Saturday, January 23, 2010

Ham kisi chshm-e-fusoon saz mein rkhay huay hain

Ham kisi chshm-e-fusoon saz mein rkhay huay hain
Khwab hain, khwab ke andaz mein rkhay huay hain

Taab anjam-e-muhabbat ki bhla kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rkhay huay hain

Jltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jb teri anjuman-e-naaz mein rkhay huay hain

Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rkhay huay hain?

Ik sitaray ko to main subh tlak lay aai,
Beshtar raat kay aaghaz mein rkhay huay hain


Kt kay woh pr to hwaon mein kahin ur bhi gaey
Dil yahin hasrat-e-prwaz mein rkhay huay hain

Hm to hain aab-e-zr-e-ishq say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rkhay huay hain

No comments:

Post a Comment