Ab ghar hai na koi rastaa hai
bas aik chiragh jal raha hai
sab shehr k log so rahay haiN
ik mera makaan jagta hai
ToTay ye hisaar e shab k ab to
khud se hi diya uljh paRa hai
dekhi jo kitab e umr ab k
aik aur warq ulat gaya hai
aaye rasm e shikasta paai tu ne
dil ko baRa hosla diya hai
utray ga na qarz asmaaN ka
jb tak ye zameen zair e paa hai
dekho to zara sakhi samndr
dariya se khiraaj mangta hai
zinda hai abhi Saleem Kousar
kis gham main ye shehr marr raha hai
No comments:
Post a Comment