Wednesday, October 31, 2012

Aur Dino Ka Hisab Rehnay Do,

Aur Dino Ka Hisab Rehnay Do,
Ye Batao Eid Pe Yaad Karo Gey….??

maani na meri aik bhi Khud sar hai tu ay Dil

maani na meri aik bhi Khud sar hai tu ay Dil
Ab khud hi tarap mein to tera kuch nahi lagta

Kisi se kya gila karna yeh dostoor-e-zamana hai

Kisi se kya gila karna yeh dostoor-e-zamana hai
Naye jab dost miltay hain puraanay bhool jatay hain

Everything that is happening

Everything that is happening
at this moment is a result
of the choices you've made in the past.

(Deepak Chopra)

Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki

Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki,
Kisi k naam maqtoob e wafa tehreer karna hai.

Tu hay suraj tujhe mallom kahan raat ka dukh

Tu hay suraj tujhe mallom kahan raat ka dukh
tu kesi rooz mery ghar mai utar shaam ke bad

Zaroratan bhi banate hain log kuch kirdar

Zaroratan bhi banate hain log kuch kirdar
Kahaniyon ko meri jaan kahaniyan hi samaj

Ye kya bahar k ginti key chand phool hansain,

Ye kya bahar k ginti key chand phool hansain,
Bahar wo hai jo saray chaman key kam aye ..

Aur zeyada bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki,

Aur zeyada bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki,
Sozish-e-dil ko aye ashko, Kya khaak bhujana seekhey ho…

Mery humsafar ka ye hukam tha

Mery humsafar ka ye hukam tha...!

Ke kalam us say main kum Karun,

Mery hont Aisay silay ke
phir....
Meri chup nay usko rula diya.....!

Apna mat'lab sab ki Haajat par muqaddam ho gaya

Apna mat'lab sab ki Haajat par muqaddam ho gaya
Khud gharaz is daur meN har ibn e aadam ho gaya


Nafsa nafsi har taraf hai kaam aaye kis ke kaon,
Har bashar ko apna dam or apna hi gham ho gaya.


Bughz ka, keene ka, nafrat ka diloN par zang hai
Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya.


Kar liya sajdah khuda ko bhi jo dil meN aa gayi,
But jahaN aayaa nazar sar khud ba khud kham ho gaya.


Zakhm e dil ke dard ka iHsaas hota tha kabhi,
Dard e dil ab khud hi zakhm e dil ka marham ho gaya.


Aaj dil meN yaar ke kya Husn aaraayi ki thi,
Tha ghazab haTna nigaahoN ka wo barham ho gaya.


Girya e aHbaab meN ham hi na ho paaye shareek,
Tab huyi ham ko khabar jab ham pe maatam ho gsaya.


ChhoR do khuda ke waaste ye shae'ri,
Bas tumhaari shae'ri se naak meN dam ho gaya

Zeher ho kar reh gai tark e muhabbat ki qasam

Zeher ho kar reh gai tark e muhabbat ki qasam
Us ka ye kehna k acha hum isi qabil sahi

Totane me ajeeb lazat hai

Totane me ajeeb lazat hai
Tum muje chikana choor rehne do

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko,

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko,
Sameitna Thin Jise Meri Kirchiyaan ‘Mohsin’..

Woh mujhe dekh kar khamosh raha

Woh mujhe dekh kar khamosh raha
Ik shor ajab machh geya mujh me

Zawaal yeh hai ke tera saath nahin,

Zawaal yeh hai ke tera saath nahin,
Kamaal yeh hai ke jee raha hoon..

Mera khayal jisy umar bhar nahin aaya

Tamam umar usi ke khayal mein guzri
Mera khayal jisy umar bhar nahin aaya

Tera mukhrra chaand ka tukrra

Tera mukhrra chaand ka tukrra
Woh bhi pathar tu bhi pathar

main chaahataa bhi yahi thaa wo bewafaa nikale

main chaahataa bhi yahi thaa wo bewafaa nikale
use samajhane kaa koi to silasilaa nikale

Mat ho khafa samajh le musafir koi gareeb

Mat ho khafa samajh le musafir koi gareeb
Aa nikla he kisi ka pata poochta howa

us shaks sy jb tk koi baat nahi hoti

us shaks sy jb tk koi baat nahi hoti
din nahi nikalta,raat nahi hoti..
na khafa hwa karay wo,usay kehna,
bin us k mukammal mere zaat nahi hoti..

Wo mera naam hatheli pe likh k khosh hai bahot

Wo mera naam hatheli pe likh k khosh hai bahot
K ye charagh mukhalif hawa nahin rakhata

Ab Bhi Baaki Hai Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos

Ab Bhi Baaki Hai Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos
Is Se Pehle Bhi Humain Yehi Dhoka Hua

Bikhri Kitaaben, bheegy auraaq aur Tanhai pasand sa Dil

Bikhri Kitaaben, bheegy auraaq aur Tanhai pasand sa Dil
is Mohabbat ne to meri Umar pe bhi taras nahi khaya

Tuesday, October 30, 2012

Qabar mein ho ga thikaana yaad rakh,

Qabar mein ho ga thikaana yaad rakh,
Aaye ga aesa bhi zamaana yaad rakh..

Lagti hai chott kaise, kinaroon se poochiye

Lehron se khailna to sagar ka shoq hai
Lagti hai chott kaise, kinaroon se poochiye

Khud Se Mayoos Ho Ke Baitha Hun

Khud Se Mayoos Ho Ke Baitha Hun
Aaj Har Shaks Mar Gaya Hoga

Thehra hua kyon hai mere jeevan ke safar mein

Thehra hua kyon hai mere jeevan ke safar mein
Tu aik hi pal hai to bassar kyon nahin hotaa

Sadagi se hum ne samjha tha hamara zikar hai

Sadagi se hum ne samjha tha hamara zikar hai
Tazkare kuch aur hi un k beyan me ae the

Jo Mere Zikr Par Ab Qahqahey Lgata Hai

Jo Mere Zikr Par Ab Qahqahey Lgata Hai
Bicharte Waqt Koi Haal Dekhta Uska

Ghareb e sheher ki asmat na bik rahi ho kahen

Ghareb e sheher ki asmat na bik rahi ho kahen
Ajeeb shor suna hai faseel sheher pe ajj

Umer kitni hi manzalein teh kar chuki

Umer kitni hi manzalein teh kar chuki
Dil jahaan thehra tha , thehra reh gia

Tumhari dosti ko daikh kar sub rashk karte hain

Tumhari dosti ko daikh kar sub rashk karte hain
Jo bus chalta to dunia cheen laiti zindagi meri

Ye Ishq Ka Rog Jata Nahin kasam ly lo

Ye Ishq Ka Rog Jata Nahin kasam ly lo
Galy Mein Daal Kar Sary Taveez Dekhy Hein

Dhoondta Phirta Hoon Iqbal Apnay Aap Ko

Dhoondta Phirta Hoon Iqbal Apnay Aap Ko
Aap Hi Goya Musafir Aap Hi Manzil Hoon Main

Tapakti hai nigaahon se, Barasti hai adaaoon se

Tapakti hai nigaahon se, Barasti hai adaaoon se
Mohabbat kon kahta hai pahchaani nahi jaati

Aik doojay ko dair samjha, Dair se yaari ki

Aik doojay ko dair samjha, Dair se yaari ki
Hum dono ne ek mohabbat, Baari baari ki

Bewafai Ki Sub Kitaabon Mein

Bewafai Ki Sub Kitaabon Mein
Terey Jaisy Koi Misaal Naheen

Us k dil pe bhi, kya khoob guzri ho gi

Us k dil pe bhi, kya khoob guzri ho gi
Jis ne ik merz ka naam, Muhabbat rakha

Usi Ne Aaj Bataya Ke Kaun Hoon Mein

Usi Ne Aaj Bataya Ke Kaun Hoon Mein
Woh Jis Ko Aj Se Pehle Mein Janta Bhi Na Tha

Alif allah chambe di booti, mere man vich murshad laanda hu

Alif allah chambe di booti, mere man vich murshad laanda hu
Jis gal utey sohna raazi hove, oho gal sikhaanda hu
Har dum yaad rakhin har vele, sohna utthda behnda hu
Aape samajh samjhaanda bahu, oh aape aap ho jaanda hu

shab har shab mujay yehe darss datii hai..

shab har shab mujay yehe darss datii hai..
guftar acha ho to manzil kesay kehta hain.

Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,

Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai..

Is TaraH Taqseem Ho Raha Hoon,

Is TaraH Taqseem Ho Raha Hoon,
Jis Tarah Baant’ta Hai Koi KhairaaT !!

Na ji bhar k daikha na kuch baat ki

Na ji bhar k daikha na kuch baat ki,
Bari arzu thi mulaqat ki.

muddat se muntzir thay teri inayat k

muddat se muntzir thay teri inayat k

khair kuch to kiya chalo tabah hi sahi

anees dm ka bharoosa naheen thahr jao

anees dm ka bharoosa naheen thahr jao
charaagh lay kar kahan samnay hawa chalay

Kariya-e-jan main koi phul khilne aye

Kariya-e-jan main koi phul khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye

mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye

us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye

isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye

ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye

zabt ki shahar-panahon ki mere malik
khairgam ka sailab agar mujh ko bahane aye

Teharta hy jo ek qafla gham mery Dil mai

Teharta hy jo ek qafla gham mery Dil mai
es choti sy basti sy guzar kuin nahi jata

Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,

Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Lie Hum Jaga Karty Thy.

Jism se khoon nichorr leta hai,

Jism se khoon nichorr leta hai,
Ishq jab hijar ourrh leta hai …

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ik Baar Ujar Jate Hain

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ik Baar Ujar Jate Hain,
Qabrein Jitni Bhi Sanwaro Wahan Ronaq Nahi Hoti

Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki

Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki,
Kabhi ghaur karna yeh hanstey bohat hain..

Najanay kya kaha tha doobnay wale ne samadar se

Najanay kya kaha tha doobnay wale ne samadar se
K lehrain aj tk sahil pe apna sir patakhti hain

aryad kar rahi hai ye tarsi ho nighah

aryad kar rahi hai ye tarsi ho nighah,
Dikhe hoe kisi ko bahot din guzar gae.

Monday, October 29, 2012

Utri hai you’n judaiyo’n, tanhaiyo’n mein sham

Utri hai you’n judaiyo’n, tanhaiyo’n mein sham
Jaisy ujaar sheher ki angnaiyo’n mein sham. .

Rangeen qamqamo’n ka sahara liye huay
Sehmi hui hai sheher ki ra’naai’on mein shaam

Kamro’n mein band, hijr k gosha nasheen tery
Kab dhoondtay hain apni pazeerai’on mein sham

Hum sokhta dilo’n ki tumhain kia khabar k hum
Kaisay guzar laity hain tanhai’on mein sham

Ae akhri kiran! Mujhy ghar tak tou chorr de
Ab dhal rahi hai doobti parchaai’on mein shaam

Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum
Guzri hai aaj aisi shanasaai’on mein sham.

Kese ajeeb daur main jeena parra mujhe,

Kese ajeeb daur main jeena parra mujhe,
Sheeshey ke hain insaan to pathar ka aadmi..

Tamam shaher me abb to hai raaj kanton ka

Tamam shaher me abb to hai raaj kanton ka
Mujhe qabool nahin ye samaj kanton ka

Chalo k kuch to tasali hoi mere dil ko
Isi me khosh hon k paya kheraj kanton ka

Hamare phool se chehron ko nochane walo
Kabhi to tum pe bhi otare anaj kanton ka

Sambhal sakte nahin hum ye gham ki jageren
Otar lijiye sir se yee taaj kanton ka

Ye aur baat k gull ki tarah mehakate rahe
Wagarna rakhate the hum bhi mizaj kanton ka

Bahot ajeeb se lehje mee baat karta hai
Hai ajj phool me kuch imtazaj kanton ka

Shab e Furqat Ajab Ik Anjuman Araai Thi

Shab e Furqat Ajab Ik Anjuman Araai Thi
Dard Tha, Mein Tha, Teri Yaad Thi, Tanhai Thi

Wo bhi bahot akela hai shaid meri tarah

Wo bhi bahot akela hai shaid meri tarah
Us ko bhi koi chahne wala nahin mila

Zawaal yeh hai ke tera saath nahin

Zawaal yeh hai ke tera saath nahin
Kamaal yeh hai ke jee raha hoon

Sakoon e Dill Naa Raha Jab Wo Bezaban Thehrey

Sakoon e Dill Naa Raha Jab Wo Bezaban Thehrey
Khushi Khushi Naa Rahi Jab Wo Badguman Thehrey

Wo Bhi Ekk Waqt Tha, Bin Unkey Guzarta Hi Naa Tha
Yeh Bhi Ekk Waqt Hai, Lamhey Mujhey Sadian Thehrey

Tajahil Thaa Taghafal Thaa Raqabat Mein Jo Hail Thaa
Yeh Meri Badnaseebi Thi Wo Mere Raazdaan Thehrey

Mera Aks Aainey Mein Tha, Pass e Aainaa They Wo Khudd
Sarabb e Dasht Ki Manind Hamarey Darmiyan Thehrey

K Jin Ko Bhoolna Merey Laye Ekk Maarkah Saa Thaa
Jahan Jaon Nazar Aaye, K Jaisey Aasman Thehrey

Mujhey Bass Yaad Hai Itna Kinarey Parr He Doobey Thay
Keh Baad e Janib e Jaanaan He Merey Dushman Thehray

Woh Merey Zeesat K Lamhey Bazahir Chand Lamhey Thay
Magrr Mahsoos Hota Hai K Jaisey Ekk Zammann Thehrey

Yeh Aaghaz e Safar Thaa Aor Raqeeb Apney Baghal Mein Thaa
Yeh Merie Badnaseebi Thee, Woh Meer e Kaarwaan Thehrey

Muqeed Dasht e Qufs Hoon, Mera Siyyad Hai Sahera
Bujhaye Piyas Mere Aabla Paoin Jahan Thehrey

Saba ne phir dar e zandan pe aa k dastak di

Saba ne phir dar e zandan pe aa k dastak di,
Seher qareeb hai dil se kaho na ghabrae

Lab pe sajaa liye yunhi kuch ajnabi se naam

Lab pe sajaa liye yunhi kuch ajnabi se naam,
Dil main tamaam zakham kisi ashnaa ke they..

Humain bhi apni tabaahi pe ranj hota hai

Humain bhi apni tabaahi pe ranj hota hai
Hamarey haal-e-pareshaan pe muskuraao nahin

Zeenay pe rakh gaya koi tehni gulaab ki

Zeenay pe rakh gaya koi tehni gulaab ki
Aisay diya kisi ne sandesa bahaar ka

Mujhko Ab Tak Tere Aane Ka Woh Manzar Yaad Hai,

Mujhko Ab Tak Tere Aane Ka Woh Manzar Yaad Hai,
Dil Pe Mere Nazar Se Khanjar Chalna Yaad Hai,

Main Teri Yaadon Ko Dil Mein Le Ke Phirta Hoon,
Maazi Ka Guzra ZaMana Tujhko Bhi Kuch Yaad Hai,

Chilchilati Dhoop Mein Wo Surkh Jode Ki ChaMak,
Aatishein Kirno Ka Rukhsaaron Pe Aana Yaad Hai,

Alwida Hote Hue Nazron Se Dete Kya PayaaM,
Wo Tere Nazuk Labon Ka Kapkapana Yaad Hai...

ab MUHABBAT ka junoon tha, woh zamana aur tha…

ab MUHABBAT ka junoon tha, woh zamana aur tha…
Ab aana ka masla hai…Woh khud chal kar aayega…!!!

Siyad ne ijazat e faryad di to hai

Siyad ne ijazat e faryad di to hai
Main phir bhi dar raha hon zaban kholte hoe

Jin ke seeno’n mein dharakta tha Muzaffar mera dil

Jin ke seeno’n mein dharakta tha Muzaffar mera dil
Aaj mein un ke liye bhooli kahani ho geya

Go hath mein janbish nahi aankho’n mein tou dum hai

Go hath mein janbish nahi aankho’n mein tou dum hai
Rehnay do abhi saghir-o-mena meray aagay

kon pareshan hota hai teray gam say Faraz!!!

kon pareshan hota hai teray gam say Faraz!!!
woh apni hi kisi bat pay roya hoga .

Woh Shakhs Jab Se Mere Ishq K Nisaab Mein Hai

Woh Shakhs Jab Se Mere Ishq K Nisaab Mein Hai
Yeh Jism-o-Rooh Musalsal Azaab Mein Hai

Tu agar chorr ke jata hai tou kya

Tu agar chorr ke jata hai tou kya,
Haadsey rozz hua karte hain..

Agar Dil Haar Bethe Ho.. Mere Hamdum Mohabbat Mein

Agar Dil Haar Bethe Ho.. Mere Hamdum Mohabbat Mein,
Fana Kesi? Baqa Kesi? Saza Kesi? Jaza Kesi.

Bana gulaab to kaantey chubhaa geya aik shakhss,

Bana gulaab to kaantey chubhaa geya aik shakhss,
Hua chiraag to ghar hi jala geyaa aik shakhss..

Maine pucha, zehar se bhi taizz koi cheez,

Maine pucha, zehar se bhi taizz koi cheez,
Saaqi ne, zindagi ka peyala thamaa diya..

kafiaat chasm iski mujhe yaad hai sooda

kafiaat chasm iski mujhe yaad hai sooda
saaghr ko maray haath say lena kahh chala main

Kon aa kar chairrta hai mere dil ko in dino

Kon aa kar chairrta hai mere dil ko in dino
Us jagha hota nahin hai, jis jagha rakhta hoon mein

zehan ka mashwara tarak e talab bhi barhaq,

zehan ka mashwara tarak e talab bhi barhaq,
Zehan ki baat qabol e dil e sada bhi to hai.

Sabat qadam bahot the asiraan e ba wafa

Sabat qadam bahot the asiraan e ba wafa
Kanj e qas ko wasat e sehra bana lia

Kisi na-laiq talib-e-ilm ki Tarah

Kisi na-laiq talib-e-ilm ki Tarah
Dil ne tere nam ke ratty laga Rakhy Hain

Dil ke aainey main hai tasveer-e-yar,

Dil ke aainey main hai tasveer-e-yar,
Jub zara gardan jhukayi, Daikh li..

Humain bhi pata tha k log badal jatay hain

Humain bhi pata tha k log badal jatay hain
Mager hum ne kabhi tum ko logo mein gina hi nahi

Sunday, October 28, 2012

Ab Usai Roz Na Sochun TOu Badan Tutta Hai Faraz.

Ab Usai Roz Na Sochun TOu Badan Tutta Hai Faraz.
Aik Umer Ho Gai Hai Uski Yaad Ka NAsha KArte KArte?

Ye Barish Khoobsorat Hai,

Ye Barish Khoobsorat Hai,
Ik Arsy Baad,
Meri Rooh Mein
Seraab Hone Ki Tamanna Jag Uthi,
Mager Badal Ke Raste Mein
Bohat Pair Aate Hain,
Mein Pal Bhar Ke Liye Sadaab Hoon,
Aur Apni Baqi Umer,
Phir Sehraon Mein Katoon?
Mein Apni Piyaas Par Razi Rahon Gi,
Mere Aansu Meri Kafalat Ke Liye Kafi Rahein Ge…

This van iz loaded with

_l”l________
–/ l__l ———|
| | _______|
L(o)__l___(o)__|
This van iz loaded with
LUV & CARE,
Wishing U nd ur family
A HAPPY Eid

80% Of The Final Exam Will Be Based On

80% Of The Final Exam Will Be Based On
.
.
.
.
.
.
.
.
.
The One Lecture You Missed
And
The One Topic You Didn't Read.

Phir teri chashm e sakhan sanj ne cheri koi bat

Phir teri chashm e sakhan sanj ne cheri koi bat
Wohi jadoo hai wohi husn e beyan hai k jo tha

le lo waapis wo aansu, wo tadap aur wo yaadein saari

le lo waapis wo aansu, wo tadap aur wo yaadein saari
nahi koi jurm mera tu phir ye sazaaien kaisi.

Hashar mein milne ka vaada to karo,

Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Sameit kar le jaao apne jhoote waadon ke adhure qisse

Sameit kar le jaao apne jhoote waadon ke adhure qisse….
Agli Mohabbat me tumhe phir inki zarurat padegi..!!!

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai
Ishq Nahi Kya To Kar Ke Dekho
Zalim Har Dard? Sehna Sikha Deta Hai

Parwaana aur shamma ki ulfat na mujh se pooch,

Parwaana aur shamma ki ulfat na mujh se pooch,
Apni na keh sakaa to kahoon kya paraayi baat..

Parhne Walon Ka Qehat Hai Warna

Parhne Walon Ka Qehat Hai Warna,
Girte Aansu Kitab Hote Hain

Saqib bari toqeer hai is zabat e wafa me

Saqib bari toqeer hai is zabat e wafa me,
Har ashk jo ankhon se na tapke wo geher hai.

Kaisy Khatam Kar Sakta Hun Mein Us Sy Apna Rishta.

Kaisy Khatam Kar Sakta Hun Mein Us Sy Apna Rishta..?
Jis Ke Baary Me Sirf Sochte Hi Mein Sari Duniya Bhool Jata Hun

Lagti hain gaaliyan bhi tere mu se kya bhali

Lagti hain gaaliyan bhi tere mu se kya bhali,
Qurbaan tere, phir mujhe keh le issi taraah..

Mohabbat Mein Yehi Khoof Kion Musallat Hai

Mohabbat Mein Yehi Khoof Kion Musallat Hai
Mere Siwa Bhi Kisi Se Usey Mohabbat Hai

Sabit howa ke tu bhi zamaney ke sath hy

Sabit howa ke tu bhi zamaney ke sath hy
Sabit howa ke tu bhi hamara nahi raha

Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra mohsin,

Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra mohsin,
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni…

Aqal Waloon Ke Muqaddar Mein Yeh Zok-e-Junun Kahan 'Ghalib'

Aqal Waloon Ke Muqaddar Mein Yeh Zok-e-Junun Kahan 'Ghalib'
Yeh Ishq Waale Hain Jo Har Cheez Luta Dete Hain

Aisey Janey Ki Bat Tum Na Karo

Aisey Janey Ki Bat Tum Na Karo
Mari Ankhon Men Tishnagi Hai Abhi

Raah par chairra tha jis ne aap ko

Raah par chairra tha jis ne aap ko
Woh meri deewangi thi main na tha

Ye kasak dil ki dil me chupi reh gai

Ye kasak dil ki dil me chupi reh gai,
Zindagi me tumhari kami reh gai,

Ek main ek tum ek dewar thi,
Zindagi adhi adhi bati reh gai,

Rat ki bheegi bheegi chatton ki tarha,
Meri palkon pey thori nami reh gai,

Merey ghar ki taraf dhoop ki peeth thi,
Atey atey idhar chandni reh gai,

Ret par anso’on ney terey naam ki,
Jo kahani likhi be parhi reh gai.

Woh aayiney ko bi soch mein daal detaa hey

Woh aayiney ko bi soch mein daal detaa hey,
Khuda kisi kisi ko aesa bhi kamaal detaa hey..

Sabot mang rahe hain meri tabhai ka

Sabot mang rahe hain meri tabhai ka
Muje tabhah kia jin ki kaj adai ne

Saturday, October 27, 2012

Aa bhi jao ke aata hai wafaa par ilzaam,

Aa bhi jao ke aata hai wafaa par ilzaam,
Chaandni raat ki ddasti huyi tanhai hai..

Gham edunia ki azmar aut bhi bharti

Gham edunia ki azmar aut bhi bharti
Tera gham bhi agar us me samote

Taaqat-e-fariyad bhi mujh main na baaqi reh gayi

Taaqat-e-fariyad bhi mujh main na baaqi reh gayi,
Zulm karna aap ko mujh per ab asaan ho geya..

Mujhsa koi jahan mein nadaan bhi na ho

Mujhsa koi jahan mein nadaan bhi na ho
Kar ke jo ishq kehta hai nuqsaan bhi na ho

Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi

Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi
Kis Liye Jiya Jaye Kis Tarha Jiya Jaye

Woh naam tou ley rooh ki gehraayi se mera

Mumkin hai palat kar main chala aaon safar se
Woh naam tou ley rooh ki gehraayi se mera

Dil ki qeemat to muhabbat k siwa kuch bhi na thi,

Dil ki qeemat to muhabbat k siwa kuch bhi na thi,
Jo mile sorat e zeba k kharedar mile.

Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai

Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai
Hai Koi Haath Bataanay Waala

Aap! Hazrat! Kamaal kartay hain

Aap! Hazrat! Kamaal kartay hain!
PatthroN se sawaal kartay hain!

Unki soorat pe, Ha'aey! deewane
Mar ke, jeena muhaal kartay hain

Roshanii ke dassay hoye, yeh log
Raat ko din kheyaal kartay hain

Hum hain woh sar-phirray jo khud apni
Zaat ko paay'i'maal kartay hain

Hum ne jab dard khud hii paalay hain
Aap phir kion mala'al kartay hain

Hum tau iss daur-e-hijr mein, rasman
Aarzoo-e-visaal kartay hain

Bohat ronaq hai bahir, ghar mein udaasi chaayi hai,

Bohat ronaq hai bahir, ghar mein udaasi chaayi hai,
Karo koi taaza bahana jaana, Eid phir se aayi hai..

Dobte chand me roi hain hazaron ankhen

Dobte chand me roi hain hazaron ankhen
Me to rota bhi nahin tum ko hansi kion ai

Chup Chup Ke Lyrics from Rush

Pehle kabhi hua karti thi
Dil se meri dosti
Pehle kabhi raha karta tha
Ye dil mere paas hi
Phir hua isey jaane kya
Mujh ko hui na khabar
Mera sab kuch le gaya
Mujh se bacha ke nazar
Kehne ko hai mera par meri sunta nahi
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se ye dil nikalta nahi

Kuch iss tarah milta hai jaise ajnabi
Aur meri iss halat pe khata taras bhi nahi
Jaane kis ke dhang me khud ko hai dhaale huey
Mere kitne hi raaz hai khud mein sambhale huey
Par iske raaz hain mere liye raaz hi

Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se ye dil nikalta nahi
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se ye dil nikalta nahi

Dil toh hai Fukra Lyrics from Rush by Kumaar

Hum bhi naachenge tashan mein
Dil bhi nachega
Aaj saari raat music loud bajega

Kaun maai da laal yahaan pe
Saanu rokega
Apna jeene ka tareeqa duniya se wakhra
Dil toh hai fukra
Style hai wakhra
Dil toh hai fukraa
Style hai wakhra
Dil toh hai fukra aa
Style hai wakhra

Naino di yaar disc me ishq chalega
Chha rahi hai high energy, floor hillega (x2)

Holi holi dil da meter josh pakdega
Daaru mein hum mix karenge saariyan fiqraan
Dil toh hai fukra aa
Style hai wakhra
Dil toh hai fukra aa
Style hai wakhra
Dil toh hai fukra aa
Style hai wakhra

Mumkin Nahi Lyrics from Rush by Kumaar

Jaanun main na jaane dil, kya khwahish jagi hai
Kyun aankhon ko bhi kuch hua
Jaagi jaagi rehti hain, kahaan neendein gayi hain
Kya hone laga hai tu bata

Tere labon pe hai mili mere labon ko zindagi
Tere bina ab saans loon mere liye mumkin nahi
Meshsoos ye hota hai tu mere liye hai laazmi
Saaya tera ab chhod kar lamhe chale mumkin nahi
Mumkin nahi... Mumkin nahi...

Woh oh...
Mujh ko chhipa le tu, khud mein hi kahin pe
Main bhool jaaun ye jahaan
Faasla kabhi naa ho, dil chaahe yahi to
Dhadkan tere bin hai kahaan

Meri nazar kehne lagi tu saamne ho har ghadi
Bas ik tere chehre bina duniya meri mumkin nahi
Paaya tujhe to hai laga poori hui koi kami
Tujhse juda main ab rahoon khwabon mein bhi mumkin nahi
Mumkin nahi... Mumkin nahi...

Tere labon pe hai mili mere labon ko zindagi
Tere bina ab saans loon mere liye mumkin nahi
Meshsoos ye hota hai tu mere liye hai laazmi
Saaya tera ab chhod kar lamhe chale mumkin nahi (x2)

O Re Khuda Lyrics from Rush by Sayeed Quadri

O re Khuda! ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya (x2)

Meri zindagi ki har khushi mein shaamil tum ho
Ho meri bandagi ki har ghadi mein shaamil tum
Maine jitni bhi duaayein maangi ab tak Rab se
Meri unn sabhi duaaon ka ho haasil tum

Ik mauj hoon main aur mera saahil tum ho
Aur ik safar hoon main hoon, meri manzil tum ho
Maine jitni bhi duaayen maangi ab tak rab se
Meri unn sabhi duaaon ka ho haasil tum

O re Khuda! ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya (x2)
O re Khuda...

Meri zindagi ka khushnuma sa mausam tum ho
Ho meri tishnagi ka manchala sa saawan tum
Kab se mujhe tamanna hai tumko paane ki
Ab chhod bhi do mujhko aazmana tum

Mere raaste mein baadalon ka aana tum ho
Mere dhoop mein ho baarishon ka aana tum
Tumhe yaad karta rehta hoon main din mein, shab mein
Meri yaad se na kabhi door jaana tum

O re Khuda! ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya (x2)

Dil ke mehmaan.. teri yaad liye.. baithe hain
Zabt-e-dil kis se kahe, zabt kiye baithe hain
Maut se keh do faraz humko na majboor kare
Jinki ye cheez hai hum unko diye baithe hain

O re Khuda! ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya (x2)

Rab Ka Junoon Lyrics from Rush by Kumaar

Meri mutthi mein jahaan karun bhale aasmaan
Main toh apni marzi se rehta zinda
Main hawaon ka bana, haan thaka kahaan hoon
Kabhi qaid nahi hota main
Aazaadi ka parinda
Dekho...

Sar pe mere sawaar jo
Mere Rab ka junoon hai
Chadha hai junoon jo
Mere Rab ka junoon hai
Sar pe mere sawaar jo
Mere Rab ka junoon hai
Chadha hai junoon jo
Mere Rab ka junoon hai

Main hoon manzilon se aage
Khwaab mere peeche bhaage
Main toh jeetun chaahe haarun
Mujhe parwaah nahi hai
Zindagi toh hai chhalaawa
Kuch nahi isske alaawa
Isski baaton mein kabhi
Main toh aata nahi hoon
Dekho...

Sar pe mere sawaar joh
Mere Rab ka junoon hai
Chadha hai junoon jo
Mere Rab ka junoon hai

Hote Hote Lyrics from Rush by Ashish Pandit

Yeah I was standing at the bar
Yeah in Louis Vuitton
Uh yeah this place on fire
And you know this is gonna make girls go wild
Yeah I see you boy, good lookin' boy
Tell me what's your name and you dig this boy
This some serious, now playing, what's you sayin'

Hote hote jaane kya ho gaya
Yeh aa gaya main kahaan?
Bante bante kab jaane kab kahaan
Yun bann gayi dastaan
Jo bhi ho, jo bhi ho, ab toh hoga wahi
Jo bhi chaahunga main meri jaan
Jo bhi ho, jo bhi ho, main karunga wahi
Jo bhi chaahunga main meri jaan

You made me say (wo o..)
When you touch my body (wo o..)
Life de doon saari
Ho gayi deewani
Did you say you want me baby
Let me make you crazy

Tell me away when you walked into the bar
In my dreams you are the star
You cause a seam you're everybody's dream
They on the knees beggin' please!

Jo bhi ho, jo bhi ho
I just need you to know
Tujhko chaahunga main, meri jaan
Jo bhi ho, jo bhi ho
Main karunga wahi
Jo bhi chaahunga main meri jaan

You made me say (wo o..)
When you touch my body (wo o..)
Life de doon saari
Ho gayi deewani
Did you say you want me baby
Let me make you crazy

I move huh!
Make you wanna groove huh!
If you say you ain't feelin' it
Then I put you in the mood huh!
Yeah we ridin' ridin' boy its so exciting
Ain't got tell me what to do
No need to tweet but I follow you

O..
When you touch my body (wo o..)
Life de doon saari
Ho gayi deewani
Did you say you want me baby
Lemme make you crazy
Did you say you want me baby
Lemme make you crazy

mehsoos kar raha hun mai jeene ki talkhiYaan

mehsoos kar raha hun mai jeene ki talkhiYaan
shaYad mujhe kisi se muhabbat nahi rahi

Dil jahan le jae dil k hath jana chaheye

Dil jahan le jae dil k hath jana chaheye,
Iss se bhar kar aur koi rehnuma hota nahin.

Piyas Kehti Hai Ke Ab Rait Nichori Jaye

Piyas Kehti Hai Ke Ab Rait Nichori Jaye,
Apne Hisse Mein Samander Nahi Aane Wala

Khod namai to nahin shewa e arbab e wafa

Khod namai to nahin shewa e arbab e wafa
Jin ko jalna ho wo aram se jaal jate hain

Khob takseem e aesh o gham ye rahi

Khob takseem e aesh o gham ye rahi
Gham humen ko naseeb hote hain

Humaray baad nahin ay ga tumhain chahat ka asa maza ?Faraz?!

Humaray baad nahin ay ga tumhain chahat ka asa maza ?Faraz?!
Tum logon se kehtay phiroo gay mujhe chahao us ki tarah!

Apne ghamon ka hisaab karne kya bethe they

Apne ghamon ka hisaab karne kya bethe they
Nazar aye sabhi chehrey jaaney pehchaney se

Haye Yeh Ishq Ka Ziwala Ke Abb

Haye Yeh Ishq Ka Ziwala Ke Abb
Hijar Mein Hijarr Ka Mallal Nahin

Mujhe rishtey ki ddori se na jorro,

Mujhe rishtey ki ddori se na jorro,
Mujhe tootay huye arsaa hua hai..

Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna

Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna!
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna!

BachAa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se!
Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna!

Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna!
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna.

Jaaney kis dil se muskuratey hain

Jaaney kis dil se muskuratey hain
Woh jo andar se toot jatey hain

Friday, October 26, 2012

Koyi andaaza kar sakta hai is k zoar-e-baazoo ka

Koyi andaaza kar sakta hai is k zoar-e-baazoo ka
Nigaah-e-mard-e-momin se badal jaatee hain taqdeerain

Hosala tuj ko na tha muj se joda hone ka

Hosala tuj ko na tha muj se joda hone ka,
Warna kajal tri ankhon me na phela hota

Ye mera wahem ek din mujhey dubo de ga,

Ye mera wahem ek din mujhey dubo de ga,
tera aks nazaar aataa hai sammandar ki lehron mein..!!!!!!

Wo Bhi Mujhe Aziz Tha Main Bhi Usay Pasand

Wo Bhi Mujhe Aziz Tha Main Bhi Usay Pasand
Phir Jaane Kya huwa Ke Mohabbat Nahin Rahi

Dhondo ge ujray rishton main wafa k khazaney

Dhondo ge ujray rishton main wafa k khazaney,
Tum mere baad meri muhabbat ka ehtram karo ge..!!

Gham e dunia me gham e yaar bhi shamil kar lo

Gham e dunia me gham e yaar bhi shamil kar lo
Nasha bharta hai sharabeen jo sharabon me ilen

Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Hum Ne Daikhay Thay Khawb Sholoon K

Hum Ne Daikhay Thay Khawb Sholoon K..
Neend Aankhoo’n Mein Jal Gayi Ho Gi ..!!!

Phaila hai itna hussan ke is kayenat mein,

Phaila hai itna hussan ke is kayenat mein,
Insaan ko bar bar janam lena chahiye..

Monoos ho gea hon gham e dil se is qadar

Monoos ho gea hon gham e dil se is qadar
Milta hai abb sakoon muje iztarab me

Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se

Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se
Nafrat si ho gai hai muhabbat k naam se

Raat ek bheegay huye takiye ne

Raat ek bheegay huye takiye ne
Meri tanhai ka aalam afshan krdia

Kuch to meri mohabbat ka bharam rakh,

Kuch to meri mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi to kabhi mujh ko manaaney aaa..

Is ki takmeel ho nahi sakti

Is ki takmeel ho nahi sakti,
Ishq mein bass aik burayi hai.

Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena

Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena
Muhabat ki tabiyat me zabardasti nahi hoti

Teri Ankhun k Surkh Doray

Teri Ankhun k Surkh Doray
Raat Kis k Nseeb Jaage

Woh jo kehti thi, Hazaron milte hain roz tere jese

Woh jo kehti thi, Hazaron milte hain roz tere jese
Us ke hathon pe mehndi lagi, Aaj barson ke baad

Sehra e gham e jaan me bagolon se bacha kon

Sehra e gham e jaan me bagolon se bacha kon,
Mit jaen ge ae dost tere naqash e qadam bhi

aye chaand agar na too hota ye raat soohani na hoti

aye chaand agar na too hota ye raat soohani na hoti,
phoolon mn mehuk taron mn chamuk hr shae mn jawani na hoti.

ye zulf shab e dejor se aur chal teri mastani si
bulbul na sunti geet koi, aur lehroon main rawani na hoti

Koi na perhta heer, na samajhta shereN-ferhad
roshan na hoti koi shama, perwaney ki kahani na hoti

hur chodviN ko tum aangun main mehboob k lums ko chooty ho,
men lurta jhagurta tum se agar wo tujh pe deewani na hoti.

mehtab-e-falak aa dekh zara mehtab-e-zameeN k julwon ko,
tera naam sanam ko na deta gar tujh si peshani na hoti.

muqrooz tera hur aasique he mujboor tera hur shair he,
julwaa na tera gar roshan ho nughmon main rawani na hoti.

Kuch aag si pinhaan hay teri in thandi thandi kirno mein
warna in chandni raaton mein wehshat ki rawani na hoti

Ehsas Na Kar In Jazbon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin

Ehsas Na Kar In Jazbon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin
Jeena Bhi Mujhy Dushwar Lagy, Itna To Nazar Andaz Na Kar

Tum bohat dil’nasheen thay magar jab se,

Tum bohat dil’nasheen thay magar jab se,
Kisi aur ke ho gaye ho, zehar lagtey ho..

Thursday, October 25, 2012

Aye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua

Aye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua,
Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi…

Ek pal ko teri yad ay tu mai sochta ho

Ek pal ko teri yad ay tu mai sochta ho
Khwab ke dehshat may bhatka howa ahoo-n ho ga

Tergi chor gay dil mai ujalay ke khatoot

Tergi chor gay dil mai ujalay ke khatoot
ye sitary mery ghar ke toot ke beqar giray

Rat bhar pichali si aahat kaan me ati rahi

Rat bhar pichali si aahat kaan me ati rahi
Jhank kar daikha gali me koi bhi phirta na tha

Tamam shab yon hi dekhen gi saoye dar ankhen

Tamam shab yon hi dekhen gi saoye dar ankhen
tuje ganwan kar na soyen gi umar bhar ankhen

Meri Ghurbat Urati Hai Mere Fan Ka Yun Mazaq

Meri Ghurbat Urati Hai Mere Fan Ka Yun Mazaq,
Teri Dolat Ne Tere Aiab Chupa Rakhe Hain

Gali Mein Tooti Howi Chooriya’n Dekhi Hain Maine

Gali Mein Tooti Howi Chooriya’n Dekhi Hain Maine,
Zaroor Kisi Masoom Ki Muhabbat Pe Zawaal Aya Hoga

Dil ki awaargi nahi jati

Dil ki awaargi nahi jati
Aqal ki rok thaaam jari hy

Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne

Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota

Mitt chaley meri umeedon ki tarah harf magar,

Mitt chaley meri umeedon ki tarah harf magar,
Aaj tak tere khato’n se teri khushbuu na gayi..

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahuu main,

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahuu main,
Yeh kaanch ke tukrron ko uthaney ki sazaa hai..

Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo

Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo

Is Se Insaan Ke Emaan Mai Farq Aata Hai

Hum To Na-Cheez Se Bande Hain Hamen Kiya Maloom

Kon Si Baat Mai Kiya Maslihat-E-Yazdaan Hai

Kitna Gumraah-O-Gunah Gaar Hue Jaate Hain

Kiya Kaha? “Khanumaan Barbaad Hue Jaate Hain

Dam Ba Dam Aag Ke Be-Rehm Lapakte Sholey

Apne Boseeda Makaan Raakh Kiye Dete Hain

Khaak Hi Khaak Hui Jati Hai Duniya Apni

Aur Is Aatish-O-Zulmaat Ke Sailaab Mai Bhi

Marmar-O-Aahan-O-Seemaan Ki Imaaraat-E-Buland

Issi Pindaar Issi Shaan Se Asteeda Hain

Kiya Khuda Sirf Ghareebon Pe Sitm Dhaata Hai”

Theek Kehte Ho Magar Khaam Aqaaid Walo

Hum To Taqdeer Ke Bande Hain Hamen Kiya Maloom

Kon Si Baat Mai Kya Maslihat-E-Yazdaan Hai

Aur Phir Apni Shikayat Se Bhi Kya Hota Hai

Wohi Hota Hai Jo Manzoor-E-Khuda Hota Hai

Every sunset gives us,

Every sunset gives us,
One day less to live!
But every sunrise give us,
One day more to hope!
So, hope for the best.
Good Day & Good Luck!

And Good Morning

Friendship Text Messages Poems

Friendship Text Messages Poems

The queen of hearts between the Jack and the King
Is wondering if its better to be in a fling
Than to be in love with somebody that’s new
Who brings feelings to her like so very few.

The queen is playing dirty, with her heart in a knot
And she can’t make a decision because it’s just too hot
The consequences are harsh, but she knows its right
To leave the Jack for the King and start a big fight.

She’s eyeing and spying, waiting for a good time
To tell the Jack about the King that is dying to shine
And take his spot in the deck as the one true lover
Who the Queen needs to feel somebody loves her.

I’m waiting around, as the joker of the deck
Whom nobody listens to, but what the heck
My heart is in the place that is truly right
And I’m ready to take on any little fight.

When the deed is done, I’ll be sleeping fine
Because I’ve known what is right all the time.
To play chess with two hearts and win
Is as wrong as a fish with no fins.

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai,

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai,
Jo Pairr Bare Hote Hain Saya Nahin Karte..

Haadsaat se ghamgeen kab ho raha hoon,

Haadsaat se ghamgeen kab ho raha hoon,
Tujhe kya khabar hai mein kyon ro raha hoon..

Tujhe sy bhi mangny ko jee nay chaha apna

Tujhe sy bhi mangny ko jee nay chaha apna
or tery pas sabhi kuch tha ata karny ko

Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Di

Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Di
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umeedein Bandh Kar Aaya Tha Samne
Us Ne To Aankh Bhar Ke Dekha Nahi Mujhe

Sikkah Bana Ke Jab Bhi Uchala Gaya Mujhe

Sikkah Bana Ke Jab Bhi Uchala Gaya Mujhe,
Mein Teri Haar Jeet Mein Taqseem Ho Gaya

Pabandi e wafa hai to phir madha se kaam

Pabandi e wafa hai to phir madha se kaam
Maar jaiye kisi ki tamana na kijiye

Mein Pee Kar Nahi Behakta, Usey Dekh Kar Behakta Hun

Mein Pee Kar Nahi Behakta, Usey Dekh Kar Behakta Hun,
Aey Aalam-e-Waqat bata Sharab Haraam Hai Yaa Woh

I luv my eyes when u look into them

I luv my eyes when u look into them; I luv my name when u say it; I luv my heart when u luv it; I luv my life when you are in it.

Ab aap kis liye pareshaan hotey hain,

Ab aap kis liye pareshaan hotey hain,
Diya tha ranj to kuch soch kar diya hota..

Saboot hai yeh mere dil ki dard mandi ka

Saboot hai yeh mere dil ki dard mandi ka
Hua tha ishq jawaani se peshtar mujh ko

teri deed jis ko naseeb h wo naseeb qabil e deed hai lekin

teri deed jis ko naseeb h wo naseeb qabil e deed hai
lekin
tuje sochna meri chand raat or tuje dekhna meri eid hai

Wednesday, October 24, 2012

Shab-e-zulmat ka andehra

Shab-e-zulmat ka andehra
barh raha hai
Talash-e-masieha ka
shour uth raha hai
Khalqat-e-khudawand may
toofan-e-karb-o-balla hai
aye Rab-e-Muhammad* ye kaisa
shour-e-mehasher teray koocha may
macha hai

khair-ul-ummat jisey Quran ne
pukara hai
wo aaj kiyun dunya may
be-sahara hai
aye Rab-e-kainat
kashti-e-islam ko aap bacha
ke iske nakhuda bhi doob gaye hain
aur
patwaar bhi toot gaye hain

sun le hum gunahgar ummat ki
fariyad aye moula
ke tujh ko phir zakhmi rooh se pukara hai

Chhup ke aata hai koi khawab churaney mere

Chhup ke aata hai koi khawab churaney mere
Phool har raat mehekte hain sarhaaney mere

Hum wafaen kar k rakhate hain wafaon ki umeed

Hum wafaen kar k rakhate hain wafaon ki umeed,
Dosti me is qadar soda gari bhi juram hai.

Let's share the world A sea is for you, and waves are for me.

Let's share the world
A sea is for you, and waves are for me.
The sky is for you, and stars are for me.
The sun is for you, and light is for me.
Everything is for you, and you are for me.

Zara si dair decenber ki dhop me daithen

Zara si dair decenber ki dhop me daithen,
Ye fursaten hamen shaid na agale saal milain.

Bohat khoob zimedaariyan hain mujh per warna

Bohat khoob zimedaariyan hain mujh per warna
Mujhe khayal jahan ka hai, na khof ruswayi ka

Ab To Hr Lamha Mera Qaid Me Kat Jata Hy

Ab To Hr Lamha Mera Qaid Me Kat Jata Hy
Farq Sirf Itna Hy K Zanjeer Bdal Jati Hy

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka,
To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain..

Talash kesy karen khusboon ke maskan ko

Talash kesy karen khusboon ke maskan ko
hawa bhi chup hy badan hy nidhaal apna bhi

Lagta Hai Iss Baras Mohabbat Ho Hi Jaye Gi

Lagta Hai Iss Baras Mohabbat Ho Hi Jaye Gi
Mainee Khawab Main Khud Ko Martay Dekha Hai

Is qurbaani ki Eid pe kuch aur na sahi,

Is qurbaani ki Eid pe kuch aur na sahi,
Hum apni hasrtain hi qurbaan karte hain..

Hum hi mein na thi koi baat jo yaad na tum ko aa sakay

Hum hi mein na thi koi baat jo yaad na tum ko aa sakay
Tum ne humain bhula diya, hum na tumhain bhula sakay

Apny rasty howy zakhmo pay chiradkh leta ho

Apny rasty howy zakhmo pay chiradkh leta ho
rakh jhardti hy jo ehsas ke anggaro sy

Tere lehje me jado hai kuch aisa

Tere lehje me jado hai kuch aisa
Muje sunane ki adat ho gai hai

Toot jata hai to sur aur bhi lau deta hai

Toot jata hai to sur aur bhi lau deta hai
Dil jisey kehte hain woh saaz juda hai sab se

Jala raha hon khod apne lahoo se dil ke charagh

Jala raha hon khod apne lahoo se dil ke charagh
Najane kitni muhabbat hai roshani se muje

Roney se to bichrey huye sathi nahin milte

Roney se to bichrey huye sathi nahin milte
Maana ke yehi kaam din raat kiya

Tumhari Dua’aon Se Shayad Ho Jayn Mere Liye Aasaniyan Peda

Tumhari Dua’aon Se Shayad Ho Jayn Mere Liye Aasaniyan Peda,
Bas Yehi Soch Kar Mujhe Apni Har Dua Mein Yaad Rakhna

Sheher mein is se pehle na dekhi kabhi

Sheher mein is se pehle na dekhi kabhi
Woh udaasi jo ab tere jaaney se hai

Uthaa kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan

Uthaa kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan
Na tum aaye to yu’n jashn-e-baharan kar liya mein ne

Birthday Wishes For My Friend

Birthday Wishes For My Friend

Birthday Wishes For My Friend
On your birthday,
I wish for you the fulfillment
of all your fondest dreams.
I hope that for every candle
on your cake
you get a wonderful surprise.
I wish for you that
whatever you want most in life,
it comes to you,
just the way you imagined it,
or better.
I hope you get as much pleasure
from our friendship as I do.
I wish we were sisters,
so I could have known you
from the beginning.
I look forward to
enjoying our friendship
for many more of your birthdays.
I’m so glad you were born,
because you brighten my life
and fill it with joy.
Happy Birthday!
By Joanna Fuchs

Zabaan sey gar kiya tauheed ka dawa to kya hasil

Zabaan sey gar kiya tauheed ka dawa to kya hasil
Banaya hay Bute pindaar ko apna khuda tuney

Ye ittefaq hai sab raah ki musafat k

Ye ittefaq hai sab raah ki musafat k
Chalay kisi k liye, jaa milay kisi k sath

Tuesday, October 23, 2012

Chaihrta Tha Gham-e-Duniya Jub Bhi

Chaihrta Tha Gham-e-Duniya Jub Bhi
Ham Tere Gham Se Gila Kartay Thay

Tang hota ja raha hai haala-e-yaksaaniyat

Tang hota ja raha hai haala-e-yaksaaniyat,
Kya inhii pheekay dino mein ghutt ke marna hai mujhe..

Haan..! Mujhy Rasm-E-Mohabat ka Saliqa Hi Nahe

Haan..! Mujhy Rasm-E-Mohabat ka Saliqa Hi Nahe
Jaa..! Kisi Aur Ka Hony ki Ijazat Ha Tujhy… :(

Subhah ko dekha to do ghao merey chehrey pey they,

Subhah ko dekha to do ghao merey chehrey pey they,
Rat kuch roney ki khwahish thi magar roya nahi..

Kyon hath mein tere mujhe pathar nazar aya

Kyon hath mein tere mujhe pathar nazar aya
Deewana agar thaa to main dunya ke liye tha

Andheri raaton ke tanhaa musafiron ke liye,

Andheri raaton ke tanhaa musafiron ke liye,
Diyaa jalata hua koi saaz o rakht na tha.

Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho

Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho,
Magar yeh kya, ke zara dair ko rukey bhi nahin..

Sahib-e-aqal hain aap ik masla to hall kijiye,

Sahib-e-aqal hain aap ik masla to hall kijiye,
Rukh-e-yaar nahin dekha, kya meri eid ho gayi ?

Main na jugnu hOn na diya hOn na kOi chaand,

Main na jugnu hOn na diya hOn na kOi chaand,
Phir rOshni waale mere naam se jalte kyun hain !

Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho

Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho
Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho

Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De
Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho

Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho

Tere baghair guzarta nahin tha ik pal bhi,

Tere baghair guzarta nahin tha ik pal bhi,
Tere beghair magar zindagi guzari hai.

Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab

Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab,
Tab pathar se chashma phoot nikalta hai

karoon ga kia jo muhabat main hogya naakaam

karoon ga kia jo muhabat main hogya naakaam
mujhe to orr koi kaam bhi nahi aata

This pair of small eyes,

This pair of small eyes,
Help in saying big things,
Love not expressed from lips,
Is confessed by a wink.

At any place in the world,
Her eyes keep searching for me,
Sparkle of her eyes is moved to her lips,
After she finds me.

Each feeling of her heart,
Is said by eyes of hers
Whenever I leave her,
Droplets of water stroll down in form of tears.

Can always find,
Unconditional love for me in her eyes,
Confirming the thought to be true,
That the pair never says lies.

I have a feeling,
She has a straight heart to eye connection,
As she expresses everything, by her eyes,
That?s needs to be mentioned.

When I can?t find her eyes around me,
Don?t know what happens to my day,
Smile from my visage,
Remains at bay.

In the night when I lie on a gathered hay,
Under the starry layer of the endless worlds,
I trace your eyes in the maze of stars,
Like a pattern laid out by two beautiful pearls.

This pair of small eyes,
Help in saying big things,
Love not expressed from lips,
Is confessed by a wink.

Jab Laga Tha Teer Tab Itna Dard Na Huwa,

Jab Laga Tha Teer Tab Itna Dard Na Huwa,
Zakham Ka Ehsas Tab Hua Jab Kamaan Dekhi Apnon K Hath Mai.

Tota hai zor taiz hawaon ka akharash

Tota hai zor taiz hawaon ka akharash
Ye aur bat kitne parindon ke par gae

Har taraf har jagah beshumar aadmi

Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi

Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi

Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi

Sheher ki ranginion me gum na ho jae kahen

Sheher ki ranginion me gum na ho jae kahen
Gaon se aea hai jo apni parhai k lie

Mahobbat karnewale woh mareez hain,

Mahobbat karnewale woh mareez hain,
Jinhe marz maloom hai, lekin ilaj nahi.

Zakhami hoe jo hont to mehsos yeh hoa,

Zakhami hoe jo hont to mehsos yeh hoa,
Choma tha me ne phol ko diwangi k sath.

Woh chashm-e-mast kitni khabardaar thi Adam

Woh chashm-e-mast kitni khabardaar thi Adam,
Khid hosh main rahi humain badnaam kar diya..

zara si der ko aye the khwab ankhon mein

zara si der ko aye the khwab ankhon mein
phir us k bad musalsal azab ankhon mein

wo jis k nam ki nisbat se raushan tha wujud
khatak raha hai wahi aftab ankhon mein

jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the ham
wo aine bhi hue behijab ankhon mein

ajab tarah ka hai mausam k khak urti hai
wo din bhi the k khile the gulab ankhon mein

mere gazal teri wahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztarab ankhon mein

na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai
ye uljhane teri be-intasab ankhon mein

Monday, October 22, 2012

Ley ke khat un ka kia zabt bohat kuch lekin

Ley ke khat un ka kia zabt bohat kuch lekin,
Thar tharatey huye hathon ne bharam khol diya..

Pehle us me aik aada thi naaz tha andaaz tha,

Pehle us me aik aada thi naaz tha andaaz tha,
Rothana abb to teri aadat me shamil ho gea ha.

Hum ne khud se bhi chupaya aur saray sheher ko

Hum ne khud se bhi chupaya aur saray sheher ko
Teray janay ki khabar deewar-o-dar karty rahy

ya kah kar chertay hain jwanaan-e-makeeda

ya kah kar chertay hain jwanaan-e-makeeda
maael tumhain slaam kha hay bhaar nay

Parr geya parda samaa’at per teri awaz ka,

Parr geya parda samaa’at per teri awaz ka,
Aik aahat kitne hangaamon per haavi ho gayi..

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to Aazmaon gi

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to Aazmaon gi
main apane haath se us kii dulhan sajaon gi

Aey dost hum nay tark-e-taaluq k bawajood

Aey dost hum nay tark-e-taaluq k bawajood
Mehsoos ki hai teri zarroret kabhi kabhi

Zabt ka jinhey dawa ishq me raha aksar,

Zabt ka jinhey dawa ishq me raha aksar,
Hum ney haal dekha hai besh tar kharab unka..

Chhor duniya ke sab jhamelo’n ko,

Chhor duniya ke sab jhamelo’n ko,
Aa mere dil pe hukmaraani kar..

Abhi badban ko te rakho abhi maztarab hai rukh hawa

Abhi badban ko te rakho abhi maztarab hai rukh hawa
Kisi raste pe hai muntazir wo sakon jo aa k chala gea

Tanhayiyan uthaa na saki-n roshni ka bojh

Tanhayiyan uthaa na saki-n roshni ka bojh
Saaye bhi dafan ho gaye khali makaan mein

To ny bichard ke apny sir ilzam ly liya

To ny bichard ke apny sir ilzam ly liya

warna faraz ka to rona sada ka tha

Abhi pat-jherd ke mosam ka sandesa tu ny aya

Abhi pat-jherd ke mosam ka sandesa tu ny aya
Magar pholon ki adat hy,Enhy akhir bikharna hy

Husan jitna hai meri ankh ki tehweel me hai

Husan jitna hai meri ankh ki tehweel me hai
Warna chehre ke khado khal me rakha kia hai

Parhta tha main nimaaz samajh kar usey Rasheed,

Parhta tha main nimaaz samajh kar usey Rasheed,
Phir yu’n hua ke mujh se qazaa ho gaya woh shakhss..

Agar wo pooch lein hamse, Tumhein kis baat ka gham hai

Agar wo pooch lein hamse, Tumhein kis baat ka gham hai
To phir kis baat ka gham hai, Agar wo pooch lein humse

Na kahein jahaan mein amaan mili jo amaan mili to kahaan mili

Na kahein jahaan mein amaan mili jo amaan mili to kahaan mili
Meray jurm haayey siyaah ko teray afw-e-banda nawaaz mein

Log sab achey hain waqt hi acha nahin

Log sab achey hain waqt hi acha nahin
Zindagi se jo nikal jaye woh milta nahin

Hoslay hi Jawab Dainay lagay

Hoslay hi Jawab Dainay lagay
Is Qadar Us nay Aazmaya Mujhy

Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay

Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hai

Teacher is a person

Teacher is a person
who always helps everybody
to get the knowledge
and
always stands beside the students
when they have problems.
Thanks for being my teacher.
Happy Teachers Day

Kash ke woh laut aaye mujh se yeh kehne

Kash ke woh laut aaye mujh se yeh kehne
Tum kon hote ho mujh se bicharrne wale

phir os ki yad ma dil beqarar hy nasir

phir os ki yad ma dil beqarar hy nasir
bichard ke jis sy hoi shehar shehar roswai

Qurbaton me bhi judai k zamane mange

Qurbaton me bhi judai k zamane mange,
Dil wo be mohar k rone k bahane mange

Chara ger cheekh uthey hosh na aaya pehron.

Chara ger cheekh uthey hosh na aaya pehron.
Mery seeny mein tera zakhm jo gehra dekha.

The best way to remember

The best way to remember your wife's birthday is to forget it once.

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota

Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota

Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain
Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota

Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho
Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota

Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj
Ujala baant dene se ujala kam nahin hota

Bay niaazi hud sa guzri banda parwar kab talaq,

Bay niaazi hud sa guzri banda parwar kab talaq,
Hum kahain gay haal e dil or aap farmayain gay kiaa ..

Mere marney Per Kisi Ko Ziyada farq na Hoga

Mere marney Per Kisi Ko Ziyada farq na Hoga
Bus Ek Tanhai Roye Gi k Mera humsafar Chala Gaya

Sunday, October 21, 2012

Uss ne yee meri mohabbat ko nea moor diya

Uss ne yee meri mohabbat ko nea moor diya
Ajj mere lie balon ko khola choor dia

hoti naheen qabool dua tarq ishq ki

hoti naheen qabool dua tarq ishq ki
dl chahta na ho to dua ma asr kahan

Sood Me Jaan De Di Lekin

Sood Me Jaan De Di Lekin
Qarz-e-Ishq Musalsal Hai...

Jin k senon me dharkata tha muzafar mra dil

Jin k senon me dharkata tha muzafar mra dil
Ajj me un k lie bhohli kahani ho gea

Someone Remembers, Somebody Cares

Someone Remembers, Somebody Cares, YOUR Name Is Whispered In Somebody"s Prayers, Keep The Bright Hope Of Sunshine In View, Someone Is Warmly Thinking Of You

haseen aankhon ko parhne ka abhi tak shauQ hai mujh ko

haseen aankhon ko parhne ka abhi tak shauQ hai mujh ko
muhabbat main ujar kar bhi meri aadat nahi badli

Saabit hua ke tu bhi zamane ke sath hai,

Saabit hua ke tu bhi zamane ke sath hai,
Saabit hua ke tu bhi hamaara nahin rahaa..

Yeh shart-e-mohabbat bhi ajjab hai,

Yeh shart-e-mohabbat bhi ajjab hai,
Pura utroon to wo meyaar badal deta hai..

Bas itna Soch Kar Hi Mujhko Apne Paas Tum Rakh Lo

Bas itna Soch Kar Hi Mujhko Apne Paas Tum Rakh Lo,
Tumhare Wasty Mein Apna Sab Kuch Chorr Aai Hun

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni,

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni,
Zara sa dil ko mere tum sakoon lene doo..

Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko

Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya

Ghar ki taameer chahey jesi ho,

Ghar ki taameer chahey jesi ho,
Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna..

Tumhari Yaad Ki Dali Utha Ker

Tumhari Yaad Ki Dali
Utha Ker
Zubaan Pe Rakh Li Hy Maine
Ye Qatra Qatra Pighal Rahi Hai
Main Qatra Qatra Hii Jee Raha Hoon

Hame samjhao na ‘Mohsin’ hamen Maloom hai sab kuch

Hame samjhao na ‘Mohsin’ hamen Maloom hai sab kuch,
Mohabbat Mashwara Hoti To, Tum Say Pooch Kar Karte

Teri aankhon mein aansu they meri khatir

Teri aankhon mein aansu they meri khatir,
Woh ek lamha mujhy zindagi se pyara laga..

Hum to Be-naam se Be-aasra Log hain Wasi

Hum to Be-naam se Be-aasra Log hain Wasi
Koi Agar yad rakhe ga to us ki enayat hogi

Tamaam umar hi guzri hai dastak’en sunte

Tamaam umar hi guzri hai dastak’en sunte,
Humain to raas na aya khud apne ghar rehna..

Justajo jis ki thi us ko to na paeya hum ne

Justajo jis ki thi us ko to na paeya hum ne
Iss bahane se magar daikh li dunia hum ne

zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se

zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se
dil zid kar raha tha mujhe mohabbat chahiye

Ye mera haal hy jis pr hansi aa gayi tumhe

Ye mera haal hy jis pr hansi aa gayi tumhe
Aksar isi haal ne hanste huon ko rula dia

Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen,

Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen,
Yahan jo aye yahin be-ikhtyar beth gaye..

Jab Udaas Ho To GungUna Lene Mujhe

Jab Udaas Ho To GungUna Lene Mujhe
Jab Tumhara Koi Na Bane To Apna Bana Lena Mujhe
Kabhi Agar Socho K Tum Se Ziyada Tumhe Kon Chahta Hai
To Apne Naam K Sath Phir Se Dohra Lena Mujhe
Hasne K Liye To Mil JAengy HAzaroo Tumko
Jab Rone K LIye Na Mile Koi Kandha To Bula Lena Mujhe

Saturday, October 20, 2012

Teri Majbooriyan Darust Magar

Teri Majbooriyan Darust Magar
Tera Waada Tha Yaad Rakhne Ka

Phely ye manzar pardha tha siraf, ab deka hy

Phely ye manzar pardha tha siraf, ab deka hy
bansri bajti rahi, jalty rahy nezo ke ghar

Fasale aise k ik umer me teh ho na sakain

Fasale aise k ik umer me teh ho na sakain
Qurbatain aisi k khod muj me janam hai us ka

Christmas is not a time nor a season

Christmas is not a time nor a season,
but a state of mind.
To cherish peace and goodwill,
to be plenteous in mercy,
is to have the real spirit of Christmas

Tujhse bichhre to ab hosh nahin

Tujhse bichhre to ab hosh nahin
Kab chand hua kab eid huyi….

Dil jis se beqarar hai aao ghazal likhen,

Dil jis se beqarar hai aao ghazal likhen,
Uss gham ka intizaar aao ghazal likhen..

Saboot e ishaq ki ye bhi to aik sorat hai

Saboot e ishaq ki ye bhi to aik sorat hai
Ke jis se piar karen us pe tohmaten bhi dharen

Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai,

Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai,
Agar jo ho ishq to kehna yahan koi dil nahi rehta..

Sab ko pohanchaa ke un ki manzil par

Sab ko pohanchaa ke un ki manzil par
Aap raste mein reh geya hoon main

Saamne Na Ho Toh Tarasti Hai Aankhein

Saamne Na Ho Toh Tarasti Hai Aankhein
Yaad Me Teri Barasti Hai Aankhein
Mere Liye Na Sahi, Inke Liye Hi Aa Jaaya Karo
Tumse Bepanah Mohabbat Karti Hai Yeh Aankhein

wo kase log thy ya RAB jinho ne paa lia tjko……

wo kase log thy ya RAB jinho ne paa lia tjko……
hmen to ho gya dushwaarr ek insan ka milna.

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi,

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi,
Ab itni si baat pe kya zindagi haraam karain..

Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay

Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay
Na he tum nai diya zeher peenay mujhay

Teri furqat kee ghadyaan yun lambi hoein
Perd gaey kam saal ore maheenay mujhay

Her sobho laiy kar aaye gham-e-nau meri
Her roz he perday zakhm seenay mujhay

Roz jeeta raha wasl ke chah main
Aansowon nai seekhaey qreenay mujhay

Hoein gharqaab aas ore umeedain meri
Bohat mehengay perday ye dafeenay mujhay

Zad main kishti meri hai toofaan k
Gharaq kar dain na meray safeenay mujhay

Rabt teray siwa ore kisi sai na thha
Sirf maara teri ik nehin nay mujhay

Daikh shaukat jahan k taiwer bhe tou
Paaon rakhnay diya na zameen nay mujhay

Kya bataaon kis tarah ab katt rahi hai zindagi

Kya bataaon kis tarah ab katt rahi hai zindagi
Meri har har saans hai talwaar tere bagair

HUSBAND and WIFE are like 2 tyres of a vehicle

HUSBAND and WIFE are like 2 tyres of a vehicle

If 1 punctures, the vehicle can't move further

M0ral:
always Keep a SPARE TYRE....

um pass nahin ho to ajab hall ha dil ka

um pass nahin ho to ajab hall ha dil ka
Yon jaise main kuch rakh k kahen bhool gai hon

Niklo Ge To Har Morr Pe Mil Jayngi Laashein

Niklo Ge To Har Morr Pe Mil Jayngi Laashein
Dhoondo Ge to Is Shehar Mein Qatil Na Mile Ga

Friday, October 19, 2012

Fikr laahaq hai ye ehbaab kahan jayain gay

Fikr laahaq hai ye ehbaab kahan jayain gay?
Jism mar jaayay ga to khwaab kahan jayain gay?

Ham musabbab hain sabab dhoond rahay hain
Na rahay ham he to asbaab kahan jayain gay?

Mujh sy qaayim hay ye ijaad k ablaagh k fan
Bin mere tere ye abwaab kahan jayain gay?

Dil ye kehta hay ehsas bacha lo daikho
Aankh kehti hay ye sailab kahan jayain gay?

Gard ho ja'on ga ek roz zamee'n kehti hay
Par jo mujh may hain wo gardaab kahan jayain gay?

Ankhain khuli to jag uthi hasratain Mohsin…

Ankhain khuli to jag uthi hasratain Mohsin…
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main.

Theharta ek bhi manzar nai veran ankho mai

Theharta ek bhi manzar nai veran ankho mai
hamary shehar sy badal bhi be barsy nikalta hy

Baant lay koi kisi ka dard ye mumkin nahi

Baant lay koi kisi ka dard ye mumkin nahi
Baar-e-gham uthwatay nahi duniya main mazdoor sa

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay
Kab Lout Ka Aatay Hai Chor Ke Janay Walay

Dunya waley ab zindagi ko bana sakte nahin,

Dunya waley ab zindagi ko bana sakte nahin,
Lau diye mein hai magar is ko barha sakte nahin..

Ae Hasrat_e_Deedar Ye Kya Raaz Hai Akhir,,,

Ae Hasrat_e_Deedar Ye Kya Raaz Hai Akhir,,,
Wo Samnay Aatay Hain To Dekha Nhi Jata

Usne Poocha Ke Kia Pasand Hai Tumhe

Usne Poocha Ke Kia Pasand Hai Tumhe,
Main Bohot Dair Tak Usey Dekhtaa Rahaa..

Iss eid per phir sath hain mere,

Iss eid per phir sath hain mere,
Doori, tanhai aur baas teri yadain..

Yeh mera hausla hai tere baghair,

Yeh mera hausla hai tere baghair,
Saans leta hoon baat karta hoon..

Tumhara naam likhane ki ijazat chin gai jab se

Tumhara naam likhane ki ijazat chin gai jab se
Koi bhi lafaz likhata hon to ankhen bheeg jati hain

Main pareshan tha pareshan hun nai bat nahi,

Main pareshan tha pareshan hun nai bat nahi,
Aj wo bhi pareshan hain khuda khair karey..

Meri mehboob, meri jaan, mujhe aansu bahaney de,

Meri mehboob, meri jaan, mujhe aansu bahaney de,
Chuppey hain dukh dil mein, mujhe aansu bahaney de,

Ke tere baad chup si lag gayi alaam-e-hasti ko,
Sabhi manzar huye be’jaan, mujhe aansu bahaney de,

Meri aankhon ki baarish thamm gayi to jee na paaon ga,
Yehi hai dard ka darmaan, mujhe aansu bahaney de,

Meri palkon ne muddat se koi saawan nahin dekha,
Meri aankhain hain kuch veeran, mujhe aansu bahaney de,

Kissi ke sath hoti thi bahaarain zindgaani ki,
Ke aye dard-e-shab-e-hijraan, mujhe aansu bahaney de,

Ke ab woh khawab si surat bhi mujhse chinn gayi Wasiq,
Hua hoon mein tabhi bejaan, mujhe aansu bahaney de..

Mere maula teri janat se judaa lagti hai

Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..

Hamara hall zamane me kuch juda to nahin

Hamara hall zamane me kuch juda to nahin
Ye dastaan nahin dunia ki dastaan se alag

Itni dilkash thi kahaan ye zindagi,

Itni dilkash thi kahaan ye zindagi,
Ham ne jab tak aap ko chaaha na thaa..

Tujh ko nahi ehsaas k ae ishq teri khatir

Tujh ko nahi ehsaas k ae ishq teri khatir
Ik shakhs bary kaam ka... Bekaar ho gya

Dil main nakaam hasratain le ker,

Dil main nakaam hasratain le ker,
Hum tera intizaar kartey hain..

Hosh e haalat pe kaboo to kar liya maine,

Hosh e haalat pe kaboo to kar liya maine,
unhe dekhke phir hosh kho gaye to kya hoga.

Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hai

Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hai
bardi mushkil say hota hay chaman mein deedawar paida

Jiss khauf se milne nahin aata tha woh mujh se

Jiss khauf se milne nahin aata tha woh mujh se
Uss dar se meri maut pe royaa bhi nahin thaa

Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya

Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya
Mera saaya bhi chupaa hai mere doston ki tarah

Labon Pay Aa Gaiyee Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar

Labon Pay Aa Gaiyee Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar
Khabar Ye Phaili Shehar Main K Zubaan Daraaz Hain Hum

There are no accidents

There are no accidents...
there is only some purpose
that we haven't yet understood.

(Deepak Chopra)

Thursday, October 18, 2012

I Am Feeling Very Lonely

To
The Dost
I Miss You

Subject: Do U Miss U

I Beg To Say That I Am The Student
Of Your Friendship Class

I Am Feeling Very Lonely
Mera Jee Nahi
Lag Raha Aap Ke Binna
So Kindly
Send Me Lovely Friendship Sms

Thanks You

(i miss you sms urgent in hindi)

Pardhna hy tu insan ko phardny ka hunar seekh

Pardhna hy tu insan ko phardny ka hunar seekh
har chehrey pay likha hy kitabo say ziada

Qatra qatra ashk e ghum ankhon sey akhir beh gaye,

Qatra qatra ashk e ghum ankhon sey akhir beh gaye,
Hum ney palkon ki inhien zanjeer pehnai bohat..

Tere Hathoun k taqadus ka Khyaal Ata hai Warna

Tere Hathoun k taqadus ka Khyaal Ata hai Warna
Warna Yasu Panju ma to hum Maaf Kia Nahi Kartay

Khabar to hai k maal e safar hai kia lakin

Khabar to hai k maal e safar hai kia lakin
Kheal e tarak e safar umer bhar nahin ata

Bicharr ke muj se kabhi to ne yee be socha hai

Bicharr ke muj se kabhi to ne yee be socha hai
Aadhora chand be kitna odass lagta hai

Kiss jurm mein cheeni gayi hum se hamari hansi,

Kiss jurm mein cheeni gayi hum se hamari hansi,
Hum ne tou kisi ka dil dukhaya bhi nahin tha..

Jaan se maar de mujhe lekin,

Jaan se maar de mujhe lekin,
Chorr jane ka mujh pe zulam na kar..

Phool, khushbu, chaman, chand, sitare, sabaa

Phool, khushbu, chaman, chand, sitare, sabaa,
Sarey saathi woh hum se khafaa kar gaya..

Ki Mohabbat tou siyasat ka chalan chorr diya

Ki Mohabbat tou siyasat ka chalan chorr diya
Hum agar pyar na karte to hakoomat karte.

Wo Tujh Ko Bhoole Hain To Tujh Pe Bhi Lazim Hai

Wo Tujh Ko Bhoole Hain To Tujh Pe Bhi Lazim Hai ‘Meer’,
Khaak Daal, Aag Laga, Naam Na Ley, Yaad Na Kar

Jab bhi osay bhoolnay ki koshish karta hoon

Jab bhi osay bhoolnay ki koshish karta hoon
Mere andar hai koi jo meri himayat nahi karta

Be-khabar be-waja be-rukhi na kiya kar

Be-khabar be-waja be-rukhi na kiya kar
koi toot sa jata hai tera lehja badalne se

manind-e-shama majalis-e-shab ashkbar paya

manind-e-shama majalis-e-shab ashkbar paya
al qissa 'Mir ko hamne beikhtiyar paya

shahr-e-dil ek muddat ujra basa gamon main
akhir ujar dena uska qarar paya

itna na dil se milte na dil ko kho k rahte
jaisa kiya tha hamne waisa hi yar paya

kya aitabar yan ka phir us ko khwar dekha
jisne jahan main akar kuch aitabar paya

ahon k shole jis jan uthe hain 'Mir' se shab
wan ja k subah dekha musht-e-gubar paya

Sambhal Ke Rakhi Hain Teri Yaadain

Sambhal Ke Rakhi Hain Teri Yaadain,
Jese Bachpan Ki Eidi Ho Meri

Lo main aankhain band kar leti hoon, ab tum rukhsat ho

Lo main aankhain band kar leti hoon, ab tum rukhsat ho
Dil to jaaney kya kehta hai, lekin ka kehna kyaa

Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra mohsin

Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra mohsin
Aaj phir raat na guzre gi suhaani apni

Baaqi ab meray hisay ki ab do hee baatain hain

Baaqi ab meray hisay ki ab do hee baatain hain,
Jeenay ki dua dena marnay ki duaa karna

bhala hathon ki lakeerain bhi mit?ti hain Faraz

bhala hathon ki lakeerain bhi mit?ti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala

Ajab Be_Basi Ka Alam Hai Dil Ke Aangan Mein

Ajab Be_Basi Ka Alam Hai Dil Ke Aangan Mein,
Taras Gaye Hain Hum Tere Sath Guftagu Ke Liye

Be-Noor Si Lagti Hai Us Se Bichar Ke Zindagi

Be-Noor Si Lagti Hai Us Se Bichar Ke Zindagi,
Ab Chiraagh To Jalte Hain, Par Ujala Nahi Karte

Saaf bach nikle ga woh balaa ka zaheen hai

Saaf bach nikle ga woh balaa ka zaheen hai
Mohabbat chorr de ga kismat ka bahana karke

Boht door rehta hai mera yaar

Boht door rehta hai mera yaar
Jaan se barha kar karta houn usey pyar. .

Agar wo kahi’n mujhy bhool bhi gaya to
Mein sadiyon tak karunga uska intezar

Bhool kar kahin usey yaad meri aa jaye gi
Aankh aansu’on se bhar jaye gi

Aur wo laut aye ga
In aankh’on ko aa jaye ga qaraar

Bus yehi khoobi hoti hai pyar mein ‘Gul’
K ye awara mizaj’on ko bhi kheench lata hai yaar. .

Khuda Tujhe Kisi Toufan Se Aashna Kar De,

Khuda Tujhe Kisi Toufan Se Aashna Kar De,
Ke Tere Behar Ki Mojon Mein Istraab Nahi…!

Wednesday, October 17, 2012

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar

Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish,,

Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish,,
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay.

Kaam itna mushkil to nahin hai jaana

Kaam itna mushkil to nahin hai jaana
Chorro tumhen bhulaa ke kya karna

Mujhse har bar wo nazrein chura leta hai

Mujhse har bar wo nazrein chura leta hai
Maine kagaz par bhi bana k dekhi hain aankhein us ki

Zindagi us ke tassawur mein katti,

Zindagi us ke tassawur mein katti,
Door reh kar bhi wohi kaam aaya..

Ab tak tou kher teri tamana mein katt gayi,

Ab tak tou kher teri tamana mein katt gayi,
Tu mil gaya tou sochta hon kya karon ga mein..

Meri Har Saans se wabasta hai teri yaadein

Meri Har Saans se wabasta hai teri yaadein
Shayad Ke Tere Khyalon Mein Mera Naam Tak Na Ho

Qareeb e rahguzar turbat ka hona bhi qiyamat hai

Qareeb e rahguzar turbat ka hona bhi qiyamat hai
Idher se jo guzarte hain tumhara naam lete hain

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain
Jalti Hui Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas Hain
Kisi Aur Ke Saath Ghar Basa Liya Humne
Seene Mein Basi Wahi Bewafa Pyar Ka Zeher Ki Raas Hain…

Zikr ik roz palat aney ka kiya tha tumne

Zikr ik roz palat aney ka kiya tha tumne
Ik diya dil ke andheron mein jala rakha hai

Hoti Ho Gi Mere BooSey Ki Talab Mai Paagal

Hoti Ho Gi Mere BooSey Ki Talab Mai Paagal
Jab Bhi Zulfo'n Mai K0i PhooL Sajaati Ho Gi

Tere beghair kisi chez ki kami to nai

Tere beghair kisi chez ki kami to nai
Tere beghair tabiyat oddas rehti hai

Tujh Or Mujh Mein Farq Sirf Itna Hai

Tujh Or Mujh Mein Farq Sirf Itna Hai,
Ke Tera Kuch Kuch Hun Mein, Or Mera Sab Kuch Hai Tu

kaam aa sakin na apanii wafayein to kyaa karein

kaam aa sakin na apanii wafayein to kyaa karein
ik bewafaa ko bhuul na jaayein to kyaa karein

Nafrato’n k tamacho’n ne mujy diya hai ye sabaq

Nafrato’n k tamacho’n ne mujy diya hai ye sabaq
Azeem jurm hai insan ka insan se mohabbat krna

Liye phira jo mujhy darbadar zamanay mein

Liye phira jo mujhy darbadar zamanay mein
Khayal tujh ko dil-e-beqaraar! Kis ka hai

Raat Yun Saans Ruk Gai Meri

Raat Yun Saans Ruk Gai Meri…
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jese

Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon

Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon
Tanhai Ne Tanhai Me Tanha Mera Sath Diya Hai

Bula raha koi baam se utar k muje

Zra si dair thehrane de ae gham e dunia
Bula raha koi baam se utar k muje

Rakhte hain jo Auron ke liye pyaar ka jazba

Rakhte hain jo Auron ke liye pyaar ka jazba
Woh log kabhii toot kar bikhra nahi karte

Ab hum wisaal-e-yaar se bezaar hain bohat

Ab hum wisaal-e-yaar se bezaar hain bohat
Dil ka jhukao hijar ki jaanib balaa ka hai

Kitney Tohfey Deti Hai Ye Mohabbat Bhi

Kitney Tohfey Deti Hai Ye Mohabbat Bhi ” Yar”
Dukh Alag Ruswai Alag, Judai Alag, Tanhai Alag

Woh bhi bohat akela hai shayed meri tarah,

Woh bhi bohat akela hai shayed meri tarah,
Us ko bhi koi chahney wala naheen milaa..

Bichrdeyn tu shehar bhar may kesi ko pata na ho

Bichrdeyn tu shehar bhar may kesi ko pata na ho

tum ko kuch malal hum ko bhi gila na ho

Main to samjha tha ke bhool geya hoon usey

Main to samjha tha ke bhool geya hoon usey
Dil main jhaanka to mile us ke thikane kitne

Tuesday, October 16, 2012

Majno ko dashat se koi nisbat nahin hai noor

Majno ko dashat se koi nisbat nahin hai noor
Liala ka us ko asal me pehlo aziz hai

Hosalon me bhi kuch kami si ai hai

Sirf halat hi nahin badle
Hosalon me bhi kuch kami si ai hai

Teri galiyon mein rehte they to ik ehsaas tha ghar ka

Teri galiyon mein rehte they to ik ehsaas tha ghar ka
Kisi ka ghar basaa kar hum ko be-ghar kar diya tu ne

Bohat es ko bulata ho bohat samjhta ho lekin

Bohat es ko bulata ho bohat samjhta ho lekin
ye aeyny may betha shaks baher kuin nay ata

Ae Dil Tu Dharak Mgr Itna To Zara Soch

Ae Dil Tu Dharak Mgr Itna To Zara Soch
Tere Jazbat or Hain... Mere Halaat or Hain...

Wife- i will die. Husband- i will also die.

Wife- i will die. Husband- i will also die.
Wife- Why do you want 2 die?
hosband- bcoz ma itni khushi bardasht nahi kar sakta:!

Hum tou mukhlis hain aur be-gharz hain aisay Sana

Hum tou mukhlis hain aur be-gharz hain aisay Sana
Kay chott khaingy tujh se, tujhy dua deingy

When you take me in your arms

When you take me in your arms,
The world pauses it?s senseless spin,
The skies no longer seem too far away,
I float on a cloud, and swim about
In the most vast sea of joy?
You fill me so with love within,
No dream?s too far away?
When I can feel the warmth of your breath,
When I can lay my head on your chest,
All I know of is us, and of our love,
All the rest creeps into oblivion.
Drowned I remain in an unruffled ocean,
Protected like a pearl in its shell.

Bhola bethe hain apne app ko be

Bhola bethe hain apne app ko be
Kuch aise kaam main uljhe hoe hain

Mery mehboob ne wada kia hai panchve’n din ka

Mery mehboob ne wada kia hai panchve’n din ka
kisi se sun kiya hoga ye duniya chaar din ki hai

Apne yaaron ki tabiyat se shanaasa hoon asad,

Apne yaaron ki tabiyat se shanaasa hoon asad,
Ab taluq pe mujhe waar diya jaye ga..

Airhostess: Sir Aap Kya Lein Gay??

Airhostess: Sir Aap Kya Lein Gay??

Lahore ka Musafir akarrty hoye:

Pepsi, kabab, Bread, Chicken Pakora & Tandori Chicken With Naan, raita and salad.

Airhostess: Sir masjid di toti warga monh ay tawada

Tusi PIA day jahaz tay aaye ho.

Apni pehan de walima tey nahi.

Moral: Airhostess Faisalabad di si..

May you have all the joy your heart can hold

May you have all the joy your heart can hold,
All the smiles a day can bring,

All the blessings a life can unfold,
May you have Gods best in everything.

Wishing u a Happy Birthday

Muhabbat hi sahara de rahi thi,

Muhabbat hi sahara de rahi thi,
Wohi ab be’sahara kar gayi hai..

Doston me jab wafa mafqod hone lag gai

Doston me jab wafa mafqod hone lag gai
Hum ko apne dushmanon se rabta rakhna para

Pazi’raayi ke sab mausam isi uljhan mein guzrey hain,

Pazi’raayi ke sab mausam isi uljhan mein guzrey hain,
Kis ko bhool jana hai, Kis ko yaad rakhna hai..

Faqt Pehluu Badalny Sy Rafaqat Kam Nhi Hoti

Faqt Pehluu Badalny Sy
Rafaqat Kam Nhi Hoti

Mgr Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nho Hoti

Jahan Koi Bichar Jaye
Wahin Per Uski Manzil Hy

Kisi k Saath Chalny Sy
Musafat Kam Nhi Hoti

Humare Dushmano Me
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn

So Hum Jis Haal Main Bhi Hon
Mohabbat KamNahi Hoti

Raat phir ae gi phir zehan k darwaze paar

Raat phir ae gi phir zehan k darwaze paar
Koi mehnadi me range hath se dastak de ga

Me apne app me chopke se loot ata hon

Me apne app me chopke se loot ata hon
Kisi bhi simat se jab hosala nahin milta

Kash ke woh laut aaye mujh se yeh kehne,

Kash ke woh laut aaye mujh se yeh kehne,
Tum kon hote ho mujh se bicharrne wale..

Saarey chehron mein neyaa lagta hai,

Saarey chehron mein neyaa lagta hai,
Woh mujhe sab se judaa lagta hai..

Nazam uljhi huyi hai, seeney mein,

Nazam uljhi huyi hai,
seeney mein,
Sher atkey huye hain,
honton per,
Lafz kaaghaz pe bethtey hi nahin,
Urrtey phirtey hain titliyon ki tarah,
Kab se betha hua hon main,
janam,
Saada kaghaz pe likh ke naam tera,
Bass tera naam hi mukammal hai,
Iss se behter bhi nazam kya hogii..

Abhi to tujhe chand lafzon mein samaitta hai,

Abhi to tujhe chand lafzon mein samaitta hai,
Abhi meri kitabon mein teri tafseer baki hai..

Tu mere samne betha hai aur mein sochta hoon

Tu mere samne betha hai aur mein sochta hoon
Ke aatey lamhon mein jeena bhi ik sazaa ho ga

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa..

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,

Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,

Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,

Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,

Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,

Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai

Wo shakh e jaan pe mehakata hoa gulab hai noor

Wo shakh e jaan pe mehakata hoa gulab hai noor
Use mazaj e khazan ki khabar nahin karna

Raah koi tabeer ki nikalo tum,

Raah koi tabeer ki nikalo tum,
Ya mere khawb maar daalo tum..

Muj ko bhi tehyar hai khad o khal pe apne

Muj ko bhi tehyar hai khad o khal pe apne
Heran hai aina magar muj se ziada

Kaha tha na usey mat zabt karna,

Kaha tha na usey mat zabt karna,
Woh aansuu ab samandar ho geya naa..

Hawa se lapati hoi siskion se lagta hai

Hawa se lapati hoi siskion se lagta hai,
Meri kahani kisi aur ne bhi dhohrai

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar
To kehna hosh bas itna hai tum ko yad karte hain

Raat bhar ankhon me us ka mar marain pekar raha

Raat bhar ankhon me us ka mar marain pekar raha,
Chandani k jalmalane me namo us ki bhi thi.

Tumhary Baad Es Raah Sy Kisi Aur Ko Guzarnay Nahi Diya

Abhi Tak Mojood Hein Es Dil Mein Tery Qadmoon K Nishan
Tumhary Baad Es Raah Sy Kisi Aur Ko Guzarnay Nahi Diya

Zindgi jin tasawar se jala pati thi

Zindgi jin tasawar se jala pati thi
Hay kia log the jo daam e ajal me ae

Chehre badal badal k muj se mil rahe hain log

Chehre badal badal k muj se mil rahe hain log
Itna bura soloq meri sadagi k sath

Rang badal ke reh geya gulshan rozgaar bhi

Rang badal ke reh geya gulshan rozgaar bhi
Hum se khafa woh kya huye rooth gayi bahaar bhi

Zara si roshani se aur bhi wazeh hai tarekhi,

Zara si roshani se aur bhi wazeh hai tarekhi,
Khard ne weham ki zanjeer khod pehnai hai jaise.

Monday, October 15, 2012

Dekhay Ga Kisi Aur Ke Hamrah Wo Mujhy Kya,

Dekhay Ga Kisi Aur Ke Hamrah Wo Mujhy Kya,
Wo Shakhs To Mujh Ko Mera Bhi Hony Nahi Deta.

Ye ajnabi si manzilain aur raftagan ki yaad

Ye ajnabi si manzilain aur raftagan ki yaad
Tanhai’yon ka zeher hai aur hum hain dosto

hai shoq-e-safar aisa k ik umar se hum ne

hai shoq-e-safar aisa k ik umar se hum ne
manzil bhi nahi payi rusta bhi nahi badla

Don't wait until it's too late

Don't wait until it's too late
to tell someone how much you love,
how much you care.

Because when they're gone,
no matter how loud you shout and cry,
they won't hear you anymore.

Happy Valentine's Day

Hum Ne Kab Manga Hai Tum Se Apni Wafaon Ka Silaa

Hum Ne Kab Manga Hai Tum Se Apni Wafaon Ka Silaa
Bas Dard Detey Raha Karo “MOHABBAT” Barhti Jae Ge

Dil ki raftar to badal jati hai awaz k sath

Dil ki raftar to badal jati hai awaz k sath
Yaad ata wo peraya guftaar bahot

Tere hijer main jo bi guzri hai

Tere hijer main jo bi guzri hai
Aye humnawa behaal hi guzri hai

Lo me ankhen band kie leti hon abb tum rukhsat ho

Lo me ankhen band kie leti hon abb tum rukhsat ho
Dil to jane kia kehta hai lakin dil ka kehna kia

Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay

Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay
dil jisy kehtain hy wo saz hy juda sab sy

Roshni leke bohat door khari hai dunya

Roshni leke bohat door khari hai dunya
Mujhse kehti hai tere pass to saya bhi nahin

Ye kafi hai k hum dushman nahin hain

Ye kafi hai k hum dushman nahin hain
Wafadari ka dawa kion karain hum

Two Liner Shayari in Hindi

Two Liner Shayari in Hindi

Mujhe Itna Na Chaho Ke Main Tum Ko Khud Samaj Bethun
Mujhe Ehsas Rehne Do Mri Apni B Hasti Hain

Mere paas itnay sawaal thay meri umar se na simat sakay

Mere paas itnay sawaal thay meri umar se na simat sakay
Tere paas jitnay jawaab thay teri ek nigaah main aa gaye!!

Rahh Tabeer ki Nikalo Tum

Rahh Tabeer ki Nikalo Tum
Ya Mery Khwaab Marr Dalo Tum

Karley sitam chahey jitne zamaana, sehna hai,

Karley sitam chahey jitne zamaana, sehna hai,
Hum ne har haal mein jeeney ki kasam khayi hai..

Sunday, October 14, 2012

Merey dil main otar sako to shaid ye jaan lo

Merey dil main otar sako to shaid ye jaan lo
Kitni khamosh muhabbat tum sey karta hey koi

Yon be sabab to koi unhen pojata nahin,

Yon be sabab to koi unhen pojata nahin,
Kuch to hai patharon me khad o khal ki tarah.

Hum fakeeron se dosti kar lo

Hum fakeeron se dosti kar lo
Gur sikhaa dain ge badshaahi ke

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!

Wo Mohabbaton K Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin…

Wo Mohabbaton K Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin…
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai..!!!

Wo is kamal se khela tha ishq ki bazi

Wo is kamal se khela tha ishq ki bazi
Me apni fatah samajhta tha maat hone tak

Woh chala geya mujhe chorr ke, Meri aadatein woh rahin,

Woh chala geya mujhe chorr ke, Meri aadatein woh rahin,
Usey sochna, usey chahna, mera aaj bhi mamool hai..

Bohat mushkil ho geya hai khud ko sambhaley rakhna

Bohat mushkil ho geya hai khud ko sambhaley rakhna
Magar woh keh geya hai apna khayal rakhna

Hum ne seeney se lagaya dil na apna ho saka

Hum ne seeney se lagaya dil na apna ho saka
Muskura kar tumne dekha dil tumhara ho geya

Aisa karo dil se bhula do mujhy

Aisa karo dil se bhula do mujhy
tum se bichrun to moat a jaye
dil ki ghehraiy se dua do mujhy

Hay ajeeb dil ke halat her shay hoe paraaie

Hay ajeeb dil ke halat her shay hoe paraaie
Meray dil main busnay walay teri yad phir say aaye

Tujhay dhoondti hain nazrain tujhay kis jaga main paon
Bardi lumbi ye judaie tou nay bay subub banaie

Parday saaray rung pheekay teri baywafaiyon say
Main jahan jahan say guzra hoe meri jug hunsaie

Meri preet tou nay looti mera chain tou nay cheena
Tujhay raas kyun na aaie barson ke aashnaie

Tujhay aasman bunaya main nay apni zindagi ka
Mujhay kya pata tha hogi teray dil main baywafaie

Jo saza main nay daidi teri aarzo main khud ko
Meray khawb saaray tootay mujhay niend tak na aaie

Main jal k raakh gar hon tou nehi hay iska zaamin
Mujhay jug nay mar dala main nay aag khud lagaie

Ye bharam bhe aaj toota teri dosti ka shaukat
Tou nay khud he ke mohabat tau saza bhe tou nay paaie

Main Apni Raaton Ka Jagna Kis Se Karun Bayan

Main Apni Raaton Ka Jagna Kis Se Karun Bayan
Bas Aik Tanhai Hai Jo Puchti Bhi Nahi Or Galay Laga Laiti Hai

Apni Nakaami ka EK Yeh Bhi Sabab Hai FaRaZ.

Apni Nakaami ka EK Yeh Bhi Sabab Hai FaRaZ.
Cheez Jo Mangte Hain Sb Se Juda Mangte Hain.

Tumhari yad ke aansoo abhi tak baha raha hon main

Tumhari yad ke aansoo abhi tak baha raha hon main,
Ab to aa jao ke dil bohat udaaas hai tum bin…

Aur Kya Is Se Zeyada Koi Narmi Bartoon,

Aur Kya Is Se Zeyada Koi Narmi Bartoon,
Dil Ke Zakhmon Ko Chua Hai Tere Gaalon Ki Tarah..

Ehsas to bohat hai usko meri chahat ka

Ehsas to bohat hai usko meri chahat ka
wo tarpaata hai issliye k main aur bhi toot kar chahoon usko

Jok-Dar-Jok Tamanaon K Dhoke Kha Kar

Jok-Dar-Jok Tamanaon K Dhoke Kha Kar ..
Dil Agar Ab Bhi Dharkta Hai To Phir Pagal Hai

Raah mohabbat mein hai kaun kisi ka rafeeq

Raah mohabbat mein hai kaun kisi ka rafeeq
Saath meray rah gayee aik meri aarzoo

Ye qurab kaisa hai k to samane hai aur humen

Ye qurab kaisa hai k to samane hai aur humen
Shamar abi se judai ki sahtain karni

Taaza mangain hain fasaaney hum se,

Taaza mangain hain fasaaney hum se,
Jab milain hain dost puraaney hum se..

Zid par ishq agar ajaye,

Zid par ishq agar ajaye,
Pani chirkey aag lagaye..

Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat,

Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat,
Tera zikr hi kahan tha meri dastaan se pehle..

Itni sardi hai pass kuch bhi nahin,

Itni sardi hai pass kuch bhi nahin,
Aao ik doosre ko aurrh lain hum..

Mere maula teri janat se judaa lagti hai,

Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..

Saturday, October 13, 2012

raah chaltay mila tha, judda sa lagga

raah chaltay mila tha, judda sa lagga
shaks woh ajnabi tha, bhalla sa lagga

main to shaidaa naheen tha kabhi husn ka
usko dekha to woh, khush adda sa lagga

woh mera kuch naheen tha, to tum hi kaho
kiss liay mujh ko apna bana sa lagga

main to naraz tha sirf ehbaab say
sari duniya hi say woh khaffa sa lagga

main to apnay dukhon say pareshaan tha
mujhko woh bhi magar dil jalaa sa lagga

jissko dekho paristaar azhar jabhee
usko jaana to jaisay piyaa sa lagga

Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi,

Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi,
werna main kuch bhi hoon ehsaan faramosh nahi..

Kitni lambi thi yeh umar apni magar,

Kitni lambi thi yeh umar apni magar,
Dekhtey dekhtey mukhtasar ho gayi..

Hamarey aitbar ki hadh pochte ho lo suno

Hamarey aitbar ki hadh pochte ho lo suno
Unhon ne din ko raat kaha hum so gaye

Mamool ban chuka hai mera raato’n ko jaagna,

Mamool ban chuka hai mera raato’n ko jaagna,
Neendein mere wajood ki ik shakhs le geyaa..

Woh ke khushuu ki tarah phaila tha mere chaar suu

Woh ke khushuu ki tarah phaila tha mere chaar suu
Main usey mehsoos kar sakta tha, chuu sakta na tha

Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom

Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom,
Ke tu nahin tha, tere sath aik dunyaa thi..

Chaman walon sey mujh sehra nasheen ki bodobash achi,

Chaman walon sey mujh sehra nasheen ki bodobash achi,
Bahar akar chali jati hai werani nahi jati..

Manga hai tujhe rab se ke ab zid hai muje yeh kab se,

Manga hai tujhe rab se ke ab zid hai muje yeh kab se,
sab se agey, awal-o-akhir hai meri zaroorton mein sab se…

Us ke Lehje Se Mujh Ko Bas Ye Maloom Hua

Us ke Lehje Se Mujh Ko Bas Ye Maloom Hua!
Usy Dushwar Lagta Hai Ab Mujh Se Taluq Rakhna.

Us waqt intizar ka aalam na puchiye,

Us waqt intizar ka aalam na puchiye,
Jab koi bar bar kahe, aa raha hoon mein..

Sehan e dil me ghamon k peer laga

Sehan e dil me ghamon k peer laga
Ye sabhi mosamon me phalte hain

Aaye guzrey baras Bata tjhy bhoolun kesy…?

Aaye guzrey baras Bata tjhy bhoolun kesy…?
Tery Lamhon ne mry Brso’n ki rfaqat cheeni

Aaya na aik baar ayyadat ko wo maseeha

Aaya na aik baar ayyadat ko wo maseeha,
So baar hum faraib se beemar ho gaye

Shab Kis Ne Yahaan Qadam Rakha Tha ?

Shab Kis Ne Yahaan Qadam Rakha Tha ?
Dehleez Chamak Rahee Hai Ab Tak..!

Mom Ki Tarah Pighaltey Howey Dikha Usko

Mom Ki Tarah Pighaltey Howey Dikha Usko
Rut Jo Badli Badalatay Howey Dikha Usko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Say Chowa Karta Tha
Hum Nay Pholon Ko Masaltey Howey Dikha Usko

Janey Kis Ghum Ko Chupaney Ki Tamana Hai Usey
Aj Har Baat Peh Hastay Howay Dikha Usko

Janeh Wo Mangney Jata Hai Duaon Mai Kisey
Hath Uthatey He Sisktey Howey Dikha Usko

Teri Palkon Mein Rehna Hy Raat Bhar K Liye

Teri Palkon Mein Rehna Hy Raat Bhar K Liye
Main To Ek Khwab Hun, Subha Hote Hi Chala Jaon Ga

Mohabbat haasil itni rahi un ki mujhe,

Mohabbat haasil itni rahi un ki mujhe,
Yaad un saanson ke chehrey ho gaye..

Last nyt i caught sum starz

Last nyt
i caught sum starz
i decided 2 giv dem
2 my friendz
2 let dem know
how especial dey r
2 me..
*
'
'
'
/
catch!
dis 1st 4 u.. Arsall

Hum khod se bichar jaen alag bat hai lakin

Hum khod se bichar jaen alag bat hai lakin
Kab raas humen us ki rafaqat nahin ai

Tufaan ki baat nahin, tufaan to atey jatey hain,

Tufaan ki baat nahin, tufaan to atey jatey hain,
Narm hawaa ka jhonka hai jo dil ke bagh mein thehra hai..

Ruswaion ka ap ko aea hai abb kheal

Ruswaion ka ap ko aea hai abb kheal
Hum ne to apne dost bhi dushman bana lie

Friday, October 12, 2012

Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain,

Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain,
Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi?

Osy bhi ahdy-e wafa totny ka gham ho ga

Osy bhi ahdy-e wafa totny ka gham ho ga
bhari hy daman may mery bhi karchiyan kitni

Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi

Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi,
Na raas ai humen roshani to kia ho ga

Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne

Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne,
Jis Ne Bhi Chaha, Mera Tamaasha Bana Dia..

hmraah is kay hm nahi chal saktay aik din

hmraah is kay hm nahi chal saktay aik din
hum loog aadmi hai zia qaaasmi hain jin

Raat dhalne lagi hai badan thakan se choor hai

Raat dhalne lagi hai badan thakan se choor hai
Aye khayal-e-yaar taras kha sone de mujhe

Zid na kar aye mere dil kaun tujhe poochey ga,

Zid na kar aye mere dil kaun tujhe poochey ga,
Is ke koochey mein to mailaa sa bharaa lagta hai..

Ye sab tumhari mohabbat ka ik tasalsal hai,

Ye sab tumhari mohabbat ka ik tasalsal hai,
Esi liye tu hamesha dukhon ko paltey hain..

Usey ganwa kay main zinda hun is tarha mohsin

Usey ganwa kay main zinda hun is tarha mohsin
Kay jesey tez hawa me charagh jalta hai

Aoo dekhaoon tumhein

Aoo......
dekhaoon tumhein
in udas aankhoon main
apni arzooun ka
surah khoon main jalty hoye
agar dakh sako to....
dakho idhar
is wayran dil main
mare gumnam aramanoon ki
seyah rakh urty hoye
in khamosh ansooun main
mari muhhabt ko....
be-sahara dobty hoye
aur.... suno zara
is bikhari sansoon ko
hain jin main aheen
us be rang jewan ki
jis ke sab rang ......
tum nai chura liye
na itbar kar
mari is khokhli hansi ka
koi jane bhi kya
in khamosh hontoon ko
khosheiyoon ki rah takty takty
ek adat se par gai hai
ansooun ke sang muskorane ki
sun to rahy ho gay tum
is hansi ke parde main
mari us muhhabt ki seskiyan
jo ansoon main bah kar.....
khak main mil gai
woh haak jo tujh bewafa ke.....
qadmoon taly rondi gai

Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona

Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona
Yehi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Achay Hain !

Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko

Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko
Baat karney ka saleeqa nahi naadaanon ko

Hoti hain mohabat mein keyi raaz ki baatain,

Hoti hain mohabat mein keyi raaz ki baatain,
Wese hi to iss khail main haara nahin jaata..

Like the scarlet that spreads through the dark sky

Spread you arms.

Like the scarlet that spreads through the dark sky;

Like the trembling notes that spread through the hall;

Like the shinning pebbles that spread through the depth of the mighty river, wet.

Like the angry voice that spreads

And the famished hearts quicken,

Spread your arms.

And when you touch the flame

Grimace, but do not fold them back over you breasts.

Between you and the earth beneath your feet

The trampled grass knows -

When there is nothing left to burn,

You set fire to yourself.

Wo baat baat pe deta hai parindoon ki misaal

Wo baat baat pe deta hai parindoon ki misaal
Saaf saaf kiyun nahi kehta mera shehar chorr dey

Woh mujhse chahta kya tha mujhe khabar na huyi

Woh mujhse chahta kya tha mujhe khabar na huyi
Bakhairta bhi raha aur samait’ta bhi rahaa

Tuje sy bichard jany ke baad,es lamhey tak

Tuje sy bichard jany ke baad,es lamhey tak
kong si ek,mery andar karlati rahi

ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha

ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha
sath rah kar bhi ikhtilaf rakhta tha

mai kiu na dad du us kay fun ki
mre hr swal ka phly hi jwab rakhta tha

wo to roshnio ka basi tha mgr
meri andher nagri ka bara hi khyal rkta tha

MOHABAT to thi ussy ksi or se shyd
hum se to u hi hansi mazak rakhta tha!

Ro Gay Boht Hum Se Bichar Key Maan Lo

Ro Gay Boht Hum Se Bichar Key Maan Lo
Ye ishq Key Sajday Hain Qazaa Soch Key Kerna

Kis shoq, kis tamanna, kis darjaa saadgi se

Kis shoq, kis tamanna, kis darjaa saadgi se
Hum aap ki shikayat karte hain aap hi se

Tumhara kya hai tumhe to baazi se bas taluq hai waajbi sa

Tumhara kya hai tumhe to baazi se bas taluq hai waajbi sa
Yeh khel hai meri zindagi ka, ke mera jo kuch hai daao per hai

Shayed tumhain bhi chain na aye mere baghair,

Shayed tumhain bhi chain na aye mere baghair,
Shayed yeh baat tum bhi gawaara na kar sako..

Mohabbat karne waale kam na honge,

Mohabbat karne waale kam na honge,
Teri mehfil mein lekin hum na honge..

Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon main sada

Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon main sada
ajnabi log bhi pehchane say lagtay hain mujhay
tere rishton main to dunya hi piro li main nay
Aik say ghar hain sabhi, aik say hain bashanday
ajnabi shehar main kuch ajnabi lagta hi nahin
aik say dard hain sab aik say hi rishtay hain

Umar kay khail main ek tarfa hai ye rassa-kashi
Ik sira mujh ko dia hota to kuch baat bhi thi
Mujh say tagda bhi hai aur samnay aata bhi nahin
Samnay aaye mere daikha mujhay baaat bhi ki
Muskarye bhi puranay kisi rishtay kay liye
Kal ka akhbar tha bas daikh liya rakh bhi diya

Wo meray saath hi tha duur tak magar ik din
Mud ke jo daikha to wo aur mere saath na tha
Jaib phat jaye to kuch sikkay bhi gir jate hain
Chaudhwain chand ko phir aag lagi hai daikho
Phir buhat dair talak aaj ujala ho ga
Raakh ho jaye ga jab phir say amawas ho gi

Husan chahe jise hans bol k apna kar le

Husan chahe jise hans bol k apna kar le
Dil ne apnon ko bhi begana bana rakha hai

Wohi Ranjishen, Wohi Haasraten, Na Hi Dard e Dil Main Kami Hui

Wohi Ranjishen, Wohi Haasraten, Na Hi Dard e Dil Main Kami Hui
Ajab si Hai Mri Zndagi Na Guzr Saki Na Khatam Hui

Ghar ka darwaza khola rakha hai,

Ghar ka darwaza khola rakha hai,
Waqt mil jae to zehmat karna.

Wafa Ke Saath Duniya Mein Hazaroon Gham Bhi Hote Hain

Wafa Ke Saath Duniya Mein Hazaroon Gham Bhi Hote Hain,
Jahan Bajti He Shehnai Wahan Matam Bhi Hote Hain

Abhi to khushk bohat hai maosam barish ho to sochien gey, Hum ney apney armano ko kis matti me bona hai..

Abhi to khushk bohat hai maosam barish ho to sochien gey,
Hum ney apney armano ko kis matti me bona hai..

Faasley Ghata Dete Hai Dilon Mein Nafraton Ko

Faasley Ghata Dete Hai Dilon Mein Nafraton Ko
Woh Jo Door Huey Tu kuch Mohabbat Se Hone Lagi