Wednesday, February 13, 2013

Meethi Boliyan from Kai Po Che by Swanand Kirkire

Kuch lamhe thhe
Alsaaye se
Bharmaaye se
Fiza mein
Kabhi sehme se
Muskaate
Jaana kidhar
Na Jaane

Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki
Girte sambhalte chalte ladkhadaye
Haan magar ye honsla na dagmagaye
Armaano ke patang ko udaayen
Udaayen...

Aye zindagi hamen sohbaton ka nasha hai
Yeh sohbatein yaaron ki
Aye zindagi hame hosh ki na tu dava de
Dua de, dua de
(Sohbat means Company)

Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki

Sapnon ke peechhe chale,
Raahon mein hai yaadon ka pehra
Sulga ke (sulga ke) kaali si raat (kaali si raat)
Laayenge ye ujla savera
(Ujla savera...)

Girte sambhalte chalte ladkhadaaye
Haan, magar ye hausla na dagmagaaye
Armaanon ki patang ko udaayein
Udaayein..

Aye zindagi hamen sohbaton ka nasha hai
Yeh sohbatein yaaron ki
Aye zindagi hame hosh ki na tu dava de
Dua de, dua de

Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki

No comments:

Post a Comment