Ho... Ho ho ho aa aa....
Yeh mere dil ka jaana
Ek aakhri faisla hai
Ab saath hoga na tera
Yeh dard ki intehaan hai
Tha pyar tera toh jhootha
Sacha magar yeh Khuda hai
Tanhaiyon me roya hoon
Tab jaake mujhko mila hai
Duniya ke rishton me toh
Yeh hota hi raha hai
Laila aur Majnu bhi toh
Ek doosre se jooda hain
Tanhaai ka ashq mitayen yahaan
Barbaddiyan bhi sabko jaane mili hai kahan
Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahe koi gile
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujh se mile.. aa ha haan!
Hai rut nayi, mausam naya
Iss daur me kaisi wafaa
Bhar jayegi teri kami
Mil jayega ab kuch naya
Haan khush hain ab hum toh
Tujhse kahaan hum khafa hai
Tune chuna hai woh rasta tere liye jo bana hai
Ehsaan tera main maanu
Tanha mujhe jo kiya hai
Jo pyar tera hai khoya
Lagta hai khud se mila main
Kisko mila sang umr bhar ka yahaan
Woh hi rulaye dil chahe jisko sada
Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahe koi gile
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujh se mile (x2)
No comments:
Post a Comment