Thursday, July 31, 2008

akhiri Tis azamane ko

akhiri Tis azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko

yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko

sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko

zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko

jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko

kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko

khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko

reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko

hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko

hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko

as ki bat ho ki sans 'Ada'
ye Khilaune hain tuT jane ko

kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho

kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho
aisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na ho
wada zarur karte hain aate nahi kabhi
phir ye bhi chahate hain shikayat kabhi na ho
sham-e-visal bhi ye tagaful ye berukhi
teri raza hai mujhko masarrat kabhi na ho
ahabab ne diye hain mujhe kis tarah fareb
mujhasa bhi koi sada tabiyat kabhi na ho
lab to ye kah rahe hain ke uth, badh ke choom le
aankhon ka ye ishara ke jurr’at kabhi na ho
dil chahata hai phir wohi fursat ke raat din
mujhko to tere khayal se fursat kabhi na ho

Peenay dai sharab masjid main baid kay Galib

Peenay dai sharab masjid main baid kay Galib

Ya woh jaga bata jahan KHUDA nehen hai !!!!

Najoomi Ne To Mujhe Pareshani Me Daal Diya Hai

Najoomi Ne To Mujhe Pareshani Me Daal Diya Hai…
Kehta Hai Tujhe Mout Nahi, Kisi Ki Yaad Marey Gi

Ab ghar hai na koi rastaa hai

Ab ghar hai na koi rastaa hai
bas aik chiragh jal raha hai

sab shehr k log so rahay haiN
ik mera makaan jagta hai

ToTay ye hisaar e shab k ab to
khud se hi diya uljh paRa hai

dekhi jo kitab e umr ab k
aik aur warq ulat gaya hai

aaye rasm e shikasta paai tu ne
dil ko baRa hosla diya hai

utray ga na qarz asmaaN ka
jb tak ye zameen zair e paa hai

dekho to zara sakhi samndr
dariya se khiraaj mangta hai

zinda hai abhi Saleem Kousar
kis gham main ye shehr marr raha hai

Wednesday, July 30, 2008

na rava kahiye na saza kahiye

na rava kahiye na saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye

dil main rakhne ki bat hai gam-e-ishq
is ko hargiz na barmala kahiye

vo mujhe qatl kar k kahte hain
manta hi na tha ye kya kahiye

a gai ap ko masihai
marne valo ko marhaba kahiye

hosh urane lage raqibon k
"Dag" ko aur bevafa kahiye

Aqeedat or hoti hai marwat or hoti hai

Aqeedat or hoti hai marwat or hoti hai,
Mohabbat jis ko kehtey hain wo ne’amat or hoti hai,

Qayamat khez manzar go hazaron hum ney dekhey hain,
Jo dil par toot’ti hai wo qayamat or hoti hai,

Maheeno ba’ad milney ki khushi apni jaga lekin,
Wo zalim jab bicharta hai to halat or hoti hai,

Lutana maal hatim ka agarcha karnama hai,
Qareen e ishq me lekin sakhawat or hoti hai,

Wo khanjar be rukhi kay jis qadar dil par chalata hai,
To mayel is qadar us par tabiat or hoti hai,

Tjhey bhanwra kanwal kehna kisi sorat nahi be ja,
Jisey kehtey hain parwana wo sorat or hoti hai.

Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey

Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey

Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey

Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey

Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey

Likha Tha Kaatib-E-Taqdeer Ne DiL K Muqadar Me

Likha Tha Kaatib-E-Taqdeer Ne DiL K Muqadar Me
K Pehle Abla Phir Zakhm Phir Nasoor Ho Jana...

KaheeN KartAy Nahi izhaaR, ChuP Hain

KaheeN KartAy Nahi izhaaR, ChuP Hain
HamaiN Tou HukaM Hay Sarkar, ChuP Hain
.
Kahani Kuch BatanA Chahti Hay
Magar Is K Sabhi KirdAAr ChUp Hain
.
BohAt Hay BarisH-e-SunG-e-Malamet
Magar Hum Surat-e-KuhSaaR , Chup Hain
.
Abhi Tak Hay, BuhAt MehfOoz QatiL
K maQtal Kay Der-o-DewaaR ChuP Hain
.
Pata Rahzun Ka KhalQat Pochti Hay
Magar Basti Kay Pahray’Daar Chup Hain
.
Wohi Musam, Wohi ZanjEEr-e-ShaB Hay
Magar Ye Log Kyon Is Baar ChuP Hain ??

Sehra ki munh'zoor hawaain

Sehra ki munh'zoor hawaain
Auron se mansoob hoi...
Muft me hum awara thehre
Muft me ghar veeran hoa...

Tuesday, July 29, 2008

RENEWAL OF FRIENDSHIP CONTRACT 2013

RENEWAL OF FRIENDSHIP CONTRACT 2013
After serious and cautious consideration,
your contract has been renewed for the Year 2013.
So, try to be more LOVING and CARING next year.
Take care of Me and Miss me.
Because, It's impossible to find a FRIEND
Who is
95% ideal
96% smart
97% kind
98% true
99% Talented
and
100% lovable
So,
Don't lose WHOM U NEVER WANT TO LOSE.
Wish you a Very Happy New Year

Chor ye baat milay zakham kahan se mujhko

Chor ye baat milay zakham kahan se mujhko
Zindagi itna bata kitna safar baqi hai

size of your Christmas tree

Never worry about
the size of your Christmas tree.
In the eyes of children,
they are all 30 feet tall

You can spend

You can spend
hundreds on birthdays,
thousands on festivals,
lakhs on weddings,
but to celebrate
all you have to spend is your TIME

Mother, I love you

Mother, I love you,
For all that you do.
I'll kiss you and hug you,
Because you love me, too.
You feed me and need me,
To teach you to play,
So smile because I love you,
On this Mother's Day

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye
jo sarab ho'n naa azaab ho'n woh rafaqtain mujhe chahiye

unhain sama-ato'n ki talaash hain jo calendaro'n sey utar gayain
jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye

kahin mil sakai'n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya'n
jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye

jo meri shabo'n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay
wohi loug hain meri aarzoo. wohi sooratai'n mujhe chahiye

teri qurbatai'n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko
mujhe faasilo'n sey dawam dein teri qurbatai'n mujhe chahiye

mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai'n hain meri saibaa'n
karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai'n mujhe chahiye

Happiness is not something u postpone 4 the future.

Happiness is not something u postpone 4 the future.
It''s something u design 4 the present.
Make each moment a happy one.
I just did it by remembering U!
Good Morning & Have a nice day

Monday, July 28, 2008

Ab Ki Baras Bhi Vo Nahin Aayaa Bahaar Men

Ab Ki Baras Bhi Vo Nahin Aayaa Bahaar Men
Guzaregaa Aur Ek Baras Intazaar Men

Ye Aag Ishq Kii Hai Bujhaane Se Kyaa Bujhe
Dil Tere Bas Men Hai Na Mere Ikhtiyaar Men

Hai Tuute Dil Men Terii Mohabbat Teraa Khayaal
Khush-Rang Hai Bahaar Jo Guzarii Bahaar Men

Aansuu Nahiin Hai Aankhon Men Lekin Tere Bagair
Vo Kaanpate Huye Hain Dil-E-Beqaraar Men

Main Mannda Han Meri Galti Hai

Main Mannda Han Meri Galti Hai
Tere Unchahiya Mere Chumman Di

Maitho Eh Galti Bakshon Leyi
Tere Shehr Vi Ayia Nahi Jaana

Bas Rehan De Ched Na Darda Nu
Sathon Dard Sunayia Nahi Jaana

Money says EARN me lot

Money says EARN me lot,Time says PLAN me lot,
Flower says LOVE me lot,Study says LEARN me lot,
SMS says SEND me lot,
& I say REMEMBER me lot..

Shayd ksi lakeer me likha ho mera naam

Shayd ksi lakeer me likha ho mera naam
Mere yaar... apna hath mujhe dekhne to dy

Sunday, July 27, 2008

See outside the Window,

See outside the Window,
Sun rising for U, Flowers smiling for U,
Birds Singing for U, B'coz last night
I told them to wish U GooD Morning.

Kisi K Liye Zindagi Thi

Kisi K Liye Zindagi Thi

K0i Zindagi K Liye Tha

Kisi Ki Andher0n Me Guzri

K0i Sirf R0shni K Liye Tha

Kisi Nay Kiye Hukam Sadir

K0i Sirf Bandagi K Liye Tha

Kisi Say M0habbat Hai Itni

K0i Sirf Dushmani K Liye Tha

Kisi Say Huay L0g Sairaab

K0i Sirf Tishnagi K Liye Tha

W0 Phir Dunya Me Tha Masr00f

K0i Sirf Usi K Liye Tha

Hua Kya Agar T0rh Dala

Ye DiL Bhi T0 Sirf Usi Ke Liye Tha

Wo jab ojhal hua to hum b apne aap se choonky

Wo jab ojhal hua to hum b apne aap se choonky
usy aawaz deni thi... usy wapis bulana tha

Saturday, July 26, 2008

Life ends when you stop dreaming, hope ends when you stop believing

Life ends when you stop dreaming, hope ends when you stop believing and love ends when you stop caring. So dream hope and love...Makes Life Beautiful

Woh Mere Saath Nahin

Is Eid Par . . .
Woh Mere Saath Nahin . . .
Magar Woh , , ,
Us Kii Yaadein . .
Us Kii Baatein , ,
Sab Mujhe Yaad Hein . .
Us Ne Bhii Mujhe Yaad Kiya Hoga . .
Phir Mere Khayalon Mein Khoye Hue . .
Tasavur Ke Kisi Lamhe Mein . .
Dheere Se Kaha Hoga , ,
Eid Mubarak

I love my eyes when U look into them

I love my eyes when U look into them,
I love my name when U say it,

I love my heart when U love it,
I love my life when U are in it

Chaman Ke Baharon Mai Tha Aashiyana

Chaman Ke Baharon Mai Tha Aashiyana
Na Jane Kahan Kho Gaya Wo Zamana

Tumhen Bhulane Ke Main Koshish Karunga
Ye Wada Karo Ke Na Tum Yad Aana

Mujhe Mere Mitane Ka Gam Hai To Ye Hai
Tumhen Bevafa Kah Raha Hai Zamana

Khudara Meri Qabr Pe Tum Na Aana
Tumhen Dekh Kar Shaq Karega Zamana

Mein kuch bhi ker nahi skta

Mein kuch bhi ker nahi skta
Apni safai bhi day nahi skta

Wo hai bhi itna sarkash key
Meri baat bhi wo sun nahi skta

Ye ajeeb halat hai key is key siwa
Mein saans bhi ley nahi skta

Mein isy kabhi nahi bhool pa’on ga ‘Gul’
Aur wo mera ho bhi nahi skta

Mojood thi udaasi abhi pichli raat ki

Mojood thi udaasi abhi pichli raat ki
Behlaa tha dil zara sa ke phir raat ho gayi

Friday, July 25, 2008

Words Will Not Be Able To Ever Express

Words Will Not Be Able To Ever Express
How Sorry I Am For This,
And I Have Profound Regret And Sorrow
For The Multitude Of
Mistakes And Harm
I Have Caused.

Na janay kab ka pohnch bhi chuka sir-e-manzil

Na janay kab ka pohnch bhi chuka sir-e-manzil
Wo shakhs jis ka humain intezaar raah mein hai

On this special day

On this special day,
best wishes go to you,
that this wonderful love u share,
lasts your lifetime through.
Happy anniversary to you my Love

Thursday, July 24, 2008

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main

nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main

ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main

lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main

apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main

daaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main

Cupid ruled d world and Valentine was d prince of Cupids

What if? Cupid ruled d world and Valentine was d prince of Cupids' kingdom...I think evry day would be a Valentines Day! Dat means evry day is another chance 2 show our loved ones tender lovin care in a special way!

sharab sharir ko khatam karti hai

sharab sharir ko khatam karti hai
sharab samaj ko khatam karti hai
aao aaj is sharab ko khatam karte hai
ek botal tum khatam karo ek hum khatam karte hai.

Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.

Doodh Mein Uria, Mineral Water Mein Castic Soda,
Pepsi Aur Coke Mein Pesticide, Yani Pani Wani Bhi Kharab,
Ab Hum Kya Kare, Pure Bachi Bhi Hai To Sirf Yeh Sharab..

Botal Chupa dena kafan mein meri
Shamshan mein piya karunga
Jab mangega hisab khuda ;
To use bhi peg bana kar diya karunga?

Wednesday, July 23, 2008

Baja kay aankh main neendoon kay silsalay main naheen

Baja kay aankh main neendoon kay silsalay main naheen
Shikast e khuwaab kay mujhe main hooslay bhi nahi

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay
Guzrun Jo Os Ki Gali Se Tou Thandi Hawa Lagay

Mehmaan Ban Ke Aaye Agar Kisi Roz Wo Shakhs
Is Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa Lagay

Mein Is Lye Manaata Nahi Vasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Dua Lagay

Wo Qehat Dosti Ka Parra Hai Ke In Dinon
Jo Muskura Ke Baat Karay Aashna Lagay

Tark-e-Wafaa Ke Baad Ye Oski Adaa “Qateel”
Mujh Ko Sataaye Koi Tou Osko Bura Lagay

im a paper, you can wright your feeling

im a paper, you can wright your feeling, scribble your anger, use me to absorb your tears,dont throw me after use, but when you feel cold ill burn myself to warm you

I remember you when I wake up

Morning greetings doesn't only mean saying Good Morning,
it has a silent message saying:
I remember you when I wake up! Have a nice day!

oye agar neend na aaye to kya kia jaaye?

1st sardar: oye agar neend na aaye to kya kia jaaye?

2nd Sardar: Neend ka intizar karne se achha hai ki banda soo hi jaye

Kiya tha ek wada tum ne humesha khush hi rehna hai

Kiya tha ek wada tum ne humesha khush hi rehna hai
to dekho kabhi aa kar meri ankhon mein
ye kitni shokh lagti hein
mere honton ko dekho tum
hamesha muskuratey hein
koi bhi gham ager aaya
issey hans kar saha maine
mere chehre ko dekho tum
humesha pur sukoon
to socho
ke kiya tha maine jo tum se wada
woh poora kardiya maine
mager ek baat hai pyare
kabhi jo waqt mil jaaye
to meri shayri perhna
tumhein mehsoos to hoga
kahein talkhi bhara lehja
kahein pe dard ki jheelein
kahein lehjey ki karhwahat
suno,
me khush to hun lakin
lahoo har lafz rota hai.

Mohabbaton Mein Her Ekk Lamha Wissal Hoga

Mohabbaton Mein Her Ekk Lamha Wissal Hoga, Ye Taye Hua Tha
Bichar K Bhi Ekk Dosarey Ka Khiyal Hoga, Ye Taye Hua Tha,

Ye Kia K Sansein Ukhar Gai Hain, Safar K Aaghaz Se Hi Yaro
Koi Bhi Thak Kar Na Rastey Mein Nadhal Hoga, Ye Taye Hua Tha,


Wohi Hua Naa, Badltey Mousom Mein Tum Ne Hum Ko Bhulla Diya
Koi Bhi Rutt Ho Na Chahton Ka Ziwal Hoga, Ye Taye Hua Tha,

Judda Huye Hain To Kiya Hua Phir, Yahi Dastoor e Zindagi Hai
Juddaion Mein Na Qurbaton Ka Malal Hoga, Ye Taye Hua Tha,

Chalo K Faizan Kashtion Ko Jalla Dein Gumnam Sahilon Par
K Ab Yahan Se Na Wapsi Ka Sawal Hoga, Ye Haye Hua Tha,

Some people like sunday

Some people like sunday,
Some people like monday,
However i just like only one day,
Its your birthday?Happy Birthday!

Tuesday, July 22, 2008

A 2-Line Rhyme With d Most Romantic 1st Line

A Poetry Competition asked For A 2-Line
Rhyme With d Most Romantic 1st Line &
the Least Romantic 2nd Line

There's d Winning Rhymes

My darling, My Love,My Beautiful Wife
Marrying U Ruined,My Whole Life

I c Ur Face When I m Dreaming
That's Why I Always Wake Up Screaming

Kind Intelligent, Loving & Hot
This Describes Everything You r Not

I Love Ur Smile, Ur Face & Ur Eyes
Damn, I'm V Good At Telling Lies

There are two type of studies

There are two type of studies:

1 - hard subjects which Cannot be studied.
2 - easy subject that Doesn't need to be studied

Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote

Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote

Monday, July 21, 2008

A sardar went to Pizza Hut

A sardar went to Pizza Hut.
There he ordered a Pizza.

The Waiter asked him:
Sir shell I cut it into 4 pieces or 8 pieces.

Sardar replied:
O 4 hi le aa yaar,
8 to nahin khaye jayein gay

Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan,

Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan,
Issey kehte hain ujarrna meri jaan,

Kesa lagta hai sawarney ke liye,
Baaz aukaat bigarrna meri jaan,

Teri aamad ka pata deta hai,
Saans ka aese ukharrna meri jaan,

Roshni apni jagha ghairti hai,
Tum hawaaon se na larrna meri jaan,

Hum nahin hon ge to peyshaani* koi,
Kissi pathar pe ragarrna meri jaan,

Tere milne se khulaa hai mujh per,
Kitna mushkil hai bicharrna meri jaan,

Asmaan khaak huye hain pal main,
Kya zameenon pe akarrna meri jaan..

Dil To Kia Cheez Hai Hum Rooh Mien Otrey Hote…

Dil To Kia Cheez Hai Hum Rooh Mien Otrey Hote…
Tumne Chaha He Nahin Chahney Walon Ki Tarah….

Aati nahin eid roz roz mari jaan Eid ke din to zara khu

Aati nahin eid roz roz mari jaan Eid ke din to zara khul ka mila kijiye aaj kal din hain jashne baharane deed aaj ka din na koi gila kijiye

Wo Muhabbaton K Soudy B Ajeeb Krta Hai

Wo Muhabbaton K Soudy B Ajeeb Krta Hai
Bus Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai

qismat to dekh tooti hai jaa kar kamad kahaan

qismat to dekh tooti hai jaa kar kamad kahaan
do chaar haath jab k lab baam rah gaya

Sunday, July 20, 2008

Mein din bhar kuch nahin karta, Mein araam karta hoon

Mein din bhar kuch nahin karta, Mein araam karta hoon
Woh apna kaam karte hain, Mein apna kaam karta hoon

Love is like a bird

Love is like a bird, if u hold it tightly it dies, if u hold it slightly , it flies, plz take good care of it.. DOn't Luv 1, don't Luv2, but Luv 1 who Luvs u!

Wohi ahal e karwan hain wohi be hisi ka alam

Wohi ahal e karwan hain wohi be hisi ka alam
Na kisi ko manzil na gham e shikasta pani

It spells Mother

Many hugs
Only love never anger
Teaching me
Helping me
Every smile when I was sad
Raising me to be strong

It spells Mother. Thanks for being u

Mohabbat mein jeene wale Khushnaseeb hote hain.

Mohabbat mein jeene wale Khushnaseeb hote hain.
Mohabbat mein marne wale Ajeeb hote hain.
Aur, Har waqt Mohabbat ki baatein karne wale Bad-tameej hote hain.But wait?..
Aisa apun ko lagta hai.Aapko kya lagta hai ?
Jawaab do?
Warna jawaab nahi dene wale Dimaag ke marij hote hain !

Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dill mera

Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dill mera
Tumhare he liye rakha ha, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!

Reply

…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa ha, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!

Saturday, July 19, 2008

Dastoor hai duniya ka magar yeh to batao

Dastoor hai duniya ka magar yeh to batao,
Hum kis se milain kis se kahen Eid mubarak ?

kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera

kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera

ham bhi wahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye
ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera

is sheahr mein kis se milen ham se to chuti mahfilen
har shakhs tera nam le har shakhs diwana tera

kuche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar
jangal tere parbat tere basti teri sahra tera

ham aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftadagi
ehsan hai kya kya tera ai husn-e-beparwa tera

do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye
altaf ki barish teri ikram ka darya tera

ai bedarg-o-beaman ham ne kabhi ki hai fugan
ham ko teri wahshat sahi ham ko sahi sauda tera

tu bewafa tu mahraban ham aur tujh se bad-guman
ham ne to pucha tha zara ye waqt kyun thehra tera

ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqir-e-rahguzar
rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera

han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin
is shakhs k ashar se shohra hua kya kya tera

beshak usi ka dosh hai kahta nahin khamosh hai
tu ap kar aisi dawa bimar ho acha tera

bedard sunani ho to chal kahta hai kya achhi gazal
ashiq tera ruswa tera shayar tera "Insha" tera

Na Jane Kis Gam Ko Chupane Ki Tamanna Thi Usko……

Na Jane Kis Gam Ko Chupane Ki Tamanna Thi Usko……
Aaj Har Ek Baat Per Haste Hue Dekha Usko.

Things aren't always as they seem

Things aren't always as they seem.

Umm-e-moosa was told to throw her son in the river
Hazrat yusuf (a.s) was left to die in a well.
Hazrat maryam delivered a child alone.
Hazrat yunus (a.s) was swallowed by a fish
Hazrat ibrahim (a.s) was thrown in the fire.

Yet look at how it turned out for them, in the end.

Allah always has a better plan for us,
Things may not start off too Well,
But the ending is usually better than we except.

If today you are facing hard times,
Have faith and pray for a better tomorrow.

Miracles do happen when
You seek guidance from Allah.

For he is all-knowing,
All-wise & all-powerful.

Friday, July 18, 2008

naqsh faryadi hai kis ki shokhi-e-tahrir ka

naqsh faryadi hai kis ki shokhi-e-tahrir ka
kagzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka

kawe-kawe sakhtjani haye tanhai na puch
subah karna sham ka lana hai ju-e-shir ka

jazba-e-beikhtiyar-e-shauq dekha chahiye
sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka

agahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichaye
mudda anqa hai apne alam-e-taqrir ka

bas k hun 'Ghalib' asiri mein bhi atish zar-e-pa
mu-e-atishdida hai halqa meri zanjir ka

dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin

dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin

Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tahani par parinda hai ki patta hai 'Adeem'
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain 'Adeem'
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

I've got ur back n u've got mine

I've got ur back n u've got mine,
I'll help u out anytime.
2 see u hurt, 2 see u cry,
Makes me weep n wanna die.
I'll b right here, till the end,
Coz ur my Love& My Best friend.

Kabi to yaad kro gy humain tanhai me humdam

Kabi to yaad kro gy humain tanhai me humdam
mgr tab lout aany ka koi imkaan nahi hoga

Dhoop ke saath gayaa saath nibhaane waalaa

Dhoop ke saath gayaa saath nibhaane waalaa
ab kahaa.N aayegaa vo lauT ke aane waalaa

ret par chho.D gayaa naqsh hazaaro.n apane
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane waalaa

sabz shaaKhe.n kabhii aise to nahii.n chiiKhatii hai.n
kaun aayaa hai parindo.n ko Daraane waalaa

aariz-e-shaam kii surKhii ne kiyaa faash use
pardaa-e-abr me.n thaa aag lagaane waalaa

safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tuufaan hai aane waalaa

mujh ko dar_pardaa sunaataa rahaa qissaa apanaa
agale vaqto.n kii hikaayaat sunaane waalaa

shabanamii ghaas ghane phuul larazatii kirane.n
kaun aayaa hai Khazaano.n ko luTaane waalaa

ab to aaraam kare.n sochatii aa.Nkhe.n meri
raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane waalaa

One day sky was crying

One day sky was crying.

I ask him why are you
crying today.

He told me i have lost my
beautiful star.

It was a day when you were born.
"HAPPY BIRTHDAY"

I challenge you to make your life a masterpiece

I challenge you to make your life a masterpiece.
I challenge you to join the ranks of
those people who live what they teach,
who walk their talk.
(Anthony Robbins)

My new year resolution

My new year resolution
I wouldn't worry about doing things
right way or the wrong way.

This year,
I am gonna do things my way.

Thursday, July 17, 2008

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye

DUA..

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malik Aagahi Chahiye

Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye..

Aameen

Os sy bichry zamana ho gaya hai

Os sy bichry zamana ho gaya hai

ye kissa ab purana ho gaya hai

khander se ho gaye hain gher wo sary

sheher wo ik verana ho gaya hai

uthao saz ab sangeetkaro

mera jeevan tarana ho gaya hai

Its Difficult To Wait For Someone

Its Difficult To Wait For Someone ,
And Its Difficult To Forget Someone !
But The Most Difficult Thing Is To
Decide Whether To Wait Or To
Forget Someone

Is Zamaane Se – 140 Words Shayari in Hindi

Is Zamaane Se – 140 Words Shayari in Hindi

Is Zamaane Se Bahut Alag Ho Aap
Who Khush Kismat Hai, Jiske Paas Ho Aap
Humaare Liye Who Waqt Hi Haseen Hai
Jab Hume Yaad Karke Muskuraa Lete Ho Aap

honton pe gul khila kr

honton pe gul khila kr
zulfain meri ura kr
aanchal say baat kr kay
aagay guzar gaei hai

teri tarah say choo kr
baad-e-saba to mujh ko
hairaan kr gaei hai

Fantasy n Terror – Poems for Mothers Day

Fantasy n Terror – Poems for Mothers Day

I’ve lived a life of fantasy and terror,
Plunging now and then headlong towards death.
I cannot think what agony it must be
To see your child burn in such a hell.
I’ve fought your love with all the madness in me,
Screaming at my stubborn love for you,
The one thing in my heart that will not let me
Toss my tortured soul into the sea.

I do not know what pain your love has cost you,
Or with what courage you have seen me through.
I only know I love you so much for it
That life becomes too beautiful to hold.

Ankhon Ka Hai Fareb Ya Aks-e-Jamal Hai

Ankhon Ka Hai Fareb Ya Aks-e-Jamal Hai
Aati Hai Q Nazar... Teri Soorat Jagah Jagah

Khalos e dil se kaho hum ko bholne walo

Khalos e dil se kaho hum ko bholne walo
Kabhi tumhen bhi hamara kheal ata hai

Wednesday, July 16, 2008

The tongue has no bones,

The tongue has no bones,
but is strong enough to break a heart.
So be careful with your words.

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,

Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,

Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,

Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..

Bazi E Ishq – Urdu Aansoo Shayari

Bazi E Ishq – Urdu Aansoo Shayari

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo
Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo
Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo
Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo
Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo
Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo
Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo

Tuesday, July 15, 2008

gham ki barish ne bhi tere

gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi
neend ka halka gulabi-sa khumar aankhon mein tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahi
har taraf divar-o-dar aur un mein aankhon ka hujum
kah sake jo dil ki halat wo lab-e-goya nahi
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katata hun zindagi bhar main ne jo boya nahi
janata hun ek aise shakhs ko main bhi ‘munir’
gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahi

Greetings for Mothers Day

Greetings for Mothers Day

From the distance of our separation
I see the whole of which I was a part;
I see the way my temper tore your heart,
And then the love beneath the laceration.
I see the landscape shaping our relation:
Your fear that I might choose with little art,
My anger at the dreams you would impart,
The ancient paths that lead to confrontation.
But knowledge needn’t linger in regret,
Nor wait upon some wind to clear its sky.
We are none the worse for what is gone.
The moments that I never will forget
Are those whose careless grace must make me cry,
Safe within a heart forever won.

Monday, July 14, 2008

Apni dhun mein rehta hoon

Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tere jesa hoon

Oo pichli rut ke sathi
Mein bhi tere jesa hoon

Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon

Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon

Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon

Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon

Bolay tou lafz baes e ilzam ho gaey

Bolay tou lafz baes e ilzam ho gaey
Hum chup rahe tou or b bdnaam ho gaey,

thy tand -o-tez kis qadar apni yeh zindagy
Kitnay he hadsaat sare shaam ho gaey,

Chahat k chaar harf ksi nay jo keh diye
Hum dil ko paas rakhnay mein nakaam ho gaey,

Baithay jo aa k hum tou wo uth kr chalay gaey
Aisay he waqiyat mein hum aam ho gaey,

Sunday, July 13, 2008

Aaj se Aamire Garibi ka fasle na rahay

Aaj se Aamire Garibi ka fasle na rahay.
Har Insan ek dooje ko aapna bhai kahay.
Aj sb kuch bhool k aa gale lag ja.
Mubarak ho tuje yeh EID-UL-AZHA.

Tumhein Meri Mohabbat Ki Kasam Sach Sach Bata Dena

Tumhein Meri Mohabbat Ki Kasam Sach Sach Bata Dena..
Gale Main Daal Kar Baahain, Manana Kiss se Seekha Hai

Sunehri Shamein

DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.

Azmaish pyar mein zaruri hoti hai

Azmaish pyar mein zaruri hoti hai
Na mil pana kisi ki Majburi hoti hai
Yaad dur se toh App kar sakte hai
Lekin dil ki hasrat milne se puri hoti hai

Saturday, July 12, 2008

E: Eik Or

E: Eik Or
I : I
D : DAte
Na zubaan se,
Na nigahoon se,
Na dimaag se,
Na rangon se,
Na eid greetings se,
Na eid gift se,
Aapko Eid-ul-Adha-(Bakri Eid) Mubarak ho Direct Dil se

Mujh Se Har Bar Wo Nazrain Chura Leta Hai

Mujh Se Har Bar Wo Nazrain Chura Leta Hai ‘Faraz’
Meine Kaghaz Par Bhi Bana Kr Dekhi Hain Ankhein Uski

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge,

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge,
Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai…!!!

Friday, July 11, 2008

Thursday, July 10, 2008

Tum ko malum b hai kitne talabgar hu teri

Tum ko malum b hai kitne talabgar hu teri
Poch un farishto se jo roz likhty hai duyain meri or Naam teRa

Absence is 2 love as wind is 2 fire

Absence is 2 love as wind is 2 fire;
it extinguishes the small n kindles the Great.
Happy Inversary.

Ab Aor Kiya Kissi Se Marasim Barhain Hm

Ab Aor Kiya Kissi Se Marasim Barhain Hm
Yeh Bi Bahot Hai Tujh Ko Agr Bhool Jain Hm

Sehraye Zindagi Mein Koi Doosra Na Thaa
Suntey Rahey Hain Aap Apni Saddain Hm

Iss Zindagim Mein Itni Faraghat Kissey Naseeb
Itna Naa Yaad Aaa K Tujhey Bhool Jain Hm

To Itni Dilzadda To Na Thi Aaye Shab e Firaq
Aa Tere Rastey Mein Sittarey Luttain Hm

Aik jugnu meri wehshat ka sabab hota tha

Aik jugnu meri wehshat ka sabab hota tha
Shaam ke wakt mera haal ajab hota tha

Ik sitara tha ke roshan tha imkaan mein
Ik samanudar mere andar mein jab hota tha

Aik khushboo thi ke aghosh kusha thi har wakt
Aik lehja tha ke tehseen talab hota tha

Ab woh khush hal zamana hi nahin hai warna
Roshni ka bhi koi naam o nasab hota tha

Janmadin Mubarak Poetry in Urdu

Janmadin Mubarak Poetry in Urdu

Zaroor tumko kisine dil se pukara hoga,
Ek baar to chand ne bhi tumko nihara hoga,
Mayus hue honge sitare bhi us din,
Khuda ne jab Zamin par tumko utara hoga.
Janmadin Mubarak!

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye
Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye

Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab
Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye

Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai
Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye

Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein
Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye

Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay
Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye

Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham
Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye

Wednesday, July 9, 2008

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga
Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga

Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae ga
Kya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga

Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta hai
Ik jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga

Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liye
Mousam e gul mere angan main theher jaae ga

Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge
Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga

Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia waris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga

Saawan aaya’ Baadal chhaye’

Saawan aaya’
Baadal chhaye’
Bulbul chehki’
Phool khiley,
.
.
Tum he nahi jab Barsaaton mein,
Aag lagay Barsaton ko …

Abi jo paas se Guzra hai beniyazi se

Abi jo paas se Guzra hai beniyazi se
ye Ajnabi kabi Dil k Qareeb rehta tha

Tuesday, July 8, 2008

Idher To Shehar Ke Ganjey Mairi Talaash Mein Hain

Idher To Shehar Ke Ganjey Mairi Talaash Mein Hain
Udher Tamaam Lafangey Mairi Talaash Mein Hain

Main Unn Ka Maal Gaban Ker Ke Jab Say Bhaitha Hoon
Yateem Khaaney Ke Bachey Mairi Talaash Mein Hain

Mila Hai Nuskha Jawaani Palat Ka Jab Say Mujhey
Tumharey Shehar Ke Bhudey Mairi Talaash Mein Hain

Main Jinn Ke Waastey Jootey Chura Le Jail Gaya
Woh Ley Ke Haath Mein Jootey Mairi Talaash Mein Hain

Diya Hai Naam Kafan Chor Jab Say Tum Ne Mujhey
Puraani Qabron Ke Murdey Mairi Talaash Mein Hain

Patey Ki Baat Jo Moonh Say Nikal Gayi Paagal
Tumharey Shehar Ke Pagley Mairi Talaash Mein Hain

Zikr ik roz palattney ka kiya tha tum ne ,

Zikr ik roz palattney ka kiya tha tum ne ,
Ik diya dil ke andherey mein jala rakha hai..

Aap Kee Zeest Hai, Duniyaa Hai, Aur Ham Sab Hain

Aap Kee Zeest Hai, Duniyaa Hai, Aur Ham Sab Hain
Itney Maayuus Na Houn: Woh Bhi Hai

Aap Beyzaar Na Houn, Is Tarah, Zamaaney Sey
Takhliyah Hain To, Takhliyah Hi Eik Woh Bhi Hai

Zarrah-Zarrah Hai Aap Kaa, Ki, Aap Hain Us Key
Jis Key Honey Sey, Akeilaa Naheen Yahaan Koyee

Monday, July 7, 2008

Is shehar e sitamgar me wafa dhond rahe hein

Is shehar e sitamgar me wafa dhond rahe hein,
Nadan hein hm b k ye kia dhoond rahe hein,

Hum lOog muqadar k sikandar to nahi hein,
kia soch k phir Aab e baqa dhoond rahe hein,

khamosh fizaOon me ye bechain parindey,
Es Habs k mosam me hawa dhoond rahe hein,

Jo Dil se nikaltey hi tere Qalb ko chhu le,
Hm Aj wohi harf e Dua dhoond rahe hein,

Ik shakhs ne maanga tha kabhi hum ko Dua me,
Us shakhs ko aaj tak Ba’khuda dhoond rahe hein….

When the mid-nite bell rings tonight

When the mid-nite bell rings tonight..
Let it signify new and better things for you,
let it signify a realisation of all things you wish for,
Let it signify a year of courage and believes,
Wishing you a very...very...very prosperous 2013

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat
Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir
Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Jaane waley dil ko pathar kar gaye,

Jaane waley dil ko pathar kar gaye,
Phir kissi ko dekh kar dharrka nahin..

Zindagi Kese Katy Gi Mujhe Maloom Nahi

Zindagi Kese Katy Gi Mujhe Maloom Nahi
Kaash DiL Se Kabi Marny Ki Dua Do Mujh Ko

main ne pucha pahla patthar mujh par kaun uthayega

main ne pucha pahla patthar mujh par kaun uthayega
ai ik awaz k tu jis ka mohsin kahlayega

puch sake to puche koi ruth k jane walon se
roshaniyon ko mere ghar ka rasta kaun batayega

logo mere sath chalo tum jo kuch hai wo age hai
piche mur kar dekhne wala patthar ka ho jayega

din mein hanskar milne wale chehre saf batate hain
ek bhayanak sapna mujh ko sari rat darayega

mere bad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jayega

sukh gai jab in ankhon mein pyar ki nili jhil 'Qateel'
tere dard ka zard samandar kahe shor machayega

Sunday, July 6, 2008

Chhor duniya ke sab jhamelo’n ko,

Chhor duniya ke sab jhamelo’n ko,
Aa mere dil pe hukmaraani kar..

Zindagi Ki Raahon Mein – Short Shayari

Zindagi Ki Raahon Mein – Short Shayari

Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mor Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjar Bhi Aate Hain
Aansuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milte Hain
Jo Dhoond Le Ose Wo Zindagi Mein Muskurate Hain

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ..!!

Friday, July 4, 2008

Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai

Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai,
Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai,

Jis roz maan ki duayain na samait kar mein nikloon,
Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai,

Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain,
Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai,

Maan ho agar saleeqa mand aur baa shaoor, Waqas,
Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai

jism se khoon nichoor leta hai

jism se khoon nichoor leta hai
ishq jab hijar oorh leta hai

Kaho To Dard Hai Woh Aor Dill Ka Qarar Bh_i Ha_i

Kaho To Dard Hai Woh Aor Dill Ka Qarar Bh_i Ha_i
Ke_h Jism O Jaan K Rishtey Ka Inhesarr Bhi Hai

Lahu Mein Tazgi Ka Rangg Un Ki Zaat Se Hai
Woh Jo Shamil Ho, Zindagi Bahar Bahar Bhi Hai


Hasool e Yaar Ki Qurbaat Mein Ishqq Kaa Wo Safarr
Hai Khushnuma, Magarr Katahn Bhi Aor Dushwar Bhi Hai

Kion Parey Bahas Haqeequi Aor Majazi Mein Hm
Keh Majazi Hi Haqeequi Ka Ekk Shahkaar Bhi Hai

Ussi Shahkaar Pe Niklta Hai Damm Muqeed Kaa Aor
Sangbaari Karey Duniya Keh Gunhagaar Bhi Hai

I've come to believe that

I've come to believe that
all my past failure and frustrations were actually
laying the foundation for the understandings
that have created the new level of living I now enjoy.

(Anthony Robbins)

Another year to create precious memories together

Another year to create

precious memories together.

Another year to discover

new things to enjoy about each other.

Another year to build

a life rich in love and laughter.

Another year to strengthen

a marriage that defines “forever.”

Happy Anniversary!

Koi Achi Si Saza Do Mujhe

Koi Achi Si Saza Do Mujhe,
Chalo Aisa Karo Bhula Do Mujhe,
Tum Se Bichron To Mout Aa Jaye,
Dil Ki Gheraiyon Se Dua Do Mujhe

Hum To Jal Gye Teri Muhabbat Me Moom Ki Trah

Hum To Jal Gye Teri Muhabbat Me Moom Ki Trah
Agr Phr B Hum Bewafa Hain To... Teri Wafa Ko Salam

Thursday, July 3, 2008

Pehli pehli Muhabbaton ka khumaar

Pehli pehli Muhabbaton ka khumaar,,
baton baton main raat dhal jaaye,,

ab k dil main woh dard utra hai,,
ghair mumkin hai aaj kal jaaye,,

zindgi khush hai tere wadon pe,,
jaisay bachay ka dil behal jaye,,

hijr ki raat dhal gayi mohsin,,
ab to dil se kaho sambhal jaye..

Dasht-e-gurbt may mufliso ka lahoo aam bikta hai

Dasht-e-gurbt may mufliso ka lahoo aam bikta hai
Kisi ka jism bikta hai kisi ka naam bikta hai

Dunya degi kya tumko..?? Or tum loge kya isse..??
Aa mera daman thaam k mekada-e-jaam bikta hai

Hirs k bazaro may hawwa ki beti ka anchal..
Pehle subho ko bikta tha mgr ab shaam bikta hai..

Ameer-e-shehr k mehlaat ki baat b khoob hai..
Magr fakeer-e-shehr ki gaud may araam bikta hai.

Tujh Ko Kia iLm Tujhe Haarnay Waalay Kuch Log

Tujh Ko Kia iLm Tujhe Haarnay Waalay Kuch Log
Kis Qadar Sakht Nidaamat Se Tujhe Dekhtay Hain

Unki Zulfain Agar Bikhar Jayein….

Unki Zulfain Agar Bikhar Jayein….
Ahtraaman Sehar Nahee Hoti…!!

ab to kuch aur bhi andhera hai

ab to kuch aur bhi andhera hai
ye meri rat ka sawera hai

rahzanon se to bhag nikla tha
ab mujhe rahbaron ne ghera hai

age age chalo tabar walo
abhi jangal bahut ghanera hai

qafila kis ki pairawi mein chale
kaun sab se bara lutera hai

so raho ab "Hafeez"ji tum bhi
ye nai zindagi ka dera hai

andoh se hui na rihai tamam shab

andoh se hui na rihai tamam shab
mujh dil jale ko nind na ai tamam shab

chamak chali gai thi sitaron ki subah tak
k asman se didabarai tamam shab

jab main ne shuru qissa kiya ankhen khol din
yaqini thi mujh ko chashm numai tamam shab

waqt-e-siyah ne der mein kal yawari si ki
thi dushmanon se in ki larai tamam shab

tare se teri palkon pe qatre the ashk k
de rahe hain "Mir" dikhai tamam shab

Mery gham mery liye hai ye janti hun main

Mery gham mery liye hai ye janti hun main
khushiyan auron ko de ker hi to ye inaam kamaya hai mainy

Wednesday, July 2, 2008

Kabi Wo Subha Na Aey Jo Tujhe Raas Na Ho

Kabi Wo Subha Na Aey Jo Tujhe Raas Na Ho

Khuda Kare Ke Tera Dil Kabhi Udas Na Ho

Tere Duaon Pe Barse Kabuliat Ke Barsat

Jo Bujh Na Paey Tujhe Aesi Koi Piyas Na Ho

Kabhi Who Khawab Na Dekhey Tere Ghazal Se Ankh

Jis Ke Jism Per Tabeer Ka Libas Na Ho

Milla Aur Juda Ho Gya Sada K Lye

Milla Aur Juda Ho Gya Sada K Lye
Ye Dastaan-E-Muhabbat Hai Mukhtasir Yaro...

Ankhain takhreeb-kaar hain itni

Ankhain takhreeb-kaar hain itni
Dil ki dunia Ujaar deti hain

Tere Payar Me Doob ke Ye Makaam Mila hy Mujhe Nadir

Tere Payar Me Doob ke Ye Makaam Mila hy Mujhe Nadir
Jise dekhoon Wo shakss Tera Haal Pochta hai mujhse

Har shakhs apne chand se

Har shakhs apne chand se .
tha mehve guftagu,
Ham chand dhoondte rahe aur EID ho gaee…
wish U a happy EID MUBARAK

Tuesday, July 1, 2008

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

Dekha Eid ka Chaand to Mangi ye Dua Rab Se

Dekha Eid ka Chaand to Mangi ye Dua Rab Se,
De De Tera Saath Eid Ka Tohfa Samajh Ke

Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya

Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya
Is Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya
Jis Qadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka
Us Qadar Dunya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya

Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene

Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene,
Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene,

Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka,
Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene,

Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam,
Roz khanjar keyi seeney mein utare mene,

Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha,
Apne seeney se lagaye tere laaray mene,

Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar,
Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene,

Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast,
Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene,

Meri awaaz akeli hi palat kar aayi,
Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene..

Ankhon ki zuban woh samajh nahi pate

Ankhon ki zuban woh samajh nahi pate
hooton se hum bhi kuch keh nahi pate
Apni bebasi hum kis tarah kahe
koi hai jiske bina hum reh nahi pate

To Labb Khamosoh Rehtey Hein Nazar Fariyad Kerti Hay

Mohabbat Jab Sakoon e Zindgi Barbad Kerti Hay
To Labb Khamosoh Rehtey Hein Nazar Fariyad Kerti Hay
Jiggar Rahey Wafa Mein Nakash Essy Choher Aya Hoon
Ke Duniya Dekhiti Hay Oar Abb Tak Yaad Kerti Hay

Bazm-e-wafa mai hamari garibi na pooch

Bazm-e-wafa mai hamari garibi na pooch
Ek dard-e-dil hai wo bhi kisi ka diya hua

zara si baat dair tak rulati rahi

zara si baat dair tak rulati rahi
Hansi me bhi aankhe aansu bahati rhi,
Koi kho k mil gya,koi mil K kho gya,,
Zindagi hamko bas aise Hi aazmati rahi..!!