Wednesday, April 17, 2013

kahne ki bat ho to use kah sunayiye

kahne ki bat ho to use kah sunayiye
jo dil pe ban rahi ho, kyon kar dikhayiye

dunya ki ho hawas to dil-o-din ginwayiye
yan khoyiye bahut-sa to kuch ja k payiye

ye kya k dil hai dair mein aur kabe mein maqam
ho rahiye bas wahin k, jahan dil lagayiye

gar jan ka zarar hai mohabbat mein naseho
ham jan hi se baithe hain bezar jayiye

aur aitabar khote hi apna raha-saha
bas a gaya yaqin hamein, qasmein na khayiye

hoti hujum-e-gam mein hai, kyon zahar ki talash
Hali' batayen ap ko, gar kuch khilayiye

No comments:

Post a Comment