
teri ankhain,
teray aariz,
teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain
jalwat-e-bazm ho ya khalwat-e-tanhai ho
tera paikar meri ankhon main ubhar aata hai
tu koi saát ho, koi fikar ho koi mahool
mujh ko har simt tera husn nazar ata hai
chaltay chaltay jo qadam aap thithak jatay hain
sochta hoon k kahin tu nay pukara to nahin
gum si ho jati hain nazrain to khayal aata hai
is main pinhan teri ankhon ka ishara to nahin
dhoop main saaya bhi hota hai garaizan jis dam
teri zulfain meray shanon pe bikhar jatin hain
thak ke jab sir kisi pathar pe tika daita hoon
teri banhain mairi gardan main utar aati hain
ankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai
sar-e-baleen koi baitha hai bare payar ke saath
meray bikhray huway, uljhay huay baloon main koi
ungliyaan phairta jata hai bare payar ke saath

kis ko maloom meray khwaabon ki tabeer hai kya
kaun janay ke meray gham ki haqeeqat kya hai
main samajh loon bhi agar isko muhabat ka junoon
mujh ko is ishq-e-junoon khaiz se nisbat kya hai

tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kese ho maloom
teri zulfain,
teri ankhain,
teray aariz,
teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain

Thursday, January 14, 2010

Wednesday, January 13, 2010

The best motivation is self-motivation

The best motivation is self-motivation.
The guy says, I wish someone would
come by and turn me on.
What if they dont show up?
Youve got to have a better plan for your life.

(Jim Rohn)

bus iss khayaal se zinda hain , tu humara hai

?MERAY WATAN!!!?
bus iss khayaal se zinda hain , tu humara hai
jo tu raha na tow kuch nahi rahay ga jeenay main
meray WATAN!!! tujhay kaisay yeh dhoop chatay gi
hazaar MAA?ON k anchal hain teray seenay main

Tuesday, January 12, 2010

Another Day, Another Month, Another Year.

Another Day, Another Month, Another Year.
Another Smile, Another Tear, Another Winter,
A Summer Too, But
There Will Never Be Another You!
May Lovely, Happy Times
Decorate This Time Of The Season.
May Warm, Special Memories Brighten Your New Year.

Jahan rahey ga wahin roshni lutaye ga

Jahan rahey ga wahin roshni lutaye ga
Kisi charagh ka apna makan nahi hota

Monday, January 11, 2010

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

Maths teacher asked JOHNY

Maths teacher asked JOHNY
"If u have 12 chocalate and u give 5 to DONA,
3 to ALICE and 4 to ROMA then wat will u get ?
JOHNY replied "Sir! 3 new girl friends"

Sardar Bunks office n goes to home.

Sardar Bunks office n goes to home.
He saw his wife with his boss.
He comes back running office and says,
'baap re, boss ne dekh liya hota to maar daalta.

Ye duniya aik lamhy mein tumhy barbaad Kar dy gi

Ye duniya aik lamhy mein tumhy barbaad Kar dy gi
Mohabbat mil B Jaey To usay mashoor mat krna…

Sunday, January 10, 2010

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
Dil ko Khushi ke sath sath hota raha malal bhi

Baat vo adhi raat ki, raat vo poore chand ki
Chand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi

Sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhtay
Ek dafa to ruk gaye gardish-e-mah-o-sal bhi

Dil to chamak sake ga kya, phir bhi tarash ke dekh lo
Shishagaran-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi

Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb hal tha
Ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhal bhi

Meri talab tha ek shakhs, vo jo nahin mila to phir
Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein

Tum mujhay ZINDAGI kehtay ho…

Tum mujhay ZINDAGI kehtay ho…
Mujhe yaqeen hai..

Mgr mairi aik khawhish hai…
K is ZINDAGI k ba’d…

Mujhe aik aur ZINDAGI milay..
Ta K main dekh sakun..

K TUM..!!
Meri ZINDAGI se..

Kisi aur ZINDAGI tk fasla..
Kitne arsay men ta’e Krtay ho.

Friday, January 8, 2010

Qadam qadam par humen sanp mil rahe hain tarab

Qadam qadam par humen sanp mil rahe hain tarab,
Kahan kahan hai had e asteen khuda jane

sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon

sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon
shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa hoon

tere Gham ko bhi kuch behlaa rahaa hoon
jahaN ko bhi samjhaa rahaa hoon

yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai
gumaaN ye hai k dhokhay kha rahaa hoon

agar mumkin ho lay lo apni ahaT
Khabar do husn ko main aa rahaa hoon

haden husn-o-ishq kii milaakar
qayamat par qayamat Dhaa rahaa hoon

Khabar hai tujhko aye zabt-e-muhabbat
tere haathon men lut ta ja rahaa hoon

asar bhi le raha huN teri chup kaa
tujhe khayal bhi kara jaa rahaa hoon

bharam tere sitam kaa khul chukaa hai
main tujhse aaj kyon sharma rahaa hoon

tere pehlo men kyon hotaa hai mehsus
k tujhsay dur hota jaa rahaa hoon

muhabbat ab muhabbat ho chali hai
tujhe kuchh bhultaa sa jaa rahaa hoon

Different thoughts we had About many things

We've had our ups and downs,This we both know,Through it all our love Still managed to grow Different thoughts we had About many things,But our love for each other,Had no attached strings.Happy Anniversary

Kash hum ek SMS hoty

Kash hum ek SMS hoty
bas aik click mey aap ky paas hoty
mana k aap hamy delete kar detay
laikin kuch dair k liye tou hum aap ky paas hoty
or bari khushi say kehtay

,EID MUBARAK

Why We Sometimes Write "Etc" In Exams?

Why We Sometimes Write "Etc" In Exams?
Because It Means.
.
.
.
E-End Of
T-Thinking
C-Capacity

But Teacher Won't Ever Understand Our FEelings

Hamari be-khudi ka haal wo pochain agr

Hamari be-khudi ka haal wo pochain agr
To kehna hoosh bus itna hai tum ko yaad krty hain

Me To Qaym Hun Teri Mohabbat Ki Badoolat Warna

Me To Qaym Hun Teri Mohabbat Ki Badoolat Warna
Yun Bikhar Jaon ke Haath Na Aaun Apne

Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya

Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya
Ik Haqeeqat Wo Khwaab Banta Gaya

Aks Paani Mein Dekhnay Ke Lye
Kaisay Chehra Gulaab Banta Gaya

Ham Ne Koi Sawaal Tak Na Kia
Wo Mukammal Jawaab Banta Gaya

Pehlay Unwaan Tha Wafa Ka Jo Shakhs
Baad Mein Wo Kitaab Banta Gaya

Neend Ka Tootna Bhee Apni Jaga
Khwaab Bhee Ek Azaab Banta Gaya

Dekhnay Mein Tha Ek Lafz Magar
Ishq Poora Nisaab Banta Gaya

Ham Haqeeqat Samajh Rahay Thay Jisay
Rafta Rafta Saraab Banta Gaya

Saaray Aalam Mein Ham Howay Tanha
Sab Ka Wo Intekhaab Banta Gaya

Pehlay Dil Torna Bura Tha Batool
Baad Mein Ye Sawaab Banta Gaya

Yeh Bhi Acha Hai Sirf Sunta Hai ..

Yeh Bhi Acha Hai Sirf Sunta Hai ..
DIL Agar Boltaa To Qayamat Hooti ..

Thursday, January 7, 2010

Us Shaks Ke Janazey Py Aya Hi Nahi Koi,

Us Shaks Ke Janazey Py Aya Hi Nahi Koi,
Lagta Hai Wo Shaks Ishq Ke Hathon Mara Hai..

Har pal me pyaar hai, har lamhe me Khushi hai,

Har pal me pyaar hai, har lamhe me Khushi hai,
Kho do to Yaad hai.. Jee lo to Zindagi hai…..

Mujh se ab aur tamasha ho nahin sakta,

Mujh se ab aur tamasha ho nahin sakta,
Le ja, Yeh dikhavey ki hansi bhi aa kar..

Urdu Haj sms

May The Noor Of This Month
Illuminate Ur Heart,
Mind And Soul N
May All Ur Duas Be Answered
Remember Me In Your Prayers.
Zilhaj Mubarak
Eid-ul-Adha Mubarak

Bus itna yaad rakh lena k wese kam badalty hain

Bus itna yaad rakh lena k wese kam badalty hain
Mgr Jab hum badalty hain... to phir paiham badalty hain

Wednesday, January 6, 2010

zindagii kis tarah guzregi ab aaraam ke saath

zindagii kis tarah guzregi ab aaraam ke saath
tu mera naam jo le leta hai ilzaam ke saath

mujhse aa aa ke sabhi poochhenge tere baabat
kab talak baat chhupaa paaunga anjaam ke saath

ab tow tanhaiyon mein ghir ke yehi sochta hun
umr bhar yaad kiya jaaunga bad_naam ke saath

apne daaman ko bacha kar tu chala ja mujhse
de ja ruswaiyan kuch aur bhi in’aam ke saath

mujhse ik bhool hui tujhse muhabbat kar li
bhool jaa mujh ko mere pyaar ke payeGhaam ke saath

zindagi tark e talluq mein kategi kaise
bass “khayal” itna bata jaa mujhe ifhaam ke saath

Lehro Se – 140 Words Intezaar Shayari

Lehro Se – 140 Words Intezaar Shayari

Jisne Haq Diya Muje Muskurane Ka
Use Shauk H Ab Muje Rulane Ka
Jo Lehro Se Cheen Kar Laya Tha Kinaro Par
Intzar Ha Use Ab Mere Dub Jane Ka

Tuesday, January 5, 2010

Ajeeb taraz k shidat pasand the hum bhi

Ajeeb taraz k shidat pasand the hum bhi
Khoshi khoshi me kai gham bhi pal rakhe the

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

Wo jo dil mein tera maqam hai

Wo jo dil mein tera maqam hai
Kisi aur ko wo dya nahi
Wo jo rishta tujhe se ban gaya
Kisi aur se wo bana nahi
Wo jo pyar tujhe se ho gaya
…Kisi aur se wo howa nahi
Wo jo raaz tujhe se hai kah dya
Kisi aur se wo kaha nahi
Wo jo sukh mila teri zaat se
Kisi aur se wo mila nahi
Tu basa hai aankhon mein jis tarah
Koi aur aise basa nahi
Tu howa hai jitna qareeb tar
Koi aur itna howa nahi
Tera naam dil mein hai jis tarah
Koi naam aise likha nahi

Mumkin hai.

Mumkin hai. . !
Tum chahat k harf k ander
Laakho’n maani akhaz karo aur khud us ka inkaar bhi kar do
Mumkin hai us lafz ki taqat tum ko be-bas kar de jana’n!
Aur tum dil k tanha, andhay, ghaar mein khud ko paa kar yak dum
Chahat ka iqraar bhi kar do
Lekin kon zamanat de ga?
Tum ne kab asbaat se pehly, naa ki thi
Tum ne kab inkaar se pehlay, haan likhi thi?

Har Taraf Hai Ronak, Bas Ek Teri Hi Hai Kami

Har Taraf Hai Ronak, Bas Ek Teri Hi Hai Kami,
Sard Mausam, Halke Badal, Aur Udas November Ki Aakhri Sham

Monday, January 4, 2010

Unki Wafa Kaisi H Pta To Chala

Unki Wafa Kaisi H Pta To Chala
Thokar Mili Par Zakham Ka Pta To Chala
Sataya Hume Jisne Har Pal Begano Ki Tarah
Kon H Apna Kon H Paraya Pta To Chala

Dukh dard k maron se mera zikar na karna

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...

Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...

Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...

Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...

Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...

Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna

Jab Se Uss Ne Shaher Ko Chora, Hr Rasta Sunsaan Hua

Jab Se Uss Ne Shaher Ko Chora, Hr Rasta Sunsaan Hua
Apna Kia Hai, Sarey Shaher Ka Ek Jaisa Nuqsan Hua

Sahera Ke Munhzor Hawain, Aoron Se Mansoob Huien
Muffat mein Hm Awara Thehrey, Muffat Mein Ghar Sunsaan Hua

Mere Haal Pe Hairat Kaisi, Dard Ke Tanha Mousam Mein
Pather B Ro Partey Hain, Insan To Phr Insan Hua

Youn B Kam Amez Tha Mohsin Wo Iss Shaher Ke Logon Se
Lekin Mere Samney Aa Kr, Aor B Kuchh Anjaan Hua

Tujhay Khabar Bhi Nahi

Tujhay Khabar Bhi Nahi
Ke Teri Udaas Adhoori
Mohabbaton Ki Kahaaniyan
Jo Bari Kushaada Dili Se
Hans Hans Ke Sun Rahaa Tha
Wo Shakhs Teri Sadaaqaton Par Fareefta
Baa-Wafaa, Saabat Qadam
Ke Jis Ki Jabeen Pe
Zaalim Raqaabaton Ki Jalan Se
Koi Shikan Na Aaeee
Wo Zabt Ki Karabnaak Shidat Se
Dil Hi Dil Mein
Khamosh, Chup Chaap
Mar Gayaa Hai…

I love so much my heart is sure.

I love so much my heart is sure.As time goes on I love you more,Your happy smile.Your loving face, no one will ever take your place

Sunday, January 3, 2010

Mujhko na do muhlat lamhy bhar ki b khud se

Mujhko na do muhlat lamhy bhar ki b khud se
Tum mera waqt... mera lamha... mera her dour ho jao

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha
na tha raqib to akhir vo nam kis ka tha

vo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha

vafa karenge nibhayenge bat manenge
tumhen bhi yad hai kuch ye kalam kis ka tha

raha na dil main vo be-dard aur dard raha
muqim kaun hua hai maqam kis ka tha

na puch-pach thi kisi ki na av-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha

hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahin
sun jo tum ne ba-dil vo payam kis ka tha

inhin sifat se hota hai admi mashhur
jo lutf ap hi karte to nam kis ka tha

guzar gaya vo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha

har ek se kahte hain kya "Dag" bevafa nikla
ye puche in se koi vo gulam kis ka tha

Wo Ek Mouka To Mujhko Dei Baat Karne Ka Yaaron,

Wo Ek Mouka To Mujhko Dei Baat Karne Ka Yaaron,
To Unhe Bhi Rula Dunga, Unhi Ke Sitam Suna Suna Kar..

Bas Ek Jhijhak Hai Yahi Haal-E-Dil Sunane Mein

Bas Ek Jhijhak Hai Yahi Haal-E-Dil Sunane Mein
Ki Tera Zikr Bhi Aayega Is Fasaane Mein

Baras Padi Thii Jo Rukh Se NaQaab Uthane Mein
Vo Chandni Hai Abhi Tak Mere Gareeb-Khaane Mein

Isi Mein IshQ Ki QisMat Badal Bhi Sakti Thi
Jo WaQt Beet Gaya Mujh Ko AazMaane Mein

Ye Keh Ke Toot Pada Shaakh-E-Gul Se Aakhri Phool
Ab Aur Der Hai Kitni Bahaar Aane Mein

When Did You Finish Your Masters Degree

Sardars Friend: Yaar,
Last Year The Name Plate Outside Your House
Read Santa Singh, B.A.
This Year It Reads Santa Singh, M.A.
When Did You Finish Your Masters Degree?
Sardar: You Dont Understand.
Last Year My Wife Died,
I Put B.A. To Indicate Bachelor Again.
Then I Took A Second Wife, So M.A. Is Married Again

Zabat e gham abb to pathar kar dia warna faraz

Zabat e gham abb to pathar kar dia warna faraz,
Daikhta koi k dil k zakham jab ankhon me the

Saturday, January 2, 2010

dekh main ho gai badnaam kitabon ki trah

dekh main ho gai badnaam kitabon ki trah
meri tash'heer na kr... ab to jala dy mujh ko

Ajab ik khummar mein guzrii yeh zindagii

Ajab ik khummar mein guzrii yeh zindagii
Terey hii intezaar mein guzrii yeh zindagii
miley, mill key rooth gaeyey
khwaab saarey toot gaeyey
tum sey milna tha
kuch kahna tha
baar baar milley
kaeii baar milley
kuch kah na paeyey
goo tum hii tum basey rahey dheyaan mein
per anna aarey aatii gaeii her ik kaam mein
kuch kahney sey pahley hii rutt badal gaeii
nazar lagg gaeii
guzrey mah o saal ko yaad kar key
khud ko bahlaatey rahtey heyn
khud sey yehii kahtey rahtey heyn
terey hii piyaar mein guzrrii yeh zindagii
terey hii intezaar mein guzrii yeh zindaggii

Because we miss only those people

Sometimes, missing is more precious than being together..!

Because we miss only those people
whom we never want to MISS!

Waqt Sab Kuch Cheen Leta Hai

Waqt Sab Kuch Cheen Leta Hai
Ye To Phir Ek Muskurahat Thi

Friday, January 1, 2010

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai
Jo Pairr Bare Hote Hain Saya Nahin Karte

mujhay us shaks ki parwa bohot hai

mujhay us shaks ki parwa bohot hai
jo samjho to yehi rishta bohot hai

wohi aik baat jo sab se chupai
usi ik baat ka charcha bohot hai

meri khuwahish kabhi puri na hogi
mujhay is baat ka sadma bohot hai

kisi ko bhoolna mumkin nahi hai
wagarna hum ne to chaha bohot hai

kahan tak aur mera saath daiga wo
pehlay hi yahan ruswa bohot hai

tere jaisa koi milta nahi hai
tere jaisa magar dhoonda bohot hai

chalo ab mout ka samaan kar lain
keh jeena to yahan mehenga bohot hai

wo mere paas kab thehra hai akhir
jo mere paas say guzra bohot hai

You are always in my heart

You are always in my heart, here and everywhere, There is no one in the whole world that makes me feel this way

Har pal khusboo unki aaye to saanso ka kya qasoor ?

Har pal nazre unko dekhna chahe to aankhoan ka kya qasoor ?
Har pal khusboo unki aaye to saanso ka kya qasoor ?
Waise to sapne puch ker nahi aate ,
Per sapne hi unke aaye to raato ka kya qasoor ?

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde

Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde